Thursday, February 6, 2014

RASUL SALLALLAHU ALAHI WASSALAM KA SHAYA (Shadow)





Sawal: 


Kuch Log Kahte Hai Ki Rasulullah s.a.w Ka Saya Mubark Nahi Tha - 


Jawab :- 


Rasulullah s.a.w Allah Ke Nabi Aur Insan The Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat Hi Paida Kia Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Wajeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai- 

Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya 

"Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hai Khusi Aur Nakhushi Se Allah Ta'ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai"

 [Al R'aad Ayat 15] 

Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai- 

"Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Iske Saye Dayain Aur Bayain Se Lautte Hai Yani Allah Ke Aage Aaziz Hokar Sar-Ba-Sujud Hote Hai-"

 [Al Nahal Ayat 47] 

Hadith :- 

Anas r.a Se Riwayat Hai Ek Rat Nabi e Karim s.a.w Ne Hume Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phr Jald Hi Piche Hat Lia Humne Arz Kia Ai Allah Ke Rasul s.a.w ! Aaj Apne Khilafe- M'amul Namaz Me Ek Naya Amal Kia Hai Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usme Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Huqm Mila Piche Hat Jao, Me Piche Hat Gaya Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai (hatta raytu zilli wa zillkum ) Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kia Ki Piche Hat Jao 

[Mustadrak al-Hakim, 4/456 & Ibne Khuzaimah Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892] 

 Ek Aur Sahi Hadith Me Hai Sayyida Zainub Aur Sayyida Safiya r.a Ek Safar Me Nabi e Karim s.a.w Ke Sath Thi, Safiya r.a Ke Pas Ek Oont(camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jb Ki Zainub r.a Ke Pas 2 Oont The Rasul s.a.w Ne Farmaya Tum Ek Zayad Oont Safiya r.a Ko De Do To Unhone Kaha Me Is Yahudiya Ko Kyo Du ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasul s.a.w Naraz Ho Gaye Taqriban 3 Mah Tak Zainub r.a Ke Pas Na Gaye Hatta Ki Zainub r.a Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Lia Sayyida zainub r.a Farmati Hai Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e Karim s.a.w Ka Saya Aa Raha Hai 

[Musnad Ahmad, 6/132,Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323]