Thursday, March 6, 2014

AREE !!1 YE BOKHLAAHAT KAISI QURAN AUR HADITH KI MUKHAALIFAT KAB TAK

Deobandi Banda says - Hanfi maliki shafyi hambali me garche kuch masayel me ikhtelaf hai.


Jawab – mashallah kya baat he bhai , yaha par apka shuru hi me jhut pakda gaya aage ab ham kya bayan kare , yaha ap ne jo ye kaha he k [garche kuch masayel me ikhtelaf he] ap yaha par {garche BAHUT kuch masayel me ikhtelaf he} likhte to ap bilkul sachi baat karte magar ap ne sab kuch janne k bawjood yaha jhut se kaam liya , are mere bhai sab log jante he sirf namaz me hi ap logo me sekdo ki tadad me ikhte laf paye jate he , dusri ibadat ki koi baat nahi he , usme to pata nahi kitne ikhtelaf honge, kher mere pyare bhai ap ne yaha ye to qabul kia k , ikhtelaaf he zarur, ,  


Deobandi Banda says - lekin ye 4ro aapas me rahem dil hain.

Jawab – mashallah , mere pyare bhai ap ne apne apko bhai bhai kaha he , kher abhi filhal apko ek dusre se matlab he, is liye ap jazbaat me aakar ye baat sirf zaban se keh rahe he , wese ap 4ron k dilo me ek dusre k liye kya paya jata he , ham abhi apko ba daleel bayan karte he ,

Japan k shahar Tokyo se Allama Mohammad sultan ma’asoomi ko ek khat mila, jisko Allama albani rahimahullah ne apni kitab [namaz e nabwi Allama albani, page 69] par bayan kia he, waqeya kuch yu he,
Japan k chand roshan dimagh islam ki taraf mayeel huye to unhone apna iradah Tokyo ki jamiat al muslimeen k samne to waha par mojood Hindustani hanafi ulama kehne lage k tum abu haneefa k mazhab ko qabul karo is liye k wo is ummat k chirag he , lekin Indonesia k shafayee ulama ne in ko mashwarah dia k tum shafayee mazhab qabul karo to wo log dono mazhabo ki khichatani ki wajah se islam qabul na kar sake [namaz e nabwi Allama albani, page 69]

Ap log yaha par ek baat gor kare k in dono k dilo me ek dusre k liye kitni adawat he k dono nahi chahte k wo log hanafi ban jaye ya shafayi ban jaye , ye to thik he kam se kam dono isi baat par ittefaq kar lete k , chalo hanafi tum bhi hat jao or ham shafayee bhi hat jate he , in logo ko sirf islam qabul karwa dete he ,

Are kam se kam wo log islam to qabul karte ,, dekha mere bhai , , kitni badi galatfehmi ka shikar he ap ,

Deobandi Banda says - Isi vajah se aap dekhenge k ak shakhs shafyi hai ya hambali hai lekin wo tableeghi jamat me bhi kam karta hai.

Jawab – kya koi tableeghi shafayee ya hambali ya maliki k sath kam karta he ????


Deobandi Banda says - Lekin kuch rafa yadain karne wale jo k bazahir shafyi ya hambali ki tarah amal karte hain lekin ye log hanfi maliki shafyi hambali ko bura kahte hain.


Jawab – are jo quran hadees ki mukhalifat kare, Allah rasul ki baat ko chod kar kisi or ki baat kko aage rakhe , usko ham samjhayeesh ki tor par samjhate he , magar ham kya kare ap log buzurgan e deen ki mohabbat me itna gulu kare bethe ho k agar koi quran hadees apke ulama ikram ya buzurg k khilaf jata he to quran hadees to thukra dete ho , magar buzurgo k aqwal gale se lagate ho ,

Bas iske baad ham sajhane bethete he to ap log naraz ho jate he, bhai ham log sab ko naraz kar skte he, magar Allah rasul ki mukhalifat nahi kar skte, ,


Deobandi Banda says - Ye kaon log hain? Ye ghair muqallid la mazhab log hain.

Jawab – ji, ap ne bilkul sahi kaha , ham la mazhab he ,
  • kyonke apke nazdeeq mazhab wala to fiqah hanafi par amal karne wala he,
  • apke nazdeeq mazhab wala to fiqah shafayee par amal karne wala he,
  • apke nazdeeq mazhab wala to fiqah maliki par amal karne wala he,
  • apke nazdeeq mazhab wala to fiqah maliki par amal karne wala he,

Ham to bechare la mazhab he, siwaye quran hadees k ksis or par amal karte hi nahi, siwaye Allah rasul k alawa kisi or ki sunte hi nahi, agar quran hadees pea mal karne wale ko lamazhab kaha jaye to hamko aesa lamazhab banne me koi harj nahi,
kyo quran hadees k manne walo thik he na ???


Deobandi Banda says - Quran kahta hai aapas me rahem dil raho quran kahta hai mil jul kar raho.


Jawab – wah mere pyare bhai apki har ada nirali he , quran ko to chor dete is me se bhi matlab ki cheez nikal hi li,
  • Kya quran Allah or uske rasul ki ita’at karne ko nahi kehta ???
  • Kya quran ye nahi kehta k jab jab ulul amr k maben ikhtelaf ho jaye to Allah rasul ki tarf ruju karo ???
  • Kya quran sirf quran hadees ko thamne ki bat nahi karta ???
  • Kya quran sahaba ikram ki itteba karne ko nahi kehta ???

Deobandi Banda says - Lekin ye ghair muqallid khud to alag ja hi gire hain sab ko alag karne pe tule huye hain.

Jawab – kabhi kabhi ap achi achi bat bol dete ho , beshak ham alag jare he , quran hadees pe amal karne wala , sab se alag hi hota he , magar ap ne achi bat kehte kehte galat baat kehe di , k ham sab ko alag karne pe tule huye he, are nadan bache ham to cahhte he k sab ek sath mil kar quran hadees ko mazbuti se tham le , kher ye baat apko abhi nahi baad me samajh me aayegi , inshallah, ,

Deobandi Banda says -  Ye kahte hain k ye 4ro firqe hain magar ye 4ro kahte hain nahi nahi ham me ikhtelaf masayel ka hai. dilon ka nahi. ham aapas me bhai bhai hain.


Jawab –  zara ek daleel k sath to bata dete k , nahi nahi hamme ikhtelaaf masayel ka he, ham upar pehle hi bata chuke he , 4ro me kitni mohabbat he or kitni nafrat. Ek or daleel mulahezafarmaye take baat ko samajhne wa samjahne me aasani ho jaye,

Fiqah hanafi ki ek mo’atbar kitab me likha he k , yani jab se hamare mukahlif k mazhab k mutallik sawal kia jayega to ham kahenge k yaqeenan hamaar mazhab durust he or isme galti ki ummid bahut kam he , or hamare mukahalif ka mazhab galat he or isme durust hone ki bahut kam ummid he , [yani hamara mazhab galat nahi or hamare mukhalif ka mazhab durust nahi, 

[durre mukhtar – 36/1]

Deobandi Banda says - To keya kijiyega jiski fitrat me jo hai wahi wo karega.


Jawab – beshak - -  - -

Deobandi Banda says - Ghair muqallid ki fitrat me firqa bandi hai. Lehaza inko sari dunya k musalman mushrik nazar aarahe hain.


Jawab – yaha ap k andar bahut hi gussa wa tassub nazar aarah he , isi liye apne apko hamri zaba se mushrik kehlwa bethe, kher abhi ap bahut hi nadan ho jo, ap aesi khatarnak takfeeri baat keh bethe or qurana hadees k manne walo par takfeer ka ilzam laga dia,

Deobandi Banda says - Hamare andar ittehad hai ham aapas me mil jul kar bhai bhai hain.

Jawab – kash k jo zaban pe jo he wo dil me bhi hota.,.,.,

Deobandi Banda says - Hazrat ali raz. Or haz. Ameer muwayia raz. Me ijtehadi ikhtelaf tha lekin wo aapas me raham dil the.


Jawab – beshak dono me ikhtilaf tha magar ek bat ap bhul gaye k dono k aqayeed ek jese the, dono ka aqeeda ek jesa tha,

{{aqal mand ko ishara kafi}}
Deobandi Banda says - Ak din kisi kafir ne haz. Muwaviya raz. Ko ye paigham bheja k tumhare dushman ali k khelaf ham tumhari madad karne ko tair hain. Haz. Muvayia raz. Gusse se lal peele hogaye unhone kahla bheja k agar tu ye samajhta hai k mai ali ka dushman hun to tu apne dimagh se ye bat nikal de. Tune agar ali ki taraf aankh bi utha kar dekha to mai teri aankhen nikal lunga. Ye hai ruhumao bainahum.


Jawab – mashallah , bahut khub ab matlab k liye sahaba ikram ki baat bhi pesh kar di, magar afsos ye baat ulti apke hi khilaf jati he, khud musalmano k liye bugz, kina, adawat, tassub, takabbur, lalach, or pata nahi kya kya rakhe bethe ho,

Deobandi Banda says - Aapas me bhai bhai ki misal. Dosto Isi tarah ham 4ro hanfi maliki shafyi hambali bi aapas me bhai bhai hain. Lekin ye kafir sifat ghair muqallidiin...????


Jawab – yaha par ap ne fir se ap ne apko takfreeyo me shamil kia he ye keh kar k [Lekin ye kafir sifat ghair muqallidiin...????]


Ham iske jawab me apko bade mohabbat se Allah k rasul ki ek hadees bayan karte he , k Ap Mohammad sallallaho layehi wa sallam farmate he k , jisne kisi musalman ki takfeer ki to wo in me se kisi ek par lotti he, [abu daood, ibn hibban] matlab iska ye he k dono me se ek kafir he , ab ham yaha na hi apko kafir kehte he or na hi apne apko kafir samajht he , Ab Allah hi behtar janta he k , dono me kon kafir hua, kehne wala ya jisse kaha jaraha he, [wallahu aalam]

Deobandi Banda says - ... Oy gm. agar tum hamare darmiyan phoot dalne ki koshish karoge to ham tumhari chool hila denge...


Jawab – bhai chool hilane se pehle ye to bata do k ,ye chool hota ya hoti kya he ??

Deobandi Banda says - Ham me wahi khoon hai jo ali o muawiya me tha. Ham unki hi rawish pe hain..

Jawab – kash k zaban k sath dil me bhi unki rawish hoti


Deobandi Banda says - Oy gm. Tu apna kafirana harba istemal karne ki koshish mat kar. Warna teri juti tere sar hogi. Hosh me aaaaaa..

Jawab – ham yaha pehle hi bata chuke he k , ek takfeeri k bare Allah k rasul me kya farmaya he , ek martaba fir ek bade ikhtesaar k sath or padh le, , magar bhai plzzzz itna gusaa na karo , agar gusse me Allah na kare ,  apko kuch ho gaya to hamse fir bate kon karega ??

Allah se dua he k , Allah ham sab ko quran hadees pea mal karne wala bana de, or hame hidayat de or hidayat yafta logo m e se karde {{{aameen ya rabbal aalameen}}}

TALIB E DUA – TALIB E ILM ‘’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’’ M.M.