Saturday, April 19, 2014

QAYAMAT TAB TAK QAYEM NA HOGI JAB TAK MUSALMAN AAPAS ME EK DUSRE KO HALAAQ NA KARNE LAG JAAYEN


✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿
 


 *** Bismillah hir-Rahman nir- Raheem ***
 


 Hazrath Thauban Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ne Farmaya
 

 "Allah Subhanahu ne lapet liya Zameen ko Mere liye (yani sab Zameen ko Mere samney kar diya) To Mainey uska Purab aur Pachchim dekha aur Meri Hukumat wahan tak pahuchegi jaha tak Zameen Mujhko dikhlayee gayee Aur Mujhko Do khazaney miley Surkh aur Safed Aur Mainey Dua ki apney Allah se ki Meri Ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aisey Dushman ko musallat na karna jo Sari Ummat ko halak kar de , Mere Allah ne farmaya,

" Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam ! Main jab koi Hukm kar deta hun phir wo nahi palat ta, aur Mainey Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aisey Dushman ko musallat karunga jo Sari Ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iskey liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karney ke liye lekin unko bilkul Tabaah NA kar sakegey) yahan tak ki khud Musalman ek dusrey ko halak karengey aur ek dusrey ko Qaid karengey ".
(Sahih Muslim, Vol 6, 7258 )