Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarkatuhuu.
`
Shayri Karne walo Or Behooda Bate Karne Walo K Lie Ak Chota sa MSG:
`
2ro Ko achi achi bato Ka hukum dena or khud uspe Amal na krna wo b gunah ka kam he Chunach Quran Majeed Me or Hadiso me iski muzamat or mumaniat maojod he.
`
Allah Rab ul Izat Quran Me Frmate hn:
A Eman Walao Jo nh krte ho So Q Kahte ho. Allah K pas Ye (bat) bht napasand he jo wo (bat) kaho jo nh karte.
(AL SaF'e 2,3)
`
2ri Ayat Me Jhoote Shayro ki Muzamat Krte Allah Ta'ala Frmate Hn:
(or gumrah (log) e Shayaro ki taba'dari karte hn. Na dekh k wo sb kahin maidan me hairan hote haen. Jo kahte haen wo karte nh hn.
`
us Mutaliq Is Hadis Ko dekho jo intihai nasihat bhari he.
`
Ansa razi Allah anhu se Riwayat he k RasoolAllah salallah alahe waslam ne farmaya
"Shab-e-Meraj me kuch Logo ko Dekha k Unke Lab (lip) aag k sizzer se kate ja rahe to Mene kaha A Jibrail Alahe Salam ye Kon hn to Jibrail Alahe Salam Ne Frmaya k Ye Ap Salallah alahe waslam ki Umat K wahi Waiz (speach) hn jo Logo ko Naiki ka hukum dete the or Khud ko bhula deta the or ak Riwayat me is trh he k:
ye Log Ap salallah alahe waslam ki Umat k waiz he wo jo b bt kahte khud na karte hen or Quran Padhte hn Par Is pe Amal nh karte hn.
(Sharah al Sunat 4159)
`
Usama Bin Zaid razi Allah Anhu se Riwayat he k RasoolAllah salallah alahe waslam ne frmaya
"Qayamat k din Ak Shakhs ko mangwaya jaega or Usko Jahnam me dala jaega to uske ante Jahnam me nikal jaege to wo Apne Apne K chaodhari (around) ase chakar lagaega jase k Gadha apni chaki k chaodhar chakar lagata he phr Jahnami uske pas jama hojaege or kahege.
"A filan tera hal kia he ? Kia tum hame naiki Ka Hukum Or burai se na rokte the ? To wo kahega me tumhe bhalai ka hukum deta tha or burai se rokta tha par me khud uspe amal nh karta tha.
(Bukhari, Muslim)
`
Aj Yahi Kam Chal raha He Ak tarf Shyri kah raha he to 2ri Trf Logo ko samjha raha he k bhai asa mat karo asa karo wagerah wagerah. Phle Me Khud is Gunah Me Shamil hun.
`
Al Quran:
" Jo Log ye chahte hn k Eman Walo me Be Hayai ko Aam kia jae Un k lie Dunia or Akhirat me Dardnak Azab He.
(Surah Noor 19)
`
kia Mbl Or uska galat Istemal krne wale fahashi na fahlate hn ?
Yakenan Wo b muashre ko tabah krne wale Gerasim k nasho nima kr rhen hn.
`
Al Quran:
Or Logo Me Se Koi asa B he Jo Behooda Bate kharid kr k le Aata he k Jase bina Kisi Ilm K Allah K Raste Se Hata de/ (gumrah) kre or uska mazaq udae ase logo k lie Khuar krne Wala Azab He.
(Al Luqman 6)
Allahu Akbar. Is Ayat Tafsir bht he bs jiske pas Tafsir he wo khud padh sakta he.
`
Mosiqi or Alat Mosiqi ko Khatam krna padega jase Nabi Karim salallah alahe waslam ne Farmaya:
Allah Ta'ala Mujhe Hukum dia he k Bansri Saz (tune) , Bajaa, tamam mosiqi Alat or buto ko Sifhe haste se mita chod dun us Hadis ki rue se har ak k zamedari he k in chezo pe khatme k lie apna kirdar ada kare.
( Masand Ahmed raqam al hadis 22281 257/ j 5.
`
Allah Ta'ala Ham sbko Hidayat ki towfiq ata frmae Ameen.
Hadees:
Momin Kabhi Lanat Karnay Wala, Tanay Denay Wala, Behoada Guftugo Karnay Wala Aor Bad-Zubani Karnay Wala Nahi Ho Sakta
(Tirmizi, Hadis1977 Kitab ul Bir, Darja: Sahi, Baab: Lanat Bhejna, Ravi: Abdullah Razi ALLAH Anho)