Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA
AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-12)
NABI E AKRAM MUHAMMAD
SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KI HAIRAT’ANGEZ
DUA :
“Aiy Allah Mere Dil
Me Noor Bana De Aur Meri Aankhon Me Noor Bana De, Mere Kaano Me Noor Bana De,
Aur Mere Daayen Aur Baayen Noor Bana De, Aur Mujhe Noor Ata Farma Aur Meri
Zubaan Me Noor Ata Farma Aur Mere Pat’the Me Noor Ata Farma Aur Mere Ghost Me
Aur Khoon Me Aur Chamde Me Noor Bana De Aur Bada Kar Mere Liye Noor Ya Ilaahi
De Mujhe Noor”
(Sahih Bukhari Bab
Dua Hadith No. 6316)
Jo Log Nabi E Akram
Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noorum Min Noorullah Maante Hain Iska Is Dua Ke
Bare Me Kya Tabsirah Hoga Jo Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Har Subah
Ki Namaz Ke Baad Maangte They Agar Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noorum Min
Noorullah They Toh Ye Dua Maange Ki Kya Zaroorat Thi ??
Aur Yaqeenan Is Tarah
Aap Hidayat Ke Noor Ban Gaye, Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Bolte Toh Who Bhi
Noor E Hidayat Hoti, Aap Sunte Toh Wo Noor E Wahiyy Hoti Aur Apka Amal Noor E
Ilaahi Ki Pairwi Hoti, Is Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noor E Hidayat
They, Yani Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Akhlaaq E Azeema Qur’an Ki Tafseer Hai,
Jaisa Ke Sayyedena Hz Aisha (Ra) Ne Farmaya
“Aap Sallalaho Alaihi
Wasallam La Akhlaq Qur’an Hai”
(Sahih Muslim Bab
Salatul Lail Hadith No. 746)
Aur Hidayat Ka Noor
Allah Talasabhi Imaan Walon Ko Deta Hai, Toh Kya Saare Imaan Wale Noori
Makhlooq Hain,
Qur’an Fermata Hai
“Aisa Shakhs Jo Pahle
Murda Tha Fir Hamne Use Zinda Kar Diya, Aur Hamne Isko Aisa Noor Diya Ki Isko
Liye Hue Aadmion Me Chalta Firta Hai, Kya Ye Shakhs Us Shakhs Ke Baarabar Ho
Sakta Hai Jo Andheron Se Nikal Hi Nahin Paata”
(Surah Ana’am Ayat
No.122)
Allah Tala Ne Is Ayat
Me Bhi Noor Ko Hidayat Hi Se Taabeer Kiya Hai Ki Aadmi Kufr Aur Shirk Ki
Ghalazaton Me Pada Murda Ko Hamne Imaan Ki Roshni Dekar Zinda Kiya Aur Wo
Shakhs Imaan Ka Noor Lekar Chalta Firta Hai Aur Shirk Karne Wala Andheron Me Hi
Rahta Hai, Wo Imaan Walon Ki Baarabari Kaise Kar Sakta Hai, Isi Noor Ko Badhane
Ke Liye Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Har Subah Ki Namaz Me Dua Karte
They..
ALLAH KA JUZZ:
“ Yahood Kahte Hain
Uzair Allahn Ka Beta Hai Aur Nasara Kahte Hain Maseeh Allah Ka Beta Hai, Ye
Inke Muh Ki Baatein Hain, Agle Kaafiron Ki Si Baatein Allah Inko Ghaarat Kare,
Ye Kahan Baheq Gaye Hain”
(Surah Tauba Ayat
No.30)
Yahood O Nasara Ne
Apne Apne Nabion Ko Allah Ka Juzz Bana Daala, Aulaad Baap Ka Juzz Hota Hai
Jaisa Ki Sahih Hadith Me Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne
Farmaya
“Fatima Mera Tukda
Hai Yani Mera Juzz, Mera Hissa Hai”
Kisi Shay Ko Allah
Tala Ka Juzz Samjhna Kufr O Shirk Hai Isi Wajah Se Yahood O Nasaara Kafir Wa
Jahannumi Hain
Nabi E Kareem Muhammad
Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya
Hz Abu Saeed Khudri
(Ra) Riwayat Karte Hain Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
“Tum Apno Se Pahli
Ummaton Ki Eke K Baalisht Ki Aur Eke K Gazz Ki Itteba Karoge Yahan Tak Ki Agar
Wo Kisi Goh Ki Suraagh Me Daakhil Hue Honge Toh Tum Bhi Aisa Hi Karoge”
Hamne Poocha;-“Allah
Ke Rasool, Isse Murad Yahood O Nasaara Hain”
Farmaya:-“Aur Kaun
??”
(Bukhari Jild No.8
Page No486, Hadith No.7320)
Nabi E Akram
Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Hadith Harf Ba Harf Din Ke Sooraj Ki Tarah
Namudaar Hui Aur Ummat Ke Kai Firqe Yahood Aur Nasaara Ke Naqshe Qadam Par Chal
Padi Aur Allah Ki Zaat E Paak Me Usi Tarah Ka Aqeeda Gada Jis Tarah Ka Aqeeda
Yahood O Nasaara Ka Hai
To Be Continued..
#Irfanali
#Umairsalafialhindi
#Islamicleaks