Sunday, June 8, 2014

WUZU SE BULAND DARJAAT


 
 
 
 
✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿

*** Bismillah hir-Rahman nir-Rahim ***

WUDU SE BULAND DARJAAT
▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬

RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ne farmaya, "Wudu Aadha iman hai".

(Sahih Muslim 223)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Hazrath Abu Hurariah Radi Alllahu anhu se riviyiat hai ke Maine apne Habib muhamad sallAllahu alaihi wasallam ko ye farmate hwey suna

Jannat mein Momin ka Zewar (noor)wahan tak pahunchega jahan tak Wudu ka paani pahunchega .

(Muslim Hadees 250)
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki

Meri ummat ke log Wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)

(Sahih Bukhari, Vol 1, 136)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain

(Sahih Muslim, Vol1, 578)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

RASOOLALLAH sallAllahu alaihi wasallam ne farmaya,

" Jis waqt Banda Momin Wudu shuru karta hai phir Kulli karta hai to iske Moonh ke Gunah nikal jate hain

Phir jis waqt Naak jhaadta hai iske Naak k gunah nikal jate hain

Phir jis waqt Cehra dhota hai iske Cehre k Gunah nikal jate hain yahan tk k iski Ankhon ki palkon ke neche se bhi gunah nikal jate hain

Cehra dhote waqt gunah dadhi k kinaron se bhi girte hain

Aur jis waqt wo hath dhota hai to iske dono hathon se gunah nikal jate hain yahan tak k dono hathon ke naquno ke niche se bhi nikal jate hain

Phir jis waqt masa karta hai to iske sar ke gunah nikal jate hain

Phir jis waqt paao dhota hai to iske dono pao se gunah nikal jate hain yahan tak k dono paao ke naquno ke niche se bhi nikal jate hain

Phir jab isne namaz padhi Allah ki tarif sana wa buzrugi bayan ki aur apna dil Allah ki yad ke liye farigh kiya to gunahon se is tarha laotta hai jaisee wo us din paak tha jab uski Maa ne Jana tha ".

(Muslim Hadees 832)

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Abdullah bin umar Radi Alllahu Anhuma se rivayat hai AbuGhutayf al-Hudhali ne kaha ki Main Abdullah bin umar radi ALLAHhu anhu ke pass tha jab Duhar ki adhan huyee to unhoney Wudhu kiya aur namaz parhaayee iskey baad Asar ki Adhan huyee to unhoney Dobara Wudhu kiya mainey unsey pucha to unhoney kaha ki RASOOLLALLAH Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo koi Wudhu par Wudhu kareyga uskey liye 10 nekiyan likh di jayegi

Sunan Abu Dawud, Vol 1, 62

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Hazrat Usman Radi Allahu Anhu ne wudhu kiya to farmaya Main tumko EK hadith Sunata hu Agar Quran paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti to main ye Hadith tumko na sunata , Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

'Jab bhi koi Achchi tarah wudhu karta hai to aur namaz parhta hai to uskey ek Namaz se Dusri namaz ke parhney tak ke Gunaah Maaf kar diye jaatey hain".

(Sahih Bukhari, Vol 1, 153)

Urwah Radi allahu anhu kahtey hain wo ye Aayat ye hai “Jo log Allah ki us Nazil ki huyee Hidayat ko Chupatey hain jo usney logon ke liye Apni kitab mein bayan ki hai , Un Par Allah ki Laanat hai aur (Dusrey) Laanat karney walon ki laanat hai”

( Al Quran , Al Baqrah : 159)