Friday, December 9, 2011

TABLEEGHI JAMAAT KA MUKHTASAR SA TARUF:

Bismillahirrahmanirraheem



TABLEEGHI JAMAAT KA MUKHTASAR SA TARUF:



Tableegi jamaat me " tableegi nisaab/ fazail e amaal" maulana muhammad zikriya shahab ko jo ahmiyat haasil hai kisi dusri kitab ko balki amli taur par QURAN kareem ko bhi haasil nahi hai, is jamaat ka mukammal nisaab(course) yahi kitab hai, hazr wa safar me iski tilawat wa dars ka ahtimaam is hadd tak hota hai ke is ki majlis e tilawat se ghair haajir rahme waala maatoob hota hai,

lekin is kitab ki sehat ka haal ye hai ke agar is mese gair sahih wa gair mustanad hadith wa riwayaat aur kisse wa hikayaat ko chhaant diya jaaye to iski do jildon mese ek jild bhi moujudah sehat par nahi pahunchegi,

baaz ulema ne is kitab ki chand cheezon ka jayeza lekar kitaabi shakl me shaaye(publish) bhi kiya hai...


Inshaallah main isi blog(islamicleaks) par inse kitab me maujood aqeede se muttaallik baatein bayan karenge, phir aam bidaat wa Khuraafaat ka, phir khaas tasawwuf ki bidaat ka zikr karenge

in teeno iksaam ke saath inka aqeeda pesh karenge


PAHLI QISM: TABLIGHI JAMAAT ME SHIRK KI DAWAAT


Inshallah next article me iski wazahat ki jaayegi jazakallahu khair