Tuesday, June 3, 2014

NAMAZ BA'JAMAAT






✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

Namaz Ba Jamaat
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬


Hazrath ibn e Masood Radi Allahu Anhu ne farmaya ke beshak RASOOLALLAH Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein hidayat ke tariqe sikhaye
In hidayat ke Tariqon mein ye baat bhi shamil hai ke is Masjid mein Namaz ada ki jaye jismein Azan di jati hai (aur ek rivayiat mein hai inhone farmaya )agr tum Namaz apne gharon mein padhogey jaise Jamat se piche rehne wala ye Shaks apne ghar mein padh leta hai to tum apne Nabi ki sunnat chorddogey
Aur agr Nabi ki sunat chorddogey to gumrah hojaogey aur (ye baat bhi shamil hai) jab koyi shaks accha Wazoo ker ke Masjid jaye to Allah tala har Qadam ke badle ek neiki likhta hai ek darja buland karta hai aur ek burayi mita deta hai
Jamaat se siwa khule Munafiq ke koyi pichey nahi rehta .Bimar bhi do admiyon ke sahare Namaz ke liye ata hai .
(Muslim 654)
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya,
Maine ye irada kar liye tha ki Namaz ki jammaat qayam karney ka hukm dekar main khud un gharon par jauu jo namaz ke liye jamaat mein hazir nahi hotey aur unkey gharon ko jala du
Sahih Bukhari, Vol 3,2420
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸
Ahu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya,
Agar logon ko malum ho jaye ki adhan kahney aur namaz pahli saf mein parhney se kitna sawab milta hai to unkey liye Qurra dalney ke siwa aur koi chara baqi nahi rahta aur us par wo qurra andazi hi kartey aur agar logon ko malum ho jaye ki namaz ke liye jaldi aaney mein kitna sawab hai to uskey liye ek dusrey se aagey barhney ki koshish kartey , aur agar logon ko malum ho jaye ki Isha aur Fajar ki namaz ka kitna sawab hai to ghaseet-tey huye ( by crawling) aana parhta to bhi aatey
Sahih Bukhari, Vol 1, 615
*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jisney ek rakaat Namaaz (ba jamaa’t) pa li unsye (ba jama’at ka) Namaz ka sawab paa liya
Sahih Bukhari, Vol1 , # 580