Wednesday, September 3, 2014

MAAP-TOL (WEIGHING) ME KAMI SE BACHNA CHAHIYE:

Bismillahirrahmanirraheem

TIJARAT KI FAZEELAT AUR CHAND ADAAB (MANNERS OF BUSINESS)-- PART-4


MAAP-TOL (WEIGHING) ME KAMI SE BACHNA CHAHIYE:

1-Allah Tala Ka Irshad Hai

"Halakat Hai Maap Tol Me Kami Karne Walon Ke Liye, Ke Jab Logon Se Maap Kar Lete Hain Toh Poora Poora Lete Hain, Aur Jab Unhe Maap Kar Ya Tol Kar Dete Hain Toh Kam Kar Dete Hain, Kya Unhe Apne Marne Ke Baad Jee Uthne Ka Khyaal Nahin, Us Azeem Din Ke Liye, Jis Din Sab Log Rabbul Aalaameen Ke Saamne Khade Honge"

(Surah Mutaffiffeen 1-6)

2- Hz Ibn Abbas (Ra) Se Riwayat Hai Ke

"Jab Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Madeena Tashreef Laaye Toh Log Maap Tol Ke Maamle Me Intehaai Khabees They, Toh Allah Tala Ne Ye Aayat Naazil Farma Di

Maap Tol Me Kami Karne Walon Ke Liye Halakat Hai

Toh Uske Baad Logon Ne Maap Tol Ko Intehaai Accha Kar Liya"

(Hasan : Sahih Targheeb 1760 Kitab Ul Buyu, Ibn Majah 2223, Ibn Habban 4898, Baiheqi )

3- Hz Ibn Abbas (Ra) Farmate Hain Ke

"Jis Qaum Me Khyanat Zaahir Ho Jaati Hai Allah Tala Unke Dilon Me Ru'aab Daal Dete Hain, Jis Qaum Me Zina Fail Jaata Hai Unme Amwaat Ki Kasrat Waqe Ho Jaati Hai, Aur Jo Qaum Maap Tol Me Kami Karti Hai Allah Tala Unse Rizq Ko Kaat Dete Hain, Jo Qaum Be'ghair Haq Ke Faisla Karti Hai Unme Qatal Aur Khoon'rezi Fail Jaati Hai, Aur Jo Qaum Ahad (Agreement) Todh Deti Hai Unpar Dushman Ko Musallat Kar Diya Jaata Hai "

(Hasan Lagheerah : Sahih Targheeb 1726 Kitab uL Buyu,)

4- Hz Ibn Umar (Ra) Se Marwi Ek Riwayat Me Hai Ke Aap (Sws) Ne Farmaya

"Jo Qaum Maap Tol Me Kami Karti Hai Wah Qahat (Drought) Se Do Chaar Kar Di Jaati Hai"

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1761 Kitab Ul Buyu, Ibn Majah 4019, Baiheqi Fi Shoebul Iman 3314)

KAROBAR (BUSINESS) ME FAYYAZI SE KAAM LENA CHAHIYE:

1- Hz Jabir Me Abdullah (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

" Allah Tala Aise Shakhs Par Rahem Kare Jo Bechte Waqt Aur Khareed'te Waqt Aur Taqaza Karte Waqt Fayyazi Aur Narmi Se Kaam Leta Hai"

(Bukhari 2076 Kitab Ul Buyu, Ibn Majah 2203)

Jame Tirmizi Ki Riwayat Me Ye Lafz Hain

"Allah Tala Ne Tumse Pahle Logon Me Se Ek Aadmi Ko Bakhs Diya Wah Jab Bechta Tha Aur Jab Khareed'ta Tha Aur Jab Takaza Karta Tha Toh Narmi Se Pesh Aata Tha"

(Sahih Targheeb 1742, Kitab Ul Buyu, Tirmizi 1320)

3- Hz Usaman (Ra) Se Riwyat Hai Ke Aap (Sws) Ne Farmaya

"Allah Tala Ne Ek Bande Ko Jannat Me Daakhil Kar Diya, Wah Shakhs Khareed'te Waqt, Farokht Karte Waqt, Faisla Karte Waqt, Taqaza Karte Waqt Narmi (Aur Fayyazi) Se Pesh Aata Tha"

(Hasan Lagheerah : Sahih Targheeb 1743 Kitab Ul Buyu, Nisai 7/319, ibn Majah 2202)

DIN KE IBTEDAAI (SHURU'AATI) HISSE ME TIJAARAT KI KOSHISH KARNI CHAHIYE:

Hz Shakhar Bin Wada'a Ghamidi (Ra) Se Riwayat Hai Ke Nabi E Akram (sws) Ne Farmaya

" Aiy Allah Meri Ummat Ki Subahon Me Barkat Ata Farma "

Aur Aap (Sws) Jab Koi Dasta Ya Lashkar Rawaana Karte Toh Din Ke Ibtedaai Hisse Me Rawana Karte They"

Hz Shakhar (Ra) Ek Tajir They Wah Apni Tijaarat (Ka Saamaan) Din Ke Ibtedaai Hisse Me Rawaana Kiya Karte They Toh Wah Ameer Ho Gaye Aur Unke Maal Me Izaafa Ho Gaya

(Sahih Lagheerah : Sahih Targheeb 1693 Kitab Ul Buyu, Abu Dawood 2606, Tirmizi 1212, Ibn Majah 2236, Ibn Habban 2735)...

To Be Continued...