Wednesday, December 14, 2016

BETI KI AHMIYAT




Assalamu Alaikum Wr Wb


Kaash Meri Bhi Ek Beti Hoti

Please Pura Padhiye

Ye Koi Kahani Nahi Hai Haqeeqat Hai ,Doston Aaj Main Tumhe Ek Aisi Haqeeqat Sunane Ja Raha Hun Jis Mein Ibrat Hai ,Ek Ghar Mein Ek Parivaar (Family)Rehta Tha  . Jis Mein Maa Baap Aur Unke 4 Bete Rehte The , Unke Ghar Koi Ladki Nahi Thi  ,Woh Is Baat Se Bade Khush The Ke Allah Ne Hume 4ro Ladke Diye Hai , Waqt Guzarta Gaya Aur Ladke Jawan Ho Gaye , Shadi Ki Baari Aayi Bade Ladke Ki Jiska Naam Irfan Tha  , Maa Baap Ne Badi Hi Dhoom Se Shadi Ki Aur Bahu Ko Ghar Le Aaye , Abhi Shadi Ko 6 Mahine Guzre The Ke Baap Ka Inteqal Ho Gaya Aur Maa Bewa Ho Gayi . Maa Ki Zimmedari Abh 4ro Ladko Par Thi . Woh Pariwar Koi Zyada Maali Haisiyat Nahi Rakhta Tha . Abhi Chand Hi Din Guzre The Ke Bahu Ne Apna Rang Dikhana Chalu Kar Diya  . Ghar Mein Har Roz Ke Bila Wajeh Choti Choti Baato Par Jhagde Hote.


Aakhir Kaar Woh Waqt Bhi Aaya Ke Bete Ne Maa Ka Saath Chod Diya Aur Apni Biwi Ke Saath Alag Kiraye Ke Ghar Mein Rehne Laga .Abhi  Woh Maa Ko Kuch Bhi Kharche Ke Liye Paise Bhi Nahi Deta Hai
Abh Maa Ki Zimmedari 3 Beton Ke Zimme Ho Gayi.


Phir Waqt Aaya 2sre Bete Ki Shadi Bhi Ho Gayi. Woh Bahu Bhi Kuch Hi Arse Baad Ghar Mein Ladna Jhagadna Shuru Kar Diya .Aakhir Kaar Woh Bhi Apne Bade Bhai Ki Tarah Apni Biwi Ke Saath Alag Kiraye Ke Makan Mein Rehne Laga  .Usne Bhi Abh Maa Ko Kharcha Paani Bhi Dena Band Kar Diya


Phir Baari 3sre Bete Ki Shadi Ki Aayi Uska Haal Bhi Kuch Apne Bade Bhaiyon Se Alag Na Raha
Woh Bhi Chand Hi Dino Mein Maa Ko Chod Alag Ho Gaya . Ek Ke Baad Ek Bete Aur Bahu Ke Ghar Se Jaane Se Maa Gamgeen Rehne Lagi . Woh Aksar Tanhayi Mein Apne Shohar Ki Baaton Ko Yaad Karke Rone Lag Jaati . Woh Kehte The Ke

“Allah Ne Hume 4 Bete Diye Hai Hume Fikar Ki Kya Zaroorat Hai”


Abh Maa Ki Zimmedari Aakhri Bete Par Reh Gayi Maa Ko Uski Bhi To Shadi Karni Hi Thi  .Maa Ne Darte Huwe Uska Bhi Rishta Talash Kiya Aur Woh Bhi Shadi Ke Chand Dino Baad Hi Maa Ko Chod Alag Ho Gaya .

Abh  Budhi Maa Ghar Mein Akeli Rehti Hai  .Uska Koi Ghamkhwar Nahi Koi Humdard Nahi
Abh Bete Bhi Uske Ghar Ko Nahi Aate , Woh Apni Tanhayi Ko Dekh Dekh Kar Roti Hai
Dusri Taraf Woh Jab Dekhti Hai Ke Unki Bahu'ein Apni Maa'on Ki Khoob Khatir Dari Karti Hai
Woh Apne Maa'on Ko Apne Shohar Ke Ghar Mein Rakh Kar Unki Khidmat Karti Hai
To Ye Maa Dard Ke Keh Utthi Hai Ke Kaash Maine 4 Beton Ko Janam Nahi Diya Hota

“Ek Beti Meri Bhi Hoti”

Doston Ye Koi Kahani Nahi Hai  Haqeeqat Hai,  Is Haqeeqat Mein Bohot Saara Sabak Hai Akal Walo Ke Liye

Pehla Sabak: Ladko Se Behtar Ladkiya Hoti Hai Jo Apne Maa Baap Ki Gham Khwar Hoti Hai

Dusra Sabak:Koi Ladko Ki Paidaish Par Fakhar Na Kare .Bohot Se Log Aise Bhi Hai Jo Ladki Ki Paidaish Par Chehre Par Siyahi(Kaala Pan) Chah Jaati Hai

Tesra Sabak: Baccho Ki Taleem Wa Tarbiyat Deeni Taur Par Kare Kyun Ke Jab Tak Baccho Ko Deen Maloom Na Honga Maa Baap Ki Qadar Nahi Karenge Aur Anjam Yehi Honga


4tha Sabak:Jo Bacche Apne Budhe Maa Baap Ko Chod Diye Hai Woh Ye Samajh Le Ke Kal Ko Unki Aulad Bhi Unke Saath Yehi Muamla Karengi


5wa Sabak:Un Bahu'on Ke Liye Jo Bila-Wajeh Saas Sasur Ko Chod Kar Alag Ho Jaati Hai Woh Ye Soch Le Ke Kalko Unko Bhi Maa Banna Hai Aur Kal Ko Unki Baho'on Ne Bhi Yehi Haal Unka Karna Hai Jo Aaj Unhone Apni Saas Sasur Ke Saath Kiya , Kyun Ke Jo Jaisa Karenga Woh Waisa Bharenga


6tha Sabak: Koi Bhi Apne Ghar Jab Bahu Laye To Deendar Bahe Laye , Khoobsurari Ko Dekh Kar Na Laye , Aur Nahi Hi Hasab O Nasab Ko Dekh Kar Laye Na Maal Ko Dekh Kar , Kyun Ke Deendar Aurat Apne Shohar Ke Rishtedaro Ki Izzat Ba-Khoobi Karengi , Woh Saas Sasur Ka Haq Puri Tarah Ada Karengi  , Woh Matlabi Aur Khudgarzi Ka Muzahira Nahi Karengi


Aakhir Mein Dua Hai Ke Allah Hum Sabke Kabirah Aur Sagirah Gunahoon Ko Maaf Kare Aur Hume Deen Par Sabit Qadmi Se Chalne Ki Taufeeq Ata Farmaye , Allah Har Aulad Ko Apne Budhe Maa Baap Ka Sahara Banaye

Aameen Ya Rab

By Shakh Subhan (Ek Mujaheed)