Bismillahirrahmanirraheem
SAHABA (RA) KA HARAM'KHORI SE BACHNA- HALAL WA HARAM KA BAYAN:
Hz Abu Bakr (Ra) Ka Ek Ghulaam Tha Jo Unko Kama Kar Diya Karta Tha,
Chunanche Hz Abu Bakr (Ra) Uski Kamaayi Khaaya Karte They,
Ek Din Wah Koi Cheez Laaya, Hz Abu Bakr (Ra) Se Use Tanawal Kiya,
Tab Ghulam Ne Unse Kaha
"Aapko Malum Hai Ye Kya Tha ?"
Hz Abu Bakr (Ra) Ne Daryaaft Kiya, Ye Kya Tha?
Usne Bataya
"Maine Jahiliyat Me Kisi Insaan Ke Liye Kahanat Ki Thi Aur Main Kahanat Me Maahir Na Tha Bas Maine Usse Dhoka Kiya Tha, Wah Shakhs Mujhse Mila Usne Mujhe Ye Maal Diya, Chunanche Us Maal Se Aapne Tanawal Kiya Hai"
Hz Aisha (Ra) Bayan Karti Hain Ke Hz Abu Bakr (Ra) Ne Apna Haath (Muh) Me Daakhil Kiya Aur Pet Me Maujood Har Shayy Ki Qay (Vomiting) Kar Di (Kyonki Kahanat Haram Hai Aur Usse Haasil Hone Waala Maal Bhi Haram Tha)
(Sahih Bukhari Kitab Manaqib Al Ansaar, Bab Ayyam Ul Jahiliyyah)
HARAM'KHOR KI DUA QUBOOL NAHIN HOTI:
Hz Abu Hurairah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Rasoollullah (Sws) Ne Farmaya
"Aiy Logon Be'shaq Allah Tala Paak Hai Aur Sirf Paak Cheezon Ko Hi Qubool Karta Hai, Aur Bila'shubah Allah Tala Ne Momino Ko Bhi Wahi Huqm Diya Hai,
Chunanche Allah Ka Irshad Hai
"Aiy Rasoolon ! Paakeeza Ashya Se Khao Aur Nek Amal Karo, Yaqeenan Main Jaanta Hoon Jise Tum Karte Ho,"
Aur (Ek Dusre Maqam par Farmaya Ke)
"Aiy Imaan waalon ! Paakeeza Rizq Mese Khao Jo Hamne Tumhe Diya Hai"
Fir Aap (Sws) Ne Ek Aise Aadmi Ka Zikr Kiya Jo Lamba Safar Karta Hai Uske Baal Pur'ganda Hain, (Jism) Ghubaar Aalood Hai, Wah Aasmaan Ki Taraf Apne Haath Failaata Hai (Aur Kahta Hai Ke)
"Aiy Mere Rabb ! Aiy Mere Rabb ! Aiy Mere Rabb !"
Lekin Uska Khaana Bhi Haram Hai, Uska Peena Bhi Haram Hai, Aur Uska Libaas Bhi Haram Hai Aur Use Ghiza Bhi Haram Di Jaati Hai Toh Uski Dua Kaise Qubool Ki Jaaye"
(Muslim 1015 Kitab Uz Zakaat, Tirmizi 2989 Kitab Tafseer Ul Quran, Ahmad 7356)
HARAM MAAL SE SADQAH QUBOOL NAHIN HOTA:
Jaisa Ke Saabiqa Hadith Me Hai Ke
"Allah Tala Paak Hai Aur Sirf Paakeeza Cheezon Ko Hi Qubool Karta Hai"
Iske Elawa Ek Dusri Riwayat Me Hai
"Taharat Ke Be'ghair Namaz Qubool Nahin Ki Jaati Aur Na Hi Khyaanat (Chori, Ghasab Etc) Ke Maal Se Sadqah Qubool Kiya Jaata Hai"
(Muslim 224 Kitab Ut Taharah, Tirmizi 2989 Kitab Ul Tafseer Quran, Ahmad 8356)
In Riwayat Ki Ru Se Haram Maal Se Kiya Hua Hajj, Qurbani Aqeeqah, Masjid Ya Madarse Ki Taameer Aur Deegar Koi Bhi Neki Ka Kaam (Jo Haram Maal Se Kiya Jaaye) Qubool Nahin Hoga Aur Na Hi Uska Koi Ajr Milega
"Sadqah, Hajj, Ya Neki Ke Kisi Bhi Kaam Me Sirf Pakeeza Kamayi Hi Se Kharch Karna Chahiye Kyonki Allah Tala Sirf Paakeeza Cheez Hi Qubool Karta Hai"
(Saudi Fatawa Commettee)
"Dil Ki Safaayi Aur Dua Wa Ibaadaat Ki Qubooliyat Me Halal Khaane Ka Gahra Asar Hai Kyonke Haram Khaane Se Na tOh Dua Qubool Hoti Hai Aur Na Hi Koi Dusri Ibaadat"
(Majmua Al Fatawa 23/27 Shaikh Ibn Baaz Rh)....