Thursday, March 6, 2014

SUNNAT KI MAUJOODAGI ME RAAYE KI HAISIYAT






Sunat Ki Maojodgi Me Rae Ki Haisiat

☼ ¸.•*""*•.¸ ☼☼ ¸.•*""*•.¸
♥♥ Asslamu Alaikum♥♥
♥♥ Wa Rahamatullahe ♥♥
♥♥ Wa Barkathu ♥♥
☼ ¸.•*""*•.¸ ☼☼ ¸.•*""*•.
`
Bismillahirrahmanirraheem
`
1) Sunat RasoolAllah Salallah alaihe waslam pe Amal Karne k Bajae Apni Marzi Pe Amal karna ziada sawab hasal karne ki khuash pe Huzur salallah alaihe waslam Narazgi ka Izhar Frmaya he:
`
Hazrat Ins razi Allah anhu Farmate hn k 3 Sahabi razi Allah anhu, Nabi Akram salallah alahe waslam k Azwaj e Mutaharat razi Allah anhu (yani Huzur K Harman) k pas Hazar hue or Nabi Akram salallah alaihe waslam ki Ibadat k bare me sawal kia or jb unhe bataya gaya k Inhone Huzur salallah alaihe waslam k ibadat ko kam samjha or Apas me kaha k Nabi Akram salallah alahe waslam k Muqable me Hamari kia Haisiat he. Huzur Akram salallah alahe waslam jinke to Allah Ta'ala sb agle Pichle Gunah Muaf kr die hn (is lie hamko ibadat karni chaye) phr un me se ak ne kaha, " Me Hamesha Sari Rat Namaz padhta rahunga (or aram nh kruga) 2re ne Kaha, "
 
 Me Hamesha Roza Rakhuga or Kabi B Tark nh karuga. 3re Ne Kaha, 
 
" Me Aurat se juda Rahuga or Kabi Nikah nh karuga."
 
 jb RasoolAllah salallah alaihe waslam ko is bt ki khubr hui to Un Asahabiyo se pucha,
 
" kia Tum Ase Ase Kaha he?"
 
 (unhone iqrar krne pe) Huzrur salallah alaihe waslam ne frmaya, 
 
"Khabardar ! Allah ki Kasam Me Tum sabhi se ziada Allah se Darne wala hun or Tum Sabhi se ziada ParhezGar hun, Lekn Me Roza rakhta b hun, Tark b Krta hun, Rat Ko Uth k ibadat karta b hn or Aram b karta hn or Mene Aurato se Nikah b kie hn ( yad Rakho!) Jisne Meri Sunat se mun fera uska Mujh se koi b wasta nh he "
 
 (Sahi Bukhari)
`
2) Sunat RasoolAllah salallah alahe waslam pe Amal karne bajae apni marzi pe Amal karne walo ko RasoolAllah salallah alaih waslam "NAFARMAN" kaha he.
`
Hazrat Jabir bin Abdullah razi Allah anhu se Riwayat he k RasoolAllah salallah alaihi waslam Ramzan me Fateh Makke Wale saal Makke k lie (Madina Munwara me) Nikle. Jb Kura'a Gamaim (jagh ka nam) phnche to Huzur Akram salallah alahi waslam Ne Roza rakha or Sahaba Kiram razi Allah anhu Sabhi ne Roza rakha. Phr (safar me) Huzur Salallah alaihe waslam ne Pani ka Piyala Mangwaya or Upr kia Is had jo logo ne us (piyale ) ko dekha, Huzur Akram salallah alahe waslam ne Pani Pia. Huzur Akram salallah alahe waslam ko Bataya gaya k kch log Abi b Roza rakha he. Uspe Huzur Akram salallah alaihe waslam ne Irshad Farmaya, 
 
" Wo log Nafarman hn, Wo Log Nafarman hn."
 
 (Sahi Muslim)
`
3) Sunat RasoolAllah salallah alahe waslam ki khabr padte e Sahaba Kiram razi Allah anhu Apni Rae Wapis lete the. Itiba Sunat e Musalamano k Bahimi Iktalafat ko khatam krne ka sirf akela e rasta he.
`
Hazrat Kabisatu Bin Zoweb razi Allah anhu Se Riwayat he k Ak Faot shuda k Nani (grand mother) Hazrat Abu Bakar Saddique razi Allah anhu k pas Meeras (faot shuda ki malkiat me hisa) mangani ai. Hazrat Abu Bakar Saddique Razi Allah anhu ne Frmaya,
 
 "Qurani Hukumo k Mutabiq Meeras me tera koi b hisa nh he or na phr Mene Us bare me RasoolAllah salallah alaihe waslam ki koi Hadis suni he, is lie wapis chali ja, Me is babat logo se puchuga."
 
 phr Hazrat Abu Bakar Saddique razi Allah anhu logo se pucha k Hazrat Mugeera bin Shu'oba razi Allah anhu ne kaha, Meri Maojodagi me RasoolAllah salallah alaihe waslam Nani ko 6chata hisa dilwaya tha." 
 
Hazrat Abu Bakar Saddique razi Allah anhu ne pucha "koi 2ra shahid he ?" Mohammad bin Muslim Ansari razi Allah anhu b Is Hadis ki Taid ki phr Hazrat Abu Bakar Saddique razi Allah anhu Nani ko chata hisa dilwaya.
 
 (Malik) sahi
`
2) Hazrat Saeed razi Allah anhu se Riwayat he k Hazrat Umar bin Khatab Razi Allah Anhu Farmate the k Deet sirf Aqilat (Baap ki tarf se wariso) k lie he or BV k lie apne shohar Ki Deet Me koi hisa nh he. Hazrat Zahaq bin sufyan, Hazrat Umar razi Allah anhu ko btaya k RasoolAllah salallah alahe waslam ne mujhe likh k bheja tha k Ashim Zababi ki Deet me uski bv ko hisa dilwao. Is pe Hazrat Umar razi Allah anhu ne Apni Rae pe ruju farmaya (rae badladi)
 
 (Abu Dawod)
`
3) Hazrat Masoor bin Makhrama razi Allah anhu se Riwayat he k Hazrat Umar bim Khatab razi Ajah anhu Pait me bacha ki Deet k bare me logo se Mashwara kia k Hazrat Mugeerah bin Shu'oba razi Ajah anhu Ne kah k RaroolAllah salallah alahe waslam uspe ak Gulam ya Kaniz Azad karne ka hukum dia he. Hazrat Umar razi Allah anhu ne farmaya, "apni bt pe Shahid lao."
 
 uspe Hazrat Mohammad bin Masalma razi Allah anhu uski bt tasdiq ki ( us k bd Hazrat Umar razi Allah anhu Sunat Rasool salallah alahe waslam k mutabiq faisla farmaya).
 
 (Sahi Muslim)
`
Hazrat Bajala rahmatullah se Riwayat he k Me Ahnaf k Chache Jazau bin Muawia ka Munshi tha, Hame Umar Bin Khatab Razi Allah anhu ka ak Khat iske Wafat se ak sal phle mila Jisme likha tha k Jisne Majoosi Apni Muharam aurat se nikah kia ho usko juda kare.
 
 Hazrat Umar razi Allah anhu Majoosiyo se jazia nh lete the. Lekn Jb Hazrat Abdul Rahman bin Auf razi Allah anhu Ne Shahidi di k RasoolAllah salallah alaihe waslam se jazia lete the to Hazrat Umar Razi Allah Anhu ne b Jazia lena shuru kia.
 
 (Sahi Bukhari)
`
Hazrat Zainab razi Allah anhu Bint Ka'ab bin Ajrah se Riwayat he k Hazrat Abu Saeed Khudri razi allah anhu ki Behn Hazrat Fari'aa razi Allah anhu Bint Malik Bin Sana'an, ne Bataya k Wo RasoolAllah Salallah alaihe waslam k Pas Ai or pucha,
 
 " Kia Mujhe Bani Khudra Me Apne ghar jane ki ijazat he ? Qk mere Shohar k kuch Gulam bhag gae the or wo unhe dhondne k lie nikla. Jb Qadoom (ak jagh jo Madina se 7 mile pe he) phncha to Waha Gulamo ko dekha or Gulamo ne Mere Shohar ko Mardia Mene RasoolAllah Salallah alaihe waslam se Pucha, " Kia Me Apne Ghar Wapis Jaun qk Mere Shohar Mere Lie Koi jagh ya Kharch chod k faot nh hua he, is lie agr Huzur Akram salallah alahe waslam Ijazat Den To Me Apne rishtedar k pas chali jaun?"
 
 Huzur Salallah alaihe waslam ne Frmaya, " Ha Chali Jaa." jb Me Wapis Hua, abi Hujura ya Masjid me thi to Huzur Akram salallah alahe waslam phr Pukare ya Kisi 2re Admi ne Huzur salallah alahe waslam k kahne pe pukara. Huzur Salallah alahe waslam ne Mujh se 2bara bat Maloom Ki, mene Sari bt Apne Shohar babat 2bara btai. Tb Huzur salallahu alahe waslam ne Hukum Dia k Idat puri hone tak us e ghar me rahu jb Tak idat Puri hojae. Jo 4char Mah 10das Din he. Hazrat Fari'aa razi Allah anhu ne Btayat k jb Hazrat Usman Bin Afa'an razi Allah anhu (apne daor khilafat me) Mere Pas Paigam Bheja or Mujh se wahi masala pucha k Mene Isko wahi bataya k Isne Us Mutabiq Faisla kia.
 
(Abu Dawod)
 
.Ye The Kuch Ahadis Jo k Rae k bare me Thi k Rae Ki Sharai Haisiat Kia He..