Saturday, December 6, 2014

SHAUHAR KO BIWI KO ZAROORI DEENI TAALIMAAT DENI CHAHIYE:




.Bismillahirrahmanirraheem

SHAUHAR KO BIWI KO ZAROORI DEENI TAALIMAAT DENI CHAHIYE:

Shauhar Ko Chahiye Ke Agar Uski Biwi Zaroori Deeni Umoor Se Aagaah Na Ho Toh Use Khud Sikhaaye Ya Taaleemi Majlis Me
Bheje Aur Use Mana Na Kare, Use
Imaaniyaat, Allah Tala Ke Asma Wa Sifaat (Beautiful Names), Arkaan Islam Wa Imaan Aur Halal Wa Haram Ke Tamam Usool Wa
Ahkaam, Sahih Tareeqe Se Sikhaaye,

Use Ibadaat Ke Ahkaam Batlaaye, Awwal Waqt Me Namaz Padhne Ki Talqeen Kare Aur Deegar Ibadaat Ki Targheeb De,

Use Hasad, Bughz, Taqabbar Jaise Dil Ke Marz Aur Gheebat, Chughli Aur Sab O Sitam Jaise Zabaan Ke Marz Se Mahfooz Rakhne Waale
Aala Akhlaq Ki Taleem De..

Allah Tala Ka Irshad Hai

"Aiy Logon Jo Imaan Laaye Ho ! Apne Aapko Aur Apne Ghar'walon Ko Us Aag Se Bachao Jiska Eindhan (Fuel) Log Aur Patthar Hain, Us
Par Shakht Dil Bahut Mazboot Farishte Muqarrar Hain, Jo Allah Ki Na'farmani Nahin Karte, Jo Wah Unhe Huqm De Aur Wah Kahte
Hain, Jo Huqm Diye Jaate Hain"

(Surah Tahreem Ayat 6)

Hz Ali (Ra) Is Ayat

Quww An Fusakum Wa Ahlikum Naara

Ki Tafseer Me Farmate Hain

"Unko Aadaab Sikhao Aur Seedha Karo"

Bayan Kiya Jaata Hai Ke Jab Ye Aayat Naazil Hui Toh Hz Umar (Ra) Ne Farmaya

"Aiy Allah Ke Rasool ! Ham Apne Aap Ko Toh Bacha Lenge Magar Apne Ghar Walon Ko Kaise Bachaayen"

Toh Aapne Farmaya

"Unko Usse Mana Karo Jisse Allah Tala Ne Mana Kiya Hai Aur Uska Huqm Do Jisko Karne Ka Allah Tala Ne Huqm Diya Hai, Is Tarah Unka Aag Se Bachao Mumkin Hai"

(Tafseer Roohul Ma'ani 28/156)

Hz Qatada (Ra) Farmate Hain

"Unko Allah Tala Ki Farma'bardari Ka Huqm Do Aur Uski Na'farmani Se Mana Karo"

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait