APRIL FOOL EK GUNAHO KA ZAKHIRA::
Jhoot bolna gunahe kabirah hai.
Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat
hoti hai
[Al Imran, Aayat No. 61]
Jhoot bolne ki aadat ka sab se bada nuksan
ye bhi hai ke jhoot bolne wala jab sach bolta
hai to bhi log uski baat par yakeen nahi
karte.
1st April ko jaanbooz kar jhoot bola jaata hai
aur jhoot bolkar khushi manayi jaati hai,
Aur
Musalman bhi gair-muslimo ke saath isme
samil hote hai.
Kya ek musalman ke liye ye sab sahi hai?
Is me 3 Nuksan hai hai :
(1) Jhoot bolne ka
gunah
(2) Gair-muslimo ka tariqa apnana aur
(3) jhoot bol kar samne wale ko be-wuquf
banana.
Aur jho ISLAM k siwa koi deen chahega woh
hargiz us se kubool na kiya jayega. Aur woh
akhirat me ziyakaron (nuksani me) se hai.
[Al Imran, Surah 3, Ayaah 85 – Tarjama:
Kanzool Imaan]
AEY IMAN WALO ISLAM ME PURE DAKHIL HO
JAO AUR SHAITAN K KADMO PE NA CHALO,
BESHAK WOH TUMHARA KHULA DUSHMAN
HAI.
[Al Bakrah, aayat no. 208]
Hadeese::
Tum me se koi shakhs us waqt tak kamil
mo’min nahi ho sakta jab tak ke uski
khwahishat us deen ke tabe na ho jaae jise
main lekar aaya hu.
[Bukhari sharif]
Aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko
ALLAH ke taabe kare aur maut ke baad ke
liye amal kare aur bewakoof wo shakhs hai jo
apne nafs ko apni khwahish ke taabe kare
aur ALLAH par ummid rakhe.
[Ibne Maajah, Tirmizi]
Ye baat khud bhi yaad rakhe aur Apne dosto,
Rishtedaro aur Padosio ko samajhakar in sab
musalmano ko bhi is gunah se bachae, ki neki
ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa
hai.
[AUR YE KAAM AAP IS IMAGE KOSHARE
KARKE BHI KAR SAKTE HAI]
ALLAH sab ko sach bolne ki aur Gair-muslimo
ke tyohar manane se door rehne ki aur
Gunaho se bachne ki taufiq ataa farmaye.
Aameen.......
ALLAH HMSB KI HIFAZAT FRMAYE..