Monday, November 3, 2014

HAZRAT ALI (RA) KI TARAF SE SHIA KI MUZAMMAT:



 Bismillahirrahmanirraheem

HAZRAT ALI (RA) KI TARAF SE SHIA KI MUZAMMAT:


Hz Ali (Ra) Aur Unka Saara Khaandaan Jinme Shia Ke "Masoom" Aimma Bhi Shamil Hain "Shian E Ali" Ke Naam Se Zaahir Hone Waale Giroh Se Shadeed Nafrat Karta Raha,

Agarche Wah Log Apne Mazmoom Maqaasid Ki Takmeel Ki Gharz Se Apne Aapko Ahle Bayt E Ali (Ra) Ki Taraf MansooB Karte Aur Unki Muhabbat Aur Itteba Ka Daawa Karte They, Magar Hz Ali (Ra) Aur Deegar Aimma Sare'aam Unse Bu'raat Aur Nafrat Ka Izhaar Karte Rahe,

Chunanche Hz Ali (Ra) Apne Shia Ki Muzammat Bayan Karte Hue, Unse Yun Mukhaatib Hote Hain

"Tum Haq Ko Tark Kar Chuke Ho, Apne Imam Ke Na'farmaan Ho, Tum Khain Wa Bad'diyaanat Aur Fasaadi Ho, Agar Tum Mese Kisi Shakhs Ke Paas Ek Pyaala Bhi Amaanatan Rakh Diya Jaaye, Mujhe Khatrah Hai Aur Kuch Nahin Toh Tum Uska Dasta Hi Utaar Lo,

Aiy Allah ! Main Inse Bezaar Ho Chuka Hoon, Ye Mujhse Ukta Chuke Hain,

Aiy Allah ! Mujhe Inse Bahtar Saathi Naseeb Farma,

Aiy Allah ! Inhe Nesto Nabood Farma Jis Tarah Ke Namak Paani Ke Andar Hal Ho Kar Nesto Nabood Ho Jaata Hai"

(Nahjatul Balagha page 27 Matbua Berut)

Ek Aur Mauqa Par Irshad Farmaya

" Aiy Na'mardon Ke Tum Aasaar Na'mardi Kho Chuke Ho, Kam'aqalon Ke Tumhari Aqal Bachhon Aur Aurton Se Bhi Kam Hai ! Kaash Tum Mujhe Nazar Na Aate, Meri Tumse Pahchaan Na Hoti, Kyonki Isse Mujhe Siwaaye Aziyat Wa Pareshaani Ke Kuch Haasil Nahi Hua,

Allah Tumhe Ghaarat Kare Tumne Mere Dil Ko Zakhmi Kiya, Mere Dil Me Apne Khilaaf Nafrat Ke Jazbaat Boye, Tum Ne Meri Is Qadr Na'farmani Ki Ke Meri Tamam Tadabeer Raigaan HO Gayi, Hatta Ke Quraish Ko Ye Kahne Ka Mauqa Mila Ke

Abu Talib Ka Beta Bahadur Aur Shuja'a Toh Hai Magar Use Jung Karne Ka Saleeqa Nahin"

(Nahjatul Balagha Page 70)

Nez

"Aiy Logon ! Tumhare Jism Toh Muttahid Hain Magar Manzil Ek Nahin, Tum Ghuftaar Ke Toh Ghazi Ho Magar Kirdaar Ke Buzdil, Aapas Me Baithkar Badaken Maarte Ho Magar Maidaan E Jung Me Peeth Dikhaate Ho,,

Tumhe Koi Nida'a De Tum Bahre Ban Jaate Ho, Jo Tumhare Liye Aziyat Bardaasht Kare Tum Use Aaraam Dene Ke Bajaaye Uski Aziyat Me Izaafa Karte Ho, Tumhari Niyatein Kharaab, Tumhare Bahaane Be'saar, Tum Apna Farz Ada Karne Ke Bajaaye Mujhse Muhlat Talab Karte Rahte Ho,

Tum Manzil Ka Husool Chaahte Ho Toh Tumhe Jeddo Jehad Karna Hogi,

Tum Mere Elaawa Kisi Imam Ki Talash Me Ho ?? Mere Baad Tum Kiski Sar'baraahi Me Ladna Chaahte Ho ??

Jo Tumpe Aitemaad Kare Khuda Ki Qasam Dhoke Me Hai, Jo Tumhare Ooper Aitemaad Karke Teer Chalaaye Wah Apni Halaaqat Ko Daawat Dene Waala Hai,

Khuda Ki Qasam ! Mujhe Tumhari Baaton Par Aitmaad Nahin "

(Nahjatul Balagha)

Mazeed Irshad Farmaate Hain

"Ye Ri'ayaa Apne Hukmarano Se Dara Karti Hai, Magar Meri Haalat Ye Hai Ke Mujhe Hukmaran Hokar Apni Ri'yaya Se Darna Padhta Hai, Maine Tumhe Jihaad Ke Liye Pukaara Tum Na Aaye, Maine Tumhe Naseehat Ki Tumne Radd Kar Di,

Tumhare Jism Haazir Hote Hain Magar Dimagh Ghayab, Tum Ba'zaahir Azaad Ho Magar Haqeeqat Me Ghulam, Main Tumhe Waaz Karta Hoon Tum Isse Door Bhaagte Ho,,

Main Tumhe Muttahid Rakhta Hoon Tum Muntashar Ho Jaate Ho, Main Tumhe Jihad Ki Targheeb Deta Hoon Tum Ghaib Ho Jaate Ho, Main Tumhe Roshni Ki Taraf Le Jaata Hoon Tum Mujhe Waapas Taareeki Ki Taraf Le Aate Ho,

Tum Kamaan Ki Pasht Ki Maaanind Tedhe Ho Tumhe Seedha Karne Waala Thak Jaata Hai, Magar Tum Seedha Hone Ka Naam Nahin Lete,

Aiy Be'aqal Jism Waalon ! Be'rooh Badan Waalon , Apne Umra Ko Aazmaish Me Daalne Waalon, Tumhara Saathi (Yani Khud Hz Ali) Allah Ki ita'at Karta Hai Magar Tum Uski Na'farmaani Karte Ho...... Meri Khwahish Hai Ki Main Mu'awiya Se Dinaar Ke Badle Me Dirham Ka Sauda Kar Lun Wah Mujhe Apna Ek Saathi De De Aur Mujhse 10 Le Le

Aiy Koofa Waalon ! Tum Sunto Sakte Ho Magar Sunte Nahin, Bol Toh Sakte Ho Magar Bolte Nahin, Dekh Toh Sakte Ho Magar Dekhte Nahin, Maidaan Me Peeth Dikhaane Waale Ho, Aazamaish Ke Waqt Dhoka Dene Waale Ho, Tumhare Haath Khaak Aalood Ho, Tumharu Misaal Un Oonton Ki Si Hai Jinka Charaane Waala Koi Na Ho "

(Nahjatul Balagha Page 141)

Nez Farmaate Hain

"Khuda Ki Qasam ! Agar Mujhe Shahadat Ki Aarzu Na Hoti Toh Main Ghode Par Sawaar Hokar Tumse Door Chala Jaata, Jis Tarah Junoob Wa Shimaal Ek Dusre Se Door Hain, Tum Log Taana'zani Karne Waale, aib Jo, Ayyar O Makkar Ho, Tumhari Kasrat E Tadaad Mere Liye Qata'an Mufeed Nahin, Isliye Tumhare Dil Pur'ganda Wa Muntashar Hain"

(Nahjatul Balagha Page 258)

Nez

"Aiy Mere Huqm Ki Ita'at Na Karne Wale Aur Dawat Na Qubool Karne Waale Giroh, Agar Tumhe Jung Se Muhlat Di Jaati Hai Toh Tum Lahu'luaab Me Masroof Ho Jaate Ho,,

Agar Tumhe Saath Lekar Dushman Se Jung
Ki Jaati Hai Toh Tum Buzdili Ka Muzaahera Karte Ho,

Tumhe Kisi Sabr Aazma Marhale Se Ghuzarna Pade Toh Tum Ulte Paaon Fir Jaate Ho, Jihaad Tum Par Farz Ho Chuka Hai Tum Kis Cheez Ka Intezaar Kar Rahe Ho Maut Ka Ya Zillat Wa Ruswaayi Ka ??


Agar Meri Maut Ka Din Aa Jaaye Aur Be'shaq Wah Zaroor Aayega Toh Main Tumhari Shakal Tak Dekhna Gawaara Nahin Karunga, Kya Koi aisaDeen Nahin Jo Tumhe Ikattha kar De ?? Tumhari Ghairat Ko Be'daar Kar De ??

Kya Ye Maqaam E Naseehat Nahin Ke Mu'awiya Apne Sitam'gaar Saathion Ko Bulaate Hain Toh Wah Be'ghair Kisi Inaam O Ikraam Ke Laalach Ke Labbaikh Kahte Hue Chale Aate Hain Aur Tumhari Ye Haalat Hai Ke Main Tumhe Pukaarta Hoon Toh Tum Mutawatir Peeche Hat'te Chale Jaate Ho Aur Meri Mukhalifat Karte Ho, Meri Kisi Huqm Par Bhi Kabhi Khush Nahin Hue,

Tawajjoh Dilaane Par Tumhe Kabhi Ikattha Hone Ka Ehsaas Nahin Hua,

Mujhe Sabse Zyada Ishteyaaq Ye Hai Ke Mujhe Maut Aa Jaaye, Maine Tumhe Kitabullah Ka Dars Diya, Uske Dalail Bayaan Kiye, Tumhe Us Cheez Ki Pahchaan Karwaayi Jiske Tum Munkir They Aur Wah Cheez (Uloom Deeniyah) Tumhe Pilaayi Jise Tum Na'ghawaar Samjhte They"

(Nahjatul Balagha Page 258.....)

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks