Friday, June 20, 2014

SALAT E WITR KA BAYAN -(PART-2)






Bismillahirrahmanirraheem



SALAT E WITR KA BAYAN -(PART-2)

 


**Witr me Dua e Qunut Kab al Ruku (yaani Ruku se pahle padna Dua e Qunut) **

1-Qunut Witr ' Rasul Allah (s.a.w) se Serf Ruku se pahle Sabit hai, Jaisa k Hazrat Abi bin Kaib r.a se Rewayat hai :


''Beshaq Rasul Allah (s.a.w) Witr padte tou Ruku se pahle Qunut karte''.


[Sahi Ibn Maza hadees no-970,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-84 kitab Iqamat al salat hadees no-1182, Shaikh Albani ne sahi kaha hai]


2-Hazrat Asim bin Sabit r.a se Rewayat hai ' Farmate hai k Maine Hazrat Anas bin Malik r.a se Daryaft keya Dua e Qunut k bare me k 'Kabl al ruku padhe ya baad al ruku' tou Hazrat Anas bin Malik r.a ne Jawab me Farmaya ''Qabla'' yaani Ruku se pahle''.


[Bukhari jild-1 safa-136,kitab al witr hadees no-1002, Musnad Ahmed hadees no-12244,Sunan Al darmi kitab al salat hadees no-1548]


Es hadees se ye Baat wajeh ho gaye k us ''Qunut e Ratba'' ko Ruku se pahle padna he Hasan or Afzal hai , Dua e Qunut ruku k baad v padna Sahi hadees se sabit hai leken ye ''Qunut e Ratba'' Nahi hai , bakle wo ''Qunu e Na'azla'' hai.


**Kya? Qunut Witr Ruku k baad padhe ja sakte hai ? **


Ha Ruku k baad Qunut ki ja sakte hai (Mager Afzal Nahi hai) Jaisa k Kulfa e Arba wagaira k Amal se ye baat Sabit hai.


[Nil Al Awta'ar lil Sukani jild-2,safa-258

]

**Kya Qunut Witr ke leye Hanth Uthana Chayye ? **


kisi v Sahi hadees me Rasul Allah (s.a.w) se Qunut witr ke leye Hanth uthana Sabit Nahi hai . (Qunut e Ratba me ) Chunche Sunan Nishai me Hazrat Anas bin Malik r.a se Marwi hai Farmate hai :


''Rasul Allah (s.a.w) serf Namaz e Estiskha me Hanth Utha ker Dua karte the.''


[Sahi Nishai hadees no-1649,Sunan Nishai jild-1 safa-171 kitab al Estiskha baab kaifa ya rafu hadees no-1516 , Shaikh Albani r.al es hadees ko sahi kaha hai]


Note :


*Qunut e Ratba usko kahte hai jo hum Rojana Namaz Witr k Akher me Ruku se pahle pada karte hai.


*Qunut e Nazla usko kahte hai jab koi Hadsa pess Aa jaye tou Farz Namaz me Ruku k baad padha jata hai.


Qunut e Ratba Aur Qunut e Nazla Me 4 chizo me Fark hai :


1-Qunut e Ratba me Hanth Na uthane k Jekar hai


Aur Qunut e Na'azla me Hanth Uthane k jekar hai


2-Qunut e Ratba me Maksus Dua k Jekar hai.


Aur Qunut e Na'azla me Gair-Maksus Dua k jekar hai.


3-Qunut e Ratba me Ruku se pahle Dua e Qunut padne k jekar hai.


Aur Qunut e Na'azla me Ruku k baad k jekar hai.


4-Qunut Ratba 'Namaz Witr me khaas ,


Aur Qunut e Na'azla Farz Namazo me khaas.


Aap ager Sunan Abu Daood jild-1 safa-202 kitab Al witr ,baab Al Qunut fi al Witr hadees no-1426 me Gour farmaye ge tou kam-az-kam 3 jagah per ye Jarur melega k Qunut Witr Ruku se pahle hai Na k Ruku k baad.


**kya Dua e Qunut Ramzan k baad padna chayye?? **


Jo bhai es baat k Qayal hai k Ramzan al Mubaraq me Dua e Qunut Naserf Ramzan k baad pada jaye 'Aur Dalil me Abu daood ki 2 hadees (1428-1429) pess karte hai, jisme Naserf Ramzan k baad Qunut k jekar hai, Mager Afsos hai k wo 2no hadees Zaif hai , kuki Pahle hadees me Hazrat Abi bin kaib r.a se rewayat karne wale Baaz al sahab Mazul hai , aur Dusre hadees me ''Hasan Basri r.al Aur Hazrat Umar bin khattab r.a k Darmiyan Sanad me Inqita hai , Es leye 2no hadeeso se Estedaal Durust Nahi hai.


**Qunut e Witr ki Dua **


Hazrat hasan bin Ali r.a se Rewayat hai Farmate hai :


''Yaani mujhe Rsaul Allah (s.a.w) ne chand kalimat sekhaye jinhe may Witr me padha karta hu wo kalimat ye hai :


“Allaahumma ihdini feemanhadayta wa ‘aafini feeman‘aafayta wa tawallani feemantawallayt
a wa baarik li feemaa’tayta, wa qini sharra maqadayta , fa innaka taqdi wa layuqda ‘alayk, wa innahu laayadhillu man waalayta wa laaya’izzu man ‘aadayta,tabaarakta Rabbana wata’aalayta .''

''Wa Sallal lahu alan Nabi''


''Wa Sallal lahu alan Nabi'' padne k Sawab (Sahi ibn khuzaima 110) me Hazrat Abi bin Kaab r.a se Sabit hai, k wo Hazrat Umar bin kattab r.a k Dour me Mahe-Ramzan me Qayam al lail karte Aur Qunut me Rasul Allah (s.a.w) per Darood padte the, yaani ''Wa Sallal lahu alan Nabi'' kahte the.


''wa innahu laayadhillu man waalayta'' k Baad '' wa laaya’izzu man ‘aadayta'' k Alfaz Sunan Bahqi ki rewayat me hai.


[Sunan lil Bahqi jild-2 safa-209]


[Ref : Narrated by Abu Dawood,1213; al-Nasaa’i, 1725; classedas saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].


**Witr k Salam k baad ki Dua**


Hazrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki RasoolAllah (s.a.w) witr se salaam fer kar teen baar ye padhte- “Subhan-al Malikil Quddus” yaani paak hai Badsha 'Nehayat Paak.


[Sunan Abu Daud jild-1 safa-202, kitab al witr hadees no-1218,1430 , Ibn Hibban hadees no-677, Shaikh Albani r.al se ese sahi kaha hai]


Namaz e witr bayan..


http://m.youtube.com/watch?feature=related&v=erMIljDN2zw&rl=yes&hl=en-GB&client=mv-google&gl=IN&guid


http://m.youtube.com/watch?feature=related&rl=yes&v=iiZj1tFOyOk&client=mv-google&gl=IN&hl=en-GB&guid
Via- Imran khan salafi