Monday, January 20, 2014

MUSLIM NAUJAWAN WERTERN CULTURE KI KASH'MAKASH ME





Bismillahirrahmanirraheeem

 


MUSLIM NAUJAWAN WERTERN CULTURE KI KASH'MAKASH ME




NOTE-

20 March 2007 Ko Ek Ghair Muslim Nau'jawaan Ladki Se Mulaqaat Hui,

Wah Ek Ghair Mulki (Foreign) Bank Me Kaam Karti Hai, Wah Khoobsoorat, Zaheen Aur Apne Pesha Me Mahaarat Rakhti Hai, Wah Mujhe Meri Umar, Rutba (Status) Aur Background Se Mutaassir Hokar Sar'maayakaari Ke Liye Aamaadah Karne Lagi, Usko Meri Tahi'dasti Ka Ilm Nahin Tha,

Wah Apne Meethe Alfaaz, Zor Bayaan, Niswaani Ada Aur Haakimaana Dalail Se Mujhe Tijaarati Sarmayakaari Ke Liye Aamaada Karke Apna Maqsad Haasil Karna Chaahti Thi,

Usne Mujhe Rijhaane Me Apna Waqt Lagaya, Apni Quwwat Wa Salahiyat Lagaayi, Wasi'e Amal Ka Har Paintra Istemaal Kiya magar Kaamyaabi Nahin Mil Saki,

Wah Mubarakbaad Ki Mustahaq Hai Ke Apne Maqsad Ke Husool Ke Liye Kaafi Mahnat Wa Jeddo Jehad Ki, Is Baar Ka Article Likhne Ki Tahreeq Usi Waaqye Se Mili Hai,

Hindustan Me Ahle Hadithon Ki Tadaad 5 Crore Se Bhi Zyada Hai,

Uski 50% Aabaadi Nau'jawaano Par Mustamal Hai,

Yani Ye 50 % Nau'jawaan Maslak Ahle Hadith Ki Quwwat Hain Aur 21wi Sadi Me New Islamic Order Ke Qayam Me Supar Power Ka Darja Rakhte Hain,

Wah Ek Dusre Ke Aaba Wa Ajdad Ko Nahin Jaante, Lekin Kalimah Ki Buniyaad Par Ek Dusre Ke Bhai Hain,

Kitabullah Aur Sunnat Rasoollullah Ki Buniyaad Par Kaarwaan Hayaat Me Ek Dusre Ke Saathi Hain,

Yani Jo Tum Ho Wah Ham Hain Aur Jo Ham Hain Wah Tum Ho, Aapas Me Koi Imtiyaaz Nahin, Koi Biraadri Nahin,

Agarche Ye Alag Alag Soobe, Khaandaan , Zabaan, Biraadri, Rang, Taur Tareeqe Ke Nau'jawaan Hain , Lekin Unme Ek Baat Yaksa Hai,

Wah Ahle Hadith Hain !

Quran Wa Sunnat Par Amal Paira, Aakhirat Ki Jawaab'dehi Ke Khauff Se Ma'moor, Aqqedah Me Pukhtah, Insaaniyat Ke Dost, Watan Ke Khair'khwaah, Dahshat'gardon Ke Dushman, Biraadri'waad (Casteism) Ke Mukhaalif, Aur Aman Ke Payaambar..

Samaaj Bahut Se Afraad Ke Majmue Ka Naam Hai, Samaaj Me Ustaad , Taalib E Ilm, Badhai'e, Lohaar, Hajjam (Barbar), Darzi, Dukaandaar, Kaast'kaar, Ranrez, Budha, Jawaan, Aurten Aur Mard Sab Ek Saath Rahte Hain Aur Ek Dusre Ki Madad Karte Hain, Buzurg Hamari Rahnumaayi Me Kaleedi Haisiyat Rakhte Hain,

Naujawan Samaaj Ki Taraqqi Me Haath Bataate Hain,

Log, Jamaat. Jami'at, Tanzeem, Anjuman, Aur Organisation Bana Kar Samaaj Ki Aalimi, Samaaji, Siyaasi Aur Ma'aasi Taraqqi Me Mu'aawin Bante Hain Aur Kuch Log Na Samaaj Ke Kaam Aate Hain Aur Na Samaaj Se Kuch Lene Ki Salaahiyat Rakhte Hai, Aise Log Samaaj Par Bojh Bante Hain,

Nau'jawaan Taalba (Students) Hamari Samaaji Machine Ke Aham Purza Hain,,

Azaadi Se Pahle Taalba Aur Nau'jaawaano Ke Josh Wa Jazbe Ko Azaadi Ki Jeddo Jehad Ki Taraf Modh Diya Gaya Tha,

Uske Nateeje Me

"Jaan Beta Khilaafat Pe Dedo"

Aur

"Laal Qila Ko Chhod Do"

Jaise Naare Buland Hue,

Lekin Azaadi Ke Baad Koi Taameeri Hadaf Ke Na Rahne Se Naujawano Ka Rujhaan, Film, Aur Television Ke Hero Aur Heroins Ki Jaanib Mudh Gaya,

Filmi Actor Aur Acteress Ki Naqal Karne Lage, Wah Sayyed Ahmad Shaheed, Maulana Ismael Shaheed, Maulana Muhammad Ali Johar, Sayyed Suleman Nadwi, Maulana Shibli Nomani, Maulana Inaayat Ali, Maulana Kifaayat Ali, Maulana Abul Kalam Azaad, Doc. Sayyed Muhammad Fareed, Maulana Liyaaqat Hussain Ko Faraamosh Karke Lata Mangeshkar Aur Muhammad Rafi Ko Yaad Karne Lage,

Wah Taariq Bin Ziyaad Aur Sultan Salahuddin Al Aayyoubi, Muhammad Bin Qasim Aur Mujaahidden Ko Bhula Kar Sher O SHayri, Music , Cricket, Aur Dance Me Jut Gaye,

Hamare Qaaydeen Me Nau'jawaano Ke Liye Koi La'hiya Amal Taiyyar Nahin Kiya, Unke Masail Se Dilchaspi Nahin Li, Nazm Wa Zabt Aur Salaahiyat Ko Ubhaarne Me Hissa nahin Liya, Unki Deeni Wa Akhlaaqi Taalimaat Ki Tarweej Ke Liye Khatir'khwaah Jeddo Jehad Nahin Ki,

Iske Nateeje Me Muslim Nau'jawaan Na'ummeedi Ka Shikaar Ho Gaye,

Tarz Rihaaish Ki Bulandi Ke Liye Maaddiyat Ki Taraf Daudh Pade, Wah Minutes Aur Seconds Me Be'ghair Mehnat Ke Croro Rupaiye Haasil Karne Ki Daudh Me Lag Gaye,

Aaj Nau'jaawaano Ki Zahni Aur Jismani Quwwat San'at Ka Darja Akhtiyaar Kar Chuki Hai, Unki Quwwat Ko Khareeda Aur Becha Jaata Hai, Unki Tijaarat Ki Jaati Hai, Aaj 27 March Ke Hindustan Times Me Ek Ishtehaar (Advertisement) Chhapa Hai Jiska Urdu Tarjuma Padhiye

"Aksar Organisations Aapki Shakhsiyat Se Mutaassir Hokar Aapko Mulaazimat (Service) Dete Hain, Ham Aapki Shakhsiyat Ki Irtaqa Ke Liye Aapko Mulaazimat Dete Hain"

Nau'jawaano Ko Apni Taraf Lubhaane Ke Liye Ye Ek Shaabdaar Ishtehaar Hai,

Aaj Duniya Me Buraiyyon Ka Ek Sailaab Umadta Chala Aa Raha Hai,

New World Order Ki Aadh Me Ameriki Tahzeeb Musallat Ki Ja Rahi Hai,

Huqooq Niswan (Womens Rights) Ke Naam Par Aurat Ko Nanga Karke Sare Bazaar  Ruswa Kiya Ja Raha Hai,


Hasi Mazaaq Ki Aadh Me Sharm O Haya Ki Dhajjiyan Bikheri ja Rahin Hain,


Media KE Zariye Gandagion Ki Tarweej Ki Ja Rahi Hai, Hijaab Aur Pardah Ko Qadaamat Se Taabeer Kiya Ja Raha Hai, Deeni Wa Akhlaaqi Qadron Ko Pamaal Kiya Ja Raha Hai,

Allah Ka Khauff Dilon Se Nikaal Kar America Ka Khauff Musallat Kiya Ja Raha Hai,

In Buraiyyon Ko Dekhkar Kya Muslim Nau'jawaano Ka Dil Nahin Kudhta ??

In Kurb'angez Manazir Se Musalman Fikr'mand Nahin Hote ???

Muslim Ladkiyan Film Actress Ki Naqaali Me Nange Libaas Pahenti Hain, Unki Be'raah Rawi Se unke Waalidain Kyon Pareshaan Nahin Hote ??

Ulema E Kiram Be'namazion Ka Samaaji Boycott Kyon Nahin Karte ??

Unki Namaz E Janaza Me Kyun Shareek Hote Hain ??

Ghair Islami Shadion Me Kyun Shareek Hote Hain ?

Masjid Wa Madaris Me bad'kirdaar Musalmano Ke Paise Kyon Lagaaye Jaate Hain ??

Muslim Mahfilon Me Khwaateen Ka Program Khwateen Ke Zariye Kyon Nahin Hota ??

Muslim Tanzeeme Khwaateen Ki Zehan'shazi Se Kyun Katraati Hain ??

Mardon Ki Taqreeren Khwaateen Par Kyon Thopi Jaati Hain ??

Unke Liye Khwaateen Muqaarreen Ka Intezaam Kyun Nahin Hota Taake Wah Unse Apne Masail Daryaaft Kar Saken ??

Islam Ne Aakhiri Adwaar Me Do mUhaazon Par Jung Ki,

Ek Muhaaz Toh Wah Tha Jahan Uske Naam Nihaad Maanne Waale Samundar Ke Saahilon Par Baithe Maujon Ka Maza Le Rahe They Aur Samundar Ke Azeem Haqaiq Se Aankhen Band Kiye Hue They,

Dusra Muhaaz Un Keena Parwaaz Dushmanan E Deen ka Tha Jinhe Islam Ko Apne Mufaadaat Ki Raah Me Ek Azeem Khatra Samjha Tha,

Ye Kaifiyat Aaj Bhi Jaari Hai, Musalmano Me Ye 2 Giroh Aaj Bhi Paaye Jaate Hain,

Tang Nazar Aur Fasaadi Ulema In Dono Muhaazon Par Dawat E Deen Ki Ahliyat Nahin Rakhte,

Unhe Fikr O Nazar Ke Zaawiye Ko Durust Karne ki Zaroorat Hai, Islam Ka Tasawwur Aur Uski Tasweer Aqaid Ki Durustagi Se Hi Mumkin Hai,

Islam Ki Rooh Aur Haqeeqat Ko Wahi Jaan Sakta Hai Aur Logon Ke Saamne Sahih Taaruf Par Qudrat Usi Ko Haasil HO Sakti Hai Jo KitaB Wa Sunnat Par Uboor Rakhta Ho,

Seerat E Nabawi, Khulefa E Raasheeden Aur Mujtahideen Ki Seeraton Se Waaqif Ho, Tareekh, Islami Mumalik Ki Geography, Muslim Hukmaano Ki Khoobion Aur Kotaahion Se Waaqif Ho ,Huqqam Ke Khauff Se Be'parwah Aur Hiqmat Tableegh Ke Gur Se Waaqif Ho,

Aaj Baaz Aise Du'waat Bhi Hain Jin Ki Salahiyatein Furui Masail Par Sarf Hoti Hain,

Lekin Pelestine Wa Bosnia ke Musalmano Ke Liye Unke Hont Jumbish Nahin Karte,

Police Ki Farzi Mut'bhedh (Encounter) Me Muslim Naujawaan Maar Diye Jaate Hain, Muslim Aurtein Aghwa Kar Li Jati Hain,

Bengal, Orissa, Jharkhand Ke Sainkdon Muslim Ladkiyan, Haryna , Punjab Aur Rajasthan Me Ghair Muslimon Ke Haath Bech Di Jaati Hain,

Un Bad'naseeb Muslim Nau'jawaanon Aur Do'sheezaon Par Ulema E Kiram Ki Nigaahein Nahin Jaati,

Haqeeqat Ye Hai Ke Aise Nadaan Ulema Allah Ke Deen Par Bojh Hain Aur Duniya Waalon Par Bhi Jo Ulema Ba'amal, Ba'akhlaaq, Sahab Taqwa, Sahab Baseerat Wa Bashaarat Hain Unhe Mera Salaam Pahunche, Allah Taala Unke Fazeelat Ko Baaqi Rakhe, Unke Wasi Wa Amal Ko Qubuliyat Ka Darza De..... Ameen

Hz Abu Bakr (Ra) Ne Ek Baar Apne Khutbe Me Faramaya THa

Maine Nabi E Akram Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Ye Farmate Hue Suna Ke

"Jab Logon Ka ye Haal Ho Jaaye Ke Wah Buraayi Ko Dekhe Aur Use Badalne Ki Koshish Na Kare, Zaalim ko Zulm Karte Hue Paaye Aur Uske Haath Na Pakde Toh Ba'eed Nahin Ke Allah Apne Azaab Me Sabko Lapet Le,

Khuda Ki Qasam ! Tum Ko Laazim Hai Ke Bhalaai Ka Huqam Do Aur Buraayi Se Roko Warna Allah Taala Tumpar Aise Logon Ko Musallat Kar Dega Jo Tumme Sabse Bad'tar Honge Aur Wah Tumko Shakht Taqleef Pahunchaayenge, Phir Nek loG Allah Se Dua Maangenge, Magar Wah Qubool Na Hogi "

Isse Malum Hota Hai Ke Apni Nijaat Ki Fiqr Ke Saath Dusron Ki Islaah Ki Fiqr Bhi Zaroori Hai Warna Ru E Zameen Fasaad Se Bhar Jayegi Aur Siyaasi Wa Samaaji Quwwat Un Logon Ke Haath Me Ho Gi Jo Is Qaum Ke Bad'tareen Log Hain.....

Allah Taala Hamen Haq Baat Kahne Aur Sunne Aur Uspar Amal Karne Ki Taufeeq De........ Aaameeen

BY- Dr. Abu Hayat Ashraf (Rh)