Bismillahirrahmanirraheem
VANDE MATARAM KI HAQEEQAT:
Vande mataram 100 saal pahle Viceroy Lord Karzen ke hathon bangal ki takseem ke ehtejaa me likhi gayi thi,
Bankim chandra Chatterji ne 1875 me ye geet likh kar apne imteyazi Novel Anand math me 1881 me Shamil kar liya tha,
Kaha jaata hai ke ye taaj Bartaniyah Ke bajaaye Musalmano ke Khilaaf Jazbaat Bhadkaane ki ek Koshish thi,
Vande mataram ki haisiyat Qaumi Taraana Ki kabhi nahin rahi, us zamana me bhi musalmano ko aitraaz tha, Aaj bhi hai aur Aindah bhi rahega kyonke
" Aiy maa main tere aage Sar jhukaata hoon "
Aqeedah Tawheed ke Khilaaf hai !
Us novel Anandmath ke teesre Hisse ke 8we bab me Qatal wa Khoon ke waqeyaat bayan ke gaye hain, Durga maata ke sevakon Se ye baad Kahlawayi ja rahi hai,
" Bhai wah din kab ayega jab ham masjidon ko Mismaar karenge aur unki jagah radha aur mahadevo ke mandir Banaayenge "
Aakhir me Anandmath ka Rachayita Un Sevakon se kahta hai
" Ab angrez aa gaye hain, hamari jaan wa maal ko amaan milegi "
Vande mataram hamesha se mutanaaza raha hai, Pandit jawahar lal nahru ise Qaumi taraana nahin maante they,
Subhas chandra bos, Ba'wajood bangali hone ke Is geet ke Mukhaalif they,
All india Student union ne bhi ye faisla kiya tha ke:-" ye taraana Firqa waraanah jazbaat ke liye Ishte'aal ka zariya hai, is liye isliye Students ke Ijtemaat ke liye mauzu nahin "
( statesman 12 december 1983)
Bangal ke mashoor Socialist leader M.n roy jo apni Saaf goyi ke liye mashoor they, Kaha tha
" vande mataram ke Khilaf musalmano ki nukta cheeni Sahih buniyaad par qayem hai "
Rabindra naath tagore ne 1937 me Subhas Chandra bos ko likhe gaye ek khat me Aitraaf kiya tha ke :-
"koi musalman 10 haathon waali Durga devi ki parastist nahin kar sakta "
Dr lohiya ne jo us waqt Congress me they, Kaha tha
" Anandmath Hamari Qaumi tahreek par ek daagh hai , us ka ye jumla
"Ab angrez aa gaye hain, hamari jaan wa maal ko amaan milega"
Qabil e Aitraaz hai , is aitbaar se dekha jaaye toh ye novel jiske andar ye geet shaamil hai, Hamari Qaumi tahreek ke liye bhi Sharmnaak hai "
( jareedah ansari 18 august 1982)
Vande mataram ke maujoodah tanaja'a par Art of living ke Bani Shri shri Ravi Shankar ne television par Shosha Chhoda ke
" Vande mataram islami Aqeedah par zarb nahin lagaata , jab hindu lafz Allah istemal kar sakta hai toh musalman vande mataram gaane ke liye kushaada dili ka muzaaherah kare "
Shri shri ravi Shankar ji Tauheed ki lazzat se na'aashna hain, agar wah ek baar bhi Tauheed ke dariya me gotah lagaa lein toh masnui Lazzaton se Chhut'kaara paa lein
Is silsile me Feroz ahmad bhi azaadi raaye se fayedah utha gaye, farmate hain
" idhar musalmano ko bhi ye chahiye ke is Geet ke jo ke Sanskrit me Hai, maano me na jaakar uske Sur aur mauseeqi ke bolon ki jaanib rukh karen ke Jo aap me Nihaayat hi Ba'waqaar aur Asar'daar hain aur jinka talluq jaddo jehad Azaadi se hai, dusri baat ye ke na toh hamare bacchon ka zehan missionari schools me Angrezi duaon ke Padhne se Islam ki jaanib se munharif hoga aur na hi ' Vande mataram' ya ' Jan gan man' ke gaane se, Qaum ko unhen mahaz usi tarah ka Geet samjhna Chahiye ke Jaise ' Saare jahan se accha 'ya ' Sarfaroshi ki tamanna , wagerah jaise Geet hain "
( Raastriya sahara 29 august 2006)
Sacchi baat ye hai ke Vande mataram bangaal ka Qaumi geet tha jise baad me Hindustan ka Qaumi Geet bana Diya gaya,
Vande mataram ki takhleeq ka maqsad, uske alfaaz, jis novel ka juzz banaya gaya, ke Matan Ishaara karte hain ke ye do Qaumon ke Darmiyaan ittehaad (ekta) wa ittefaq ki bajaaye nafrat wa adaawat ke beej bote hain, Aur isi liye musalman iski mukhalifat karte Hain,
YE HAM HI THEY!
Ye ham hi they ke Jung azaadi me Sar dhadh ki baazi lagaakar mulk ki rahnumaayi kar rahe they,
Ye ham hi they ke tahreek Azaadi ke jurm me jazeere Andman nicobar (kaala pani ) me Jais dawaam ki zindagiyan Guzaari,
Aaj bhi hamare aaba wa ajdad ki Qabrein us zameen par Sitaaron ki tarah judi hui hain,
Ye ham hi they jisne muslim league ke do Qaumi nazariye ki Takseem se Pahle Mukhaalifat ki thi, Aur apna watan azeez Chhod kar Dusre mulk jaane se Inkaar kar diya tha, Kyonke Ham azaadi ki Subah Apne watan Azeez me hi Guzaarna Chaahte they,
Ye ham hi they jo Jama masjid delhi se musalmano ko Lalkaara tha ke
"Apne aaba wa ajdad ka warsa Chhod kar mat bhaago, lal qile ki diwaare tumhe Hasrat wa yaas se tak rahin hain ke muslim daur e hukumat ke is Yaadgaar ko mat Chhodo, tumhare aaba wa ajdad is Sar zameen me Dafan hain, unki haddiyon ko aasaar qadimiyah ke Hawaale mat karo,"
Ye ham hi they jo mulk khudaad Bhaag jaane waalon par matam kanaan they,
Hasrat wa yaas se jama masjid aur lal Qilah ki Deewaron , Faseelon aur Gumbadon ko takte they aur watan azeez ke Waasiyon ko Qurbani aur Hubbul watani ka dars dete they,
Ye ham hi they ke Azaadi ke Baad Hawaldar Abdul hameed, Brigadiar Usman aur Captain Haneefuddeen Jaise Soorma paida karke Aazaadi ki Hifaazat ki...
AUR AAJ !
Aur aaj tum hamen Is Desh me ajnabi Samjhte ho,
Hamse Hubbul watani ka Certificate Maangte ho ?
Vande mataram ke Zariye hubbul watani ka imtehaan lena Chaahte ho ?
Tum elaan karte ho ke Vande mataram ki Mukhalifat watan se Ghaddari hai, Zara Apni Girebaan me jhaanko ?
Ghaban, Rishwat, bad'amani, todh fod, mulk ke khilaf mukhbiri, Ghotaale, aur Scams me tum mulawwis ho ya Musalman ?
Qaum parast, desh bakht aur muhibbul watan banne ke liye Vande mataram gaana Zaroori nahin hai,
Tumhe yaad hai Ke Mahatma gandhi ji ka Qatal kisne kiya tha ?
26 february 1948 ko jawahar lal nahru ne Sardar Patel ko ek Khat me likha tha
" Main is nateeje par pahuncha hun ke Baapu ka Qatal ko Infiraadi haadsa nahin balke RSS tahreek ka ek Hissa hai "
Iske jawab me 27 february 1948 ko sardar Patel ne likha ke
" Police Jaanch padtaal se waazeh hota hai ke RSS Gandhi ji ko Qatal karaane ki Sajish me Shareek nahin thi "
Halaanke Sardar patel apne Dusre maktoob me Jo Shyama Parsad mukheji ke naam likha gaya hai, Kahte hain
" Hamari reports Zaroor is baat ki tasdeeq karti hain ke in tanzeemon ne Ba'taur e khas RSS ki fitrat ke nateeje me aisa mahaul paida ho gaya jisse aisa Sangeen Haadsa mumkin ho saka"
Desh bakht banna itna asaan nahin jitna BJP aur Nafrat ka naqaab Oadhe Congressi Samjh rahe hain,
Awaam ka haafiza kamzor ho sakta hai, lekin taareekh ka Haafiza kamzor nahin hota, na use Khudach kar Mitaaya ja sakta hai,
" Ab angrez aa gaye hain, Hamari jaan wa maal ko amaan milegi "
Jis Novel me Angrezon ki Aamad ka Khair muqaddam kiya gaya hai, Aur unko Hinduon ka muhaafiz bataya gaya hai,
Kya Musalman is baat par Haq ba'jaanib nahin hain ke VANDE MATARAM na gaayen Aur Saath hi Apne Aqeedah Tauheed ki Hifaazat Karen ??
ALLAH TAALA HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN
BY- DR ABUL HAYAT ASHRAF (RH), DEC 2006
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks