Friday, August 26, 2011

KYA YAHI DEEN E ISLAAM HAI??? (BARELWI AQEEDA)




BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM




Barelwi maslak ke logon ka aqeeda hai ki awliya na sirf marne ke baad khud zinda rahte hain balki we dusre murdon ko bhi zinda kar sakte hain

dekhiye is tarah ki daleel--


" huzoor gaus e paak ra ki wa'aaz ki majlis me ek baar tez hawa chal rahi thi, usi waqt ek cheel(eagle) uper chillati hui guzri jisse wa'aaz sunne walon ka dhyan bat gaya, aapne nazar bhar kar uper dekha wah cheel marr gayi sar badan se alag ho gaya, waa'aaz ke baad huzoor chalne lage wah cheel mari padi thi aapne ek haath me sar uthaya aur dusre haath me badan aur dono ko bismillah kah kar mila diya, wah udh kar chali gayi"

(bagh e firdaus 27)


Barelwi hazraat ki kuch daleelon me badi dilchasp lateefe hote hai, aisi ki ek hikaayat aap bhi sune--

" do sahab awliya kiram me se ek dariya(river) ke kinaare, dusre dariya ke us kinaare rahte they, inme se ek sahab ne apne yahan kheer pakaayi aur khaadim se Kaha, ise mere dost ke yahan pahuncha de,


khadim ne kaha- huzoor ! Raaste me dariya(river) padta hai main ki tarah paar karunga kashti(boat) to hai nahi,

farmaya- dariya ke kinaare ja aur kah ! Main uske paas se aaya hun jo aaj tak apni aurat ke paas nahi gaya,


khaadim hairaan tha ki yah kya paheli(quiz) hai? Isliye ki hazrat to awlaad waale they, bahar haal hukam ka poora karna zaroori tha, dariya par gaya aur wah paighaam jo unhone bataya tha kah diya,

Dariya ne fauran raasta de diya,

uske paar pahunch kar us buzurg ki khidmat me kheer pesh ki,

unhone kheer khaayi aur farmaya, hamara salaam apne aaqa se kah dena,

khaadim ne arz ki- salaam to tabhi kahunga jo dariya se paar jaaunga,

farmaya, dariya par jaa kar kahiye- main uske paas se aaya hun jisne 30 saal se aaj tak kuch nahi khaaya,

khaadim bada hairaan huwa ki abhi to unhone mere saamne kheer khaayi hai agar izzat(respect) ki wajah Se khamosh raha, dariya par aakar jaisa farmaya tha kah diya, dariya ne phir raasta de diya"

(hikaayete rizwiya 53)


Auliya kiram ki kudrat par aur aur daleel-

" hazrat yahya muneeri ke ek mureed dariya(river) me doop rahe they, hz khidr (as) zaahir hue aur farmaya- apna haath mujhe de ki tujhe nikaalun, us mureed ne arz kiya--" yah haath hazrat yahya muneeri ke haath me de chuka hun ab dusre ko na dunga,

hz khidr as ghayab ho gaye aur hz yahya muneeri zaahir hue aur unko nikaal liya"

(malfuzaat 2/164)


" hz bashar haafi qudus sirrahu pair(feet) me joota(shoes) nahi pahante they, jab tak zinda rahe tamaam jaanwaron ne raaste me leed gobar(dung) peshaab karna chhod diya taaki bashar haafi ke pair(feet) kharaab na hon, ek din kisi baazaar(market) me leed(dung) padi dekhi- kaha, inna lillahi wa inna ilaihi raajioon,

' pucha gaya kya baat?? Kaha gaya- haafi ne inteqaal farmaya, tahqeeq ke baad Yah baat malum hui"

(hikaayat e rizwiya 172)


Awliya kiraam chahen to qabron se azaab bhi utha sakte hain zara daleel dekhiya-

" ek baar sayyida ismael hajrami ek qabrastaan me se guzre, imam muhibbudin tibri bhi saath they, hz sayyidi ismael ne unse farmaya- kya aap is par imaan laate hain ki murde zindon se salaam karte hain"

arz kiya- haan ! Is kabr waala mujhse kah raha hai " main jannati ki bharti mese hun"

aage chale, 40 qabre thi, aap bahut der tak rote rahe , yahan tak ki dhoop chadh gayi, iske baap aap muskuraaye aur farmaya, tu bhi unhi me hain,


logon ne yah kaifiyat dekhi to arz kiya- "hazrat ! Yah kya raaz hai ? Hamari samjh me kuch na aaya"


farmaya- in qabron par azaab ho raha tha jise dekh kar main rota raha aur maine shafaat ki, allah ne meri shafaat kubool ki aur unse azaab utha liya,

ek qabr kone me thi jiski taraf khayal na gaya tha usme se aawaaz aayi-

' aiy mere aaqa ! Main bhi to unhi mese hun mai falan gaana gaane waali domni hun,

mujhe uske kahne par hanshi aa gayi aur maine kaha ' tu bhi unhi me se hai', is tarah us par se bhi azaab utha liya gaya"


(hikaayte rizwiya 200,201)


ye hain barelwiyon ke we mazboot daleelen jinka inkaar kufar wa irtidaad ke jaisa hai jo inka inkaar karega uspar wahabi wa kufar ka fatawa laga diya jaayega......