Wednesday, October 29, 2014

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-2)





Bismillahirrahmanirraheem

SHIA AUR AHLE BAYT KI MUKHALIFAT- (PART-2)


Is Bahes Se InShaAllah Ye Baat Khul Kar Saamne Aa Jaayegi Ke Shia Ka Ahle Bayt Se Aur Ahle Bayt Ka Shia Se Kya Talluq Hai ??

Hamare Chauthey 4th Khaleefa Hz Ali (Ra) Jo shia Ke Nazdeek Unke Pahle Masoom Imam Aur Ahle Bayt Ke Sar'barah Hain, Tamam Sahaba Kiram (Ra) Ka Zikr Karte Hue Unki Intehaayi Taareef Karte Aur Unki Madah Wa Sana Me Kahte Hain

"Maine Muhammad Sallalahi Alaihi Wasallam Ke Saathion Ko Dekha Hai, Mujhe Tum Me Un Jaisa Koi Nazar Nahin Aata, Wah Subhein Karte They Toh Pur'gandah Wa Pareshaan, Raatein Ghuzaarte Toh Sajda Wa Qayaam Me Apne Peshaanion Aur Khasaron Ko Sajda Me Jhukaaye Hue, Khade Hain Toh Apni Aakhirat Ki Yaad Me Patthar Ki Tarah Saakit !

Sajde Me Jaate Toh Lambe Lambe Sajdon Ki Wajah Se Yun Lagta Jaise Patthar Ki Koi Chattan Unke Saamne Hai,

Jab Allah Ko Yaad Karte Toh Unki Aankhon Se Aansuon Ki Jhadiyan La Jaati, Aur Unke Daaman Tak Tar'batar Ho Jaate,

Azaab Ke Darr Aur Sawaab Ki Ummeed Me Yun Jhukte Aur Be'qaraar Muztar Rahte They Jaise Tezz Aandhiyon Aur Jhakado Me Darakht Hilte Hain"

(Nahjatul Balagha Pg 143 Matbua Darul Kitab Berut)

Ye Ahle Bayt Ke Sarbaraah Hain Jo Nabi E Akram (Sws) Ke Saathion Ki Tareef Kar Rahen Hain , Apne Us Giroh Aur Saathion Par Unhe Tarjeeh De Rahe Hain Jisne Jungon Aur Ladaiyyon Me Unka Saath Chhod Diya, Dushman Ke Saath Muqaabla Ka Waqt Aaya Toh Buzdili Ka Suboot Diya Aur Sarbaraah E Ahle Bayt Ko Akela Chhod Kar Alag Ho Gaye,

Aap (Ra) Unke Aur Rasoollullah (Sws) Ke Saathion Ke Darmiyaan Mawazaanah Karte Hue Kahte Hain

"Ham Rasoollullah (Sws) Ke Saath They, Apne Baapon, Beton, Bhaiyyon Aur Chachaon Ko Qatal Karte They, Isse Hamare Imaan Wa Yaqeen Me Izaafa Hota Tha, Chand Luqmon Par Ghuzaara Karte Aur Dukhon Aur Pareshanion Me Sabr Karte They, Dushman Ke Saath Poori Koshish Se Jihaad Karte, Hamara Aur Dushman Ka Aadmi 2 Saandon Ki Tarah Ek Dusre Par Hamla Karte Aur Jhapat'te They,

Dono Ek Dusre Ko Maut Ka Pyala Pilaana Chaahte They, Kabhi Dushman Ham Par Ghalib Aa Jaata Aur Kabhi Ham Dushman Par Ghalib Aa Jaate,

Jab Allah Ne Hamari Sachhayi Dekhi Toh Hamare Dushmano Par Zillat Wa Ruswayi Aur Ham Par Fatah Wa Kaamraani Naazil Ki, Hatta Ke Islam Khoob Mustahkam Ho Gaya, Aur Mulkon Me Fail Gaya,

Meri Jaan Ki Qasam Agar Ham Wah Karte Jo Tum Karte Ho Toh Deen Harghiz Pukhta Na Hota Na Hi Imaan Me Pukhtagi Aati,

Khuda Ki Qasam Ham Dhoodh Duhte Toh Khoon Nikalta Aur Nadaamat Wa Pareshaani Ham Par Taari Rahti "

(Nahjatul Balagha page 91-92 Matbua Berut)

Apne Munaafiq Aur Dhoke Baaz Giroh Ke Muqaabil Unka Zikr Karte Hain Aur Unke Chale Jaane Par Afsos Ke Aalam Me Kahte Hain

"Kahan Hain Wah Jinhe Islam Ke Liye Pukaara Gaya Toh Unhone Labbaik Kaha, Quran Padha Toh Uske Mutaabik Sab Kuch Kiya ??

Unhe Jung Ki Taraf Chalne Ko Kaha Gaya Toh Yun Be'taab Na Daude Jaise Oontni Apne Bacche Ki Taraf Daudhti Hai,

Talwaaron Ko Mayaano Se Kheench Liya Aur Zameen Ke Atraaf Wa Kanaaf Ko Saf Ba'saf Ho Kar Gher Liya, Kuch Maare Gaye, Kuch Bach Gaye, Na Zinda Bach Jaane Waalon Ko Mubarak Baad Dete Aur Na Marne Walon Ki Taaziyat Karte,

Wah Jinki Aankhen Bahut Rone Se Kamzor Ho Gayi, Roze Rakhne Se Pet Khaali Ho Gaye, Dua Maang Maang Kar Hont Khusak Ho Gaye, Raaton Ko Be'daar Rah Kar Unke Rang Peele Ho Gaye,

Unke Chehron Par Allah Se Darne Waalon Ka Noor Tha, Wah Chale Jaane Waale Mere Bhai They,

Hamen Haq Hai Ke Unke Shifa E Mushtaq Hon Aur Unke Faraaq Aur Judaayi Me Apne Haath Kaat Khaayen"

(Nahjatul Balagha Page 177-78 Matbua Berut)

Hz Mu'awiya Bin Abu Sufyaan Ke Jawab Me Muhajir Sahaba (Ra) Ki Taareef Karte Hue Kahte Hain

"Sabqat Le Jaane Waale Apni Sabqat Ki Wajah Se Falaah Wa Kaamraani Ko Pahunche Aur Sabse Awwal Hijrat Karne Waale Fazeelat Ko Paa Gaye"

(Nahjatul Balagha Page 383)

Mazeed Farmaya

"Aap Jaante Hain Ke Muhajireen Me Khair E Kaseer Hai, Allah Unko Bahtareen Jaza De"

(Nahjatul Balagha)

Isi Tarah Nabi E Akram (Sws) Ke Ansaar Sahaba (Ra) Ki Ye Kah Kar Tareef Karte Hain Ke

"Ba'khuda Islam Unki Daulat'mandi Ki Wajah Se Is Tarah Fala Foola Jaisa Bachhda Falta Foolta Hai, Unki Zabaane Faseeh Aur Haath Pur'quuwat Hain"

(Nahjatul Balagha Page 557)

Sahaba Kiram (Ra) Ki Be'had Tareef Wa Tauseef Karte Hue Apne Saathion Ka Aur Hz Muawiya (Ra) Aur Ansaar E Sahaba (Ra) Ka Mwazanah Ye Kah Kar Karte Hain

"Amma Baad ! Ba'khuda Shahron Me Tumhare Shahr Waaln Ki Tadad Arab Me Ansar Ki Tadaad Se Bahut Zyada Hai, Rasoollullah (Sws) Ne Arab Ko Jo Bhi Huqm Diya Wah Usse Baaz Rahe, Yahan Tak Ke Nabi E Akram (SWS) ne Khuda Ke Tamam Ahkamaat Pahuncha Diye

Siwaaye 2 Qabeelon Ke Jo Ek Chhoti Si Jagah Me Paida Hue, Na Wah Arab Me Sabse Bade Aur Na Tadad Ke Lihaaz Se Kaseer Hain, Unhone Nabi (sws) Ki Aal, Aur Aap (Sws) Ke Saathion Ko Panaah Di, Aur Allah Aur Uske Deen Madad Ki, Arab Ne Unhe Ek Hi Kamaan Se Teer Maare, Yahoodi Bhi Unke Haleef Ho Gaye, Yahoodion Aur Sab Qabail, Ek Ke Baad Ek Ne Unse Jung Ki,

Wajah San Kuch Chhodkar Allah Ke Deen Ki Nusrat Ki Taraf Mutawajjoh Hue, Kuch Ko Giraftaar Karke Un Par Kaabu Pa Liya, Yahoodion Se Muwahede Karke Unhone Fatah Kar Liya,

Najd , Tahama, Ekka, Yamama Hawazin Aur Sahal Waalon Ke Liye Deen Ke Chashme Jaari Kiye, Jaladoon Ke Teeron Tale Apne Sabr Ka Muzaahera Kiya,

Taake Arab Rasoollullah (Sws) Aur Unki Aal Ke Saamne Jhuk Gaya Aur Rasoollullah (Sws) Ke Wafaat Pa Jaane Se Pahle Hi Unki Aankhon KI Thandak Ban Chuke They, Us Waqt Arab Me Un Logon Ki Jo Tadad Thi, Ab Is Waqt Logon Me Tumhari Tadaad Unse Zyada H"

(Al Gharaat 2/487 - 489)

Shia Ke Qaul Ke Mutabik Tamam Rasoolon Ke Sardaar (Hz Ali )Khud Ansaar Sahaba (Ra) Ki Tareef Karte Hain

"Ya Allah Ansaar, Ansaar Ki Aulaad, Unki Aulaad Ki Aulaad Ko Bakhs De,

Aiy Jamaat E Ansaar ! Kya Tum Is Par Khush Nahin Ho Ke Log Toh Bakriyan Aur Maal O Daulat Le Jaaye Aur Tumhare Naseeb Me Khud Allah Ka Rasool (Sws) Aa Jaaye"

(Tafseer Manhajj Ul Sadiqeen 4/240, Kashful Ghamma 1/224)


To Be Continued...

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks