Sunday, September 21, 2014

ISLAM KO DAHSHAT GARD SE JODNE WAALE ISE ZAROOR PADHENI






Islam Se Dahshat-Gardi ka naam Jodne wale, Isy Zarur Padhen

IsLam Hame bade SabR aur Bardasht ki TaLeem Deta hai, Aur Zalimo ke bahot se Zulm Allah ki Raza ke Liye kafi had tak Bardasht kar Lene ki TaLeem Deta hai, Aur agar Ham maaf kar Paayn to Hame Zulm ka IntQam lene ki BajaaY Zalim ko Maaf kar Dene ki Taaleem AlLah ne Quran e Pak me Di hai

“Buraai ka badla waisi he burai hai lekin Jo Maaf kar de aur Sudhaar kare to uska Badla AlLah ke zimme hai, BeshaQ wo zalimo ko Pasand nahi karta” (Quran, 42:40)

“Bhalaai aur Buraai ek Jaise nahi hain, Tum badi ko apne bhale Sulook se door kar do, Phir kya Dekhoge ki jis Shakhs aur tumhare beech Dushmani thi unme aisa ho jaayega Jaise koi Pakke Dost hote hain” (Quran 41:34)

“Maaf karne ki neeti apnaao aur Bhalaai ka hukm dete raho, aur Jahilana aadat walo se kinara-kashi Ikhtiyar karo” (Quran, 7:199)

“Hamne to aasmano aur zameen ko, aur jo kuch unke Beech hai ek Maksad se Paida kia hai, aur wo Qayamat ki ghari to zarur he aane wali hai . Isliye tum acchi Tarah Darguzar (maaf krne) se kaam Lo” (Quran, 15:85)

“Wo log Jo khush-haali aur Tang-haali har haal me [ mohtajo ki madad ke liye ] kharch karte hain aur apne Gusse pe kaabu rakhte hain aur logo ko maaf kr dia karte hain . . . Aur Allah ko bhi aise log Pasand hain Jo acchhe se acchha kaam karte hain” (Quran, 3:134)

.

To Is tarah Allah ne Maafi ko he Uncha Darja dia hai, Lekin Jab Zulm Bardasht ki had se Badh Jaay, aur Haiwaniyat ban jaay, To Zalim ke Zulm ka waisa he badla lene ki AlLah ne hame IJazat di hai us se zyada nahi !

Rahe wo Log Jo Jihaad Fe-Sabi-Lillah ko aatankwad se Jodte hain Wo Zara Nabi Sallallaho alaihe Wasallam ki ye Hadith dekhen
Huzur Sallallahu Alaihi WAsallam ne irshad farmaya ki “sabse afzal jihad yeh hai ki tum apne nafs (ki buraai) ke khilaf Allah ki khatir kashmakash karo”

[Sahih Ibn Hibban, Kitab as Siyar, Baab Fadlil Jihaad Hadees 4725]

Zahir hai Jab Muslim Jihad ki sochega to pahle apni Buraaiyo ko khatm krega Aur uske baad wo kisi aur Pe Zulm karne ki baat bhi nahi Soch Sakega