Saturday, December 17, 2011

ANGREZ KA WAFADAAR KAUN????





Bismillahirrahmairraheem



KYA ULEMA E DEOBAND ANGREZ KE WAFAADAAR NAHI THEY???


Aaj kal dekhne me aa raha hai ki muqallideen, ahle hadithson ko angrez ki paidawaar batate hain, zaruri huwa ke ye wajeh kar diya jaaye ki wafadaar kaun hain


Madarsa Deoband aur gangoh ke wah ulema angrez ke himaayeti nazar aate hain jinke baare me angrez(british) C.I.D ki report maulana muhammad miyan deobandi ne yun naqal kiya hai:

" sabse bahtar aur accha faisla wah fatawa hai jo 1898 me marhoom rasheed ahmad ganhogi ne jaari kiya tha, kyonki is par ulama ke elawa maulana mahmood ul hasan k bhi dastakhat hain k musalman mazhabi daur se paaband hai ki hukumat bartaniyah(british) ke wafadaar hain,khawaah aakhir sultan turki hi se jung kyon na hon"

( tahreeh sheikh ul hind az muhammad miyan maktaba rasheediya karachi 1988 pg 155)


hanafi bhaiyyon! Hz gangohi ko angrez hukumat khutbaat(medal of respect) se bhi nawaazna Chahti thi, wah to ek desi afsar tha jisne apni zaati naraazgi ke wajah se aisa na hone diya,

jaisa ki 'arwah salasa' me likha hai:-" ek afsar maulana ganhogi ke paas haazir huwe, maulana maamooli guftagu(baat) karke dars me mashgool ho gaye, is par usko(officer) ko ranj(bad feel) huwa aur dusron se shikayat ki ke bade bure akhlaaq hain, suna hai ke saal ke khatm ya shuru par government ki taraf se kuch khitaabaat taqseem hote hain, to maulana(ganhogi) ke liye bhi shams ul ulema ka khitaab tajweed huwa tha, usme in sahab(office ,jo milne aaya tha) se bhi poocha gaya, kyonki yah officer they, to unhone mukhalifat ki ke munasib nahi, is par officer sahab ne khus hokar maulana ke aadmiyon se farmaya ke hamse maulana acchi tarah nahi mile, hamne bhi khitaab na milne diya"

(urwah salasa, lahore 1976 pg 317,318)


maulana ganhogi se aage chalen to is daur ke hanafi peer sahab nazar aate hain-

inka naam Peer maher ali shah sahab hai, aap deoband ke ustaaz maulana ahmad ali saharanpuri ke shargird aur ahnaaf ke sheikh ul mashaikh haaji imdaadullah sahab ke khalifa hain-

inko 1911 me george ke dehli darbaar me haajiri ka huqm mila to unhone ' commissioner ki ro pukaar par tahreer farmaya ke:-" main ek darwesh hun aur darweshon ki haziri shahi darbaron me kabhi munasib khayaal nahi ki gayi, taa ham hukumat(british) me hamare sacche mazhab islam ke arkaan par koi pabandi nahi, isliye main baadshah ke haq me yahin se dua karta hun"

(mahar muneerh maulwi faiz ahmad pg 283)


angrezon ke haq me dua karne ka peer mahar ali ka ye fa'el koi infiraadi fa'el nahi tha balki us ghadi ka sarkaari amla likhta hai ke:-" kyonki aapki wafaat ke baad aapke shahab zaade aur janasheen hz babu ji ne bhi yahi kuch kiya tha, jaisa ke ek hanafi ahle qalam ne khud aitraaf kiya hai ke kuch mashaikh panjab ne angrez general Daayar ko saccha himayati pesh kiya tha aur us par babu ji ke dastakht(signature) bhi they"

( al faheem public center firoz pur road, lahore taqdeen az sayyid sabbir ahmad hasmi pg 23)


hanafi bhaiyyon! Beeswi sadi(20 century) ke ibtedaai ashron me ek hanafi alim janab khan bahadur, maulwi abdullah ahmad , majistrate mulk nazar aate hain.

Inke baare me professor ayyub qadri sahab likhte hain-" pahli jung azeem me maulwi abdullah ahmad ne hukumat bartaniyah(british) ki be-misaal khidmat anjaam di, unhone war fund me dil khol kar chanda diya aur takriban 3 lakh rupaiye jung me diya, unhone recruitment committe aur pulicity committee ke member ki haisiyat se bhi numaaya khidmat anjaam di, in khidmat ke wajah se government british ne maulwi abdullah ahmad marhoom ko khal'at sindh aur khan bahadur ke khitaab se nawaza, 2 december 1920 ko maulwi abdullah ahmad ka inteqaal huwa, us Zamane me khilafat ki tahreek zoron par thi, hukkam ras aur khitaab yaafta log acchi nazron se na dekhte they, lihaaza baaz logon ne maulwi abdullah ahmad marhoom ki mayyit ki tadfeen me shakht rukawat daali"

(kitab muhammad ul hasan nanotwi pg 165)


aage chalein to barre sagir e mashoor alim SIBLI NOMANI nazar aate hain jinhone hanfiyat ke josh me imam abu hanifa ki wafaat ke taqriban 1150 saal baad in se 40 afraad par mustakmal tadween fiqh committee banwa di thi

aapke baare me ek aur deobandi aalim maulana abdul maajid daryabaadi musannaf tafsir maajidi likhte hain ki ek martaba unhone mujhe apne yahan bulaya jab main mulakaat ke liye haazir huwa to (sibli), bahut der tak takhliya(akele) me guftugu karte rahe, wajah yah tha ki government mujhse badzan hai, khususan maamla kanpur ke mutaallik meri nazmon se, haazik ul mulk hakeem ajmal khan mujhe mister(mr.) cheif secretory ke paas le gaye they ah bahut naraaz they, haalanke usse pahle woh nihayat akhlaaq wa acche lahze me milte they,... Tum(sibli) inke naam ek mufassal chitti(letter) is mazmoon ki meri taraf se likh do ke main kabhi ANGREZI hukumat ka bura chahne waala nahi raha hun.... 1908 me maine nadwa me ek mustaqal mazmoon ke zariye se ye saabit kiya ke musalman par angrezi hukumat ki itaat wa farmabardaari mazhaban farz hai, aur isi saal nadwa ke saalaana jalsa me wafaadaari ka ek revolution bhi paas karaaya hai"

(hayaat sibli az sayyid suleman nadwi taba azamgarh pg 635)


zara aur aage badh jaayen to tafsir haqqani ke musannaf mashoor hanafi aalim maulana abdul haq haqqani sahab nazar aate hain,

inka zikr karte huwe "british government paraston ka fitna" ke unwaar(topic) maulana muhammad miyan apni kitab me likhte hain:-" wahi turki jisko angrez ne apni zarurat ke waqt musalmanon ka khalifa qaraar diya tha..... Ab wahi turki Chunke maidaan e jung me angrez ke muqaable par tha, to usko faasik ,faazir qaraar de kar khilafat ka gair mustahik qaraar dena, government parast maulwion ne fatawe murattab kiye, abdul haq haqqani is fatawon ke maulaf they"

( ulama e hind ka shaandar mazi jild 5 maktaba rasheediya karachi pg 125)


aage chalein to daarul uloom deoband ke mohtamim maulana muhammad ahmad aur mohtamim maulana habiburrahman nazar aate hain

inke baare me abu suleman shahjahanpuri sahab likhte hain:-" ke maulana abdullah sindhi ke khilaaf maulana shabbir ahmad usmani ko aamaadah paikaar karne aur in par kufr ka fatawa lagaane me maulana muhammad ahmad ka dast(hand) karam posheeda tha, hz sheikh ul hind ke khilaaf saharanpuri ke kakod ki maarifat government me maulana muhammad ahmad ki reporten shaay ho chuki hain aur unhen reshmi rumaal shazish case ki directory me angrez hukkam ne apna aadmi bataya hai, aur maulana Habiburrahman ,maulana muhammad ahmad ke ham khyaal wa ham maslak they, aur reshmi rumaal saazish case directoroy me hukkam(government) ne inko apne wafaadaaron me shumaar kiya hai,"

(tahreek sheikh ul hind mahmood ul hasan az abu sulaiman shahjahanpuri karachi, 1988 pg 167,168,)



bhaiyon ! Yah wah mahaul tha jab maulana muhammad hussain bataalwi ne bhi wahi raaye zaahir kar di jo ahnaaf taqriban 50 saal se karte chale aa rahe they jaisa ki nawab siddiq hasan khan farmate hain:-

" 1857 maulwi muhammad hussain batalwi ne wa jawab wa sawaal wa maslah aur ek fatawa aaya ke muqaabla government hind , musalmaan hind ko jihaad karna aur apni mazhaban taqleed me hathyaar uthaana chahiye ya nahi??

Yah jawab diya hai aur bayan kiya hai ke:-" jihad aur jung mazhabi muqabla british government hind ba muqaabla is huqm ke jis ne aazaadi mazhabi de rakhi hai az roo e shariat islam amooman khilaaf wa mamnoo hai"



(tarjuman wahabiya pg 61)

phir bataala se baat ludhiana pahunchi aur wahan ke ulema ne sultanate british bahtar hai ya hukumat roos(russia)??? Ki bahas me hissa lete hue farmaya ke sultanate british bahtar hai kyonki sarkaar daulat mand misl roos muta'asib nahi, agar bil farz wa wa taqeed sarkaar ki amaldaari mumlakat roos wagerah se bahtar na samjhi jaaye tab bhi ahle islam ko sharian haraam hai"

(nusratul abrar pg 9 manqool az ulema e deoband ka maazi,, haqeem muhammad ahmad gujranwalah pg 1211)

aur maulwi abdullah ludhianwi(deobandi) ek jagah farmate hain ' chunke khuda taala ke fazal wa karam se sarkaar daulad madaar(angrezi hukumat) hamare dini umoor me haarij nahin us amr ka shukriyah ada karke haaqim waqt se is amr ki altija(guzarish) karni chahiye ke ek ek qaazi wa mufti shahron me aur ek ek nayab in ka kasbaat(town) me muqarrar kiye jaayen"

(fatawa qadariyyah taba lahore pg 51,52)




Us waqt ke ek aur hanafi alim deputy nazeer ahmad ne angrezon ko wafadaar qaraar diya....

"supreme mayor ne deputy nazeer ahmad ko tareef karne ke bina par shams ul ulema ka khitaab dilwaaya aur edinburg university se L.L.D ki degree dilwaayi"


( abul qalam azad az source kashmiri pg 403)


jab ye waajeh ho gaya ki ulema e deoband wa hanafi alim angrez ke wafaadaar they aur unhe wafadaari ka inaam bhi milta raha


AB YE SAWAAL UTHTA HAI KI ULEMA E DEOBAND KO MAALTA ZAZEERE PAR JAIL ME KYON DAALA GAYA??? Ye sawaal uthna laazim hai...


Inshaallah agle article me ise waajeh karenge........