Sunday, May 11, 2014

QURAN O HADEES AUR FIQAH (PART-3)


Assalamoalaikum wr wb...


Quraan o Hadees Aur  Feka e Ahnaaf (Hanfiyat)

Quraan paak se Namuna k tor per kuch Masle zekar kar deye jin me Ahnaf Quraan Sareeh Ayat k Inkaar kar rahe hai Aur apne Feka per Amal karte hai..

Aaye Ab Bukhari ki un Ahadees ki Taraf jin per Amal karna Ahnaf ko pasand Nahi , Balke wo loog Apne Aima k Aqwal ko Tarzeh dete hai..

1-Hazrat Abu huraira r.a se Rewayat hai :

''K Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya jab tum me se koi Asar ki Namaz ki 1 rekat Suraj dubne se pahle pa le tou Apne Namaz puri kar le Aur jab Fazar ki Namaz ki 1 rekat Suraj Tulu hone se pahle pa le tou apne Namaz puri kar le.''

[Sahi Bukhari,Baab-17,hadees no-556]


scan...


Ab Ahnaf Bukhari ki es hadees k ek hissa per Amal karte hai Aur ek hissa k Inkaar karte hai.

Jaisa k Imam Zaile Hanfi Nasab al rya me lekhte hai.

''Ahadees Sahi Humare Mazhab k us Qoul me Askaal paida kar rahi hai k Ager Subah ki Namaz k Doura'an Tulu ho jaye tou ayse Surat me padhe jane waali Namaz batil ho jate hai''

[Nasab Al rya , 1/229]

Doura'an Namaz Suraj Nekalne ki Wajah se Subah Namaz k Batil hone k ..

[Fatwi hasan Al Fatwi :2/131]
[Fatwa Daruloom Deoband :4/47]
[Irshad Al Karki : 1/412]

me v hai..

Scan...

2-Zaber Zasti k Talaq ye Nekah Islam me Jaiz Nahi es baare me Ek Hadees jisper Imam Bukhari r.al ye Baab band kar Nakal Farmate hai :

''Jab Baap apne Beti k Nekah kar de Aur Wo Na-pasand karte ho tou uska Nekah Mardud hai''

Hazrat Khunsa r.a jo k Bewa the Unke Walid ne Zaber jasti unka Nekah kar deya wo Rasul Allah (s.a.w) k pass aye Aap (s.a.w) ne un k Nekah ko Mardood (Batil) Karar deya.

[Sahi Bukhari , baab no-43, Hadees-5138]

scan..




Ab Ahnaaf ki soon lejye..

''Ager koi Saks Aurat per ye Dawa kar dai k ye Mere Biwi hai Aur wo Aurat Inkaar kare fer ye Saks Jhoote Gawah pess kar k Apne Hak me kaazi se Faisla le le tou Ayse Surat me uske leye Us Aurat se Jama (Hum bistri) jaiz hoga Aur us Aurat k apne Aap ko us k kabu me kardena jaiz hoga Imam Abu hanifa r.al k Najdeek ye jaiz hai Aur Abu Yusuf k Ek Qoul k mutabik v jaiz hai.''

[Fatwa Alam giri : 3/350,351]

ye Fatwa Alam giri hai ya Dada giri ye Koun sa mazhab hai..

Hadees e Rasul k Mukhalfat Faslo per Amal karne waalo Allah se Daro...

Scan...



3-Nabi Akram (s.a.w) Farmate hai :

''Jo Saks Namaz me Sureh Fatiya Nahi padta uske Namaz Nahi hote ''

[Sahi Bukhari,hadees no-756]

Scan..



Ahnaf Es Hadees k ye jawab dete hai k ye Munafird k leye hai,Muqtade k leye Nahi, Ab lejye Ahnaaf Munafird k leye v Reyat dete hai.

Sahab Hidaya lekhte hai :

''Quraan Farz Namazo me 2 rekat me Wajib hai''

[Hidaya Awalin : safa127]

Scan..


''Dusre 2 Rekat me Namazi ko Ekhteyar hai chahe tou khamosh Rahe chahe tou Qeraat kare Aur Ager Chahe tou tasbeh Kah le,Imam Abu hanifa r.al se ese tarah Rewayat keya Gaya hai''

[Hidaya Awalin : safa-128]

scan..


4-Nabi Akram (s.a.w) us Saks ko Namaz dohrane k hukm dete hai jo Ruku Etminan se Ada Na kar karah tha es Hadees ko Imam Bukhari r.al U rewayat karte hai.

''hz Abu huraira r.a rewayat karte hai k Rasul Allah (s.a.w) Masjid me Dakhil hue Ek Aur Saks v Masjid me Dakhil hua Aur usne Namaz padhe fer wo Nabi(s.a.w) k pass Aya Aur Aap (s.a.w) ko Salam keya Aap (s.a.w) ne Uske Salam k jawab deya Aur Farmaya Wapas laut ja Namaz fer padkuki tune Namaz Nahi padhe usne fer padhe Aur aap k pass Aker Salam keya Aap (s.a.w) ne Farmaya Wapas laut ja Namaz fer pad kuki tune Namaz Nahi padhe 3 martaba es Tarah hua us Admi ne kaha Allah ki Kasam jisne Aap (s.a.w) ko Hak k Sath Mbush Farmaya hai may us se Behtar Namaz Nahi pad Sakta bas Aap mujhe Namaz k Tareka Sekhaye Aap (s.a.w) ne Farmaya jab tu Namaz k leye Khara ho tou Takber kah fer jitna Mayssar ho Quraan pad fer Ruku kar Itminan k Sath fer Kahara ho Itminan k sath fer Sajda Itminan se kar fer Jalsa (2 sajdo k bich ki jagah ) Itminan se kar fer Sajda Itminan se kar Aur use Tarah saari Namaz Ada kar''

[Sahi Bukhari ,Baab-122, hadees no-793]

scan..



Ab Ahnaaf k Fatwa v Sun le... Fatwa Alam giri me hai..

''Hanfi Feka k es per Izma hai k Ruku k Qouma me Ehtedal wa Sukun ekhteyar karna Imam Abu Hanifa r.al Aur Imam Mohammad r.al k Nazdek Wajeb Nahi Aur use Tarah Jalsa (2 sajda k bech ) me Itminan v Wajeb Nahi''

[Fatwa Alam giri :1/71]

Scan..



5-Nabi Akram (s.a.w) ne Farmaya :

''Mujhe ye Hukm deya Gaya hai k may saath ( 7 ) Haddio per Sajda karu pesaani per Aur Aap (s.a.w) ne Apne Hanth se Naak ki Taraf Eshara keya 2no Hanth per 2no gutno per Aur 2no Kadmo ki Unglio per Aur ye k Kapre Aur Baal na Samete ''

[Sahi Bukhari,baab no-134, hadees no-812]

scan..



Sochye ye hukm dene wala koun Rab (Allah) k Alawa v koi ho sakta hai Allah tala k es hukm per Ahnaaf kis Tarah Amal karte hai Mulaiza Farmaye, Fatwa Alam giri me hai..

''Ager Sajdai me Hanth Aur gutno ko Jamen per Rakna Chor de tab v Namaz jaiz hoge es per Izma hai, ''

[Fatwa Alam giri : 1/70]

Soche keya es tareke se Sajda karna Mumkin hai.

Scan..



6-Abu Masood r.a se Rewayat hai.

''Rasul Allah (s.a.w) ne kutte ki kimat laoundi Aur Jaadu ger ki kamai se Mana farmaya''

[Sahi Bukhari,Baab no-113,hadees no-2237]

scan..


Ab Ahnaf ki v sun lezye , sahab hidaya lekhte hai..

''Kutte , sher Aur Darinde chahe Sadahe hue ho ya Gair Sadahe ho unke Tizarat Jaiz hai''

Note: sadahe k mtb Paaltu , pospalak ,

scan...


Fatwa Alam giri me ye v hai..

''Ager Apne Kutte ko Jabah kar le Uske Gost beche (tizrat) use Tarah apne gadhe ko Jabah kare Aur uska Gost beche Sahi rewayat k Mutabik Darindo k Gost Aur Zabah sudha Gadhe k Gost Farokht karna jaiz hai''

[Fatwa Alam giri :3/115]

scan...


7-Zafer bin Umru apne Baap se Rewayat karte hai k,

''Maine Nabi(s.a.w) ko Imame Aur Mozo per Masha karte hue Dekha''

[Sahi Bukhari, baab-48,hadees no-204,205]

Scan..



Sahab Hidaya lekhte hai :

''Imama per Masha karna Sahi jaiz Nahi''

[Hiday awalin :safa-44]

scan..



8-Imam Bukhari Apne Sahi me ye baab bandhte hai.

Jo mar jaye Aur uske jimme Roja ho, Aur Hz Aisha r.a se Rewayat Bayan karte hai

''K Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya jo Saks Mar jaye Aur Uske Jimma Roja ho tou uske Taraf se Uske Wali roza rakhe''

[Sahi Bukhari, baab no-42,hadees no-1952]

Scan..



Sahab hidaya Eska jawab u Dete hai.

''(Fout Suda ki taraf se) Uska Wali rozae na Rakhe''

[Hidaya awalin :203]

scan..



9-Imam Bukhari r.al apne Sahi me ye Baab bandhte hai.

''Bagair Taharat k Namaz kabul Nahi ki jayege''

fer Abu huraira r.a se Rewayat bayan karte hai k.

''Rasul Alla (s.a.w) ne Farmaya k Hadas karne Wale ki Namaz kabul Nahi hote Jabtak k wo Waju na kare Hazr-Mout (kisi jagah k Naam hai) se aye hue Saks ne Hz Abu huraira r.a se pucha k hadas kya hai? farmaya Hawa khariz karna ya paad Marna hai''

[Sahi Bukhari, baab no-2,kitab al waju,hadees no-135]

Scan..



Ab Ahnaaf ki v Sune , sahab hidaya lekhte hai..

''Ager Tashud me Hawa Sabkat(nekal) le jaye tou Dobara Waju kare fer Salam fere kuki Salam Ferna Wajib hai Aur Salam ferne k leye Waju jaruri hai leken Ager es Halat me jaan bujh ker Hawa khariz karde ya Guftagu Suru karde ya Namaz k Munafi kaam kare tou uske Namaz mokammal hoge''

[Hidaya awalin :110]

Scan..



**Lejye Ab Muslim Aur Dusri Ahadees ki kitabo k Kuch Masail jis ki Ahnaaf Mukhalfat karte hai..

10-Imamat k Hak daar koun hai Es bare me , Abu masood r.a Farmate hai k..

''Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya : Imamat Quraan ko Sabse jayada padne Wala kare(Quraan me Mahir ho) Ager Quraan me Sab barbar ho tou Jo Sabse jayada Sunnat ko jannta ho Ager us me v Sab barbar ho tou sabse pahle hizrat karne Wala kare Ager usme v barbar ho tou sabse Pahle Islam lane Wala(Aur ek rewayat me hai k jo Umar me sabse bara ho) Imam kare''

[Sahi Muslim , hadees no-273]

scan..


Ab Ahnaaf ki Imamat ki Sart v sun le, ibn Abedeen saami Farmate hai :

''Imam wo bane jo Acche Khalk wala Fer wo jo Khubsurat ho fer wo jo bare Hasab wala ho fer wo jo Acchi Awaz wala ho fer wo jo Khubsurat Biwi wala ho fer wo jo jayada Maal-Daar ho fer wo jo Bare Martabe Wala ho fer wo jo Nazem kapro wala ho fer wo jo Bare Sir Wala Aur Choti Azu (aza e Tanasul) wala ho.''

[Raddul Mukhtar : 1/375]

scan..


11-Allah ki Hado me se kisi Had ko khatam kar dena kisi k bas ki baat Nahi, Muslim ki ek Rewayat se us baat ki Wajahat hoti hai jaise Hazrat Aisha r.a Bayan karte hai.

''K Bani Makzum Kabile ki ek Aurat ne ne Chori ko logo ne kaha k koun uske Sefarish Nabi(s.a.w) k pass kare kaha es kaam ki Zurrat Asma r.a k elawa kisi hai kuki wo Nabi(s.a.w) k Mahbub hai, Hazrat Asma r.a jab Nabi(s.a.w) se Es bare me Guftagu ki tou Rasul Allah (s.a.w) ne Farmaya k Aye Asma keya Allah ki kayam karda Hadon me 1 had me Sifarish karte ho fer Aap (s.a.w) ne khutba deya k Aye logo ! Tum se Pahle loog ese leye Halak hue k jab un me koi bare Chori karta tha tou use choor dete the Aur Ager koi Garib ye kaam karta tou saja dete Allah ki Kasam hai k Ager Fatima bint Mohammad (s.a.w) v Chori karte tou may uske v Hanth kaat dalta''

[Sahi Muslim , hadees-1688]

scan..


Ab Ahnaaf badsah Aur Khalifa ko kitne Choot dete hai, sahab Hidaya farmate hai :

''Khalifa jo chahe kare usper koi Had Nahi hai sewai Kasas k Aur wo us se Aur uske Maal me lena jayega''

[Hidaya awlain :500]

scan..


12-Abu almeleha bin Asmat apne Walid se rewayat karte hai k.

''Rasul Allah (s.a.w) ne Darindo ki khaal k Istemal se Mana Farmaya''

[Abu-daood,hadees-4132]

scan..





Ab Ahnaaf ki raye sun le, sahab Hidaya lekhte hai..

''her khaal Daba'at se paak ho jate hai usper Namaz Aur Us k jareye Waju karna jaiz hai sewaye Admi or khinzer(Suar,pig) ki khal k''

[Hidaya Awalin: safa-24]

scan...


13- lejye ek Aur Masla jis me Ahnaaf hadees ki Mukhalfat karte hai...

Imam Abu daood ne Apne Sunan me ye baab bandhe hai.

''Jo saks Nabi(s.a.w) ko gaali deta hai uska keya hukm hai''

fer Mandreja-zeel hadees Zekar ki.

''Ibn Abbas r.a se rewayat k Ek saks Andhe ki Biwi the jo Nabi(s.a.w) ko Gaalia dete wo Use rokta Aur Da'atta Mager wo Baaz Na ate Ek Raat usne fer Nabi(s.a.w) ki huzu ki Galiya de tou uske khawind (hasbend,sohar)ne Khanzar Nekal ker uske pait per rakha Aur use dabaya Aur use Katal kar deya us k paaw (pair,leg) k darmiyan Baccha khoon me latpat ho gaya, Subah Rasul Allah (s.a.w) se zekar keya Gaya , log ekhatta hue Nabi(s.a.w) ne Farmaya jis Saks ne ye kaam keya hai use May Allah ki kasam deta hu Aur mer jo usper hak hai wo khara ho jaye tou ek Nabina (Andha) Khara hua logo ko falang raha tha Aur Dag-maga raha tha yaha tak k wo Nabi(s.a.w) k Samne baith gaya Aur kaha Aye Allah k Rasul may uska Khawind hu mere biwi Apko Gaalia nekalte huzu karte may use use rokta wo Na rukte may use Daatta tab v Baaz na Aate mere uske Badan se 2 motio jaise bacche hai wo Mere Rafik the pechle Raat usne Aap ki Huzu karne Suru ki Aur Gaalia nekalne lage maine Khanzar le ker us k pait per Rakha Aur us per Zoor deya yaha tak k may ne usko katal kar deya Nabi(s.a.w) ne Farmaya logo Gawah Rahna k uska Khoon Rayega keya gaya''

[Sunan Abu daood, hadees-4361]

Scan..



Ab Ahnaaf k Masla v Sun lejye, Farmate hai...

''Jo Zammi Zazia dene se Enkar kar de ya kisi Musalman ko Katal kare ya Nabi(s.a.w) ko Gaali de ya kisi Musalman Aurat se Zana kare tab v Us k Ahad (Zemma) Nahi tute ga''

[Hidaya Awalin :578]

scan..


  14-Imam Abu daood ne Apne Sunan me ye baab bandha..

''k Jo Saks Apne Mahram se Nekah karta hai''

Fer Mandreja zel Hadees Nakal ki.

''Bara bin Azab r.a Farmate hai Douraan tawaf me ek Kafile Walo se Mela jab wo Apne Tekana Pahuche tou usme se Ek Saks ko Bahar Nekala Aur uske Gardan ko zuda kar deya maine Uske Mutalik pucha tou Bataya gaya k usne Apne Baap ki Biwi se Nekah keya.''

[Sunan Abu daood, hadee no-4456]

Scan..



Dusre Hadees k Alfaz U hai..

''Hazrat Bara r.a kahte hai May apne Chacha ko Mela uske pass Janda tha maone Pucha kaha k erada hai? Usne kaha :Mujhe Nabi(s.a.w) ne ek Saks ki Taraf veja hai jisne Apne baap ki Biwi se Nekah kar leya Aur Aap (s.a.w) ne mujhe Hukm deya hai k may usko Katal karu Aur uska Maal cheen lu.''

[Sunan Abu daood , hadee no-4457]

Scan..



15-Hzrat Anas r.a Farmate hai :

''Rasul Allah (s.a.w) ne Sarab ko serka banane se Mutalik pucha gaya tou Aap (s.a.w) Farmaya ''Nahi''. '' (yaani Sarab k serka Nahi banaya ja sakta hai)

[Sahi Muslim jild-3, hadees no-1983]

scan..



Aaye Ab Hanfio se puche , Sahab Hidaya farmate hai.

''Ager Sarab khud ba khud Serka ban jaye ya usme Koi Chiz mela kar use Serka bana leya jaye tou koi karaheyat Nahi''

[Hidaya akhren: safa-496]

scan...



Allah Tala se Dua hai k wo hume Quraan Aur Hadees per Chalne ko toufeek ata Farmaye Aur Apas ki Ferka bandi se Mahfuz Farmaye ta k hum jahannam ki Aag se bach kar Jannat me Dakhel ho sake..

Aameen ya Rabbul Alameen...


Via--Imran khan salafi