Aurangzeb
 mughal itihas me sabse badnam shasak hain jiska kaaran ye bataya jata 
hai kiwo kattar muslim thy . . . 
lekin jab ham dhyan se itihas padh te 
hain to pate hain Aurangzeb r.a. ne Sati pratha ko apne shasan me band 
karwa ke anginat maasoom aurato ki jaan bachai thi is ke saath Aurangzeb
 r.a. ne apne rajya me Daas wyapar pe rok lagaai . 
Bazaro me Jua khelne 
aur khule aam Sharab peene pe rok laga 
dithi ,
 apne rajya me Veshyavritti pe rok laga di thi, 
rajya me bhang ki
 kheti pe rok laga di thi aur ek sath 80 taxes ko maaf kr dia tha jinme 
hinduo pe laga teerth yatra tax bhi maaf kr dia tha . 
aurangzeb r.a. ne 
apne darbar me pury mughal period ke mukable sabse zyada 33% hindu man 
sabdar rakhe thy aur unhone Jyotish sangeet etc.mahal ke faltu kharco pe
 rok laga di thin . . . . . 
ye tathya bharat sarkar dwara manyata prapt 
kitabo me milte hain 
jaise Dr. Laeek ahamad ki likhi kitab 
MUGAL KALEEN 
BHARAT, page: 177-178
aur Harishchandra Varma ki likhi kitab 
MADHYA 
KALEEN BHARAT, page: 147 
isi tarah NCERT ki 12th class ke liye kitab 
 BHARTEEY ITIHAS KE KUCH VISHAY-2 me 
Bhatki Sufi Paramparaye Page: 149 pe
 likha hai
''shasako ne bhumi anudan aur kar ki Chhoot hindu, jain, 
parsi, isaai aur yahoodi dharm Sansthaao ko di sath he ghair muslim 
dharmik netaao ke prati shraddha bhav wyakt kiya ! aise anudaan anek 
mugal badshah, jinme  Aurangzeb shamil thy dwara diye gye''
Page 150 srot
 6 me 
 
Aurangzeb r.a. dwara ek jogi ko likhe huyepatr ka ansh dia hai
 
Wo Patra is tarah h
 
''Buland maQaam Shivmurat guru anand nathjiyo/ Janab e muhtaram, aman aur khushi se hamesha shri shiv jiyo ki panah me rahen. Poshak keliye vastr aur 25 rupay ki raqam jo bhent ke taur par bheji gai aap tak pahochegi. janab e muhtaram aap hame likh sakte hain jab bhi hamari madad ki zarurat ho''
Aurangzeb r.a. dwara ek jogi ko likhe huyepatr ka ansh dia hai
Wo Patra is tarah h
''Buland maQaam Shivmurat guru anand nathjiyo/ Janab e muhtaram, aman aur khushi se hamesha shri shiv jiyo ki panah me rahen. Poshak keliye vastr aur 25 rupay ki raqam jo bhent ke taur par bheji gai aap tak pahochegi. janab e muhtaram aap hame likh sakte hain jab bhi hamari madad ki zarurat ho''
Page 234 
''Yuddh ke dauran agar mandir nasht ho 
jate thy tobaad me unki marammat ke liye anudaan jaari kiye jate thy 
aisa hame Shahjahan aur Aurangzeb ke shasan kaal me pata chalta hai''
in 
facts se pata chal jata ki kattar muslim  Kise kahte h
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
 #UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks