Monday, January 16, 2012

BHOOKH HADTAAL (ISLAAM KI ROSHNI ME)



Bismillahirrahmanirraheem




BHOOK HADTAAL KI SHARAI HAISIYAT:



Bhook hadtaal ki taareef yah hai ke khaana peena chhod diya jaaye taake kisi dusre shakhs par dabaao daal kar apna maqsad poora karaya ja sake, maslan paani ya us jaisi giza ke istemaal se ruk jaana jo ke jism insaani ki liye buniyaadi haisiyat rakhti hai ya haalat e bimari me dawa wa ilaaj se ruk jaana taake marj din ba din badhta chala jaaye..

Aam taur par dekha jaata hai ke bacche apne maa, baap par dabaao daalne ke liye bhook hadtaal karte hain taake unse koi faayeda ya farmaish poori kar sake,

kabhi biwi bhook hadtaal kar baithti hai taake apne shauhar se apni beja farmaish poori kara sake

kabhi maa bhook hadtaal kar baithti hai taake apne bete se koi khaas maqsad haasil kar sake,

maa ki bhook hadtaal se mutaallik abu yaala aur tabrani ki riwayat kaafi mashoor hai, jiska bayaan munasib hoga..


" hz saeed bin malik ra bayan karte Hain ke main apne maa ka bahut farmabardaar beta tha, jab maine islam qubool kar liya to meri maa ne mujh se kaha- 'aiy saeed tu apne naye deen se baaz aaja warna main khaana peena chhod kar bhooki mar jaungi, to arab tujhe taan karenge ke dekho saeed ne apni sagi maa ko maar daala, maine kaha, aiy meri maa aisa na karo kyonke ab main apne sacche deen se nahi palat sakta magar iske bawajood meri maa na maani, khaana peena bilkul chhod diya, ek din aur ek raat ki bhook pyaas se kaafi kamjor hogai iske baad majeed ek din aur ek raat ki bhook pyaas ne usko bilkul hi be dum kar diya, jab maine dekha ke meri maa ke jism me siwaaye haddiyon ke dhaancha ke kuch baaqi nahi raha to maine apne maa se kaha- aiy meri maa, allah ki qasam agar tere paas 100 jaane hon aur ek ek karke tu apni tamaam jaane ganwa de phir bhi main apne deen(islam) se hargiz baaz nahi aa sakta. Ab tu chaahe khaaye chaahe na khaaye, chaahe Mujhe uski zarah bhi parwah nahi hai, itna sunna tha ke meri maa ne khaana peena shuru kar diya aur allah taala ne mere baare me surah luqmaan ki yah aayat naazil ki"

" aur agar wah dono(waalidain) tujh par is baat ka dabaao daalen ke tu mere saath shareek kare jiska tujhe ilm na ho to inka kahna na maanna duniya mein unke saath acchi tarah basar karna"

(surah luqmaan 15)

bhook hadtaal ki sabse khatarnaak qism kaidiyon(prisoner) ki bhook hadtaal hoti hai taake jail khaana me inke saath accha sulook kiya jaaye ya unhe jail khaane se bilkul aazaad kar diya jaaye, bhook me ki yah aakhiri qism is waqt maghribi(western) mulk se muntaql hokar islaami mu'aashre me qadam rakh chuki hai, gujashta islami adwaar me musalmaan bhook hadtaal karna kaun kahe, uski taraf mutawajjah na hon magar chunke daur haazir me baaz musalmano ne bhi bhook hadtaal ko apna maqsad ke hasool ka zariya bana liya hai, uske liye aaj Ke daur me is maslah ki wazaahat aur usse muttaalik islaami mauqaf ka bayaan zaroori ho gaya hai.


BHOOK HADTAAL KA HUQM:


Gujashta ulema e islam ne bhook hadtaal par koi sareeh daleel nahi pesh ki hai, albatta chaand aayat wa hadith aur daur haazir ke ulema kiraam ne bhook hadtaal se mashaabah baaz sooraton aur haalaton se mutaallik jo daleel qayem ki hain, inki roshni me is masle ko ba'khoobi samjha ja sakta hai

1- " apne aap ko qatl na karo"

(surah nisa 29)

is ayat e karima ki roshni me bhook hadtaal haraam hai, kyonke bhook hadtaal bhi apne aapko qatl karne ka ek zariya hai.

2-" apne haanthon halaaqat me na padho, "

(surah baqarah 29)

chunke bhook hadtaal karke khaane peene se ruk jaana bhi apne haanthon halaaqat me padhna hota hai, isliye ya aayat kareema bhi bhook hadtaal ki hurmat par daleel hai

3- " tum par murdaar, (baha huwa) khoon, suwar ka ghost aur har wah cheez jis par allah ke Siwa dusron ka naam liya gaya ho haraam hai, phir jo majboor ho jaaye aur wah hadd se badhne waala aur ziyaadati karne waala na huwa, us par in cheezon ko khaane me koi gunaah nahi hai, allah taala bakhsne waala maharbaan hai"

( baqarah 173)

mazkoorah aayat kareema ki roshni me ulema e ummat ka ijma hai ke chunke allah taala ne jaan bachaane ke liye ,murdaar, aur suwar ka ghost tak ke khaane ki ijaazat di hai isliye jahan tak ho sake apne aapko halaaqat se bachaana aur zinda rakhna har musalman par waajib hai chaahe bhook, pyaas se mahfooz rah kar apni jaan ki hifazat kare ya khud kushi(suicide) wagerah jaise khatarnaak jurm se ijtenaab karke.


ALLAH HAM SAB KO TAUFEEQ DE.. Ameen 




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks

Sunday, January 15, 2012

AWLIYA ALLAH KAUN HAIN???

Bismillahirrahmanirraheem




AWLIYA ALLAH KAUN HAIN???



aaj kal musalmanon ki bad'aqeedagi is hadh tak badh gayi hai ke bahut se log awliya allahi ki aqeedat aur muhabbat me itne diwaana ho chuke hain ke unhe is baat ki bhi tameez nahi rahi ke unhone jin logon ko wali maana hai wah awliya allah hain ya awliya e shaitaan


to aayen ham dekhen ke haqiqat me awliya allah kise kahte hain aur awliya e shaitaan kaun hain,

allah ka wali dar haqiqat wah hai jisne apni zindagi ke har hisse aur har maidaan ke liye allah taala hi ho apna rabb bana liya ho usi ki itaat ko apni zindagi ke tamaam lamhaat ke liye laazim kar liya ho, jisne allah hi ko haami wa naasir bana liya ho, jisne allah hi ko dost, rafeeq, madadgaar bana liya ho, jisne apne zehan ki aur qalb ki gahraiyon se allah taala hi ko sarparast, madadgaar aur bakhsnewaala samjha ho, jisne allah taala hi ki rahnumaayi qubool ki ho, aur uske mutabik apne Khayalaat, akhlaaq, aur amal ko dhaala ho, wahi dar haqiqat allah ka wali hai,

chunanche allah ka irshaad hai:

" yani allah ke in awliya(doston) ko na koi khauf hoga aur naa hi wah ghamgeen honge jo allah par imaan laaye aur wahi muttaqi wa parhezgaar hain, unhi ke liye duniya wa aakhirat me khushkhabri hai"

(surah younus 62,63,64)

aage farmaya

" yani allah ke wali sirf muttaqi wa parhezgaar log hain"

(surah anfaal 34)


in aayat se malum huwa ke allah ka wali wah hai jo momin aur muttaqi ho..


Duniya me do qism ke log paaye jaate hain

1- ek qism momineen aur muttaqiyon ki hai jo allah par imaan rakhte hai, ahkaam ilaahi ke mutaabik apni zindagi guzaarte hain , is qism ke logon ko awliya allah kaha jaata hain, yani allah ke dost aur uski farmadardaari karne waale

2- dusri qism in kuffar, mushrikeen ,munafiqeen, aur gumraah logon ki hai jo ahkaam ilaahi ko chhod kar shayaateen ki baaton par amal Karte hain, is qism ke logon ko awliya us shaitaan kaha jaata hai yaani shaitaan ke dost aur uski farmabardari karne waale lekin maujooda daur me aam taur par musalmanon ke andar wali ka jo maana aur tasawwur paaya jaata hai wah kuch is tarah hai

1- allah ka wali wah hai jo muqarrab baargaah e illahi hone ki wajah se allah taala ke yahan itna dakheel ho ke apne mureedon aur aqeedat mandon ko apni shifarish ke zariye bakhswa sake, chaahe wah mureed aur khush aqeeda log kitne hi be'amal aur badkaar kyun na hon,

2- allah ka wali wah hai jo ghaib ki baaton ko bata deta ho, aapke dil me kya hai??

3- allah ka wali wah hai jo har waqt allah ke tasawwur me dooba rahta ho aur us wajah se namaz, roza, hajj wa zakaat aur tamaam ahkaam shariat uske liye maaf ho gaye hon, aur tamaam gair sharai kaam karne ki use ijaazat haasil ho gayi ho...

4- jo shakhs ganda rahta ho, gande kapde pahne aur ulool zulool bakta ho, Gaali galoj jiski aadat ho, diwaano ki tarah bad'badaata ho, magar saath saath satte ke number bata deta ho wa makhzoob allah ka wali hai

5- paani aur aag me aise chalta ho jaise zameen par aur kashf wa karaamat ka daawedaar ho....


Haalaanke yah sab quran ki taalimaat ke khilaaf hai.. Quraan ki nazar me waliullaah wah hai jo

1- jo allah ki zaat wah sifaat par imaan rakhta ho aur uske mutabik zindagi guzaarta ho,

2- jo allah ke farishton par imaan rakhta ho aur in par imaan ke taqaaze poore karta ho

3-jo allah ke taamam rasoolon par imaan rakhta ho..

Wagerah wagerah......


Baherhaal kahne ka matlab yah hai ke allah ka wali wah ho sakta hai jo aap(sws) aur aapki laayi huwi shariat par imaan rakhe, aur zaahir wa posheeda par pahlu se uski itteba kare aur jo shakhs allah ki muhabbat wa wilaayat ka daawedaar ho lekin aap(sws) ki itteba na kare wah hargiz allah ka wali nahi ho sakta, balki allah ka Mukhalif, dusman aur shaitaan ka dost hoga,

allah taala ka irshaad hai

" aap kah dijiye agar tum allah se muhabbat rakhte ho to meri itteba karo, allah tumse muhabbat karega"

(aale imran 31)

bhaiyyon ! Kisi shakhs ko wali tasleem karlene ki bahut se logon ke paas daleel hoti hai ke us se baaz karaamaat wa sifaat zaahir hote hain, maslan usne kisi ki taraf ishaara kiya aur wah mar gaya, wah hawa me udh kar makkah pahunch gaya, kabhi paani par chalne laga, uski gair maujoodgai me ya uski wafaat ke baad kisi ne use madad ke liye pukaara aur usne haazir hokar uski zarurat poori kar di, Wagerah wagerah.... Use wali maan lete hain,


jabki inme se koi baat bhi uske wali hone ki daleel nahi hai,

awliya allah sirf aur sirf wah log hain jo islami shaair aur hudood ka pura poora khayaal rakhte hain, momino aur muttaqiyon ke jitne ausaaf kitab wa sunnat me bayaan kiye gaye hain,

lihaaza musalmano ko chahiye Ke wah awliya allah aur awliya e shaitaan ke farq ko acchi tarah samjh len , warna bad'aqeedagi ke shikaar ho jaayenge aur shaitaan apne maqsad me kaamyaab ho jaayega,


ALLAH HAR EK KO SAHIH AQEEDE PAR QAYAM RAKHE......AMEEN

FIQHI DANGAL(AKHAADA)

Bismillahirrahmanirraheem



FIQHI DANGAL(AKHAADA)



Mashoor to yah ho raha hai ke hanafi mazhab ke fuqaha kiraam ne deen ko bilkul aasaan kar diya hai,

quran wa hadith se masail nikaalne bahut mushkil hain lekin hanafi mazhab ki fiqhi kitabon par insaan be'khatak amal kar sakta hai, fiqah hanafi quran wa hadith ka nichhod wa khulasa hai, bilkul saral aur har tarah se aasaan aur qaabil e amal hai,

yah bhi farmaya jaata hai ke fiqah hanafi ki tarteeb hz imam abu hanifa rh ki nigraani me 40 ulema wa fuqaha ki committe ne ki hai, muqallid ahnaaf us 40 ki committee ka zikr bade zor shor ke saath karte hain, aur dusre maslak wa makatib fikr par hanfi mazhab ki afzaliyat wa ahmiyat saabit karne ke liye bhi us committee ka zikr khair kiya jaata hai ,


magar jab kutub fiqah hanafiya ka mutaalbah kiya jaata hai to in tamaam baaton ki haqiqat waajeh ho jaati hai, aur yah baat maalum hoti hai ke hz imam abu Hanifa rh aur inke shaargird ke darmiyaan beshtar masail me ikhtelaaf hai, ek baat ustaad muhtaram ke nazdeek durust hai wahi baat ek shaargird ke nazdeek ghalat , kisi ke nazdeek sunnat hai to kisi dursre ke nazdeek makrooh,

aisa malum hota hai hz imam abu hanifa rh ke shaargirdaraan muqallid nahi they balke wah sabke sab pakke aur ek number ke gair muqallid they,

chand masail ba'taur namoona pesh khidmat hai,



1- "wazu me chehra ka dhona sar(head) ke saamne ki taraf us jagah se jahan se baal ugta hai,udahar kaan tak FARZ hai"

(imam abu hanifa, imam muhammad wa aksar mashaikh hanafiya)

a)- wazu me chehra aur deegar aa'za ko paani se tar kare aur paani na bahaaye to jayez hai

(imam abu yousuf, sharah wiqaaya jild 1 page 33,34 matbua saadiq book depot jama masjid delhi)



2- "dono haathon aur paaon ko kuhni aur takhno samet dhona farz hai"

(imam abu hanifa)


a)- kuhni wa takhna wazu me dhona Farz nahi

(imam abu yousuf, sharah wiqaya jild 1 page 34)



3- "daarhi(BEARD) ke ek chouthaai(1/4) hissa ka masah farz hai"

(imam abu hanifa)


a)- poori daarhi ka masah farz hai

(imam abu yousuf, sharah wiqaaya jild 1 page 39)



4- " mubaasharat faahsha se wazu toot jaata hai"

(imam abu hanifa, abu yousuf)


a)- mubaasharat se wuzu nahi toot'ta

(imam muhammad, sharah wiqaaya jild 1 page 57)



5- wuzu karte waqt jo paani aa'zaa se lag kar girta hai uske baare me mulaheza farmayen

a)- wah paani nijaasat ghaleeza hai (imam abu hanifa)

b)- wah paani nijaasat khafeefa hai (imam abu yousuf)

c)- wah paani khud paak hai magar dusron ko paak nahi karta (imam muhammad)

(sharah wiqaaya jild 1 page 71)



6- " mitti, pathar, ret, sona(gold) chaandi, jin me mitti mili huwi ho, gehon(wheat) aur jo agar ghubaar aalood ho to in par tayammum jayez hai"

(imam abu hanifa, imam muhammad)

a)- mitti aur ret Ke elaawa kisi aur cheez se tayammum jayez nahi

(imam abu yousuf, sharah wiqaaya jild 1 page 82)


7- " namaz me 6 cheezen farz hain, taqbeer tahreema, qir'at, ruku, sujood, aakhir ka qaayeda, aur tashhud ki miqdaar"

(aam hanafi fuqaha)

a)- baaz ne ruku, wa sujood ko ek cheez shumar kiya hai aur salaam wagerah ke saath namaz se nikalne ko 6ti cheez shumaar kiya hai

(baaz hanafi fuqaha)

b)- lekin yah imam abu hanifa hi ke nazdeeq farz hai isi par fatawa hai

c)- imam muhammad aur imam abu yousuf ke nazdeek farz nahi

(ashraaq noori tarjuma urdu karori page no 19,baab siftul salaat matbua maktaba thanowi deoband)



8- " haiza aurat ke liye qur'an majeed ka tilawat karna jayez hai"

(imam abu hanifa)

a)- muallama aurat agar haiza ho jaaye to ek ek lafz karke padhaaye aur har do lafzon ke darmiyaan(saans rok kar) waqfa kare (imam karkhi)

b)- nifs aayat padha kar waqf kare fir aakhir nifs aayat Padhaawe (imam tahawi)

c)- jumbi, haiza, aur muhaddis(be wazu) qur'aan majeed ki kitabiyat usi tarah kar sakte hain, kaagaz kisi takhti par rakha huwa ho, likhe huwe ko haath na lagaaye (imam abu yousuf)

d)- jayez nahi ( imam muhammad)

(sharah wiqaaya jild 1 page 132)



9- "namaz e asar ka waqt do misl saaya hone ke baad shuru hota hai"

(imam abu hanifa)


a)- namaz asar ka waqt ek misl ke baad shuru ho jaata hai (imam yousuf ,imam muhammad)

(sharah wiqaaya jild 1 page 146)



ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE AUR AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.........AMEEN

Tuesday, January 10, 2012

LADAAYI JHAGDE SE ILM KI MAHROOMI

Bismillahirrahmanirraheem



LADAAYI JHAGDE SE ILM KI MAHROOMI:



hz ubaidah bin saamit ra kahte hai ke (ek shab) rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shab qadr ki khabar bayaan karne ke liye (ghar se) bahar aamad hue, lekin do musalman baaham kuch jhagda kar rahe they, isliye shab e qadr ka ilm utha liya gaya (yani shab e qadr na maloom ho gayi aur yaad nahi raha ke kis tareekh ko hai) aur shayad yah hi tumhare liye bahtar hai, lihaaza 27wi, 29wi aur 25wi ko iski justazu kiya karo"

(bukhari, 1919,5702)


FAAYEDA:



Is waqeye se ladaai jhagde aur baahami fitnah wa fasaad ka nuqsaan wazeh hota hai ke is wajah se us awkaat ke barkat ke bahut bade hisse se insaan mahroom ho jaata hai, jispar siwaaye pachhtaane ke insaan kuch nahi kar sakta


yaha is baat ka zikr karna faayeda se khaali nahi hoga ke awaam ki aksariyat shab e qadr 27wi shab e ramzaan ko samajhti hai, halaanke shab e qadr ka 27wi Shab ramzaan me hona koi yaqeeni baat nahi, albatta imkaan zaroor hai, lekin yah imkaan sirf uske saath khaas nahi balke ashrah aakhirah ki har taaq(odd) raat me yah ahtemaal aur imkaan maujood hai, is liye is par asraar karna bhi sahih nahi......

Thursday, January 5, 2012

TAQLEED E AHLE HADITH AUR ULEMA E DEOBAND KA AITRAAZ:

Bismillahirrahmanirraheem



TAQLEED E AHLE HADITH AUR ULEMA E DEOBAND KA AITRAAZ:



Muqallid se sawaal kiye jaane par par ke:-" sahaba kiram ra na to hanafi they, na shafai, na maliki, aur na hambali, phir aap log kyon unka maslak ikhtiyaar karte ho, to deobandi yah jawab dete hain ke sahaba kiram ra bukhari wa muslim wagairah ki kitabein bhi nahi padhte they, inko kyon AHLE HADITH padhte hain"


(ek ghair muqallideen ki tauba page no 15, musannaf mufti zafaruddin sahab mohtamim baabul uloom jaafrabaad delhi,deobandi)


jab muqallid ne yah jumla likha hoga tabhi inko ahsaas huwa hoga ki yah nari kat hujjati hai,

magar waah re taqleed ka ishq! Jo bhi aap se kahalwaaye



sahaba kiram ra allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki hadith ko bila waasta khud aapse sunte ya dekhtey they, ya kisi dusre sahabi se maalum karte they aur uske mutabik amal karte they, aur yahi AHLE HADITH ka tareeqa hai Ke muhaddiseen ke waaste allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki hadith ko maalum karte hain aur uske mutabik amal karte hain,


iske bar khilaaf muqallideen ka aqeeda yah hai ke wah apne imamon ke aqwaal wa raaye aur fatawe ko maalum karke unke mutaabik amal karte hain, khwaah qaul imam hadith rasool(sws) ke mukhaalif hi kyon na ho, jabke isme koi shak nahi ke yah amal saraasar hadith ki tauheen aur shaan e risaalat ki gushtaakhi wa be'adbi hai


ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE WA SUNNE KI TAUFEEQ DE....... Ameen

Wednesday, January 4, 2012

MUHADDISEEN KI BE'ADBI: (HANAFI EXPOSED)

Bismillahirrahmanirraheem




MUHADDISEEN KI BE'ADBI: (DEOBANDI EXPOSED)




Mufti zafaruddin sahab mohtamim madarshah babul uloom jaafraabaad delhi (deobandi) ne apni kitaab " ek ghair muqallid ki tauba" ke page no 12 par muhaddiseen ki be'adbi karte hue unhe gair faqeeh (yani be'samjh) qaraar dete hue ek misaal pesh ki hai yah wahi rati rataaai baat hai jise muqallideen baar baar pesh karte rahe hai aur dar'asal poora kitaabchaah hi pahluon ka chhabaaya huwa luqma hai,

yah wah baatein hain jinka jawab ahle hadithon ki taraf se mukhtasar bhi aur tafseeli ke saath bhi diya jaa chuka hai, jaise ki kitaab

1- al irshaad ala sabeelil irshaad( musannaf maulana ismael salafi rh)

2- saif muhammadi aur mishqaat muhammadi ( moulana muhammad sahab junagadi rh)

3- hasan ul bayan (shaikh abdul azeez rahimabaadi rh)

4- deen muhammadi tarjuma aalamul moqeen (imam ibne qayyim rh)

etc...


Iske elawa aur bhi bahut Saari kitaaben is mauzu par likhi gayi hain,

aayen ab aap ki misaal zikar karke iska jaayeza le liya jaaye-


misaal yah hai ki -" muhaddiseen , dawa farosh(chemist) aur gandhi ki tarah hain, jabke fuqaha, doctor, haqeem, vaidh ki tarah hain"


(ek ghair muqallid ki tauba page 12)


agar muqallideen sanjeedgi se isi misaal par ghaur kar len to inki islaah ke liye inshaallah kaafi hai,

ghaur kijiye agar doctor aisa nuskha(treatment) likhta hai jo chemist ke yahan maujood nahi to mareez ko usse kya faayeda hai,

doctor is baat ka paband hai ke wahi dawa likhe jo paayi jaati hai ne ke farzi dawa likha, jiska wajood hi nahi, isi tarah agar fuqaha sahih hadithon ke hote hue zaeef hadithon ke mutabik masla bataayen to in ka masla mardood hoga


ek taraf muqallid sahab muhaddiseen ko dawa farosh se nawaazte hain dusri taraf ye bhi farmate hain ke ,muhaddiseen rh ne apni bisaat ki hadd tak tafaqqa se kaam Liya (pg no 12,

mazeed farmate hain:-" imam bukhari rh, imam tirmizi, imam ibne majah ne jama hadith ke saath saath tafaqqa fil deen ke qaabil taareef khaake par kiye hain"( pg no 12,13)


ghaur ka maqaam hai ke ek taraf to muhaddiseen ko muqallid bhi bataate hai, dusre taraf ye bhi kahte hain ke unhone taqaffa se kaam liya aur iske qaabil taareef khaake par kiye, ek aadmi jo faqeeh aur mujtahid hoga use taqleed ki kya zarurat??

Aapne kutub sittah ke maulafeen me se sirf 3 ka naam liya aur teen ka naam kyon chhod diya??

Khususan imam abu dawood aur nisaai ka , jabke unhone abwaab fiqah ke mutabik hi apni kitaben murattab ki hain aur aap ko maalum hona chahiye ke muhaddis apne istanbaat wa ijtehaad ke zariye hi hadith par baab qaayam karta hai......


ALLAH HAMEN HAQ BAAT SAMJHNE AUR KAHNE KI TAUFEEQ DE..... Ameen

Tuesday, January 3, 2012

AASAAN KYA HAI ! FIQAH YAH HADITH?

Bismillahirrahmanirraheem



AASAAN KYA HAI ! FIQAH YAH HADITH?



mufti zafaruddin sahab mohtamim mardarsa bab ul uloom jaafraabad dehli(deobandi) likhte hain:


" maine aap se arz kiya tha ke gair muqallideen deen ki ataa kardah sahuliyat se marhoomi ko tarjeeh dete hai, isse mera ishaara us taraf tha ke ek aam shakhs jo deen ka ilm muqammal haasil nahi kar sakta wah kisi mustanad imam fiqah ki taqleed akhtiyaar kare to use hadith ki tamaam kitabon ke mutaala ki zarurat baaqi naa rahegi"

( ek gair muqallideen ki tauba page no 35)


deobandi aalim ki ye sharten padh kar chand sawalaat zahen me aate hain:


1- kya kisi mustanad imam fiqah ki taqleed ke liye uski fiqah ki kitabon ko padhne ki zarurat nahi hai ??

2- jis tarah fiqah ki kitaben padhi ja sakti hain kya hadith ki kitaben nahi padhi ja sakti??

3- hadith aur fiqah dono ki kitabon ki zabaan arabic hai ya dono ki zabaan alag alag hai??

4- Hadith samjhna zyada mushkil hai ya fiqah samjhna??

5- bukhari ka tarjuma padhne me zyada mashaqqat hai ya hidaya ya alamgiri ka??

6- kya har muqallid fiqah ki kitaben padhta hai, ya kisi aalim se pooch leta hai??

7- jis tarah ek muqallid fiqah ka masla pooch kar amal kar sakta hai , ahle hadith, hadith ka masla pooch kar amal kyon nahi kar sakta?

8- sahaba jab rasoollullah sallalaho alaihi wasallam ki zabaani sunte they to kya kisi faqeeh sahabi ke paas samjhne jaate they,ya fauran amal karte they ? Agar fauran amal karte they to aaj kisi hadith par amal karne ke liye faqeeh ki ijaazat ki shart kyon ??


9- kya hadith par amal karne ke liye hadith ki tamam kitabon ka mutaala zaroori hai ??



Muhaddiseen poori mahnat hadith ki sehat aur zaef ka motbar faisla de chuke hain, bukhari wa muslim ki tamaam hadithon ke sahih hone par ummat mutawaffiq ho chuki hai, sunan arbah, moatta aur musnad ahmad ki, Beshtar hadith sahih aur aitraaz se paak hain, ab sahih hadithon par amal ke liye kisi qism ka azar baaqi nahi rah jaata, hadith ko chhod kar fiqah par amal karne me sahooliyat ka daawa saarasar jhoota daawa hai, jiska haqiqat se door ka bhi waasta nahi....



ALLAH HAMEN SAMJHNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN




#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks