Thursday, May 15, 2014

NAU'JAWAAN LADKON ME ZIRYAAN (DHAAT) KI BIMAARI AUR UNKA ILAAJ (FOR BOYS)- (PART-2)





Bismillahirrahmanirraheen

NAU'JAWAAN LADKON ME ZIRYAAN (DHAAT) KI BIMAARI AUR UNKA ILAAJ (FOR BOYS)- (PART-2)


ZIRYAAN (DHAAT ROG)

Gande Khyaalaat Mede Ki Kharaabaion Aur Deegar Kai Wajuhaat Se Mani Peshaab Me Nikalni Shuru Ho Jaati Hai,

Iski 3 Sooratein Hoti Hain

1- Peshaab Se Pahle Mani Ka Nikalna

2- Peshaab Ke Baad Mani Ka Nikalna

3- Peshaab Me Mani Ka Mil Jaana Aur Nazar Na Aana

Is Marz Ke Paida Hone Ki Wajuhaat Bhi Wahi Hai Jo Ehtelaam Ke Post Me Bayan Kar Chuke Hain (Read Part -1)

Albatta Is Dono Yani Ehtelaam (Wet Dream) Aur Ziryaan (Dhaat), Khaaskar Dhaat Ki Tabaah'kaariyon Ka Zikr Karna Zaroori Samjhe Hain, Taaki Isse Bach Saken

ZIRYAAN AUR EHTELAAM KE NUQSAN:

1- Dimaagh Kamzor Ho Jaata Hai, Padhne Ko Dil Nahin Chaahta, Padhne Ke Ba'wajood Kuch Yaad Nahin Hota

2- Nigaah Kamzor Hone Lagti Hai

3- Aasaab Kamzor Ho Jaate Hain, Tarah Tarah Ke Khauff Taari Ho Jaate hain, Zara Zara Si Baat Par Ghabraahat Paida Ho Jaati Hai, Dil Dhadakta Hai Aankhon Ke Aage Andhera Aa Jaata Hai,

4- Chusti-Furti Khatm Ho Jaati Hai, Chehra Be'raunak Ho Jaata Hai, Badan Sust Aur Kamzor Hone Lagta Hai, Zara Si Mahnat Par Badan Thak Jaata Hai

5- Kisi Kaam Ko Dil Nahin Chaahta

6- Taangon Aur Kamar Me Dard Hone Lagta Hai

7- Susti Aur Udaasi Chha Jaati Hai

8- Mijaaz Me Chidchida'pan Paida Ho Jaata Hai

9- Ehsaas-kamtari Chha Jaati Hai Aur Kisi Se Aankh Milaakar Baat Karne Ka Hausla Nahin Rahta

10- Majlison Me Jaane Se Khauff Sa Mahsoos Nahin Rahta

Mani Jauhar - E - Hayaat Hai, Iske Zaaye Hone Se Zindagi Ka Chiraagh Timtimaane Lagta Hai Aur Uski Roshni Kam Hone Lagti Hai

ROOHAANI ILAAJ:

Kasrat Se Durood Shareef Padha Karen, Tauba Istaghfaar Karte Rahen, Khyaalaat Ko Saaf Rakhen, Bure Doston, Badkaar Ladkon ; Gande Literature Aur Gande Logon (Society)Se Bachen,

Saaf Suthre Rahen, Halki Ghizaayen Khaayen Aur Namaz Ki Pabandi Ke Saath Aur Quraan Majeed Ki Tilaawat Karte Rahen,

Allah Paak Se Khoob Duaayen Karte Rahen Aur Sehat Wa Tandurusti Ka Yaqeen Rakhen

MEDICAL ILAAJ:

jab Aap Din ba Din Kamzor Hone Lagen Aur Ziryaan Ki Bataayi Gayi Nishaanion Mese Kuch Nishaaniyan Apne Andar Paayen Toh Samjh Len Ki Ziryaan Ke Marz Me Mubtela Hain, Fir Aap Ye Dawaaen Istemaal Karen

1- Avena Sativa Mother Tinxture (Q) :

30ml KI ek Bottle Khareed Len Aur Usme 15-15 Katre Is Dawa Ke Chauthaayi (1/4) Glass Paani Me Milaakar Subah, Dopaher, Shaam Ko Khana Khaane Ke 20 Minute Baad Piya Karen..

20-25 Roz Tak Peene Se In sha allah Ziryaan Se Nijaat Mil Jaayegi

Yaad Rakhiye Ziryaan Aur Ehtelaam Ki Dawaayen Ek Hi Hoti Hain, Wahi Ziryaan Band Karne K Kaam Aati Hai,

Lihaaza Aap Ehtelaam Ke Post (Read Part 1) Me Likhi Gai Dawaaon Me Se Ek, 2 Ya 3 Dawaayen Ek Saath Istemaal Kar Sakte Hain

200x (Selenium 200x):

10ml Khareed Len, Iski 6 Boonden 1/4 Glass Pani Me Milaakar Din Me Sirf Ek Baar Piya Karen, 3 Din Ke Baad Hafte Me Sirf 1 Baar Piyen

12x (All Phos.12x)

Ise (Five Phos.) Bhi Kahte Hain, 20gms Khareed Len,

Natrum Mur. 12x(Nat. Mur. 12x) 30gms Khareed Len

In Dono Ki 4-4 Goliyan (Total 8 Goliyan) Milaakar Din Me 3 Baar Nahaar Muh, Dopaher Me Aur Raat Ko Sote Waqt Choos Liya Karen

Slix Nigra Mother Tinxture (Q) Ki 8 Boondein Aur Avena Sativa (Q) Ki 15 Boondein Dono Ko 1/4 Glass Paani Me Mila Len.

Ya Ek Khuraak (Doze) Din Me Piya Karen, Yah Ziryaan Ke Liya Bahut Mufeed Hai

GHUSL:

chunki Ziryaan Me Mani Lazzat Ke Saath Nahin Nikalti, Isliye Ziryaan Ki Wajah Se Ghusl Waajib Nahin Hota, Chaahe Peshaab Se Pahle Mani Khaarij Ho Ya Baad Me,

Ziryaan Ki Bimaari Ke Dauraan Namaz Padhi Ja Sakti Hai, Quraan Ki Tilaawat Ki Ja Sakti Hai,

Ziryaan Se Napaaki Paida Nahin Hoti, Albatta Kapdon Ko Peshaab Se Bachaana Zaroori Hai, Kyonki Peshaab Ka Katra Lag Jaane Se Kapda Paleed Aur Napaak Ho Jaata Hai Aur Usse Namaz Padhna Durust Nahin..

Allah Taala Logon Ko Is Bimaari Se Mahfooz Rakhen

--- Dr Asghar Ali Chaudhri

Note: Is Post Me Bataayi Gayi Dawayen HomoeoPathic Hain..

In sha allah Agle Post Me Must'zani (Hand Practice) Ke Baare Me Bayan Hoga...