Thursday, December 4, 2014

SHUAHAR-BIWI KO EK DUSRE KE RAAZ KO FAASH NI KARNA CHAHIYE:





Bismillahirrahmanirraheem

SHUAHAR-BIWI KO EK DUSRE KE RAAZ KO FAASH NI KARNA CHAHIYE:

Har Musalman Par Ye Farz Hota Hai Ke Wah Apni Biwi Ka Koi Raaz Khole Na Uske Kisi Aib Hi Ka Tazkirah Kare,

Kyonki Shauhar Biwi Ka Muhafiz (Protecter) Hai,

Farman E Nabawi Hai

"Roz E Qayamat Allah Tala Ke Nazdeeq Bad'tareen Shakhs Wah Hoga Jo Apni Biwi Aur Apbe Darmiyaan Hone Waale Maamlaat Ke Raaz Faash Karta Hai"

(Sahih Muslim Hadith No. 1437)

Imam Nawawi Farmate Hain

"Is Hadith Me Miyan Biwi Ke Darmiyaan Lazzat Andozi Ke Maamlaat Aur Biwi Ke Aqwaal Aur Fa'al Wagerah Ko Tafseelan Bayan Karna Mana Kiya Gaya Hai"

Nabi E Kareem (Sws) Ne Farmaya Hai

" Jo Allah Tala Aur Roz E Aakhirat Par Imaan Rakhta Hai, Wah Koi Acchi Baat Kahe Ya Khamosh Rahe"

(Sahih Bukhari Hadith No. 6018, Sahih Muslim Hadith No. 47)

#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi
#RabbatUlBait