Monday, October 20, 2014

HZ SAAD BIN MALIK KA WAQYA

Hz Saad Bin Malik (Ra) Ka Waqya

Hz Saad Bin Malik (Ra) Farmate Hain K


"Main Apni Maa Ki Bahut Khidmat Karta Tha Aur Unka Ita'at Ghuzar Tha, Jab Allah Ne Meri Islam Ki Taraf Hidayat Ki To Meri Walida ,Mujhpar Bahut Bigadi"

Aur Kahne Lagi

"Bacche Ye Naya Deen Kahan Se Nikal Liya H!

Suno ! Main Tumhe Huqm Deti Hun K Is Deen Se Dast'bardar Ho Jao Warna Main Na Khaungi Na Piyungi Bhooki Mar Jaungi"

Maine Islam Ko Na Chhoda, Meri Maa Ne Khana Peena Tark Kar Diya Aur Charon Taraf Se Log Mujh Par Awaazen Kasne Lage K Ye Apni Maa Ka Qaatil Hai,

Mera Dil Bahut Tang Hua, Maine Apne Waalidah ki Khidmat Me Baar Baar Arz Kiya, Khushamaden Ki Aur Samjhaya Ki Allah Ke Liye Apni Zidd Se Baaz Aa Jao, Ye Toh Na Mumkin Hai Ke Main Nabi (Sws) KO Chhod Dun,,

Isi Bahes Me Meri Walidah Par 3 Din Ka Faaqa Ghuzar Gaya Aur Uski Haalat Bahut Kharaab Ho Gayi, Toh Main Uske Paas Gaya Aur Kaha

" Meri Acchi Ammi Jaan Suno ! Tum Mujhe Meri Jaan Se Zyada Azeez Ho, Lekin Mere Deen Se Zyada Aziz Nahin Ho
Wallah ! Ek Nahin Tumhari Ek Sau (100) Jaane Hon Aur Isi Bhook Pyaas Me Ek Ek Karke Sab Nikal Jaayen, Toh Bhi Main Aakhiri Lamhe Tak Is Sacche Deen E Islam Ko Nahin Chhodunga

Wallah ! Nahin Chhodunga"

Ab Meri Maa Mayoos Ho Gayi Aur Khana Peena Shuru Kar Diya

(Tasfeer Ibn Kathir Jild 4, Sahih Islami Waqeyaat Page 61-62)

#Islamicleaks
#UmairSalafiAlHindi