Monday, July 6, 2015

AAO ILM SEEKHEIN—PART-8











Bismillahirrahmanirraheem



AAO ILM SEEKHEIN—PART-8


Khabar E Wahid Ki Chauthi Takseem

Khabar E Wahid K Seg E Ada K Etebaar Se 3 Kismien H

(1) Muanaan
(2) Muwannan
(3) Musalsal

1) Muanaan
Wo Hadis H Jis Ki Sanad Falanun Ann Falan Ho

2) Muwannan
Wo Hadis H Jis Ki Sanad Mai Hadasna Falanun Anna Falan Ho

3) Musalsal
Wo Hadis H Jis Ki Sanad Mai Seg E Ada Ki Sifaat Wa Halat Ya Ravion Ki Sifaat Wa Halat Ek Hi Tarah K Ho

Wo Illm Sikhien Jo Sirf Ehle Hadis Ki Den H Kisi Mazhab Firke K Pass Nhi Aisa Usool Apne Mazhabi Baaton Ko Pehchanne Ka Parakhne Ka

Note
Yaani Doodh Ka Doodh Paani Ka Paani Kar Dena

Isi Illm Se Yateem Mehroom Hone Ki Wajah Se Bhot Se Log 72 Jehnnumi Firko Mai Chale Jaate H Or Unhe Khabar Bhi Nhi Hoti K Kaisi Hadis Amal K Layak H Kaisi Hadis Fazail K Layak H Kaisi Hadis Ko Chordha Ja Sakta H ???

Hadis Bayan Karne K Tarike

Mohadasin Ikraam Hadis Ko Ada Rivayat Karte Waqt In Alfazo Mai Se Koi Ek Alfaz Istemal Karta H

(1) Hadasni
(2) Akhbarani
(3) Anbaani
(4) Hadasna
(5) Akhbarana
(6) Karat O Aleh
(7) Kala Li Fulaan
(8) Zakara Li Fulaaan
(9) Rava Li Fulaan
(10) Kataba Ilayya Fulanu Ann Fulaan
(11) Kala Fulan
(12) Zakara Fulaan
(13) Rava Fulaan
(1) Kataba Fulaan

Hadasni, Akhbarani Mai Fark

Mutakadameen K Nazdeek Ye Dono Lafaz Mutaradaf H Or Mutakhareen K Nazdeek Ye Fark J Agar Ustad Padhe Or Shagird Sune To Shagird K Tanha Hone Ki Surat Mai "Hadasni" Or Zyada Hone Ki Surat Mai "Hadasna" Kaha Jata H

Agar Shagird Padhe Or Ustaad Sunta Rahe To Shagird K Akele Hone Ki Surat Mai "Akhbarni" Or Zyada Hone Ki Surat Mai "Akhbarna" Kaha Jata H

Bayan Kutub E Hadis

Kutub E Hadis Ki 2 Mukhtalif Pehluon Mai Se 2 Mashhoor Takseem

Hadis Ki Pehli Takseem

Hadis Ki Kitaabien Waza Or Tarteeb Masail K Etebaar Se 11 Kismo Par H

(1) Jaame
(2) Sunan
(3) Muajaam
(4( Itraaf
(5) Jaza
(6) Murad
(7) Gharaib
(8) Musnad
(9) Mustakhraj
(10) Musdatrak
(11) Ilal

Jaame

Wo Kitaab H Jis Mai Tafseer, Akaid, Adaab, Ehkaam, Manakib, Ser, Fatan, Alamat, Qayamat Wagera Har Kism Ki Hadis Darj Ho Jaise Aljame Sahi Bukhair Aljame Sahi Muslim Al Jame Tirmizi

Isi Illm Se Yateem Mehroom Hone Ki Wajah Se Bhot Se Log 72 Jehnnumi Firko Mai Chale Jaate H Or Unhe Khabar Bhi Nhi Hoti K Kaisi Hadis Amal K Layak H Kaisi Hadis Fazail K Layak H Kaisi Hadis Ko Chordha Ja Sakta H ???

Hadis Ki Kitabo Ki Tarteeb

(2) Sunan
Wo Kitaab H Jis Mai Ehkam Ki Hadis Abwab E Fiqah Ki Tartib Muwafik Ho Jaise Sunan Abu Dawood, Sunan Nisai, Sunan Ibne Maja

(3) Musnad
Wo Kitaab Jis Mai Sahaba(R.A Ki Tartib Zamni Ya Tartik E Hurf Heja Ya Takddam Wa Takhir E Islami K Lehaz Se Ahadis Mazkoor Ho Jaise Musnad Ahmed, Musnad Abu Yaaala, Musnad Albazar

(4) Muaajjam
Wo Hadis Ki Kitaab H Jis Mai Wazhe Ahadis H Tartib E Sahaba(R.A Tartib E Asteza Ka Lehaz Rakha Gaya Ho Jaise Muaajamal Kabir, Muajjamal Wast, Muajamal Sagheer Lil Tabraani,

Awwalul Zikr Tartib E Sahaba(R.A Or Akhir Dono Kitaabien Tibarani K Shaikh Ki Tarteeb Par H

(5) Etraaf
Wo Kitaab H Jis Mai Hadis K Ek Tukde Ko Zikr Kiya Jaye Or Wo Zaati Ho Hadis K Bakiya Par Or Is Ki Asaneed Ko Isteaa Ban Jama Kiya Jaye Ya Mmakhsoos Kitaab K Sath Khas Kar Diya Jaye Jaise Tohafatul Asharaf Fi Morefa Ilal Itraaf Lil Mazi Wa Kutub E Sitta Par Mushtamil Ho

(6) Mufarid
Wo Kitaab Jis Mai Ek Shaks Ki Kul Muraviyat Zikr Ho Jaise Almufarid La Bi Yaala

(7) Jaza
Wo Kitaab Jis Mai Sirf Ek Masle Ki Ahadis Ek Sath Jama Ho Jaise Jaza Ul Kura, Jazaul Rafaden Lil Bukhari, Ya Jaza Ul Kura Lil Bekahi

(8) Gharaib
Wo Kitaab Jis Mai Ek Mohaddis Ki Mufaredaat Jo Kisi Shaikh Se Ho Zikr Ho Jaise Gharib Ul Malik Lil Daru Kutni, Gharaib Malik Lil Tabrani, Gharaib Shuaba La Bin Manda

(9) Mustakhraj
Wo Kitaab Jis Mai Dusri Kitaab Ki Hadison Ki Rivayat Is Kitaab Se Zaid Sanado Se Ki Gaee Ho Is Shirt K Sath K Dusri Kitaabo K Maullif K Ustad Se Upar Ja Kar Dono Ki Sanadien

Allah Se Dua H K Wo Shiatan Ki Shar Se Hifazat Ata Farmaye Or Deen Samjhna Aasan Kare Ameen Ya Rabalalameen

#Imrankhansalafi
#Islamicleaks