Friday, April 10, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-1)










Bismillahirrahmanirraheem


NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-1)


Tamam  Tareef Allah Ke  Liye Layeq Aur Zeba Hai, Jisne  Insaano Ki Hidayat Ke Liye Nabiyon Ko Maboos Farmaya, Aur Croron Durood O Salaam Ho Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Par Jo Saari Kaaynaat Ke Liye Rahmat Bana Kar Bheje Gaye


Bhaiyyon  Is Maheene Ka Hamara Mauzu Nor Ya Basher Par Hai, Chunke Is Aqeede Ke Zariye Log Allah Ki Zaat E Paak Me Shirk Karke Naar E Jahannum Ke Mustahiq Ho Rahen Hain, Aur Maine Aqeede Ki Durustagi Ke Liye Silsile Waar Muhim Chhed Rakhi Hai, Kyonki Agar Aqeeda Kharab Hoga Toh Tamam Ki Tamam Nekiyan, Namaz , Roze, Hajj, Zakaat Aur Deegar Ibaadat Muh Par Maar Di Jayegi Aur Koi Amal Qubool Nahin Kiya Jaayega, Aur Bani E Adam Jahannum Me Fenk Diya  Jayega,


Allah Tala Shirk Ko Kabhi Nahin Bakhsega, Allah Rabbul Izzat Ka Irshad Hai

“ Allah Shirk Ko Na Bakhsega Iske Elawa Jiske Liye Chahe Maaf Karde”

(Surah Nisa Ayat No 65)
“ Sun Lo Jisne Bhi Shirk Kiya Toh Jaan Lo Allah Ne Uspar Jannat Ko Haram Kar Diya Hai Aurv Uska Thikaana Jahannum Hai Aur Un Zaallimo Ka Koi Madadgaar Na Hoga”

(Surah Mayeda Ayat No. 72)

Toh Dekha Aapne Allah Tala Shirk Kabhi Maaf Nahin Karega, Baqi Gunaahon Ki Ummeed Hai Maaf Karde, Chunki Bidat Aur Kufr Bhi Usi Zaat E Paak Se Talluq Rakhta Hai Isliye Ye Isi Jurm Me Aata Hai

Rabb Ne Farmaya

“Kya Ain Logon Ne Allah Ke Aise Shareek Bana Rakhe Hain Jinhone Aise Ahkaam E Deen Muqarrar Kar Diye Hain Jo Allah Ke Farmaye Hue Nahin Hain”

(Surah Ash Shu’ara Ayat No.21)


Malum Hua Deen Ke Ahkaam Allah Hi Bana Sakta Hai Aur Hamen Allah Ke Hi Banaye Hue Deen Par Amal Karna Hai Agar Kisi Ne Kisi Dusre Ke Banaye Hue Deen Par Amal Kiya Toh Goya Us Shakhs Ne Naya Deen Banana Waale (Bidati) Ko Rabb Bana Liya Aur Allah Taala Ke Elawa Kisi Aur Ko Rabb Banana Wala Mushrik Hai , Kafir Hai, Isi Tarah Kufr Karne Wala Bhi Kaafir Hota Hai Aur Wo Bhi Hamesha Ke Liye Jahannum Ka Mustahiq Hai,

Rabb Ne Farmaya

“Jin Logon Ne Kufr Kiya Wp Ahle Kitab Hon Ya Mushrik Wo Jahannum Me Jayenge Aur Wahan Hamesha Rahenge”

(Surah Bayyinah Ayat No. 6)

Is Buniyadi Tambeeh Ke Baa Dab Dekhen Ummat Ke Kuch Firqon Ne Kis Qadr Udham Macha Rakha Hai Aur Allah Ki Zaat Ne Paak Me Aisa  Shirkiya Aqeeda Gadha Hai Ki Zameen O Aasmaan Tharra Uthe Hain Aur Inka Ye Mushrikaana Aqeeda Hai, Allah Ki Zaat E Paak Ka Hissa Karna

Chunanche Unka Aqeeda Hai Ki Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Allah Tala Ke Nor Ka Hissa Hain, Ye Log Nabi Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Daayere Insaaniyat Se Khaarij Karke Noori Makhlooq Me Daakhil Kar Dete Hain Aur Ye Ghair Mantaqi Aur Ghair Aqali Aqeeda Hai Aur Aadmi Ke Faham Se Balaatar Hai,

Shari’at E Islamiya Saada Aur Aam Fahem Shari’at Hai, Is Qism Ki Na’qabil E Faham Aur Khilaaf E Aqal Aqaid Se Iska Koi Taalluq Nahin Hai, Lihaaza Qur’ani Ayat Me Is Baat Ki Waaze Tashreeh Maujood Hai Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihin Wasallam Basher (Insaan) They, Aur Isi Tarah Quran Hamen Ye Bhi Batata Hai Ki Kuffar Pahle Aaye Hue  Ambiya Aur Rasool Ki Risaalat Par Jo Aitrazaat Karte They Wah Yahi Tha Ki Ye Kaise Mumkin Hai Ki Allah Ne Kisi Basher Ko Apni Tarjumaani Ke Liye Muntakhab Farma Liya Ho Aur Uske Sar Par Taj E Nubuwwat Rakh Diya Ho Is Kaam Ke Liye Zaroori Tha Ke Allah Noori Makhlooq Mese Kisi Farishte Ko Mantakab Fermata Toh Goya Ambiya Aur Rasool Ki Bashariyat Ko Allah  Tala Ne Kuffar Ki Hidayat Me Mane Qarar Diya

Malum Hua Ki Ye Aqeeda Rakhna Ki Koi Basher Rasool Nahin Ho Sakta Aqeeda E Kuffar Tha, Farq Sirf Itna Hai Ki Kuffar Kahte They Bashariyat Risaalat Ke Manaafi Hai- Aur Aaj Ke Mushrik Kahte Hain Risaalat Bashariyat Ke Manaafi Hai,

Baherhaal Is Aqeede Me Dono Baraabar Hain Ki Bashariyat Aur Risaalat Ka Ijtema Na’mumkin Hai Yani Basher Ko Risaalat Nahin Mil Sakti

Barelwion  Ne Ambiya Aur Rasool Ki Nubuwwat Ka Inkaar To Na Kiya Magar In Logon Ne Kuffar Aur Mushrikeen Ki Taqleed Me Inki Bashariyat Ka Inkaar Kar Diya Halaanke Insaaniyat Ko Risaalat Ke Qabil Na Samjhna Insaaniyat Ki Tauheen Hai,

Aur Is Aqeede Ke Baad Insaan Ashraful Makhlookaat Se Afzal Bhi Ho Aur Isme Nubuwwat Aur Risaalat Ki Ahliyat Bhi Na Ho Ye Inki Inki Kaisi Mantak Hai. Jisko Samjhna Tedhi Kheer Hai, 
Barelwiyat Jaisi Mutzaat Wa Afkaar Aur Khilaaf E Fitrat Aqaid Ke Majmue Ka Naam Hai Jinhe Samjhna Aam Insaan Ke Bas Ki Baat Nahin Hai

To Be Continued..

#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks
#Irfanali