Monday, October 22, 2012

FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-1)







Bismillahirrahnirraheem



FITNA-E-NAJDIYAT AUR ULEMA E HIND : (PART-1)



Hindustan par us waqt Angrezon ki amal daari aur unki poori huqmaraani thi,

balke ye unka urooj tha jis waqt hejaz me qabron ko inhedaam ki saari kaarwayi ho rahi thi,

hussain Shareef, makka jo angrezon ka us waqt agent tha, aur unhin ki madad se wahan  hukumat kar raha tha,

Angrezon ko uski hukumat se kai tarah ke faayede they, hajj ki jo aamdani hujjaj kiram se TAX ki soorat me wasool hoti thi, usme bhi uska hissa tha, aur bil'wasta hukumat hone ki wajah se wahan ke deegar wasail aamdani bhi uske qabzah me thi,

sabse badi baat ye hai ke hajj ki kunji (key) ya darwaza (gate ) " JEDDAH " ki bandar'gaah (seaport) angrezon ke paas hussain shareef makka ne rahen (girwi, mortagage) rakh chhodi thi,

is tarah " JEDDAH " angrezon ke zer e nigraani ho gaya tha, aur hajj band kar dena angrezon ke baayen haath ka khel ban gaya tha,

magar jab Shareef makka ke haathon se hejaz nikal gaya toh angrezon se sab kuch chhin gaya,

angrez apni is shikhast aur nuqsaan se tilmilaya hua tha hi, theek isi tarah un maqbaron ke inhedaam ki  kaarwaahi bhi wahan shuru ho gayi thi,

chunanche shaatir dimagh (clever minded) angrezon ko musalmano ke jazbaat se khelne aur apne jabzeh inteqaam lene ka mauqa haath aa gaya. Shah saud ka wah kuch bigaad nahin sakta tha, angrezon ne nihaayat makkari se ye PROPAGANDA karna shuru kar diya ke Muhammad bin Abdul Wahab Najdi Tamimi (rh) ke huqm se na sirf sahaba kiram (ra) ke maqaabir balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  ke rozah anwar ki NAOZUBILLAH inhedaam ki Kaarwaahi shuru ho rahi hai,

Ye jhooti aur be'buniyad khabrein aisi na thi jis par musalman chup baithe rahte,

chunanche is jhooti  khabar ke mashoor hote hi, hindustan ke goshe goshe me be'chain, ihtejaj, hangame , aur saudi hukumat wa Sheikh Muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki khilaaf naaron aur nafrat wa adaawat ka ek toofaan aagaya....!!


Bani Barelwiyat janab Ahmad raza khan barelwi hanfi, jo apne khaandani " Sabayi Mijaz " ke bina par arsah daraaz se Tafreeq bain ul muslimeen aur millat e islamiya ke inteshaar wa inhetat ka khwaab dekh rahe they, wah  in sab baaton ka baareeki se jayeza le rahe they,

Unhone Mauqa dekha, mauqa ghanimat hai, muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) se hindustan ka musalmam nafrat karne laga hai, aur unke inhedam maqabir ke is kaarnaame par bar'mala unko bura bhala kahta hai,

unhone logon ke is rujhaan aur bhadakte hue jazbaat se poora faayeda uthaane ke liye ek jaame mansooba tarteeb diya,

Ahmad raza khan barelwi ne sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ki kirdaar'kashi ki gharz se seerat un nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me maujood hijrat ke waaqeye me Shaitaan laeen ka " Sheikh najdi " ki shakhl me quraish makka ke mashware me shirkat aur abu jahal ki tajweez ke mutaabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko chupke ke qatal karne.........(READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 1)


Is waaqeyi ki  bharpoor taeed ka sahara lekar NAJD aur AHLE NAJD ko Badnaam karna shuru kar diya, aur najdion ke khilaaf jazbah adaawat ko mazeed hawa dene ke liye Sahih bukhari Kitabul fitan me Maujood " hadith e najd" ke us pahluon ko aawaam un naas ke saamne kiya.. (READ NAJD AUR NAJDIYAT KA JAYEZA PART 3).

Jiske mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne "najd" ke  sar'zameen ke liye dua e barkat farmane se gurez farmaya hai, aur use fitno ki zameen bataya tha,


" Faazil Barelwi " Ahmad raza khan sahab ne Nihaaya chalaaki (cleverness) se hadith me is fitna ka misdaaq Sheikh ul islam muhammad bin abdul wahhab najdi tamimi (rh) ko thahraaya, Kyunki unka taalluq najd ke elaaqe se tha,

ye dono baatein awaam un naas ke saamne pesh karne ke baad sheikh muhammad bin abdul wahab (rh) ko " Sheikh Najdi " ki munaasibat se Shaitaan, mardood, kafir, aur laanat ka mustahiq thahraana koi mushkil kaam na tha,


Ahmad raza khan sahab barelwi Bar e sagheer hind o pak ke Tauheed pasand musalmano aur ahle sunnat ulama ke tabqa se, jo shirk wa bidat ke gumrah kun aqaid wa amal aur ghair islami riwaayaat ke khilaaf aawaaz uthate rahte they, unke khilaaf ahmad raza khan pahle hi Se naraaz se kyonki un ulema e haq ne un rasmon par lagaam lagaani shuru kar di thi, aur is silsile me ahle shia ki bhi saari koshishen be'asar hokar rah gayin thi,


Lihaza un ulema e haq se badla wa badnaam karne ke liye janab ahmad raza sahab " Fazil barelwi " ne intehaai Chalaaki aur fankaari ka muzaahera karte hue hindustan ke un tamam tauheed pasandon ko bhi muhammad bin abdul Wahab najdi tamimi (rh) se jodh diya,

kyonki shirk wa bidat ke khaatme aur tauheed e khalis ki dawat dono me yaqsa haisiyat rakti thi,

shiya " nasibi " jiska waazeh mafhoom Yahan " bad'mazhab " aur " dushman e ahle bait " hota hai, aur ahle shia apne elaawah saari duniya ke musalmano ko sadiyon se " naasibi " samjhte aur kahte chale aa rahe hai,

Ahmad Raza Khan sahab ne Shi'ee istelaah " naasbi" naam badal lafz " Wahabi " Tajweez kiya, yani muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ke pairokaar hamnawa !

Ye nayi istelaah na sirf ye ke naasbi ke ham'wazan aur ham'qaafiya thi, balke uska jo khud'shaakhta mafhoom logon ke zehno me utaara gaya,

wah bhi shi'ee istelaah " naasbi " ki tarjumani karta hai,

Shion ke yahan naasbi " bad'mazhab " aur " dushman e ahly bait " aur " dushman e awliya " baawar karaaya

chunke us waqt hejaz me saudi hukumat ke qayaam ke saath hi quboor sahaba kiram (ra) ke Inhedaam ki kaarwahi ke baad "gumbad e khijra " ko bhi mismar kar dene ki jhooti afwaah hindustan ke muslim awaam ke jazbaat intehaai garam they, aur us waqt soorat e haal aisi thi ke muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) se mansoob karke jo baat bhi unke saamne kah di jaati log us par aankh band karke yaqeen kar lete,

chunanche khan sahab barelwi ne loha garam dekh kar apni khud'saakhta istelaah " wahabi " ko tauheed ke hamnawa aur shirk wa bidat ke mukhalif musalmano hind ke khilaaf ba'taur gaali istemaal karne aur awaam un naas ki zabaan par " WAHABI " ki is gaali ko rawan dawan karne ka himmati faisla kar liya,

lihaza is lafz ke khilaaf nafrat wa adaawat ki aag ko aur zyada hawa dene ke liye, fatawa jaari kiya ke

" Wahabi, yahud wa nasaara aur majoosion se bhi bad'tar hai, aur inka kufr unse bhi zyada hai "

(fatawa rizwiya jild 3 page 6)

agla fatawa waarid hua,

" wahabi, har asli yahudi  Nasrani but parast aur majoos se bhi sabse zyada khabees azar aur bad'tar hai."

(ahkam e shariat pg 1124, ahmad raza khan )


ye fatawa bhi logon me maqbool ho gaya toh phir aawaam ko bataya gaya

" ye kutte se bhi bad'tar hain, ke kutte par azaab nahi aur ye azaab e shadeed ke mustahiq hain "

( fatawa rizwiya jild 5 pg 138)


in lagaataar diye gaye fatawon ka nateeja ye hua ke awaam ke bhadakte hue jazbaat ko taskeen aur tasalli hui,

aur wah itni door se saudi hukumat ya muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka to kuch na bigaad sakte they, un fatawon ke baad na sirf ye ke khule aam unhen aur barre sagheer ke tamam tauheed pasandon aur mukhaalifeen e shirk wa bid'aat ko burabala kafir wa murtad kah kar aur wahabi ki gaali de kar DIL thanda karne lage,

balke is tarah khan sahab barelwi , awaami maqbooliyat me bhi roz ba'roz izaafa hone laga....


Baherhaal ye ke " naasbi jaisi mashoor Shi'ee Istelaah ke maqam par " wahabi " ke lafz ke zariye TABARRA ki techniq ki be'misaal maqbooliyat aur khilaaf e tawaqqo aftaraaq bain ul muslimeen ke mansoobe ko kaamyabi se ham'kinaar hote dekh ahmad raza khan sahab barelwi ke hauslon ko bulandi mili aur inteshaar e ummat ke Sabaayi  khwaabon ki ek numayan taabeer saamne aate dekhkar unke takfeeri fatawon me izaafa hota gaya aur wah kaamyabi ke nashe me be'khud hokar lagaataar fatawon ke ambaar lagaane lage, jaise

" wahabi murtad wa munafiq hain aur uper se kalma go hain "

( kokabul shahabiyah pg 1112)

aur ye ke

" unhen musalman samjhne waale ke peeche namaz jayez nahi "

(fatawa rizwiya jild 6 pg 81)

phir farmaya ke

" wahabion se musaafa karna na'jayez aur gunah hai,"

( fatawa rizwiya jild 4 pg 218)


aur apne jaahil muqallidon ko aagaah kiya ke

" wahabion ke salaam ka jawab dena haram hai "

( fatawa africa pg 1170)


Haqiqat ye hai ke " tabarra" Ahle shia ke tarkash ka ek aisa " zahreela teer " hai, jiski parwaaz me ghaiz wa ghazab ki chinghaadh, nafrat wa adaawat ke sholey, bugz wa anaad ki tezi, aur sansanaahat ke elaawah maqooliyat sharaafat wa adal wa insaaf aur insaaniyat ki qadaron ka ek tukda tak nahin milta, uska target aur maqsad apne mukhaalifeen ko ziyaadah se ziyadah zahni aziyat aur taqleef pahunchaana aur unhen ghussa aur jhunjlaahat me mubtela karna hai, aur bas is tarah fareeq mukhalif ke tilmilaane aur apni botiyan nochne ke tasawwur se unhe lazzat aur khushi milti hai,

" ilm e nafsiyaat " ke mutaabik ahle shia ke " tabarra " ka ye tarz e amal dar'haqeeqat Unke aziyat'pasandi yani ( SADISM) Ke zahni marz ki ek soorat hai,

maheereen e nafsiyaat ki tahqeeq ke mutaabik ye khatar'naak zahni kaifiyat dimaghi adam e tawazan aur junoon (MANIA) ki alaamat hai,

kya ye dimagi adam e tawazin aur zahni marz me mubtela hone ki alaamatNahin ke koi insaan tabarra ke junoon ka shikaar hokar us baat ko bhi qatai faraamosh kar de ke uski zabaan wa qalam se nikalne waale alfaaz maaqooliyat aur haq wa insaaf se kitni mutaabeqat rakhte hai,

misaal ke taur par, bani barelwiyat janab ahmaq raza khan sahab ke tabarra aur ghaiz wa ghazab ka ye naadir namoona mulaaheza farmaayen, wah farmate hain,

" kufr me yahud wa nasaara se bad'tar hain, hindu , majoos se bad'tar aur wahabiya hinduon se bad'tar hain "

( fatawa rizwiya jild 6 pg 13)


Zara ghaur farmaiyye ! Ke 33 crore devon  aur devtaon ke maanne waale aur khule aam buton ki pooja karne wale hindu, khan sahab ke nazdeek un tauheed paraston aur kalma go musalmano se lakh darje bahtar hain, jo quraan wa sunnat ke bataaye hue tareeqon par gham'zan  sunnat e rasool ke shaidaayi aur islami riwaayat ke muhafiz aur ameen hain,

goya quraan majeed ke alfaz hain

" unhone (musalmano se ) is baat ka  Inteqaam liya ke wah ( unki khurafaat ke bajaaye ) allah ghalib wa zabardast saza'waar e hamd par imaan rakhte hain "

(surah burooj 8)



TO BE CONTINUED...........

Saturday, October 20, 2012

TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)




Bismillahirrahmanirraheem



TAANA E NAJDIYAT AUR WAHABIYYAT KA PASH-E-MANZAR (PART 5)


Taareekh ki is haqeeqat se inkaar nahin kiya ja sakta ke (turk) qaum jo kai 100 saal tak aalam e islam par hukumat karti rahi, aur turk hukmaran ba'haisiyat (khalifatul muslimeen ) hejaz par qaabiz aur " khadim ul haramain sharifain " ke magh'ruz laqab se pukaare jaate rahe they,

isi tarah tatari yani  mongol (mughals) donon qaumein jo jadi aitbaar se ek hi nasal se taalluq rakhti hain,

daayerah e islam me daakhil hone se pahle un dono ka shumaar duniya ki intehaayi ujad na'maqool aur wahshi qaum me hota tha,

ye log is qadr wahshi aur ghair mazhab they ke jab kisi ilaaqe par yalghaar karne ghode ki peeth par baith kar jaate toh dauraan e safar bhookh mahsoos hone par chalte chalte hi kamar se khanjar nikaal kar apne ghode ki gardan me ghonp dete aur wahan se nikalne waala garam garam khoon peene ke liye zakhm ke  Maqaam par apna munh laga lete,

isi tarah ye wahshi din wa raat ghode daudaate , mahino ka safar dino me taiy karte, manzil e maqsad par pahunch jaate they, iske elawa wah CHANGEZ KHAN ke ahad se hi unke yahan ye dastoor bhi chala aa raha tha ke wah jis shaher aur maqaam par fatah haasil karte toh maftooh aqwaam ke mard, aurton aur bacchon ke sar (head) tan se juda karke unki khopdiyon ko chunkar alag alag minaar banaate, aur is par fakhr karte they,

saqoot (fall) e baghdad ke baad HALAAKU KHAN ki fauzon ne baghdad ke 14 lakh musalmano ki khopdiyon se jo minaar banaaye they, wah ba'qaul ibn khaldun unki guzashta taareekh ke tamam minaaron par bulandi me sabqat le gaye they,

isi tarah maghruz aur barguzeedh afraad qaum ke marne ke baad unki qabron par aalishaan maqbare aur gumbad banaane ka riwaaj bhi, unhen wahshi tatarion ne hi daala tha,

Tareekh me pahla maqbara changez khan ki qabr par banaaye Jaane ki shahadat milti hai,


Yahi tatari jab musalman hue, apne ilaaqon ya qabail ke aitbaar se  MUGHAL ya TURK ke naam se pukaare jaane lage, tab bhi islam ki paakizah taalimaat ke nateeje me agarchah unki wahshi fitrat me bahut kuch sudhaar aa gaya tha,

lekin bahut si baap dadaon ki rasmein unse phir bhi na chhoot sakin,
isi tarah jaise ham hindustan ke musalman sadiyon se daaman e islam se wabasta hone ke ba'wajood shadi wa ghami ke mauqon par be'shumaar hindu'aana rasmon se aaj bhi chimte hue hain, aur unko tark karne par aamaadah nahi hote,

chunanche khilafat e baghdad ke zawaal ke baad jab khilaafat ki zimmadaariya kulli taur par usmani turkon ke haath aayi, toh unhone apni  qalm ro mein har jagah ba'taur ehteraam sahaba kiram (ra), aimma e deen, awliya allah aur aimma e deen ki qabron par apni qaumi mijaaz aur TATARI rasm wa riwaj ke mutaabik aalishaan gumbad aur khoosurat maqbare taameer Kar daale,
sadiyon tak aalam e islam khususan haramain sharifain un usmani turkon ke zer e nigraani rahe, jiski wajah se wahan par tamam sahaba kiram aur buzurgaan e salaf wa khalaf ki qabrein pukhta aur aalishaan maqbaron me tabdeel hogayin,

dheere dheere jab imte'daar zamana ke saath musalmano me zahni aitbaar se badlaao aaya aur shirk wa bidat ko farogh hua toh sahaba kiram (ra) aur buzuraan e deen ke un maqbaron  par shirk wa bidat ki wahi tamam khuraafaat hone lagin,

jis tarah aaj hindustan me kaliyar, ajmer, dewa, bahraich, barabanki, nizam ud deen awliya dehli ke maqbaron par hote hue ham apni aankhon se dekhte hai,

lekin haramain sharifain ke zer e saaya ye shirk aur allah wahdaaniyat ka MAZAAQ kab tak ???

Chunanche hejaz aur haramain sharifain par saudi hukumat ka daur shuru hua toh ameer saud ne apne sheikh wa murshid MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ko " mufti e azam " ka ohda Aur unhe " sheikh ul islam " ka mansab ata kiya aur unke mashwaron aur fatawon ki buniyaad par hi saudi mumlakat me deeni kaam anjam diye jaane lage,

sheikh ul islam hz muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) jo hambali maslak ke aalim they aur theek isi tarah hambali aqaid par amal paira they, jo mazi me sheikh abdul qadir jilani (rh) ka tareeqa aur tarz e amal raha hai,

muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ka sabse bada jurm haramain sharifain aur sar'zameen najd wa hejaz me jagah jagah bane hue sahaba kiram aur deegar saaliheen ummat ke pukhta maqbare khusatan madeena munawwara me " jannatul baqi'e " ki  qabr e muqaddasa par bani imaarton aur qubbon ke inhedam (destroy) ka amal bataya jaata hai,

aur is par unhe kafir, murtad,  aur na jaane kiya kya kaha jaata hai,

jazbaat ki nazar se hatkar agar insaaf ki nazar se dekha jaaye aur unke is kaam ka thande dil se jaayeza liya jaaye toh Bila'shubah wah bilkul hi be'gunaah dikhaai denge,

aur allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki is hadith shareef par amal paira honge ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qabron ko pukhta aur un par imaarat wagerah banaane se mana farmaya hai,

" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qabron ko choona'gach (pukhta) karne se, unpar baithne se, aur unpar imaarat tameer karne se mana farmaya hai "

( sahih muslim kitabul janaiz )


aur unhone ek hambali aalim e deen hone ke naate jo kuch bhi kiya, agar sheikh abdul qadir jilani zindah hote toh aise haalat me wah bhi fiqh hambali ki ru se yahi sab kuch karte,

ham yahan is baat ki wazaahat kar den ke fiqh hanafi ki kitabon me likha hai ke qabr banaate waqt uski bulandi ek ba'lisht zameen se ubhri hui rakhi jaani chahiye taake ye log be'dhyaani me aam zameen ki tarah sapaat jagah samjh kar uspar chalne ya uspar Pair rakhne se ghurez karen,

lekin fiqh hambali me ye gunjaish nahi hai, wah log qabron ko zameen ke baraabar kar dene ke qayel hain, aur iski daleel me hadith pesh karte hain,

jo hz ali (ra) se marwi hai aapne abul hayaz asdi (ra) se farmaya tha ke:-" main tumhe us kaam ke liye kyon na bhejun jis par mujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bheja tha, yani kahan koi tasweer ya but dekho use mita do, aur jo qabr zameen se unchi dekho use baraabar kar do "

(tirmizi jild 1 pg 125)

chunanche sheikh ul islam muhammad bin abdul wahab najdi tamimi (rh) ne apne hambali maslak ke mutabik shah saud ko in tamam maqbaron ko gira dene aur unhen zameen ke baraabar kar dene ka huqm diya gaya,

bas ! Is khabar se duniya ke tamam khaankahon wa quboori musalmano me be'chaini ki laher daudh gayi, khaas taur par hindustan me ek toofaan barpa ho gaya,

sahaba kiram (ra) ki tamam qabr e muqaddasa par jin  Par ba'qaayedah shirkiya rasmein aur chadhaawe chadhaaye jaate they, unse minnat aur muraaden maangne, log door door se aate they,

unko theek isi tarah  tauheed ke tahaffuz (hifazat) aur shirk se hifazat ke liye mismaar kar diya gaya,

jis tarah ameer ul momineen hz umar bin khattab (ra) ne apne daur e khilaafat me hudaibiya ke maqaam par wah darakht jiske neeche " bait e rizwan " hui thi, aur jiska zikr quraan majeed me bhi aaya hai, logon ne wahan jaakar aur us darakht ke neeche nawafil padhne ka riwaaj dekhkar tauheed ki hifaazat aur shirk ke imkaan ke pesh e nazar hz umar (ra) ne us darakht ko jad se ukhadwaa kar phenkwa diya tha,

halaanke us waqt daur e farooqui me wahan kisi qirm ke shirk ka aaghaz nahin hua tha, sirf namazein hi wahan padhi jaane lagin thi,

jabke iske bar'khilaaf daur e saudi se pahle sahaba kiram (ra) ki un qabr muqaddasa par arsah'daraaz se shirk ki mahfilein jami thin aur Chadhaawe aur nazraane wagerah chadhaaye jaate they,

aisi soorat me ek  zimme'dar aalim e deen ke liye un ghair islami aur shirk ke ghadh imaarton ko mismaar aur nest'nabood karna, sheikh ul islam hone ke naate na'ghazeer tha aur wahi hua........


TO BE CONTINUED......

FITNO KI AAMAD'GAAH TAREEKH KE AINE ME : ( PART 5)







Bismillahirrahmanirraheem



FITNO KI AAMAD'GAAH TAREEKH KE AINE ME : ( PART 5)






Sar e zameen IRAQ jo pahaadi dhalaan aur buland pathreeli maidano  ki kasrat ki bina par daur e risaalat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me " najd " ke naam se pahchaani jaati thi, aur wah madeena ke theek mashriq ki jaanib " zaat e arq " ke maqaam meeqaat ke us paar se shuru ho kar iraq me basrah aur koofa tak chali jaati hai, zabaan e risaalat ne us sar'zameen ko fitno ki aamad'gaah aur gumraahion ka markaz bataya hai,

aiyye dekhen tareekh ki roshni me kaun kaun se fitne paida hue hain

1- nawasa e rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jigar goshe hz hussain (ra) ki shahadat aur khaadaan risaalat ki tabaahi aur barbadi ka waqeya IRAQ ki hi sar'zameen par " KARBALA" ke maqam par iraaqion Ke haathon pesh aaya,

2- jung e jamal aur jung e siffin, jin ke nateejah me sahaba kiram (ra) ka qeemti khoon baha aur jiski bharpaayi rahti duniya tak na ho sake gi, ye jagahen IRAQ ke ilaaqon me hoti thi,

3- hz muslim bin aqeel (rh) ki mazloomanah shahadat aur hajjaj bin yousuf ka zulm wa sitam ki daastaanein bhi sar'zameen IRAQ me raqam hui thi,

4- mukhtar bin obaidullah sakfi ne dawa e nubuwwat IRAQ hi ki sar'zameen par kiya tha,

5- khwarij ka fitna bhi iraq hi me paida hua tha, jiski sarkobi hz ali (ra) ke haathon iraq ke maqam " harra " me anjaam paayi,

6- fitna rawafiz yani SHIA mazhab ki shuru'at bhi IRAQ khusu'san koofa aur basra se hui thi,

7- jahmiya ka fitna jiska maujid jaheem bin safwaan iraaqi tha, iraq hi se shuru hua tha,

8- MOTZALA ka fitna, jisne khalq qur'aan ka aqeeda  taraash kar ummat e muslima me shor barpa kara hua tha, jiske nateeje me imam ahmad bin hambal (rh) aur Be'shumar fuqaha aur muhaddiseen ko na'qaabil bar'daasht zehni aur jismani aziyatein bar'dasht karni padi, uske baani wa ma'bani IRAQ hi ke bashinde they,

9- bid'ati soofiya ka fitna bhi iraq hi me paida hua tha, jiske nateeje me halool aur ittehaad jaise be'shumar gumraah'kun afkaar wa nazariyaat  islam me raah pa gaye,

10- banu umayya aur banu abbas ki aapsi rishta'kashi jiske nateeje me millat e islamia ka zawal paida hua, aur bil'aakhir TATARION  ke haathon saqoot e baghdad ka manzar pesh aaya, jiske nateeje me BAGHDAD ke andar 3 din me 16 lakh farzanda'ne islam ko un zaalim TATARION ne tama'tegh kar daala, jinke khoon se dariya e dakhla ka paani laal (red) ho gaya tha, taareekh e islam ka ye manzar bhi IRAQ ki sar'zameen se talluq rakhta hai,...

11- abhi haal hi me  iraq ke sadar Saddam hussain ke zariye padosi mulk " kuwait " par raaton raat ek lashkar jaraar ke saath jaarhaana hamlawar uspar IRAQ ke najayez qabze ke baad do marhalon me " khaleeji jung (gulf war ) ke nateeje me, AMERICA aur uske SAATHIYON  ka  IRAQ par na'jayez qabza aur uske faujion ke iraq ki jail (abu gharib ) me Iraqi Qaidion par insaaniyat ke khilaf zulm, ki daastaan ab bhi jaari hain, aur maujooda daur ka har padha likha shakhs pesh'aamdah baat se waaqif hai,

12- IRAQ ki himaqat aur aaqibat na'andeshi ke nateeje me millat e islamiya ko sabse bada nuksaan ye pahuncha ke yahud aur nasaara jinko hz umar (ra) apne daur e risaalat me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wasiyat wa hidayat ke mutaabik " jazeeratul arab " se baaher nikaal diya tha, 1400 saal baad unke napaak qadam ek baar phir arab ki sar'zameen par pahunch gaye aur unhone apne sahyooni hathkandon (zionist conspiracy ) se na sirf IRAQ aur SAUDI ARAB aur KUWAIT balke khaleej ke saare mumalik ko apna ghulam bana liya hai, aur unke tail (oil ) ke Kuwwon ki saari paidaawar ab dushman ke haathon me aur unke raham o karam par hai,


IRAQ ke bil'muqaabil ham " najd e yemen " yani saudi arabia ke maujooda sooba " najd " se uthne waale fitnon ki talaash aur unka jayeza lete hain toh taareekh ke safon par hamen " musailma kazzab " ke chhoti nubuwwat ka fitna ya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke fauran baad arab ke besh'tar qabail ke inkaar e zakaat ki  laher me qabail najd ke besh'tar ta'dad shamil ho jaane ke elaawah aur koi source nazar nahin aati hai,

baher'haal ye dono fitne yani musailma kazzab ke fitna ka khatma aur najd ke qabail samet tamam baghi qabail ka khatma wa tadeeb daur e siddeeqi me hi hogaya tha,

uske baad se ARAB me koi hungama barpa nahin hua,


jahan tak SHEIKH UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB (RH) NAJDI TAMIMI ki zaat giraami ki baat hai toh aap bila'shubah ek azeem mujahid e qaum aur sacche muwahhid aur Sunnat rasool ke shaidaayi they,

maslakan hambali mazhab ke pairokaar  they aur imam ibn taimiyya (rh) se be'had mutaassir they, shirk wa bidat ke khilaaf aapka jihaad najd wa hejaz ke ilaaqa ke liye baraan e rahmat saabit hua,

turkon ke taweel daur hukumat ke nateeje me sar'zameen "hejaz wa najd e yemen " me.... Duniya ke deegar muslim mulkon ki tarah QABR'PARASTI aur AWLIYA'PARASTI rasam wagerah islami aqaid  me shamil karke jis tarah Islaam ko daaghdaar aur awaam un naas ko shirk wa bidat ka shaidaayi bana rakha tha,


SHEIKH UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHHAB NAJDI TAMIMI (RH) ki mujahidaanah koshison se unke aqeedon ko hejaz sar'zameen se pak kiya, aur quroon e oola ki tarah ek baar phir ye muqaddas Sar'zameen TAWHEED ka markaz aur QURAN wa sunnat ki taalimaat par amal kaam namoona ban gayi......



ALLAH TAALA HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE........AMEEN

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 4)






Bismillahirrahmanirraheem



NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 4)



Yahan ham ye baat waazeh karte chalen ke daur e risaalat me waadi " najd e yemen " ka sabse ba'asar, aur zorawar qabeela " BANU TAMIM " tha jo apni inferaadi quwwat arab qabail me asar aur shaja'at wa shakhawat me mashoor tha,


sahih bukhari ki ek riwayat ke mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne qabeela banu tamim ke baare me irshad farmaya tha ke

" ye log hz ismael (as) ki awlaad me se hain "

hadith e nabwi is tarah hai,


hz abu hurairah (ra) farmate hain ke main banu tameem se ta'zindagi muhabbat karta rahunga, kyonki maine allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se uske baare me 3 baatein suni hain,

1- aap ne farmaya ke banu tameem ke log meri ummat ke andar dajjaal ke baare me sabse ziyadah shakht saabit honge,

2- ek baar unke sadaqaat unki khidmat me laaye gaye toh aapne farmaya ke Ye meri qaum ke sadqaat hai,

3- banu tameem ki ek bandi hz aisha (ra) ke paas thi, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unko huqm diya ke is bandi ko azaad kar do kyonki ye hz ismael (as) ki aulaad mese hai "

(sahih bukhari jild 1 pg 626)


waazeh rahe ke janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) khud bhi aulaad hz ismael (as) se hain isliye nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne banu tamim ke sadqaat ko apni qaum ke sadqaat farmaya tha,

muhaddis hind sheikh ali muttaqi (rh) ne tauseeq rijaal ke saath hz abu hurairah (ra) ki ye riwayat apne murattab kardah " majmua hadith ( kanzul ummal )" me zikr kiya hai,


ek martaba arab qabail ka tazkirah darbaar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me hua toh logon ne daryaaft kiya:-" ya rasoollullah ! Aap banu tamim ke baare me kya kahte hain ??

Toh aapne farmaya:-" allah taala banu tamim ke liye siwaaye bhalaai ke Har cheez ko pasand karta hai, banu tamim ke logon ko deen par saabit qadam rahne waale, bade saro waale daanish'mand aur bahadur hote hain, jo unse dushmani karega, unka kuch nahin bigaad sakega, ye log aakhiri zamaana me dajjaal ke muqaable me sabse zyada shakht saabit honge "

( kanzul ummal jild 6 pg 199)


Ghaur karne ki baat ye hai ke jis qaum ki taareef wa tauseef allah taala aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne khud farmayen, jinke aqal wa daanaai, bahaduri aur saabit qadmi ki  taareef karte hue allah ke rasool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) unhen hz ismael (as) ki aulaad hone ka certificate inaayat farmaaye aur isi bina par banu tamim ko apni qaum qaraar den, aur unke baare me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka ye irshad farmana ke:-" allah taala banu tamim ke liye bhalaai ke elawa har cheez ko pasand farmata hai "

aur unhi fazail ki wajah se hz Abu hurairah (ra) aur tamam sahaba kiram us qaum ko mahboob rakhen,

usi qaum ke ek fard aur aalim e deen SHEIKH UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ko chand be'buniyad aur jhooti afwaahon ke nateeje me.......... Jo shaatir angrezon ne aur unke ahl karo (barelwis) ne muddat daraaz se barre sagheer hind wa paak  ke musalmano ne phaila rakhi hai,.......


Hind wa paak ka ek makhsoos bidati tabqa unhen KAFIR aur MURTAD kahta hai, aur unke jaanasheen imam haram aur  masjid nabawi ke imamon ko khaarij e islam samjhta hai, aur unse intehaai nafrat aur bughz wa adaawat rakhna "FARZ " qaraar deta hai,

tamasha'bazi wa tafarraqah toh ye hai us khaas tabqa aur us zehniyat ke log jab hajj ke liye jaate hain toh ye log makka mukarrama aur madeena munawwara me dauraan e qayam jab haramain me azaan ki aawaaz buland hoti dekhte hain toh intehaai ujlat ke saath us firqe ke log haram se nikal kar apni Iqaamat gaahon ki taraf bhaagna shuru kar dete hain, ya phir hujjaj kiram ki bheed me  bhaagne ka mauqa nahi milta hai toh haramain sharifain me bane bait ul khala me ghus kar dauraan e namaz khud ko chhupaye rakhte hain,

halaanke unke elawah saari duniya ke croron musalman....... Mukhtalif fiqhi mazahab ke aur aqaid wa amaal ki aqeedon ke ba'wajood....... Haramain sharifain ke qaabil e ehteraam imamon ke peeche bila'karaahat namazen padhte hain, balke unki iqteda me namaz ada karna apne liye ba'as e sa'aadat samjhte hain,

haramain sharifain ke imamon ko KAFIR wa MURTAD kahne waale naadaan aur khud'fareb log apne us baatil aqeede re mukhalifat sahaba kiram (ra) aur takzeeb farmaan nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke martakab hokar kiya apna imaan nahin gawa rahe hain ???


Najd aur ahle najd par laan taan karne aur haramain sharifain ke imamon aur wahan ke ba'shindon se nafrat wa adaawat Ka sabak jaahil aur naadaan musalmano ko padhaane waale fitna'pardaar ki ibrat ke liye, sahih bukhari ke ye hadith e nabwi bhi pesh ki ja sakti hai,

jisme najd ke dehati ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne jannati hone ka certificate is duniya me hi inaayat farma diya tha, hadith is tarah hai


darbaar e nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me ek martaba ahle NAJD mese ek shakhs haazir hua aur aapse islam ke baare me sawalaat karne laga, aapne sahaba kiram (ra) se irshad farmaya:-" jo shakhs kisi jannati ko dekhna ka khwahish'mand ho wah is aadmi ko dekh le "


(rawah bukhari)


TO BE CONTINUED.......... In FITNO KI AAMAD'GAAH TAAREEKH KE AINE ME

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 3)










Bismillahirrahmanirraheem



NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 3)



Hz abdull'ah bin umar (radiall'ahuanhu) se riwayat hai unhone kaha ek din rasoolullah sallallahu alaihi-wasallam ne du'a ki:-" aiy all'ah hamare liye sham me barqat nazil farmaa hamare liye yaman me barqat nazil farmaa"

logo ne kaha:-"aiy all'ah ke rasool ! hamare najd ke liye bhi du'a karen ?"

aap"sallallahu-aleihi-wasallam" ne farmaya ae all'ah hamare liye sham me barqat nazil farmaa hamare liye yaman me barqat nazil farmaa".

logon ne kaha:-" aye all'ah ke rasool ! hamare najd ke liye bhi du'a kare ?"

aap sallallahu-aleihi-wasallam ne kaha:-" wahan zalzale aur fitne honge aur waha se shaitan ke seengh niklega.."

(bukhari hadith no 7094, tirmizi kitabul manaqib, bab fi fazal sham wa yemen 3953, ibn hibban 7257)


Qur'an aur hadith e nabwi dono wahiy e ilaahi hain, aur unhen ye khususiyat haasil hai ke ye dono apni apni jagah Khud apne hi ahkaam wa elaanaat ke sharah bhi hain, aur ek dusre ki tafseer wa tozeeh bhi bhi qur'an wa hadith me kahin na kahin zaroor mil jaati hai,

misaal ke taur par quraan majeed ke bilkul shuru'at me surah fatiha ke andar hamen jo duaiyya alfaz sikhaaye gaye hain un me ye dua bhi shamil hai,

" ihdinas'siraatul musataqeem, siratal lazeena an amta alaihim "

yani hamen seedhe raaste ki tarah hamari rahnumai farma , un logon ka raasta jinko tune apne inaamat se sarfaraz farmaya

" an amta alaihim " se muraad kaun log hain ???

Uski tashreeh wa wazahat surah nisa ki aayat kareema se ho jaati hai,

" pas wah un logon ke saath hoga jinpar allah taala ne inaam kiya hai jaise ambiya kiram, saddeeqeen, shohada, aur saaliheen ummat ( yani nek log ) aur ye bahtareen saathi hain"

(surah nisa 69)

isi tarah bahut si aayat e mubaraka ki tashreeh wa tafseer  ahadith nabwi me khud nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ki zabaan mubark se mazkoor hai,

misaal ke taur par surah anaam aayat 182

" aamanu awalam yalbasu emaanahum..... "

ki tafseer me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh)  ki ek hadith milti hai, jisme aapne farmaya ke:-" yahan zulm se muraad shirk hai "

isi tarah surah inshiqaaf ayat 8

" fa'saufa yahasib hasaban, yaseera "

ki wazaahat karte hue nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne bataya ke:-" aasaan hasaab se muraad allah ke hazoor bande ki sharf peshi hai, uske aamaal ka hisaab lena nahi "

surah baqarah ki ayat 187  me

" waqalu washarbu hatta yat'tabaiyin lagum ul khaital baiz minal khatail asood minal fajr "

ki tashreeh me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadith mubarka hai, jisme bataya gaya hai ke

" isse muraad haqeeqi maana me siyaah aur safed rang ke dhaage nahi hain, balke subah saadiq ke safedi aur raat ki siyaahi muraad hai "

surah Anaam ayat 159 ke baare me ek hadith me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain ke

" isse muraad qurb e qayamat me aaftab ka maghrib se nikalna hai "

isi tarah surah najam ayat 13 ke baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke

wala'qad ra'a nazalah akhra

" isse muraad hz jibreel (as) ka dekhna hai "

surah ibraheem ayat 24 ke tafseer me aapne farmaya ke

" shajaratin tayyibah yani paak darakht se muraad khajoor ka darakht hai "


isi tarah

yasabbat allah al'lazi aa'manu bil'qaul al'sabti

ke baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadith me bataya gaya ke

" ye saabit qadmi ki kaifiyat momeen ki qabr me munkar nakeer ke sawalaat ke jawabaat ke baare me hai"

surah raad me

yasabbih al'raad bah'madah

ke baare me irshad e nabwi hai ke

" raad ek farishte ka naam hai jo badalon par muqarrah hai "

" lafz dua " ki tafseer me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya

" dua ibaadat ka hi naam hai ( al'dua huwa al ibadah )"

surah younus ayat 26

al'lazeena ahsanuul husna wa ziyadah
ki tafseer me sahih muslim kitabul imaam bab ruyetul momineen fil akhra  ke tahat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka ye farman milta hai ke

" isse muraad aakhirat me deedar e ilaahi hai "

surah toor ki ayat 49

waman alail fasabbah w adbaar al najoom

ki tojeeh me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke

" isse muraad namaz e fajr se pahle ki do rakat sunnat e mokedah hain "

isi tarah " suraah qaaf " ayat 40

wa'minal laili fasabbahuh wa adbaaris sujood

se muraad:-" namaz maghrib ke baad ki do rakat hain......


(alaam ul moqeen page 548 allama ibn qayyim )


jahan tak hadith e nabwi ki kisi dusri hadith e nabwi se tashreeh aur wazaahat ki baat hai toh ham is zaman me bataur misaal wah " Marfu hadith " pesh kar sakte hain, jisme nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshaad hai:-" allah taala kaale boodhe ko na'pasand farmata hai "

is hadith e nabwi ki wazahat hz raasheed ibn saad (ra) ki is riwayat se ho jaati hai, jisme bataya gaya hai ke yahan

" kaale boodhe se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki muraad wah boodha shakh hai jo kaale rang ka khizaab lagaata hai "

yani hadith e nabwi me siyaahi ki nisbat boodhe ki jild(skin) ki rangat se nahin hai balke uske baalon ki masnui (fake) siyaahi ki taraf ishara hai, jo khijaab lagaane se paida hui hai,...... !

Isi tarah ek aur hadith me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya

" aurton me nek auraton ki misaal aisi hai jaise 100 kawwon me ek ' ghuraab asam !' "

musnad ahmad ki riwayat me hai ke sahaba kiram ne daryaft kiya ke " GHURAB UL ASAM " kise kahte hain ??

Toh nabi e akram sallaho Alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" ek aisa kawwa jiske dono pair (legs) safed ho "

waazeh rahe ke " GHURAB UL ASAM " kawwon ki ek qaleel ul wajood qism hai jo duniya me kahin kahin paayi jaati hai,


chunanche mustarak hakim me ek hadith e nabwi ke mutabik nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka irshad girami hai

" jannat me aurtein itni miqdaar me daakhil hongi, jitni kawwon me " ghurabul asam " ki miqdaar hai "


isi tarah ek hadith me makka mukarrama ke baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ye  farmaan milta hai, jo arab me zarabul misl ban chuka hai,

" la yan'qata feeha anzaan "

trans: yani ab kabhi wahan ( makka muqarrama ) me do bakriyan seengh nahin maarengi,


aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke irshad wa tashreeh aur wazaahat ke liye kutub wa seerat wa hadith me ye waqeya bayan kiya gaya hai ke

makka  mukarrama me banu umayya ke khaandaan Me ek aurat thi, jiska naam asma bint marwan tha, us aurat ki fitri khabasat aur islam dushmani ka aalam ye tha ke , ye logon ko musalmano ke khilaf badhkaati aur musalmano aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki huju (buraai ) me ash'haar kahti thi,

is tarah ye tamam musalmano ko zehni aziyat pahunchaati thi, sahabi e rasool hz umair bim adi (ra) ne nazar maani thi ke :-" agar ghazwa badr se nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) sahi salaamat waapsi tashreef le aayen toh main ba'zaroor is qeena parwar aurat ko qatal kar daalunga "

chunanche wah badr se aapki faatehaana wapsi ke baad hz umair bin adi (ra) ne apni nazar poori karne ke liye raat me uske ghar me ghus kar us aurat ko apni talwaar se qatal kar diya,

uske baad aap madeena munawwara gaye aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke peeche namaz e fajr ada ki, namaz se faarigh hone ke baad jab aap par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki nigaah padi aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unhe paas bulaakar daryaaft farmaya ke, kya tumne asma ko  maar daala ??

Unhone arz kiya:-" ji haan !"

aapne is par itminaan ka izhaar karte hue dobara daryaft kiya ke, tumhe is kaam me koi pareshani toh la'haq nahi hui ??
Raawi hadith kahte hai ke:-" hz umair bin adi (ra) ka itminaan bakhs jawab sun kar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki zabaan e faiz tarjumaan se ye alfaaz nikle they, jo baad me arab ke andar zarabul misl ban gaye they"

" la yanqata feeha anwaan "

jiska matlab ye tha ke aaindah makka muqarrama me koi aisi aurat nahi hogi jo musalmano ko zehni aajiyat pahunchaane ka ba'as ho,


Baherhaal ! Hadith e nabwi ke zakheera se is qism ki bahut si misaalein pesh ki ja sakti hain, jin se ek hadith me mazkoorah farmaan nabwi ki tashreeh dusri hadith se ba'aasaanI , maalum ki ja sakti hai,


theek yahi kaifiyat zer e bahas " hadith najd " ki bhi hai,

yani jis najd ke baare me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne barkat ki dua se gurez farmaya tha,


KYA wah " najd e yemen " wahi ilaaqa hai, jo madeena munawwara ke " junoob mashriq" ki simt phaila hua hai, aur aaj kal saudi mulk ka ek mashoor sooba aur mulk ka sadar maqaam aur daarul sultanate bana hua hai, Ya Wah koi aur MAQAAM hai ????


Hadith e nabwi ki roshni me aiye is par bhi ghaur karen,

sabse pahle bukhari wa muslim ki ye sahih hadith mulaaheza ho


1- Qaal Abdullahi ibn umari raziallahu anho anna, sami'a rasoollah (sws) wahuwa, mustaqbalil mashriqh yaqoulu, alaa innal fitnata hahuna min haisu yatlu'u qarn us shaitaan "

TARJUMA:- hz abdullah bin umar (ra) kahte hain ke unhone nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko mashriq ki taraf munh karke ye farmate hue suna hai ke:-" Khabardar ! Bila'shubah fitne idhar hi se uthega, jahan se shaitan ka seeng tulu hota hai (yani mashriq ki taraf se )

(bukhari )


2- an nafe wa saalim an ibn umar (ra) an rasoollullah (sws) qaal : al'fitnatu min hahuna min haisu yatla qarn us shaitaan wa sha rabeedah nahwal mashriqi

(bukhari jild 2 pg 105 albadaya wan nihaya jild 7 pg 314)


3- hz abu hurairah (ra) se riwayat hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" yani kufr ka sar'chasma mashriq ki simt hai"

(sahih bukhari)

hz abu hurairah (ra) ki yahi hadith sahih muslim, ibn habban me in alfaz ke saath milti hai,

al imaanu simaanin wal'hiqmatu yamaniyah wa ra'asu al kufri qablal mashriqi


TARJUMA:- Imaan toh ahle yemen hi ka qaabil taareef hai aur hikmat bhi ahle  yemen ka hissa hai, aur kufr ka sar'chasma ( madeena munawwara ) se mashriq ki jaanib hai,

(sahih muslim, ibn habban )


4- hz jaabir bin abdullah (ra) se  Marwi hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" shakht dili aur khafa (be'murawwati) mashriq ke ba'shindon me hoti hai, aur iman sahih maamo me ahle hejaz me paaya jaata hai "

(sahih muslim, kitabul iman ,)


dusre part me ham ye baat geographiyai saboot ke saath bata chuke hain ke madeena munawwara ke theek mashriq me " khaleej faaras (persian gulf ) waaqe hai, aur uske maghribi saahil se mutsal wah saara khitta zameen jo aaj kal agarchah hukumat saudi arab ki milkiyat aur uske zer e tassarruf hai, jahan is waqt kai saudi shaher aabaad hain,

jaise al qateef, la'ahsa, al hufuf, aur azmaan wagerah, magar daur e risaalat me soorat e haal mukhtalif thi, us waqt ye saara ilaaqa iran ke soobe iraaq ka hissa tha,

agar saudi arab ke maujooda naqshe me (madeena munawwara ) se ek seedhi lakeer mashriq ki jaanib kheenchen toh wah persian gulf ke paas al'qateef aur al'ahsa ke darmiyaan  Se guzarti hui, saamne khaleeji faaras me mil jaayegi, jiska mashriqi kinaare ka saara ilaaqa, aaj bhi iraan ki hukumat ka hissa hai,

zamane ke saath chunke mulkon ke hudood aur sar'hadon me tabdeeli hoti rahti hai, daur e risaalat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) me ye saara khitta jo junoob ki simt " waadi sahba " ke paas se " saila " ke maqaam se shuru hokar shumaal me " muntaqah muhaaidah " tak jaata hai, qulli taur par iraaq hi ka ilaaqa tha,

yahan tak ke " khaleej faaras " ke shimaali kone par waaqe maujood " kuwait " ki mumlakat bhi us daur me iraaq me shamil thi,

aur haqiqat ye hai ke wah saare hi " pahaadi ilaaqe " jinko arabic me najd kaha jaata hai, usi jaani " zaat e arq " maqaam se shuru hokar iraaq ki sar'zameen ki taraf jaate hain,

isi liye nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne is mashriqi ilaaqe ki taraf isharah karte hue, use fitno ki sar'zameen bataya tha, Aur uske liye barkat ki dua karne se gurez farmaya tha,


mazeed tashreeh ke liye ye hadith mulaheza ho, jisme ba'qaidah taur par " IRAQ " Ka naam maujood hai,


hz hasan (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne dua farmayi:-" aiy allah ! Hamare " madeena " ko hamare liye barkat waala bana de,

aiy allah ! Hamare shaam (syria) me barkat ata farma,

aiy allah ! Hamare yemen ko ba'barkat bana de,

ek admi ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Iraq ke liye bhi dua farma diye, kyonki wahan se hamare liye gehun aur deegar zaruriyaat ka saamaan aata hai,"

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) chup rahe,

us shakhs ne dekh kar phir wahi guzaarish ki, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) phir khamosh rahe,

phir farmaya:-" wahan se shaitan ka seeng nikalta hai, aur wahan zalzale aur fitne barpa honge "

(kanzul ummal jild 7 pg 164)

is hadith me saaf alfaz me " NAJD "  Ki bajaaye " IRAQ " ka lafz maujood hai, jisko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne fitno ki sar'zameen bataya hai, aur wahan se shaitan ka seengh nikalne ki khabar di,

lihaza sahih bukhari ki wah riwayat jisme sar'zameen najd ke liye nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka dua e barkat se gurez ka tazkirah hai, laazimi taur par usse muraad " najd e iraq " hai na ke " najd e yemen " jisko aaj kal najd e saudia kaha jaata hai, aur daarul sultanate " riyadh " jis khitta waqe hai, us zaman me musnad ahmad ki wah riwayat bhi ba'taur suboot pesh ki ja sakti hai,

jo hz abdullah bin umar (ra) se marwi hai ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain ke:-
maine dekha ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) IRAQ ki taraf isharah karte hue farma rahe they:-" khabardaar ! Bila'shuba fitna yahan se uthega,

khabardaar ! Fitna idhar se barpa hoga,


Ye baat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne teen martaba farmayi ,

phir farmaya:-" yahin se shaitan ka seengh tulu hota hai "

(musnad ahmad jild 2 pg 143)


Hz abdullah bin umar (ra) se marwi ek aur hadith me ye alfaz milte hain,

" aiy allah hamare liye hamare madeena me barkat naazil farma, aur

aiy allah hamare liye hamare madh aur sa'a (naap aur tol ke paimaano me ) ko ba'barkat bana de,

aiy allah hamare liye sham aur yemen me barkat naazil farma,

ek aadmi ne arz kiya :-" ya rasoollullah ! Aur iraq ke baare me dua farma den, "

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) khamosh rahe,

phir farmane lage:-" aiy allah ! Hamare liye hamare madeene me barkat naazil farma,

aur hamare liye hamare madh aur sa'a me barkat de,

aiy allah ! Hamare liye hamare haram me barkat ka nazool farma,

aur hamare shaam aur yemen me barkat naazil farma,

phir kisi shakhs ne kaha:-" ya Rasoollullah ! Aur iraq ke liye bhi "

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" wahan se shaitaan ka seengh tulu hoga aur fitne ublenge "

( majmua al zawaid jild 3 pg 208, tabrani  4110)


sharah taibi me allama sharfuddeen taibi likhte hai

" aapne mulk shaam wa yemen ke liye barkat ki dua isliye ki ke aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki jaaye paidaish makka me hai aur yemen ka ilaaqa hai, aur aapka maskan madfan madeena me wah shaam ke ilaaqon mese hai "

(sharah taibi ala mishkat ul masabeeh jild 12 pg 3908)

chunanche in hadith e mubaraka se ye baat waazeh ho jaati hai ke aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hejaz muqaddas ki tamam sar'zameen ke liye hi barkat ki dua farmayi thi,

jismi pahaadi, pahadi nasheebi sab hi ilaaqe shaamil hain, khwaah wah hejaz ki pahaadinn ( jabal e hejaz ) ke daaman me aabaad makka, madeena aur taif wagerah Shahron, ya yemen ki simt me usse matsil buland aur pathreeli satah martafah,  jo yemen ki nisbat se " najd e yemen " kahlaati hai,

aur daur e nabwi me jahan arab ke qabail mese banu tameem, banu haneefa, banu huzail, banu sulaim, banu bakr, banu gitfaan, aur banu hawazin wagerah aabaad they,

aur maujoodh daur me isi ilaaqe me mumlakut saudia arabia ka darul sultanatd " riyadh " waaqe hai,



TO BE CONTINUED.....

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 2)







Bismillahirrahmanirraheem



NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 2)



Aaiyye pahle " najd " ke maana wa mafhoom samjh len taake ye baat waazeh ho jaaye ke lughate arab me " najd " kise kahte hain ??

Iske baad is baat ka jaayeza lenge ki sar e zameen arab me " najd " naam ke kitne ilaaqe aur maqaam hain aur wah kahan kahan waaqe hain ?


Arabic lughat ke mutaabit " najd " ke maana bulandi aur raf'at ke hote hain, goya har buland aur oonchi cheez ko " najd " kaha jaata hai,

ilm geography ki is'talaah me zameen ka " pahaadi elaaqa " ko arabi zabaan me " najd " kahte hain, iske elawa nasheebi elawa " ghaur " kahlaata hai,


arabic zabaan ki mashoor wa maroof lughat " al kamoos al muheet ) me allama  firozabadi " najd " ki tashreeh in alfaazon me karte hain

" najd us khitta zameen ko kahte hain jo waazeh taur par bulandi par waaqe ho (hejaz me ) isse muraad wah ilaaqa hai jo (ghaur ) yani thaama ke Bil'muqaabil hai, iski bulandi " thama " aur " yemen " se shuru hoti hai, aur dhalaan iraaq ki sar'zameen tak pahla hua hai, hejaz ki simt se najd ke elaaqe ke ibtedan (zaat iraq ) maqaam se hoti hai "

(kamoos jild 1 pg 302)


waazeh rahe ke " zaat iraq " ahle iraq ki " meeqaat " hai, jahan se wah hajj wa umrah ka ahraam bandhte hain,

arabic zubaan ki maroof lughat " lisan ul arab " me ibn satoor afreeqi " najd " ke maana aur uski tashreeh is tarah karte hain,


" najd zameen ka wah hissa kahlaata hai, jo buland wa baala, mazboot shakht ya pathareela ho aur unchaai par waaqe ho, hamwaar ho "

( lisan ul arab jild 14 pg 45 taba beirut 1955)

phir wah geography ke aitbar se hejaz arab me uska sahih maqam in alfaaz me mutayyan karte hain,

" zameen ka wah buland wa balaai hissa jo ' thama ' ke maqam se shuru hokar iraaq ki sar'zamedn tak phaila hua hai wah " najd " kahlaata hai"

( lisanul arab)


najd  Ki mazkoorah bila'tareef wa tashreef ko zehan me rakhte hue jab ham sar zameen arab ke geographiya ka jayeza lete hain toh hamen mukhtalif maqaamat par kai satah pahadi aur buland ilaaqe milte hain, jin par arabi zabaan me lafz " najd " ka ittelaaq hota hai,


arab ke mashoor muwarrikh aur geographiya'daan sheikh abu abdullah yaqoot hamwi(rh) ne apni kitab " mu'ajjam baldaan " me najd ke naam ke kam se kam 10 maqaamaat ka zikr kiya hai,

jaise

1- najd e khaal

2- najd e kabkab,

3- najd e uqaab,

4- najd ul ashra

5- najd d mari'e

6- najd e aqar,

7- najd e yemen

8- najd e aaja'a

9- najd e aa'loz

10- najd e barq,

sayyid murtaza zubaidi bagraami ki " taaj ul urus " jild 2 me mazkoorah namon ke elewa " najd e iraaq " ka naam bhi milta hai,

( taaj ul urus sayyid murtaza zubaidi taba beirut )

mazkoorah baala " maqaamat najd " mese najd uqaab , najd kabkab, najd khaal, najd ashra, najd aa'loz, najd  Barq, ka khaas taalluq sar zameen IRAQ se raha hai, aur sirf najd e yemen ka ilaaqa jo maghrib me makka mukarrama ke paas " tahama" aur junoob ki simt " yemen " se mutsal waadi uyayna se shuru hokar khaleej faaras (persian gulf ) ke junoobi maghribi kinaane " waadi sah'ba " ko qata'a karta hua " saila " ke maqaam tak pahla hua hai,

najd yemen ka ye saara ilaaqa aaj kal mamlakut saudi arabia ka ek sooba hai jo sooba najd kahlaata hai,

is soobe ka sadar maqaam (capital) riyadh hai, jo fil'waqt saudi arabia ka daarul sultanate bhi hai,


agar aap saudi arab ka naqsha (map) par nigaah daalein toh aapko junoob (south) ki taraf me hazar'maut ke saahil se mutsal " ahqaaf " ka wah mashoor ilaaqa nazar aayega jo kabhi qaum e aad ka maskan aur hz hud (as) ki dawat e islam ka marqaz raha hai,

aaj kal ye ilaaqe " sultanate e oman " me shamil hai, uska mahal e waqu yemen ke shahron khususan qadeem tareen shaher " Sana " ke bil 'muqaabil hai, " waadi ahqaaf " se mutsal shimaal ki simt me saudi arab ka sabse bada registan (desert) " raba al khaali " ya " sahra al dahna " hai,

isi sahra ya registan ke maghribi kone se mili hui mulk e yemen ke pahaadon ki ek wadi hai jo " wadi haboona " kahlaati hai, us waadi ke paas ek pahaadi ilaaqa shuru hota hai jo " jabal e to'eq " aur jabal e hejaz ki dhahlaanon par pahla hua hai, aur makka muqarrama ki simat jaakar " waadi al ramah " par khatam ho jaata hai,

zamana qadeem se  ye elaqa " martaf'aat e najd " ka najd e yemen kahlaata hai,

makka mukarrama agarchah sar zameen e hejaz se mutallik shaher hai, magar geographiyai aitbaar se chunke wah " najd e yemen " ke theek maghrib ki jaanib jabal e hejaaz ke daaman me waaqe hai, isliye wah bhi saudi arab ya qadeem hejaz ka shaher hone ke ba'wajood " muntaqa yemen " me hi shumar hota hai,

waazeh rahe ke madeena munawwara se Theek mashriq ki simat me taqreeban 1800 km ke faasle par samundar ki ek chaudi se khaadi waaqe hai jo khaleej faaras (persian gulf ) ke naam se mashoor hai, tamam khaleeji arab mumalik jaise, kuwait, bahrain, qatar, abu dhabi, dubai, sharjah, wagerah isi " khaleej faaras " ke junoob se shumal tak uske magribi kinaare ya saahil par aabaad hain,

is khaleez ka mashraqi kinaarah hukumat iraan ke qabze me hai,

maujoodah geograaghai soorat haal ye hai ke " khaleej faaras " ke junoobi saahil par abu dhabi, sharjah ki khaleeji riyasatein aabaad hain, aur maghribi kinaare par un riyasaton ke qareeb hi qatar. Aur bahrain ke arab mulk base hain,

khaleej faaras ki isi maghribi saahili patti par saudi arab ke kai shaher bhi base hue milte hai jaise qateef, akhsa, hafoof, aur ajmaan wagerah is tarah ye maghribi saahili patti saudi arab ki " waadi saha'ba " se shimaali simt chalte hue " muntaqah muhaidah " ke paas Tak hukumat saudiyah ki milkiyat hai, aur uske baad usi patti ki shimali nok ya sire par quwait ki mamlakut waaqe hai,


6th sadi eeswi yani " daur e risaalat " me khaleej faaras ke is khitte ki geograaphai haalat ye nahi thi, balke us waqt chunke us khitta par do azeem sultanate " IRAN AUR ROME " maujood thin, jinka raqba be'had wasi tha, aur arab duniya ke maujoodah bahut se mulk un huqumaton ka hissa aur unke zer e intezaam they, us daur me " iraq " ka bada ilaaqa iraani sultanate me shamil tha, aur uska kuch hissa roomi hukumat ke qabze me tha,

chunanche khaleej faaras ka wah tamam ilaaqa jo  maghribi saahil par aabaad aur ab saudi hukumat ka hissa hai, daur e risaalat me ye saara elaaqa iraan ke soobah " iraaq " me shamil tha, aur mutadid arab qabail jaise banu laham, hawazin, banu tamim, banu bakr , banu taiy, aur banu hanifa wagerah isi ilaaqe ke aas paas base hue they,

(munajid arabi pg 345 Jazeeratul arab qadeem taba beirut )


baherhaal ! Najd e yemen ko chhod kar baaqi maqaamat najd jin ka zikr " yaqoot hamwi " ne apni kitab me kiya hai, madeena munawwarah se mashriq ki jaanib maqaam " zaat e arq " se shuru hokar iraaq ki sarhadon se ghuzarte hue mulk e iraq me door tak pahadon ke daaman me phaile hue they, aur unki kasrat e tadad ki bina par  jaaye waqu ki munasibat se maazi me " najd " aur " iraq " ek dusre ke mutraadaf aur pahchaane bane they,

daur e risaalat me aawaami bol chal me lafz e najd ka mafhoom khitta iraaq hi howa karta tha, kyonke wahin par pahaadon ki satah martafa ya " pahadi ilaaqe" kasrat se they aur arabon ko apne tijaarati safaron me unse waasta padta rahta tha,


Najd aur maqaamat e najd ki wazaahat aur unke mahal e waqu ka jaayeza lene ke baad ab ham un hadithon ka jaayeza lenge jin me " najd" ki muzammat aur usse uthne waale fitno ki pesangoyi nabi e akram Sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmayi hai,


TO BE CONTINUED.......

Thursday, October 18, 2012

NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART - 1)





Bismillahirrahmanirraheem



NAJD AUR NAJDIYAT KA JAAYEZA : (PART-1)



Insari zehano par zaraaye ablaagh (media) ki mazboot giraft, afwaahon, aur propagandoh, ki hamesh'giri, nez uski khususiyat wa asraat, aur nataiz ki aur asar har daur me ek behad'kaargar hathyaar ka kaam deti hai,

magar maujoodh daur me maghribi (western) media aur zionist ki jadeed media par bila'dasti ke nateeje me islaam ke khilaaf muzaaheron aur " dahshat gardi " ke naam se islam aur musalmano ko badnaam karne , kai sahyooni saajish ( zionist conspiracy ) ne propagandah baazi ke tamam records todh diye hai,

is daur ke tamam zaraaye ablaagh (media), chaahe wah akhbaaraat (newspaper) hon, ya pamphlate, ya internet, ya news channel, ya hording, yaani sadkon ya chauraahon ke kinaare lage hue, bade bade jahaazi sign board wagerah,

isi tarah tele vision, aur internet, jaise modern wasail, nez loud speaker, cassette, C.D's, jaise Electronic aalaat ne propaganda ke fan ko baam e urooj par pahuncha diya hai !!!


Baat sahih ho ya ghalat, in tamam aalaat (instrument ) ke zariye aap apne mauqaf ko ba'aasaan aur baraay e raast aawaam un naas (public) ke zehano me utaar sakte hain, khwaah padhe likhe hoshiyaar aur graduate log hon ya " bilkul jaahil " ujadh, aur aawaam !


Barr e sagheer (hind aur pak ) me ummat muslima ki safon ke andar arsah'daraaz se kuch shar'pasand anaasir aise maujood hain, jo jaan'boojhkar ya anjaane taur par " sahyooniyat (zionism ) " ki islam dushman propagandah muhim ke hamraah, aur aalaa kaar aur haath aur baazu bane hue hain, saaf taur par  zionism ko hawa de rahe hain,,

zaati mufaad (faayeda) ya giroh'bandi ke khaatir musalmano me ba'hami nafrat wa adaawat aur tafreek wa inteshaar ke beej bona unki fitrat saaniyah aur irshad e nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh):-" kul momin akhwah"

ke  huqm ko Taar taar karna unka sheba wa waahid maqsad ban chuka hai,

islam par propagandah muhim me fi zamaana unka tareeqa kaar mukhtalif tarah  ke hote hain,

jaise ilzaam taraashi, tabarra'bazi, dushnaam'taraazi, takfeer ulema wa akaabir millat, aur aslaaf ummat ko badnaam karna, wagerah wagerah,


jahan tak "bure alfaaz" se pukaarwa wa taana zani ki baat hai toh is zaman me tauheed pasandon aur deen ke haqeeqi aalam'bardaron ke khilaaf tabarrah'bayi ke liye islam dushman anaasir ne agarchah bahut se nafrat failaane waale khitaabaat wa al'qaabaat taraash kar aawaam un naas (public ) me mashoor aur unke  wird zubaan kar rakhen hain,

jaise wahabi, lahabi, gulaabi wahabi, dushmanaan e rasool, munkireen e awliya allah, 24 number, wagerah wagerah,

magar in sab propagandah ke ba'wajød sad se zyada haqeer ameez aur nafrat angezi, khitaab hai " NAJDI", hai,

jiska mafhoom awaam un naas k zehnon me" SHAITAAN LAEEN" Se kam nahin.......


Kyonki uska tareekhi pas e manzar hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke jis waqeye se juda hai, usme " SHEIKH NAJDI " ke kirdaar ko buniyaadi ahmiyat haasil hai,


chunanche " NAJD" ki nisbat se is waqeye ka propagandah bidation apni mahfilon me nihayaat tabbarruk ke saath karte hain, aur is tarah unka maqsad na sirf SHEIKH UL ISLAM MUHAMMAD BIN ABDUL WAHAB NAJDI TAMIMI (RH) ke kirdaar par keechhad uchhaalna hota hai, balke wah iske zariye tamam hi tauheed pasandon ki kirdaar'kushi aur buraayi wa tabarra ko apna ash'haar banaaye hain,


isliye aage badhne se pahle munasib malum hota hai ke hijrat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke us waqeye par ek sarsari nigaah daal li jaaye.....


Taareekh wa seerat ki kitabon me janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka makkah hijrat waqeya badi tafseel se milta hai,

nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ki dawat e islam ka makki daur jin pareshaanion aur takleefon me guzra  aur islam qubool karne walon par zulm wa sitam ke jo pahaad quraish e makka ne tode they, unki tafseelaat se har padha likha deendaar musalman acchi tarah waaqif hai,

allah taala ki taraf hijrat ka huqm mil jaane ke baad jab  makka se musalmano ki badi tadaad apna gharbaar sab kuch chhod kar yasrib (madeena) ki taraf hijrat karke jaane lage toh quraish e makka ko badi fikr paida ho gayi, kyonki in barbaad musalmano ko panaah dene wale " yasrib " ke mashoor qabail " aos " aur " khajraj " intehaai bahadur aur ba'asar jangju aur himmati log they,

ahle makka ke tijaarati kaafile mulk e sham (syria) jaate rahte they, unki guzar'gaah bhi yasrib (madeena ) ke qareeb se hokar jaati thi,

unhen khatrah hua ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jald hi hijrat karke un logon se ja milenge, toh unke liye mustaqbal (future) me ek azeem khatrah khada ho jaayega,

chunanche nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me "aakhiri faisla" karke ke maqsad se makka ke " daarul nadwa " me jama hue jo unka parliament tha, aur unhone logon ko taakeed (elaan )ki ke:-" makka aur qurb wa jawaar ka koi bhi aqalmand aur ba'shaoor aadmi jo mashwarah dene ki salahiyat rakhta hai, is ijlaas (meeting ) me shirkat se peeche na rahe"


mashonr muwarrikh ibn ishaq, hz abullah bin abbas (ra) se riwayat karte hain ke:-" jab wah log waqt e muqarrar par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke baare me ' aakhiri faisla' karne ke liye 'daarul nadwa'  me jo haram shareef ke qareeb hi waaqe tha, jama hue, toh SHAITAAN E LAEEN bhi ek  tajurbah kaar boodhe ki shakal me qeemti libaas pahne hue darwaaze par aa khada hua,

jab quraish e makka ne ek ajnabi aur buzurg soorat shakhs ko is tarah darwaze par khada dekha toh unhone Poocha ke:- " aiy sheikh ! Aap  kaun hain ? Aur kahan se aayen hain ? "

shaitaan ne jawab diya ke:-" main elaaqa e ' NAJD ' ka rahne waala hun, maine suna hai ke aap logon ne aaj koi aham faisla karne ke liye ijlaas talab kiya hai, main bhi is ijlaas ki kaarwaahi sunna chahta hun, mumkin hai ke main bhi aap hazrat ko koi sahih mashwarah de sakun"

wah sab bole:-" tashreef laiyye "

chunanche is tarah SHAITAAN E LAEEN " sheikh najdi " ke bhes me unki majlis me shareek ho gaya, ijlaas ki kaarwaahi shuru hui toh quraish ke mukhtalif sardaaron, aur maaldaar logon ne apni apni samjh ke mutabik mukhtalif tajaaweej pesh ki,

kisi ne mashwarah diya ke :-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko hath'kadi pahna kar aur pairon me lohe ki bediyan daal kar kaal'kothri me qaid kar diya jaaye, jis tarah maazi me pahle logon ke saath sulook kiya gaya tha, aur wah bil'aakhir qaid khaane me marr gaye they "

Sheikh najdi ki shakhl me maujood shaitan e laeen ne is tajweej ko radd karte hue kaha ke:-" ye koi maaqool tajweez nahi, uske saathion ko pata chalega toh wah tumpar hamla karke chhuda le jaayenge, "

dusri tajweej zila'watan karne aur mulk'badar kar dene ki thi, usko bhi sheikh najdi ke bhens me maujood shaitan ne radd kar diya aur unhen samjhaya ke tum log muhammad  (sws) ki fahasat wa balaaghat aur naram kalaami se kya na'waqif ho ??

Wah shakhs apni baaton se dusron ka dil jeet (moh )leta hai, jahan jaiga apni meethi meethi baaton se logon ko apna hamnawa bana lega aur anjaam ka ek lashkar jaraar lekar tumpar hamlawar hoga aur tumse iqtedaar aur hukumat chheen lega,

mukhtasar ye ke aakhir me abu jahal ki tajweez se :-"har ek qabeela  se ek ek naujawaan iraadah ka pakka, badan ka mazboot, talwaar ka dhuni, aur phir har ek ek ko ek nangi talwaar de kar huqm den ke wah waqt e muqarrar par mauqa Paakar ek baargi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par hamla karke qatal kar den, is tarah unka khoon tamam qabail me bat jaayega aur phir banu abd e munaf apni saari qaum se inteqaami jung nahi ladh sakenge, "

ye sunkar sheikh najdi ke bhes me maujood shaitaan e laeen chilla utha, ke bas bas !!!

Yahi tajweez sabse ziyadah maaqool aur kaar'aamad hai,

chunanche is par intefaaq e raaye hokar jalsa bar'khaast ho gaya aur phir tajweez ke mutabik kuffar e makka ne ek raat janab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke ghar ka muhaasera kar liya taake jab subah saadik ke waqt namaz padhne ke liye ghar se niklein toh aapka usi tareeqe se ek'baargi hamla karke kaam tamam  kar diya jaaye "


TABSIRAH:


Taareekh wa seerat ke is waqeye ko buniyaad banakar  islam ke bidati aur yahud wa nasaara ne " NAJD " ki nisbat ke khilaaf nafrat wa adaawat aur tabarra ka toofaan barpa kiya hai, aur NAJD Se nisbat rakhne waalon ke wajood ko jis tarah mustaqal taur par shaitaan ke wajood se jodh diya hai, wah mohtaj e bayaan nahi,

halaanke shaitan laeen ka ye koi mustaqal bhes nahin tha,

chunanche seerat e nabwi ki kitabon se pata chalta hai ke " jung e badr " ke mauqa par shaitan yani suraaka bin malik haythami ki shakl me tha, aur dauraan e jung unki himmat afzaai kar raha tha,

jab usne aasmaan se farishton ke lashkar musalmano ki madad ke liye utarte dekha toh satpata kar ulte pair wahan se faraar hogaya,

toh kya hz suraaka bin malik hythami (ra)......... Jo baad me musalman hokar sharf sahabiyat se munawwar hue they...... Unse mahaz is wajah se nafrat ki jaaye, ke shaitaan ek martaba unki shakl me zaahir hua tha..... ??


Aur kya oondhi mantak (logic) ki buniyad par hz suraka bin malik (ra) jaise sahabi e rasool se shadeed nafrat wa adaawat ka sabak musalmaö ko is tarah padhaaya jaayega, jis tarah SHEIKH NAJDI ki munasibat se NAJD aur ahle NAJD se mustaqal taur par nafrat wa adaawat ka sabak nahin diya gaya hai ???


Isi tarah bukhari shareef me maujood hz abu hurairah (ra) se marwi ye sahih hadith bhi qaabil e ghaur hai ke :-" ek martaba unhen nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) sadaqaat zakaat ke maal ki hifaazat par mutayyan farmaya tha, maal ki jis kothari me hz abu hurairah (ra) soye hue they, usme aadhi raat ke baad ek baddu yani ujad dehati chupke daakhil hokar maal sametne laga, hz abu hurairah (ra) ki aankh khul gayi, aapne lapak kar usko pakad liya, wah baddu dehati minnat samaajat karne laga aur phir na aane ka waada lekar aapne use chhod diya,

subah ko ye waqeya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataya, aapne farmaya:-" wah chhota hai aur aaj phir wah dobara aayega "

chunanche raat ko phir aisa hi waqeya pesh aaya aur hz abu hurairah (ra) ne ek baar phir Uske gidgidaane se minnat samajat karne aur dobara na aane ke waada par aitbaar karke chhod diya,

subah ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se uska zikr kiya toh aapne farmaya:-" wah  shaitaan laeen tha, tum uske jhoot par aitbaar na karna aur aaj phir aayega "

chunanche jab wah dehati baddu ki shakl me chori ki niyyat se maal khaanah me ghusa toh hz abu hurairah (ra) ne usko pakad kar rassi se baandh diya, aur usko kaha:-" aaj toh tujhe nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas pakad kar zaroor le jaunga , ab tujhe kisi qeemat par nahin chhodunga "

is par baddu ke bhes me maujood shaitan kahne laga ke:-" agar tum mujhe chhodne ka waada karo toh main tumko ek aisa amal bataaunga ke jiske karne se tumhara maala wagerah shaitaan wa jinnaat ke asraat aur qabze se mahfooz rahega "

hz abu hurairah (ra) ne jab uski baat par apni aamadgi zaahir ki toh us par shaitaan ne bataya ke:-" Agar ' ayatul kursi ' padh kar kisi maal par dam kar diya jaaye shaitaan us maal par qaabiz nahin hota aur na us ghar me daakhil hota hai, jis par ayat ul kursi ki rozaana tilaawat ki jaaye "

ye sunkar hz abu hurairah (ra) ne usko chhod diya aur subah ye baad unhone nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko bataayi toh nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" shaitaan agarchah jhoota hai, magar us jhoote ne ye baat sach kahi hai "

(sahih bukhari )


bukhari shareef ki is hadith se zaahir hota hai ke shaitaan ne arab ke ek dehati jinhen baddu kaha jaata hai, uska bahroop bana kar sadaqaat ke maal me khurd burd karne ki koshish ki thi,

toh aisi soorat me sheikh najdi waali mantak ke mutabik arab ke har baddu ko shaitaan tasawwur kiya jaayega ???


Isi tarah ek sahih hadith me unhi sahabi e rasool hz abu hurairah (ra) se marwi hai ke:-" ek martaba nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) namaz padh rahe they, usi dauraan shaitaan ek billi ki shakal me namudaar hua, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain ke:-" us waqt shaitan ne meri namaz me khalal daalne aur use mun'qata karne ki bahut koshish ki magar allah taala ne mujhe uspar kaabu de diya tha, aur maine usko pakad kar uska gala daba diya us waqt mera dil chahta tha ke main usko masjid ke kisi sutoon se baandh dun taake tum log subah usko acchi tarah dekh lete, magar mujhko us waqt apne bhai suleman (as) ki ye dua yaad aa gayi

" rabbi ighfir wahab'li  mulkan la yanbaghi li'ahadin min baadi "

trans: yani mere rabb! Meri maghfirat farma de aur mujhe aisi sultanate ata farma de jo mere baad kisi dusre ko naseeb na ho,"

chunanche shaitaan mardood ko mere paas nakaam kar diya

(haiwaatul haiwaan jild 3 pg 468-469)


toh kya " najdiyat" ki mazkoorah  oondhi mantak ( Logic) ki ru se billion(cats)  ki poori nasal ko hi baatin me SHAITAAN tassawwur kar liya jaayega??,

jis tarah elaaqa  " NAJD" Se mutaalliq har fard ko kam o besh shaitaan aur nafrat wa adaawat ka hadaf qaraar diya gaya hai ???


Baherhaal !  " najdi " ka lafz ek makhsoos tabqe ke awaam un naas ke zahno me ghalat propaganda ke nateeje me intehaayi ghalat aur " GHAALI " ki shakhl me akhtiyaar kar chuka hai,



TO BE CONTINUED.....


Inshallah part 2 me najd ka sahih mafhoom bayan kiya jaayega...