Monday, October 1, 2012

NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 3)

Bismillahirrahmanirraheem



NABI-E -AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) SE MUHABBAT KARNA HAR MUSALMAN KE LIYE ZAROORI HAI (PART 3)



MASLA- 51


ek sahabi ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat

hz anas bin malik (ra) kahte hain ek aadmi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir huwa aur arz kiya:-"  ya nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ! Qayamat kab aayegi ?"

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne usse poocha:-" toone qayamat ke liye kya taiyyari ki hai ?"

aadmi ne arz kiya:-" allah aur uske rasool ki muhabbat !"

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" (qayamat ke din ) beshaq hi tu uske saath hoga jiske saath tune muhabbat ki"

hz anas (ra) kahte hain:-" islam laane ke baad hamen jitni khushi is baat se hui itni khushi kisi baat se nahi hui"

( muslim )


MASLA-52


Ek kismat waale sahabi ki  nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat par qur'an majeed ka utarna


hz aisha (ra) kahti hain ek aadmi nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Main aapse apni jaan se bhi zyada muhabbat karta hun, apne bete se bhi zyada muhabbat karta hun, jab ghar me hota hun aur aapki yaad aati hai toh us waqt tak sabr nahi aata jab tak khidma me haazir hokar aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka deedaar na kar lun, lekin jab mujhe apne aur aapki maut yaad aati hai toh jaanta hun ki jannat me daakhil hone ke baad aap nabiyon ke saath unchi jagah par honge aur main jannat me chala bhi gaya toh ( kam darje ki wajah se ) darrta hun ki aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka deedaar nahi kar paaunga "


aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apne sahabi ki is baat ka us waqt tak koi jawab na diya Jab tak hz jibreel (as) yah aayat lekar na aa gaye:

" aur jisne allah aur uske rasool ki ita'at ki wah (jannat me ) un logon ke saath honge jin par allah taala ne inaam kiya hai ambiya mese, siddeeqeen mese, shaheedon mese aur bhale logon mese, un logon ka saath kaisa accha hai "

(surah nisa 69)

( majma uz zawaid kitabul tafseer surah nisa )


MASLA:- 53


hz umme aiman (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat



hz anas (ra) kahte hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat ke baad hz abu bakr (ra) ne hz umar (ra) se kaha:-" chalo umme aiman (ra) se milkar aayen, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) bhi unhe milne jaaya karte they "

jab dono wahan pahunche toh umme aiman (ra) rone lagin,

hz abu bakr (ra) aur hz umar (ra) ne poocha:-" aap kyon roti hain, allah ke paas jo nematein hain we nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke liye (duniya ki nematon se kahin zyada ) bahtar hai "

hz umme aiman (ra) kahne lagin:-" main isliye nahi roti ki mujhe yah pata nahi ki allah ke paas apne rasool ke liye bahut kuch hai balke main isliye roti hun ki ab wahi (revelation ) aane ka silsila band ho gaya hai "

hz umme aiman (ra) ki is baat se hz abu bakr (ra) aur hz umar (ra) ko bhi rona aa gaya aur we bhi umme aiman ke saath rone lage


(muslim kitabul fazail bab min fazail umme aiman )


MASLA-54


Sahaba kiram (ra) ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se muhabbat


hz bara bin ajib (ra) kahte hain ki sabse pahle hamare paas (madeena me ) hz mus'ab bin umair (ra) aur abdullah bin umme maktoom ra ( jo nabeena they ) aaye, we dono logon ko qur'an padhaya karte they, phir hz bilal (ra), hz saad bin abi waqqas (ra) aur hz ammar bin yasir (ra) aaye, phir hz umar (ra) 20 sahaba kiram (ra) ko saath liye hue aaye phir  nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ( hz abu bakr aur hz aamir bin fuhaira ra ko saath lekar ) tashreef laaye, maine madeena waalon ko kisi baat se itna khush hote nahi dekha jitna nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke tashreef laane se we khush hui, laundiyan tak kahne lagin " allah ke paighambar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laayen hain "

(bukhari kitabul manaqib )


hz abu zuhaifa (ra) kahte hain dopaher ke waqt nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef laaye, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me wuzu ka paani pesh kiya gaya jisse aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne wazu farmaya, sahaba kiram (ra) aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke wuzu se bacha huwa paani lekar apne badan par malne lage


(bukhari kitabul wuzu )


MASLA-55

Ek kamsin bache ki nabi e akram sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) se muhabbat


hz abdul malik bin umair (ra) kahte hain madeena me ek ladka tha jiska laqab abu mus'ab thi, wah nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir huwa, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke mubarak haath me ek khosha tha,

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne khosha haathon me malkar uska chhilka utaara, foonk maari aur uske daane ladke ko diye, ladke ne lekar kha liya,

jabki ansaar madeena use accha na samjhte lekin jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne abu mus'ab (ra) ko daane diye toh usne aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko waapas na paltaaye

hz abu mus'ab (ra) kahte hain ki main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas se uthkar abhi thodi door hi gaya tha ki phir wapas palta aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se arz kiya:-" ya rasoollullah ! Aap mere Liye dua farmaye ki allah mujhe jannat me aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka saath ata kare "

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne usse poocha:-" tumhe yah baat kisne sikhayi hai ?"

abu mus'ab ne arz kiya:-" kisi ne nahi "

aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" accha main dua karunga "

jab main wapas hone laga toh aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mujhe bulaya aur irshad farmaya:-" sazdon ki ziyadati se meri madad karna "

jab main apni maa ke paas wapas (ghar) aaya toh maa ne malum kiya (itni  deir kahan rahe ? ) maine bataya:-" nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir tha, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ek khosha laaye apne mubarak haath se uske daane nikaale aur apni phoonk se chhilke udaaye aur mujhe diye, maine wapas karna munasib na samjha (aur le liye)"

abu mus'ab (ra) ki  Maa ne kaha:-" toone bahut achha kiya "

abu mus'ab (ra) ne kaha:-" phir main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hua aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne mere liye dua ki "


(bazzar, majma uz zawaid kitabul manaqib bab maaja fi abi mus'ab 9/665)



THE END......