Bismillahirrahmanirraheem
DAHEJ KE BE’SHUMAAR NUKSANAAT: (PART -6)
Ham Pahle Dahej Ke
Kuch Nuksanaat Aur Aib Likhte Hain Use Use Tafseel Se Bayaan Karenge,
1- Insaan Beti Bhi De Aur Ghar Bhi Luta De, Ye
Zyadati Aur Aqalan , Shar’an Ikhlaaqan Ghalat Hai,
2- Dahej Ki Wajah Se Kai Auraton Ko Qatal Ya
Jaan Bhoojh Kar Haadse Ka Shikaar Kiya Jaata Hai Ke Dahek Na Dena Pade,
3- Beshumaar
Auratein Ghar Me Baithi Baithi Boodhi Ho Jaati Hain Shadi Aur Lutf Se Mahroom
Ho Jaati Hain,
4- Ghar
Me Baithi Beti Zina Ka Darwaaza Khol Deti Hai Ya Khud’kashi Kar Leti Hai Toh
Khud’kushi Aur Badkaari Ka Zimmedaar Kaun ??
5- Kai Auratein
Ghar Se Faraar Ho Jaati Hain Maa Baap Ke Liye Laanat Aur Taana Ban Jaati Hain,
6- Waalidain Aur Bhai Dahej Ke Liye Pareshaan Wa Zaleel
Hote Hain
7- Dahej Ki Wajah Se Kitne Ghar Ujad Gaye Aur
Kitne Badhaal Ho Gaye Toh Dahej Ke Fasaad Fil Arz Hone Me Koi Cheez Mane Nahin
??
8- Nikaah
Me Deeni, Dunyawi, Roohaani, Jismaani, Akhlaaqi Faayede Hote Hain Lekin Dahej
Ka Taalib In Faayede Ke Liye Mahroom Ho Jaata Hai, Dahej Ka Taalib Insaaniyat Ka Dushman Hai Aaj Ye
Sasuraal Se Bheek Maangta Hai Kal Use Apne Bation Ke Liye Bhi Bheek Maangni Padegi , Jaisa
Karoge Waisa Bharoge,
Allah Ka Farmaan Hai
“ Ke Allah Insaaf Aur
Ehsaan Karne Ka Huqm Deta Hai “
Shauhar Ka Farz Tha
Ke Who Ehsaan Ka Badla Ehsaan Me Deta Lekin Ye Ulta Unse Dahej Maangta Hai Jo
Ke Maujodah Daur Ka Bahit Bada Fitna Hai Jisne Be’shumaar Gharon Ko Ujaada Hai,
9- Dahej
Se Khaandanon Ke Darmiyaan Dushmani Paida Hoti Hai Halaanke Shadi Ka Maqsad Do
Khaandaano Ko Jodna Hai Aur Dahej Lane Waali Aurat Amooman Na’farmaan Hoti Hai
Kyunki Use Apne Dahej Par Fakhr Hota Hai,
10- Log Kahte
Hain Ki Jis Ghar Me Beti Jawaan Ho Uske Ghar Ka Khaana Haraam Hai Wagerah
Wagerah, Sawaal Ye Paida Hota Hai Ke Jiske Ghar Me Ladki Jawaan Ho Uske Ghar Ka
Khaana Toh Haraam Hai, Agar Kisi Ke Ghar Me Ladka Jawaan Ho Uske Ghar Ka Khaana
Halal Hoga ?? Agar Ghar Me Jawaan Ladki Ki Maujoodagi Ki Wajah Se Ghar Ka Khaana Halaal Nahin Toh Agar Ksi Ghar
Me Beta Jawaan Hoga Toh Uske Ghar Ka Khaana Bhi Haraam Hoga,
Dar’asal Baat Ye Hai Ke Agar Kis Ladki Ya Ladke Ka Munaasib Rishta
Milta Hai Fir Rishta Nahin Kiya Jaata Toh Ye Gunaah Hai, Lekin Agar Deendaar
Aur Munaasib Rishta Nahin Milta Toh Aisi Soorat E Haal Me Waalidain Par Koi
Gunaah Nahin Hoga, Baaz Log Apni Bahno Betiyon Ke Deendaar Gharaane Ke Rishta
Milne Ke Ba’wajood Taal Matol Karte Rahte Hain, Ye Bilkul Haraam Hai
To Be Continued
#IslamicLeaks
#UmairSalafiAlHindi