Har Ibteda Se Pehle Har Inteha Ke Baad, "ZAAT-E-NABI Buland Hai "ZAAT-E-KHUDA" Ke Baad, Dunya Main Ehtraam Ke Qabil Hain Jitne Log, Main Sabko Manta Hun, Magar ,"MUHAMMAD-MUSTAFA{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} Ke Baad..
Friday, November 25, 2011
RAFULYADAIN PAR MUNAZARA
Bismillahirrahmanirraheem
RAFUL YADAIN PE MUNAZARA
imaami waki ibni jarah bayaan karte hain ki KUFAA ki aik masjid me IMAAM ABU HANEEFA RA aur IMAAM ABDULLAH IBNI MUBAARAK RA nimaaz padh rahe the ki imaam abu haneefa ra ne dekha ki imaam abdullah ibni mubarak ra nimaaz me RAFUL YADAIN kar rahe hain jab nimaaz se dono faarig howe to imaam abu hanifa ra ne imaam abdullah ibni mubaarak ra se poocha ki
''aiy abdullah kahen aapko hawaa me udne ki iraada to nahi jo aap rukoo me jaate waqat aur rukoo se waapas aate waqat apney haath hawaa me utha rahey ho''
JAWAAB me imaam abdullah ibni mubarak ra ne farmaya '' agar muje hawaa me udney ka iraada hota to me nimaaz k shuru me (takbeeri tehreema) karne se hi hawaa me udtaa jab me takbeeri tehreema karne se me hawaa me nahi udaa to beech me RAFUL YADIAN karne se kaise me hawaa me ud sakta hoon''
Imaami wakee ra farmatey hain ki imaam abdullah ibni mubarak ra bade haazir jawaab they aur JAWAAB sun kar imaam abu haneefa ra Kuch na keh sake aur masjid se chaley gaye...
is waaqe ko
1-imaam baihaqee ra ne SUNANI KUBRAA me
2-imaam ahmad ibni hambal ra ne KITAABO SUNNAH me
3-imaam bukhari ra ne apni kitaab JUZ UL RAFUL YADAIN me
4-imaam khateebi bagdaadi ra ne TAAREEKHI KHATEEB me zikir kya hai
Labels:
RAFULYADAIN
SALFIYYA ISLAMIC RESEARCH CENTRE KANPUR