Bismillahirrahmanirraheem
QASAR KI NAMAZ KE AHAKAM WA MASA'IL KA BAYAN
Jab Musafir Safar Ki Halat Me 4 Rakat Wali Namazo Ko 2 Rakat Padhta Hai To Ise Qasr Ki Namaz Kahte Hain
Namaz Me Qasr Ka Huqm 4 Hizri Me Hua
Quran Se Dalil .
04.101 Jab tum safar mein jaa rahey ho to tum per namazon kay qasar kerney mein koi gunah nahi -
Hadith-
Hazrat Ibne Umar r.a Se Riwayat Hai Rasul s.a.w Farmaya
"Beshak Allah T'ala Ne Hume Huqm Dia Hai Ki Hum Daurane Safar Sirf 2 Rakat Namaz Ada Kare"
[Sunan Nasai 458, Ibe Majah 1066] -
To Sabit Hua Ki Jab Koi Safar Kare To Wo Namaz Me Qasr Kare Yani 4 Ki Jagah 2 Rakat Ada Kare Siwaye Maghrib Ke Aur Sunnat Nahi Padhi Jayegi Maghrib Me 3 Rakat Puri Padhi Jayegi Aur Fazr Ki Ki 2 Sunnat Bhi Padhi Jayegi Iske Alawa Aur Sunnat Maf Hai .
Dalil . Bab:- Maghrib Ki Namaz Safar Me 3 Hi Rakat Padhi Jayegi .
Ibne Umar r.a Farmate Hai Ki Nabi Karim s.a.w Ko Jab Kahi Jaldi Pahuchna Hota To Maghrib Ki Taqbir Kahte Aur 3 Rakat Namaz Padh Kar Salam Pher Dete, Phir Thodi Der Bad Isha Ki Taqbir Kah Kar 2 Rakate Padh Kar Salam Pher Dete Aur Isha Ke Bad Aur Nafil Kuch Na Padhte .
Sahi Bukhari Hadith 1091 -
Abu Qatada Se Riwayat Hai Rasul Sallallahu Alahi Wasalam Ne Safar Ke Dauran Bhi Fazr Ki Sunnate Hmesha Padhi
Sahi Muslim Hadith 680 -
Qasar Ke Dauran Witr .
Imam Nafe Riwayat Karte Hai Ki Ibne Umar r.a Apni Sawari Par Namaz Padhte Aur Witr Bhi Padh Lete Aur Kahte Nabi Karim s.a.w Aise Hi Kiya Karte The .
Sahi Bukhari 1095 -
Qasr Kitne Din Tak Kar Sakte Hai -
Ibne Abbas r.a Se Riwayat Hai Ki Nabi e Karim s.a.w 19 Din Tak Makkah Me Thahre Aur Qasr Karte Rahe, Isliye Hum Bhi Jab 19 Din Kahi Thahrte Hai To Qasar Karte Hai, Aur Agar 19 Din Se Jyda Tahrate To Puri Namaz Padhte .
Sahi Bukhari Hadith 1080 .
Kitni Duri Ke Safar Me Qasar Kare ?
Nabi Karim s.a.w Ne Ek Din Rat Tak Chalane Ki Duri Ko Bhi Safar Kaha Ibne Umar r.a Aur Ibne Abbas R.a 4 Bareed me Qasr Aur Iftar Karte The 4 Barid 16 Farsakh 48 Mile Hote Hai
[Sahi Bukhari Kitabul Abwabu Taqseerissalati] -
Abu Huraira r.a Se Riwayat Hai Nabi Karim s.a.w Ne Farmaya
"Jo Aurat Allah Aur Akhirat Par Yaqin Rakhti Hai Us Ke Liye Jaiz Nahi Ki Wah Bina Kisi Maharam Ke (tanha) Ek Din Ka Bhi Safar Kare .
Sahi Bukhari 1088 .
Imam Bukhari Rh Ne Is Hadith Ko Lakar Ye Sabit Kia Hai Ki Ek Din Rat Ki Duri Ka Nam Bhi Safar Hai Isliye 48 Mile Ki Duri Par Qasr Kia Jayega Ek Din Rat Me Ek Admi Itni Duri Tay Kar Leta Hai .
Qasr Shuru Kab Kare? .
Anas Bin Malik R.A Se Riwayat Hai Ki Mene Nabi E Karim s.a.w Ke Sath Madina Me Zuhar Ki 4 Rakate Padhi Aur Zul Hulaifa Me Pahunch Kar Asar Ki 2 Rakate Padhi .
Sahi Bukhari Hadith 1089 .
Malum Hua Ki Jab Safar Ke Irade Se Ghar Se Nikal Pade To Nikalne Ke Sath Hi Qasr Shuru Kar De Zul Hulaifa Madina Se 6 Mile Ki Duri Par Ek Jagah Hai -
Safar Ke Dauran Namaz Jama Karna -
Hz Ma'aaz Bin Jabal r.a Se Riwayat Hai Ki Rasul s.a.w Suraj Dhalne Ke Bad Safar Ka Irada Farmate To Zohar Wa Asar Ko Ek Sath Ada Farma Lete .
Tirmizi 552, Abu Dawood 1220 -
Haz Ibne Umar r.a Se Marvi Hai Ki Rasul s.a.w Jab Safar Me Jane Ki Jaldi Hoti To Ap Namaze Maghrib Me Deri Karte Yaha Taki Ki Maghrib Wa Isha Ko Ek Sath Padh Lete .
Bukhari 1091 -
Haz Ibne Abbas r.a Se Marvi Hai Ki Nabi Karim s.a.w Ne Gazwa Tabook Ke Safar Me Zohar Wa Asar Aur Maghrib Wa Isha Ko Jama Kia .
Sahi Muslim 705 -
In Dalilo Se Malum Hua Ki Johar Wa Asar Aur Maghrib Wa Isha Ko In Me Kisi Waqt Me Daurane Safar Jama Lena Jaiz Wa Sahi Hai
Via-Ayan Khan Salafi