Monday, March 16, 2015

ISLAM KE MEEZAAN ME JAAT-BIRAADRI KI KYA HAISIYAT HAI ??,




Bismillahirrahmanirraheem

ISLAM KE MEEZAAN ME JAAT-BIRAADRI KI KYA HAISIYAT HAI ??,


Islam Nasbi Aur Khaandani Baraabari Ko Deen Me Baraabari Par Kisi Tarah Maqdam Nahin Rakhta, Balke Deen Ko Har Ek Se Aage Rakhta Hai,

Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Hz Zainab Bint Jahash (Ra) Ko Paigham E Nikah Bhijwaaya, Wah Aapki Chacha'zaad Bahen (Cousin) Thin,

Wah Samjhin Ke Rasoollullah (Sws) Ne Apne Liye Ye Paigham Bhijwaya Hai, Lekin Jab Unhe Ilm Hua Ke Aap (Sws) Hz Zaid Bin Haarsa (Ra) Ke Liye Shadi Ki Khwahish Rakhte Hain Toh Unhone Na Sirf Inkaar Kiya Balke Na'pasandeedgi Ka Izhaar Bhi Kiya,

Us Par Ye Qur'ani Ayat Nazil Hui

"Aur Kabhi Bhi Na Kisi Momin Mard Ka Haq Hai Aur Na Kisi Momin Aurat Ka Ke Jab Allah Aur Uske Rasool Kisi Maamle Ka Faisla Kar Den Ke Unke Liye Unke Maamle Me Akhtiyaar Ho Aur Jo Koi Allah Aur Uske Rasool Ki Na'farmani Kare So Yaqeenan Wah Gumraah Ho Gaya, Waazeh Gumraah Ho Gaya "

(Surah Ahzab Ayat No. 36, Tafsir Qurtabi 4/121, Tafseer Ibn Kathir 3/591)

Imam Qurtabi (Rh) Is Ayat Ki Tafseer Me Likhte Hain

"Ye Ayat Is Baat Ki Daleel Hai Ke Hasab O Nasab Me Barabari Motbar Nahin, Balke Deeni Barabari Qaabil E Aitbaar Hai, Isi Bina Par Azaad Kardah Ghulamo Ki Quraishi Khaandano Me Shadiyan Hui,

Zaid Bin Harisa (Ra) Ki Hz Zainab Bint Jahash (Ra) Ke Saath Shadi Hui, Zaba'ath Bin Zubair (Ra) Ki Hz Miqdad Bin Aswad (Ra) Ke Nikah Me Aayin,

Abu Huzaifa (Ra) Ne Apne Ghulam Saalim (Ra) Ki Shadi Hz Fatima Bint Waleed Bin Utbah (Ra) Ke Saath Ki Aur Isi Tarah Hz Abdurrahman Bin Auf (Ra) Ki Bahen Hz Bilal (Ra) Ke Aqad Me Aayin"

(Tafseer Quratbi)

Aur Isi Bina Par Ansar Aur Quraish Ke Darmiyaan Bhi Nikah Hote Rahen, Unme Jaat-Biraadri Ko Maqdam Nahin Samjha Jaata Tha..

Plz Tag N Share

#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
#RabbatUlBait