Wednesday, March 5, 2014

MUSLIM NAU'JAWAANO KO GIRAFTAAR KARKE HUKUMAT BAD'NAAM KARNA CHAAHTI HAI:




Bismillahirrahmanirraheem

MUSLIM NAU'JAWAANO KO GIRAFTAAR KARKE HUKUMAT BAD'NAAM KARNA CHAAHTI HAI:


Varanasi:

Muslim Naujaawanon Ko Badnaam Karke Hukumat Madaris Ko Badnaam Karna Chaahti Hai,

Hukumat Chaahti Hai Ke Muslim Naujawaan Madaris Ki Taraf Rukh Na Karen Aur Islami Tahzeeb Wa Taaleem Se Door Ho Jaayen Aur Unke Andar Itna Khauff Paida Kar Diya Jaaye Ke Wah Deeni Taaleem Na Haasil Karen,

Ye Baatein Vaishaali Bihaar Ke Rahne Waale Abdullah Zubair Ahmad Jinhe 2006 Me Jamia Salafia Reori Talab (Varanasi) Se Giraftaar Kar Liya Gaya Tha, Unhone Jamia Salafia Ki Jaanib Se Munaqid Ek Press Conference Me Kahi,

8 Saal Ki Qaid Ke Baad Adaalat Ne Abdullah Ko Be'kasoor Bataate Hue Unhen Ba'izzat Bari Kar Diya,

28 February 2014 Ko Apni Rihaayi Ke Baad Wah Jamia Salafia Banaras Aaye Aur Yahan Jamia Salafia Ke Nazim E Aala Abdullah Saud Ne Ek Press Conference Karke Unhe MEDIA Ke Saamne Pesh Kiya, Sahaafion (Reporters) Ko Apni Sar'ghuzasta Sunaate Hue Unhone Bataaya Ke Kis Tarah Unhe PASSPORT ki Jaanch Ke Naam Par Police Jamia Salafia Se Le Gayi, Jabke Unhone PASSPORT Ke Liye Dar'khwaast (Apply) Hi Nahin Di Thi,

Unhone Bataya Ke 31 January 2006 Ko Din Me 3 Baje Ke Qareeb NADEEM FAREEDI naam Ke Darogha Ne Ek Deegar Police Ahal'kaar Ke Saath Jamia Salafia Reori Talab Banaras Me Dabish Di Aur Unko Ye Kah Kar Bulaaya Gaya Ke PASSPORT ki Enquiry Hai, Unhone Jab Ye Suna Toh Abdullah Ne Unko Bataaya Ke Hamne Toh Passport Ke Liye Dar'khwaast Hi Nahin Di Hai, Toh Police Waalon Ne Kaha Ke

"Ho Sakta Hai Ke Aapke Ghar'waalon Ne Di Ho, Bas 10 Min Ke Liye Chaliye Aur Passport Officer Se Milkar Chale Aiyyega"

Chunke Jamia Salafia Ke Jimme'daaraan Ke Paas Unko Rokne Ka Koi Jawaaz Hi Nahin Isliye Un Logon Ne Is Yaqeen Dehaani Par Ke Wah 10 Min Me Waapas Bhej Denge Unko Jaane Diya,

Abdullah Ka Kahna Hai Ke

"Wah Dono Police Waale Unko Lekar Bhelu'pur Ke Kisi Hotel Me Gaye Aur Ek Kamre Me Kolkata Se Aaye Hue ATS Officer Ke Hawaale Kar Diya"

Wahan Unse Kuch Sawaalaat Kiye Gaye Aur Ek Ghante Ki Tafteesh Me Hi Un Logon Ko Yaqeen Ho Gaya Ke Ham Be'kasoor Hain,

Usi Dauraan Banaras Ke C.O Tribhuwan Tripathi Wahan Aaye Aur Unhone ATS Waalon Se Kaha Ke Ye Ladka Masoom Hai Ham Isko Aap Logon Ko Nahin Le Jaane Denge,

Magar Kolkata Police Ki Is Yaqeen Dehaani Par Ke Agar Ye Masoom Hai Toh Isko Riha Kar Diya Jayega,

Tribnhwan Tripathi Ne Nam Aankhon Se Abdullah Ko Rukhsat Kiya Aur Kaha Ke Tum Be'kasoor Ho Aur Ek Din Inko Tumhe Zaroor Riha Karna Hoga,

Abdullah Ne Bataya Ke Police Waale Unse Is Tarah Baatein Karte Rahe Jaise Ke Wah PAKISTAN me Kai Saal Ghuzaare Hain,

Abdullah Ne Jab Unse Poocha Ke

"Kab Ham Pakistan Me They"

Toh Unhone Wah Waqt Bataya Jab Wah New Delhi Me Jamia Islamia Sanabil Me Taaleem Haasil Kar Rahe They,

Police Me Abdullah Ko Kolkata Ke Court Me Pesh Kiya Aur Unko Ek Kashmeeri Dahshat'gard Kah Kar 14 Din Ka Police Remaand Le Liya,

14 Din Ki Tafteesh Me Police Ko Itminaan Ho Gaya Ke Abdullah Be'kasoor Hai,

Abdullah Ne Bataaya Ke Wah Officers Aapas Me Baat Kar Rahe They Ke Ab Iska Kya Kiya Jaaye,

Unhone Apne Bade Officers Se Poocha Ke Kiya Isko Riha Kar Diya Jaaye Toh Usne Kaha Ke Nahin Agar Abhi Riha Kar Diya Toh MEDIA Me Hamari Bahut Kirkiri Hogi,

Court Me Abdullah Ka Trial Chalta Raha Aur 3 Baar Unko Aisa Laga Ke Bas Ab Wah Riha Ho Jaayenge, Magar Faisla Sunaane Se Pahle Judge Ka Tabaadla (Transfer) Kar Diya Jaata, Aakhir Kaar Wah Din Aaya Ke Judge Ne Unki Rihaayi Ka Parwaana Padha Aur Wah 27 February 2014 Ko Azaad Hue,

Giraftaari Ke Baad Is Tarah Ka Maahaul Paida Kiya Gaya Ke Unke Aazah Aur Idaare Ke Log Uski Pairwi Na Karen, Magar Abdullah Ke Bhai Qamar Aalam Dar'dar Ki Khaak Chhaante Rahe,

Qamar Alam Ne Bataya Ke Police Waalon Ko Bhi Unki Be'gunaahi Ka Itna Yaqeen Tha Ke Wah Pesh Karte They Ke Ham Waqeel Karne Ke Liye Hamse Paise Le Lo,

Press Conference Me Jamia Ke Nazim E Aala Maulana Abdullah Saud, Jamia Ke Sadar Maulana Shahed Junaid, Mufti Banaras Maulana Abdul Batin Aur Abdullah Shamil Hue,

Jamia Salafia Ke Naazim Abdullah Saud Ne Ek Sawaal Ke Jawaab Me Bataaya Ke Jab Police Ne Abdullah Ko Giraftaar Kiya Toh Ham Logon Ko Poora Yaqeen Tha Ke Abdullah Be'kasoor Hain, Wah Ibteda Se Hi Ek Zaheen, Saadah Tabiyat Ke Taalib E Ilm They, Jamia Me Hamesha Unko Acche Taalib E Ilm Ke Taur Par Jaana Gaya, Unki Giraftaari Ke Baad Unke Saathiyon Ne Bhi Unke Baare Me Taareefi Baatein Ki,

Mufti Banaras Maulana Abdul Baatin Nomani Ne Sabse Pahle Abdullah Ko Mubarak'baad Di Aur Is Tarah Ki Giraftaarion Par Apni Naraazgi Aur Muzammat Ka Izhaar Kiya,

Unhone Kaha Ke Ham Ek Azaad

Mulk Me Rah Rahen Hain, Magar Hukumat Ke Amal Se Aisa Mahsoos Hota Hai Ke Mulk Abhi Ghulam Hi Hai, Mulk Ke Leadaron Angrezon Ke Ishaaron Par Kaam Kar Rahen Hain Aur Unka Apna Faisla Kuch Bhi Nahin,

Mufti Banaras Ne Kaha Ke


"PASSPORT aur L.I.U Ke Naam Par Muslim Nau'jawaano Ki Giraftaari Afsos Naak Hai, Magar Isse Afsos'naak Baat Ye Hai Ke MEDIA House Unki Giraftaarion Ko Jis Tarah Badha Chadha Kar Pesh Karte Hain Unse Halaat Aur Bhi Kharaab Ho Jaate Hain Aur Biraadraan E Watan Ke Dil Me Musalmano Ke Khilaaf Nafrat Badhti Jaati Hai"

Unhone Kaha Ke

"Mulk Me Khush'haali Aur Aman Usi Soorat Me Qayem Rah Sakta Hai JAB mulk Ke Har Fardh Dil Me Ek Dusre Ke Liye Muhabbat Aur Izzat Ho, Akhbaaraat (Newpaper) Aur Electronic Media Bhi Mulk Me Muhabbat Wa Akhwat Qayem Rakhne Me Bahut Madad'gaar Saabit Ho Sakte Hain"

Unhone Aakhir Me Akhbaar Aur Electronic Media Se Darkhwaast Ki Ke Wah Musalmano Ko Nafrat Ka Shikaar Na Banaayen Aur Zulm Wa Na'insaafi Ke Khilaaf Wah Bhi Aage Aayen,

Abdullah Ki Giraftari Par Jis Tarah Se Media Ne Khabre Shaaye Ki Thi Un Par Laazim Hai Ke Abdullah Ki Rihaayi Ki Khabren Bhi Itni Waazeh Hi Shaaye Karen

Waazeh Ho Ke Abdullah Ko Jamshedpur Ke El Ladke Tariq Akhtar Ki Diary Me Mile Number Ki Buniyaad Par Giraftaar Kiya Gaya Tha,

Is Silsile Me Abdullah Ne Bataaya Ke

"Jab Wah New Delhi Taaleem Hasil Kar Rahe They Toh Us Waqt Ek Jagah Tuition Padhate They Aur Tariq Akhtar Se Unki Wahin Ek Do Baar Ki Mulaqaat thi, Police Ne Jamshedpur Ke Hi Ek Dusre Ladke Noor Ahmad Ko Bhi Giraftaar Kiya Tha Aur Kolkata Ke Session Court Me Un Teeno Afraad Ka Muqaddama Ek Hi Case Me Chal Raha Tha"

Abdullah Ke Saath Un Dono Ki Bhi Rihaayi Hui Hai, Rihaayi Ke Baad Abdullah Apni Zindagi Ke Muntashar Shiraaze Ko Sametne Ki Khwaahish Rakhte Hain Aur Chaahte Hain Ke Jamia Salafia Me Unko Dobaara Daakhila De Diya Jaaye, Unke Daakhile Ke Silsile Me Jamia Salafia Ke Naazim E Aala Ne Bataaya Ke

"Halaanke Unki Umar Zyada Ho Gayi Hai Magar Chunke Unke Saath Hukumat Ka Nihaayat Na'insaafi Ka Maamla Tha Isliye Unke Daakhile Par Ghaur Kiya Jaayega Aur Koi Munaasib Raasta Akhtiyar Kiya Jayega"