Tuesday, May 31, 2011

22 RAJAB KE KUNDON KI HAQIQAT

Assalam-u-alaikum



Aaj Main Aap Logon ke Saamney Aik Aesi Azeem Hasti Ka Zikr-e-kher Karney Laga Hoon, Jisey Huzoor (SAW) ke "kaatib-e-wahi" aur "HamZulf" honey ka Sharf Bhi Haasil Hai, Jee Han ....

Yeh Hein ...


Amir-ul-momineen Hazrat Ameer Muaawiya ( Razi Allah Ta'ala Anho )


22 Rajab ko Koondey karney ki Jo Rasm ki Jaati Hai, wo DarHaqeeqat Hazrat Muawiya (RA) ki Wafaat Ki Khushi may Manayee Jaati Hai,

Yeh Shiya ki Aap (RA) sey Bughz aur Anaad ki Wazeh Misaal hai, Jisey Hamarey saadah Loh Musalman Samajhney Sey Qaasir Hein!


22 rajab darasal Hazrat Muawiya (RA) ka Yom-e- Wafaat Hai.                                Hazrat Muawiya (RA) ki Seerat to aap Hazraat Mukhtalif Books May Parhtey rehtey hein, magar main Jo Baatein Yahaan Likhoon Ga wo Aam Books may Aap ko Nahi Milein Gi, pehley Hazrat Muawiya (RA) ka Mukhtasar ta\'aruf Mulaahiza Kijiye !          


Hayaat-e-Muawiya(RA) Aik Nazar May!


Wilaadat : (605)

Besat-e-Nabwi Sey 5 Saal Qabal


Huliya Mubarak : Aap (RA) ki Soorat may aik khaas Kashish aur Jaazbiyat thi, Rang may surkhi aur sufedi ka emtizaaj, Lamba Qadd, Kitaabi Chehra, Moti Aankhein, Wazza Qatta aur chaal dhaal may aik khaas qisam ka roab thaa


Elmi Kamalaat : Elm-e-insaab aur Hisaab may mahaarat, Funn-e-kitaabat May khaas Mahaarat, aur Khitaabat may Kamaal.


Fanni o Askari Kamalaat : Shah Sawaari, Teer Andazi, Shamsheer zani may Bartari, aur Askari Qayaadat Jesi Khusoosiyaat ke Haamil They.


Qabal az Islam : Musalmano ke Khilaaf kisi Marka(Jang), Eza Rasaani, aur Badgoyee may Bilkul Hissa nahi Liya.


Qubool-e-Islam : sun 7 hijri may, Umra-tul-quza ke Moqa per (isi sal Hazrat Abu Hurera (RA) ney Islam Qubool Kiya).


Ghazwaat-e-Nabwi may Shirkat : Ghazwa-e-Hunein, Ghazwa-e-Tabook, Ghazwa-e-Taif May Rasool (SAW) ke Hamraah They!Hujjat-ul-widaa key Moqa per Huzoor (SAW) Ka Hulq Farmaya, aur Ba'az Doosrey Mawaqe per Huzoor(SAW) ke Naakhun Taraashey aur Taraasha Apney Paas Mehfooz Kar Liya, jis k baarey may Baad May Wasiyat bhi farmaayee!


Emtiyazaat aur Manaasib : Dor-e-risaalat may "kitaabat-e-wahi", Baahir sey Aaney waley Khatoot (Laters) ke Jawabaat Likhna.


Dor-e-Siddeeqi : Sun 12 Hijri may Jang-e-yammama may Shirkat, Muselma Kazzaab Ka Qatal, aur Fatah-e-Shaam May Kumak Foj ke salaar.


Dor-e-Farooqi : Mulk Shaam ki Gawarnari, Faraaiz-e-kitaabat (wasiqa nawisi) bashamool kitaabat Muaahda-e- Bait-ul-Muqaddas.


Dor-e-Usmani : Mulk Shaam ke elaaqa ki Walaayat, Musalmano ke pehley Behri Berrey ki Tayyaari, aur Roomiyo sey taweel Jang, fatah-e-Qabras Waghera .... ,
Musalmano ki Pehli behri Jangi Fatah !


Dor-e-Alwi aur Hasni :

Walaayat-e-shaam


Aap Ka Dor-e-Khilaafat : Sun 41 Hijri se 60 Hijri (wafaat tak).


Aapke dor-e-Khilaafat ki Mashhoor Jangein aur Fatoohaat :

1) Zranj, 2) Kabul, 3) Ahwaaz, 4) Zabalastaan, 5) Rakhj, 6) Kharasaan, 7) Turkistan, 8) Sajistan, 9) Samar qand, 10) Bukhara, 11) Jurjaan, 12) Tabristan, 13) Bilaad-e-Room Ki Jangein, 14) Ghazwa-e-Qustuntuniya, 15) Rodas, 16) Bilaad-e-Afriqa ki Jangein, 17) aur Doosri Fatoohaat, Waghera!


Awwaliyaat ( wo Cheezein jin ki ibtada aap se Huyee) : Behri Berey ki ibtada, aur Behri Jihad Ka Aaghaaz, Muraaslaat per Muhr (stemp) Laganey Ka Tareeqa, Aasaar-e-Mutabarriqa ki Tehqeeq, Makka Mukarma ki Haweliyo ke Darwaazey lagana, Sheer Khawaari ke Baad Bachon ke Wazeefa ki az sir-e-no ibtada  waghera...!


Riwayat-e-Hadees : Aap (RA) sey Riwayat shuda Rasool (SAW) ki Ahadees ki Ta'adaad 163 hai.


Asaatza-e-Karaam : Huzoor (SAW) ke Elaawa sahaba-e-karam may sey Hazrat Abu Bakkar (RA), Hazrat Umar (RA), Hazrat Usman (RA) ... Waghera!


Aapke Shaagird:

Sahaba MeSe "Hz Abd-ul-Laah bin Abbas"(RA) , " Hz Abd-ul-Lah bin Umar"(RA) , "Hz Abd-ul-Lah bin Zubair"(RA), "Abu Saeed Khudri"(RA) , "Abu Darda"(RA) , "Abu Umama"(RA) , "Saib bin yazeed"(RA) , "Jareer bin Abdullaah"(RA) , "Noman bin Basheer"(RA) , Marwaan bin Hakam"(RA)..waghera!

aur Tabaeen may sey

Chand ke Naam: ... "Saeed bin Museib", "Abdullah bin Haris" , "Qais bin abi Haazim" aur  bohot sey Doosrey bhi !


Wafaat : 22 Rajab sun 60 Hijri


Wasiyyat:

1 : Roomiyo (Ahl-e-europe) ko Khoob Daba Kar Rakhna, in ke Zariye sey baaqi sab qomo per Ghalba aur Control Haasil kar Sako gey!

2 : Huzoor(SAW) ney mujhey aik Qameez pehnayee thi, Jo main ney Mehfooz Rakh Li Thi,Merey Marney Ke Baad Mujhey Wohi Pehna Dena, aur Huzoor(SAW) ke Tarasheeda Kuch Naakhun Mubaarik Main nay Sanbhaal ke Rakhey Hein, in ka Baraada Bana kar Mere Muh or Aankhon May Daal Dena, or Mujhey Allah Ke hawaley Kar Dena!

Azwaaj : Mesoon bint Behdal, Faakhta bint Qarza, Qureba-tul- sughra, Katwa bint Qarza


Aolaad : Betey: 1) Abdur Rehman, 2) Yazeed, 3) Abullah....... Betiyaan: 1) Amat rab-ul-mashariq, 2) Ramla, 3) Hind.

This article is taken from http://www.urdulife.com