Thursday, May 22, 2014

NAMAAZ KE SAATH KHILWAAD

Alhamdulillhi rabbil aalameen,was salaatu was salaamu ala ashrafil ambiyaaee wal mursaleen, ammaa baad:

Asslamu Alaikum Wa Rahamatullahe Ta'la Wa Barkathu..


Bismillahirrahm
anirraheem ..

Aaj ki es post k jo bayan hai wo behad ibrat naak or soch o fekar karne wale baat hai..


**Kitab Hayatul Haiwan Matbua jild-2 safa-214 me hai :


''Badsah Saltalanat Mahmood Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab per tha Aur Elm Hadees ki hirsh (sok) rakhta tha , Aur Mashekh se Hadees Sunta Aur Istefsar keya karta tha bas Akser Hadees ko usne Safaii Mazhab k Muafiq paya bas usne Feka (Ulma) ko jama keya Aur unse ek Mazhab k Dusre Mazhab per Tarzeh k Mutalba keya , tou us baat per sab k Ittefaq hua k 2no Mazhab k Muafiq 2-2 Rekat Namaz padne chaye , Bas us Namaz me Nazar wa Fekar karne se ji Mazhab Accha malum ho us ko Ekhteyar karna chaye , bas Kafal Marwazi r.al ne Namaz padne suru ki , tou waju ko puri sarto se Ada keya Aur lebash aur Esteqbal Kabil v bakhubi keya Aur Namaz k Arkaan Aur Ahesta Aur Farz Aur Sunnat Aur Ada'ab ko bojh kama'al Ada keya Aur ayse Namaz padhe jisse kami k Izhar karna Imam Safaii r.al k Nazdek Durust Nahi , Fer Aur 2 rekat us tareqe se Ada keya k jo Imam Abu Hanifa r.al k Nazdek jaiz ho , bas kutte ki kaal dabagat de hue ko pahan leya Aur usko 1/4 Nijasat se Alud (barabar ) keya , Aur nabiz Khazur se Waju keya , Chuke garmi k Mousam tha es leye Makkhiya Aur Macchar usper jama ho gaye , Aur be-Neyat k Waju keya Aur Waju v Ulta keya , (yaani pahle baya pair dhoya,fer daya pair dhoya,fer baya hanth dhoya,fer daya hanth dhoya,fer 1/4 sir k ulta masa keya,fer Ulta Moo dhoya,fer 3 baar Naak me paani deya,fer 3 baar kulli ke , fer hanth dhoae) fer Namaz me Dhakhel hue tou Bajai Takber k Farsi juban me kaha (Khuda e Barzak Ast) fer Quraan ki bazai ''Madha Mata'an'' k Farsi me kaha ''do barkh sabz'' fer bazai Sujud k Murgae ki tarah Bagair fark wa Bela itmenan k 2 toge mar leye aur Tashud pada, fer Bajai Salam k goonz maar deya Aur Namaz se Bagair Salam k Nekla Aur kaha aye Badsah ye Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki hai , Badsah ne kaha Ager es Tarah ki Namaz Imam Abu Hanifa r.al ki na hue tou May tumhe Qatal kar daluga es leye k Ayse Namaz tou Koi Sahab e deen Jaiz na rakhe ga , bas Hanfio ne Imam Abu Hanifa r.al ki es Tarah Namaz hone se Inkaar kar deya (jaise Ab vi karte hai) tou Kafal Marwazi r.al ne Hanfi Mazhab ki kitabe Talab keya , Badsah ne mangwa deye Aur ek Nasrani Alim ko Bulaya Aur usko Safaii Aur Hanfi Mazhab ki kitabe padne k Hukm deya Abu Hanifa k Mazhab ki Namaz waise he paai gaye jaisa k Kafal Marwazi r.al ne pad ker dekhaye the, tou badsah ne Imam Abu Hanifa r.al k Mazhab ko chor deya Aur Imam Safaii r.al k Mazhab ko ekhteyar kar leya.''


[Note: Aye mere Aziz Ahnaaf Ager Aap v Kafal Marwazi r.al ki Namaz k Mutaliq tasalle karna chate hai tou Masail ba hawala Mandreja jeel Number 167,168,63,54,5
5,290,294,322 ba gour mulaiza farmaye baad eske k chayye tou ye k Mesaal Sultan Mahmood k us Mazhab ko khair-baad kahe warna kam-az-kam eske khud se Tasdeeq kar de]

2-Note : yaha kisi ko kisi k Muqallid ya kisi ki pairwi nahi kahne ko kaha ja raha hai asal maksad serf baat samjhne k hai.. Hume kis tarah apne deen o dunya 2no jaha me Mohammad sallahu Alaihe wasallam k tareka ko apne jendage me nafiz karna hai yaani unhe k tareqe me 2no jaha me Qamyabi hai.. Goya wo kisi v maslak se mele hanfi,safaii,ma
laki,humbali ferke se Asal maksad Mohammadia deen ko ekhteyar karna hai na k kisi ferka parasat deen ko jaisa k aaj loog khud ko Hanfi,Safaii,Malaki,Humbali bolte hai..

Allah paak se dua hai k wo hume kahne sunne se jayada Quraan o hadees per chalna asaan farmaye.. Aameen


VIA-Imran khan salafi  ...