Saturday, August 22, 2015

TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-8)


 




TABLEEGHI JAMAAT – QURAN WA HADITH KI KASAUTI PAR : (PART-8)
 
 
 
 Mere Pyare Bhaiyo Mera Maksd Kisi Bhai Ka Dil Dukhana Nahi Bs Ap Logo Tak Sahi Bat Pahunchana Hai...

Fazail E Amaal Ke Hikayaat Wa Khuraafaat

” Gharz Shahab Roz Ne Bahut Se Waqeyaat In Mar Miton Ke Marne Ke Aise Likhe Hain Jis Se Inka Marne Ke Waqt Aur Marne Ke Baad Nihayaat , Hansna, Mazaak Karna, Latf Udaana Malum Hota Hai”

( Fazail E Sadaqaat Pg 476)

” Ibraaheem Bin Shobaan Kahte Hain Ke Main Hajj Se Faraaghat Par Madeena Munawwara Haazir Huwa Aur Maine Qabar Shareef Ke Paas Jaakar Salaam Arz Kiya To Maine Hujrah Shareef Ke Andar Se Walaikum Assalam Ki Awaaz Suni”

(Fazail E Durood Pg 19)

” Sayyid Ahmad Raafi Mashoor Buzurg Akaabir Sufiyah Me Se Hain, Inka Kissa Mashoor Hai Ke Jab 555 Hijri Me Wah Ziyarat Ke Liye Haazir Hue Aur Qabar Ke Muqaabil Khade Hue To Yah Do Sher Padhe

Trans: Doori Ki Haalat Me Main Apni Rooh Ko Khidmat Akdas Me Bheja Karta Tha, Wah Meri Nayab Ban Kar Astaanah Mubarak Choomti Thi, Ab Jismon Ki Haaziri Ki Baari Aayi Hai, Apna Dast Mubarak Ata Kijiye, Taake Mere Honth Isko Choomen

Is Par Qabar Shareef Se Dast Mubarak Bahar Nikala Aur Unhone Isko Chooma”

(Fazail E Hajj Pg 130,131)

“Ek Buzurg Kahte Hain Ke Maine Ek Mureed Ko Ghusl Diya Usne Mera Angootha Pakad Liya Maine Kaha Angooth Chhod De, Mujhe Malum Hai Tu Mara Nahi Hai, Yah Ek Makaan Se Dusre Makaan Me Inteqaal Hai, Usne Mera Angooth Chhod Diya”

(Fazail E Sadaqaat Pg 476)

Ishq Ka Afsaana

” Sheikh Mazhar Saeedi Ek Buzurg Hain Jo Allah Ke Ishq Wa Shauq Me 60 Saal Tak Rote Rahe”

(Fazail E Namaz Pg 61)

” Albatta Is Risaala Me Chand Hikaayaat Soofiya Ki Naqal Karne Ke Baad Chand Irshaadaat Nabi Akram(Sws) Ke Naqal Karta Hun”

(Fazail E Namaz Pg 61)

Ek Din Me Tamaam Duniya Ke Chakkar Lagaana

” Ek Buzurg Hazrat Khidr Se Apni Mulaaqaat Ka Bahut Taweel Kissa Naqal Karte Hain, Aakhar Me Hz Khidr Ne Farmaya Ke Main Subah Ki Namaz Makka Mukarrma Me Padhta Hun, Aur Tulu Aaftaab Tak Hateem Me Rukn Shaami Ke Qareeb Baithta Hun, Aur Johar Ki Namaz Madina Me Padhta Hun Aur Asar Ki Namaz Bait Ul Muqaddas Me Aur Maghrib Ki Namaz Seena Par Aur Isha Ki Namaz Sikandria Par”

(Fazail E Hajj Pg 218)

Sunnat Rasool Ki Mukhalifat:

“Ek Sayyid Sahab Ka Kissa Likha Hai Ke 12 Din Tak Ek Hi Wuju Se Saari Namaz Padhi Aur 15 Baras Tak Letne Ki Naubat Na Aayi Thi, Ahle Mujahida Logon Me Aise Qism Ke Waqeyaat Bahut Kasrat Se Milte Hain”

( Fazail E Namaz Pg 65)

” Main (Musannaf) Ne Apne Aaqa Hz Maulana Khaleel Ahmad Shahab Noorullah Ko Poore Ramazan Ul Mubarak Dekha Hai Ke Iftaar Wa Sahri Dono Waqt Ki Miqdaad Taqriban Dedh(1+1/2) Chapaati Se Zyada Nahi Hoti Thi, Koi Khaadim Arz Bhi Karta Tha To Farma Dete Ke Bhook Nahi Hoti, Doston Ke Khyaal Se Baith Jaata Hun, Aur Isse Badhkar Maulaana Shah Abdul Raheem Sahab Raipuri Rh Ke Mutaallik Suna Hai Ke Kai Kai Din Musalsal Aise Guzar Jaate They Ki Tamaam Shab Ki Mikdaar Sahar Wa Aftaar Be Dhoodh Ki Chaaye(Tea) Ki Chand Ghoont Ke Siwa Kuch Na Hoti Thi, Ek Martaba Hz Ke Mukhlis Khaadim Maulana Shah Abdul Qaadir Sb. Noorullah Ne Ijazat Se Arz Kiya Ke Za’af Bahut Ho Jaayega, Hz Kuch Tanadil Hi Nahi Farmate To Hz Ne Farmaya Ke ‘ Alhamdulillah Jannat Ka Latf Haasil Ho Raha Hai”

(Fazail E Ramazan Pg 31)

Ye Hain Sufiya Ke Khuraafaati Kisson Ke Chand Namoone, Isi Qism Ke Ajaaib Wa Khurafaat Jo Sartaapa Islami Taalimaat Aur Sunnat Rasool Ke Mukhalif Hain, Ko Zikr Karke Tableeghi Nisaab Ko Jaahilon Ke Liye Parkashish Banaya Gaya Hai

Ilm Nabwi Se Airaaz Aur Allah Ki Jaanib Se Wahi Haasil Hone Ka Daawa:

“Abdaal Me Se Ek Shakhs Ne Hz Khidr Se Daryaaft Kiya Ke Tumne Apne Se Ziyadah Martaba Waala Koi Bhi Wali Dekha Hai, Farmane Lage Haan Dekha Hai, Main Ek Martaba Madeena Taiyyaba Me Rasoollullah(Sws) Ke Masjid Me Haazir Tha, Maine Imam Abdul Razzaq Muhaddis Ko Dekha Ki Wah Hadith Suna Rahe Hai Aur Majmua In Ke Paas Hadith Sun Raha Hai, Aur Masjid Ke Ek Kona Me Ek Jawaan Ghutno Par Sar Rakhe Alaheda Baitha Hai, Maine Is Jawaan Se Kaha Tum Dekhte Nahi Kah Majma Huzoor Akdas(Sws) Ki Hadithen Sun Raha Hai, Tum Inke Saath Shareek Nahi Hote, Us Jawaan Ne Na To Sar Uthaaya Na Meri Taraf Tawajjah Kiya Aur Kahne Laga Ke Us Jagah Wah Log Hain Jo Razzaq Ke Abd(Bande) Se Hadithen Sunte Hain, Aur Yah Wah Log Hain Jo Khud Razzaq Se Sunte Hai Na Ke Iske Abd Se, Hz Khidr Ne Farmaya Tumhaara Kahna Haq Hai To Bataao Ke Main Kaun Hun, Usne Apna Sar Uthaaya Aur Kahne Laga Ke Agar Faraasat Sahi Hai To Aap Huzoor Hain, Hz Khidr Farmate Hain, Kah Us Se Maine Jaana Ke Allah Ke Baaz Wali Aise Bhi Hain Jin Ke Martaba Ki Wajah Se Main Inko Nahi Pahchaanta, Haq Taala Inse Raazi Huwa Aur Ham Ko Bhi Inse Nafa Pahunchaaye,”

(Fazail E Hajj Pg 128)

Yah Mazkoorah Qalaam Wa Kissa Saara Ka Saara Khuraafaat Wa Kazzab Hai, Fareb Aur Aqal Ke Saath Khilwaad Hai

Allah Hamen Aise Aqeedon Se Mahfooz Rakhe……Ameen

Aam Taur Par To Kitaab O Sunnat Ki Roshni Me Aisicheezon Ke Shirk Hone Me Koi Shak Nahi Magar Chunke Bayaan Karne Wale Apne Buzrug Hain, Jinke Mazaar Se Dastgiri Huyi Wo Buzrugo Ke Bhi Hazrat Hain Is Liye Yahan Par Ye Baat Karamaat Hai..

Inna Lillahi Wa Inna Ilahi Raajioon..

"Kya Aiso Ko Shareek Thahraate Hai Jo Kisi Cheez Ko Paida Na Kar Sake Aur Wo Khud Paida Kiye Gaye Ho Be Shak Wo Log Jin Ko Tum Pukaarte Ho Allah Ko Chhod Kar (Wo To Khud) Tum Jaise Hi Bande Hain"
 
(Al Quran, Surah Al Araaf 7 : 191-194]

"Aur Jo Log Allah Ke Siwa Jin Ghair Ullah Ko Madad Ke Liye Pukarte Hai, Wo Kisi Cheez Ko Paida Nahi Kar Sakte Balke Wo To Khud Makhlookh Hai, Murda Hai Zinda Nahi Hai Aur Unhe Khabar Nahi Ke Wo Khud Kab Uthaye Jayenge"
(Al Quran, Surah Al-Nahl 16, Ayat 20-21)

Aye Nabi! Tumhari Taraf Aur Tum Se Pehle Guzre Huwe Ambiya Ki Taraf Ye Wahi Bheji Jaa Chuki Hai Ke Agar Tumne Shirk Kiya To Tumhare Bhi Amaal Barbaad Hojayenge Aur Tum Khasara Paane Walon Me Se Hojaoge.
 
(Al Quran, Surah Zumar 39. Ayat 65)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
 
 
"Main Tumhare Darmiyan 2 Cheezen Chod Kar Ja Raha Hoon (Quran Aur Sunnat Sahih Hadis) Jab Tak Tum Inhe Mazbuti Se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Nahi Hoge
(Hadis Al Hakim, Mo'atta Imam Malik)

Mere Musalman Bhaiyon, "Sach" Jante Hue Khud Apne Aapko Bewakoof Naa Banao,Baatil Raasto, Shirk, Biddat Aur Imaamo Ki Taqleed Chhod Do Aur Aa Jao Khalis Nabi(Sallallaahu Alaihiwasallam) Ki Itteba Par.

Allah Ta'ala Ne Farmaya:

Tum Un Logon Ki Terha Naa Ho Jana Jinhone Apne Paas Roshan Daleelen Aa Jane Ke Baad Bhi Tafarruqa Dala Aur Ikhtelaaf Kiya, Unhi Logon Keliye Bada Azaab Hai".
 
 
(Soorah Ale-Imran, Soorah:3, Aayat:105)

Kya Nabi (Sallallaahu Alaihiwasallam) Ne, Wo Tamaam Baatein Ummat Ko Nahi Batlaayi, Jin Par Ummat Ko Amal Karna Tha?
Maine, Har Wo Cheez Jo Jannat Ki Taraf Le Jaane Wali Hai, Aur Wo Cheezjo Jahannum Se Door Karne Waali Hai,Batlaa Di Hai.
(Musannaf Abdur-Razzak 20, 100.)

Jismein Raayi Baraber Bhi Takabbur Hoga Wo Jannat Mein Daqil Nahi Hoga ".
 
(Sahih Muslim Chapter No 1, Hadees No. 166)

Yaad Rakhiye Haq Ko Jaanker Bhi Qabul Na Kerna Takabur Ki Alamat Hai .

''Us Din Unke Chehre Aag Me Ulat Palat Kiye Jaenge (Wo Afsoos) Se Kahenge Kash Humne Allah Subhanawata Ala Aur Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Ithaath Karte
Aur Kahenge Aye Hamare Rab Humne Apne Sardaro Aur Apne Bado Ki Mani Jinho Ne Hume Rah Rasth Se Bhadka Diya
Unhe Dugna Aazaab De Aur Un Per Bahoth Badi Lanath Nazil Farma
 
 
(Al Quran - Surah E Ahzab 33, Aayat 66-68)

(Note : Ye Post Islaah E Muslimeen Ke Maqsad Se Compose Kiya Gaya Hai Na Ke Bahes Se Ittehad E Muslimeen Ko Todne K Liye. To Aap Sabse Adaban Guzarish Hai Ke Post Mein Jin Ahem Ahadees Aur Qurani Ayaath Ke Zariye Samjhaya Gaya Hai Unper Tawaja Dein Aur Bahes Se "Saqt" Parhez Kerein Taki Mazeed Gunahon Aur Waqt Ki Barbadi Ka Baees Na Ban Paye.Jitna Waqt Iqtelaafi Cmnts Kerne Mein Zaaya Karenge Utna Waqt Ayaat Aur Ahadees Ko Padhne Mein Lagayenge To In Shaa Allah Post Ke Har Ek Lafz Se Ittefaq Kerne Lagenge )

Allah, Gumrah Musalman Ko Hidayat De Allah Subhanahu Wa Ta'ala Du'a Hai Ke Hum Ko Ghar Walon Ko Aap Logon Ko Or Sare Musalmano Ko Quran O Sunnat Ko Sahaba Ke Manhaj Par Amal Karne Wala Fir Daw'at Dene Wala Banaye