Friday, October 24, 2014

KYA TUM QAYAMAT KE DIN MERA BOJH UTHAAOGE ??? (HZ UMAR BIN KHATTAB)





Bismillahirrahmanirraheem

KYA TUM QAYAMAT KE DIN MERA BOJH UTHAAOGE ???


Hz Umar Bin Khattab (Ra) Ke Ghulam Hz Aslam Bayan Karte Hain

Sayeedena Hz Umar Farookh (Ra) Harah Ki Taraf Nikle, Main Unke Saath Tha,

Jab Ham Madeena Se 5 Km Ke Faasle Par Maujood "Saraar" Nami Jagah Par Pahunche Toh Hamne Dekha Ke Aag Roshan Hai,

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Farmaya

"Aslam ! Mera Khyal Hai Yahan Raat Ki Taareeki Aur Sardi Ke Sabab Koi Kaafila Ruka Hua Hai, Mere Saath Chalo"

Fir Ham Taqreeban Bhaagte Hue Us Kaafile Ke Qareeb Pahunche, Hamari Nazar Ek Aurat Par Padi Jiske Saath Us Aurat Ke Bacchhe Bhi They, Aag Jal Rahi Thi, Us Par Hadiya Chadhi Hui Thi Aur Bachhe Bhook Se Chilla Rahe They,

Ye Manzar Dekh Kar Hz Umar Farookh (Ra) Aage Bade Aur Farmaya

" Aiy Roshni Walon ! Tum Par Salamati Ho"

sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Unhe "Aag Walon" Kahne Se Parhez Kiya, Kyonki "Aag Walon" Ahle Jahannum Ke Liye Bhi Bola Jaata Hai,

Us Aurat Ne Jawab Diya

"Walaikum As Salam"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Ijaazat Maangi Aur Farmya

"Kya Main Qareeb Aa Sakta Hoon ?"

Us Aurat Ne Jawab Diya

"Acchi Niyat Se Aage Badho Warna Door Raho"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Qareeb Hue Aur Daryaaft Farmaya

"TumHara Kya Haal Hai ??"

Aurat Ne Jawab Diya

"Ham Andheri Raat Aur Sardi Ki Wajah Se Yahan Thahre Hain"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Poocha

"Ye Bacche Kyon Ro Rahen Hain ??"

Aurat Boli:-"Bhook Ki Wajah Se"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Farmaya

"Is Handiya Me Kya Hai ??"

Usne Kaha :-"Sirf Paani Hai, Maine Dikhaawe Se Un Bacchon Ko Dilaasa De Rahi Hoon Taake Ye Khamosh Ho Jaayen Aur So Jaayen, Hamare Aur Ameer Ul Momineen H Umar Ke Darmiyaan Allah Faisla Karega"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Farmaya

"Allah Tala Tujhpar Rahmat Farmaaye, Bhala Umar Ko Tumhari Kya Khabar ??"

Aurat Ne Kaha :-"Hamare Khaleefa Hokar Unhe Hamari Khabar Kyon Nahin ??"

Ye Sunkar Sayyedena Umar Farookh (Ra) Meri Taraf Palte Aur Farmaya

"Aslam Aao Mere Saath Chalo !"

Ham Daudhte Hue Aaye, Aate (Flour) Ke Godaam Me Gaye, Unhone Aate Ka Ek Toda Nikaala Aur Ek Bada Dibba Ghee Aur Kuch Samaan Khurd'nosh (Khane Peene Ka Samaan) Pakda,

Fir Mujhse Farmaya

"Ise Meri Pusht Par Laado"

Maine Arz Kiya

"Aap Mujhe Uthaane Den"

Ye Sunkar Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Farmaya

"Kya Qayamat Ke Din Bhi Tum Mera Bojh Uthaoge ??"

Maine Dono Cheezein Unki Kamar Par Laad Din,

Fir Ham Dono Tez Tez Qadamon Se Chalte Hue Dobara Wahan Pahunche, Aata Aur Ghee Dono Cheezein Us Aurat Ke Saamne Rakh Di,

Fir Kuch Aata Nikaala Aur Farmaya

"Aiy Khatoon ! Tu Aata Saaf Kar, Maine Tere Liye Ghee Aur Aate Ke Aameze Se Hareerah Banaata Hoon"

Fir Sayyedena Umar Farookh (Ra) Handiya Ke Neeche Phoonken Maarne Lage,

Maine Dekha Ke Dhuwen Ke Margole Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ki Dadhi Se Baaher Aa Rahen They,

Unhone Unke Liye Sab Kuch Pakaaya, Fir Handiya Chooleh Se Utaar Li Aur Khatoon Se Farmaya

"Tumhare Paas Koi Bartan Hai Toh Laao"

Wah Bartan Laayi, Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Wah Khana Bartan Ne Daala Aur Farmaya

"Main Yah Khana Thanda Karne Ke Liye Phailaata Hoon, Tum Bacchon Ko Khilaana Shuru Karo"

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Musalsal Khana Failaate Rahe Aur Bacchhe Khaate Rahe Hatta Ke Wah Sab Khoob Sair Ho Hogaye,

Sayyedena Umar Farookh (Ra) Ne Baaki Khana Khatoon Ke Paas Wahin Chhod Diya,

Fir Wah Aur Main Wahan Se Waapas Aa Gaye, Waapas Aate Waqt Us Khatoon Ne Kaha

"Allah Ke Bande ! Allah Aapko Jaza E Khair De, Maujooda Ameer Ul Momineen Ki Jagah Agar Aap Khaleefa Hote Toh Bahut Accha Tha"

Ameer Ul Momineen Hz Umar Farookh (Ra) Ne Kaha

" AIy Allah Ki Bandi ! Zabaan Se Acchi Baat Nikaal, Jab Tu Ameer Ul Momineen Ke Paas Jayegi Toh InshaAllah Mujhe Bhi Wahin Paayegi"

Fir Sayyedena Hz Umar Farookh (Ra) Kuch Door Hate, Dobara Unki Taraf Palte Aur Oont Me Baith Gaye, Maine Arz Kiya

"Kya Ab Aapko Aur Koi Masroofiyat Nahin ??"

Unhone Mujhe Koi Jawab Na Diya,

Maine Dekha Ke Bacche Aapas Me Khel Kood Rahe Hain Aur Kushti Me Mashroof Ho Gaye Hain, Fir Wah Sukoon Se So Gaye,

Ab Sayyedena Umar Farookh (Ra) Wahan Se Uthe Aur Meri Taraf Mutawajjoh Hue Aur Farmaya

"Aslam ! Bhook Ne Unki Neend Uda Di Thi Aur Rone Par Majboor Kar Diya Tha, Mera Jee Chaha Ke Main Us Waqt Tak Waapas Na Jaun Jab Tak Unke Is Itminaan Ka Mushaheda Na Kar Lun, Jo Tumne Abhi Dekha Hai"

(Al Kamil Fi Tareekh 2/214)

#UmairSalafiAlHindi
#Islamicleaks