Shadi Ek School KI tarah Hai Jiska Cetificate
Aapko Shuru Hi Me Mil Jaata Hai
Ek Aisa School Jisme Aapko Graduate Nahin
Hote
Ek Aisa School Jisme Kabhi Free Period Aur
Break Nahin Hota.
Ek Aisa School Jisme Aapko Chhodne Koi
Nahin Aata
Ek Aisa School Jisme Aapko Apni Zindagi Ka Ek
ek Lamha Guzaarna Padhata Hai
Ek Aisa School Jisme Koi Sick Leave Aur Holiday
Nahin Hoti
Ek Aisa School Jo Allah Ki Taraf Se Banaya Gaya
hai
1- Jiski Buniyaad Pyaar Par Bani Hai
2- Jiski Diwaar Bharose Par Tiki hai
3- Manzoori (Acceptance) Se Bana Hua
Darwaaza
4. Jiski Khidkiya Aitemaad Par bani hain
5- Jiski Chhat (roof) Imaan Se Banaya gaya
hai..
6- JiskA Furniture Rahmat wa Barkat Se
Banaya Gaya Hai
Isse Pahle Ki Aap Bhool Jaayen.
Ye Zehan Me
Rakhiye ki
Aap Student Hain Principal Nahin
Balke
Allah Taala Hi Aapka Principal Hai..
Toofaan (Storm) Ke Waqt Ghabraaiyye Nahin
Aur Iske Baaher Na Nikaliye...
Yaad Rakhiye..
Ye School Aapke Liye Ek Mahfooz Jagah Hai..
Kabhi Din Ke Kaam (assignment) Ko Karne Se
Pahle Kabhi Mat Sona..
Kabhi Bhi Apne Classmate (Spouse) Aur
Principal (Allah) Se Baat-cheet Karna Na
Bhoolna..
Agar Kbhi Aap Apne Classmate Ko Dekho Ki
Wo Aapka Saath Nahin de raha hai
Toh Yaad
Rakhiye ki
Wo Bhi Ek Student Hai Graduate Nahin...
Aur Yaad Rakhiye Ki Principal Ki Nigaah Apne
Student Par Hamesha Rahti hai...
Aap Apne Classmate Ke Is Amal Ko Challenge Ki
Tarah leN Aur Mil kar Kaam Karen...
Is School Ki Aham wa MuqaddaS Kitab Jo Is
School ki Buniyaadi Kitab (Quraan) Use
PadhNa bilkul Bhi Na Bhoolna..
Har Din Ki Shuru'aat Muqaddas Assembly
(Namaz) Ke Zariye Karna Aur Khaatma Bhi...
Kabhi kabhi Aapko Mahsoos hoga Ki Aapne
Class Attend Nahin Ki.Jabke Aap kar Sakti Thi..
Kabhi Kabhi Aap Class Attend Ni Kar paogi..
Aise Me Himmat Na haare Balke Class Dobara
Attend Karne Ki Koshish Karen......
Allah Aapki
madad Karenge..
Kuch Test Aur Imtihaan Aapko Mushkil Lag
sakte hain....
Lekin Yaad Rakhna Principal Jaante hain Ki
Aap Kitna Bear kar Sakte ho..
Phir Bhi ! Ye Zameen Ka sabse Bahtareen
Schools mese hai,
Isme Aman ; kushi Aur Muhabbat Ke saath Har
Lesson Ko Enjoy karna..
Is school Me Bahut Se Subject Padhaaye jaate
hain..
Lekin Muhabbat Is School Ka Khaas Subject
hai....
Itne Saalon Se Nazariyaati (Theorotical) Ilm Ke
Baad..
IsPar Amal Karne ka Aapko Mauqa milta
hai..
Muhabbat Karna Ek Acchi Baat Hai lekin Isko
Apne Urooz tak Pahunchaana Isse Bhi acchi
baat Hai....
Shadi Muhabbat Ki Jagah Hai, Toh Aap Apne
Partner Se Muhabbat kariye...
Lekin Yaad Rakhen..
Is Class Me Kisi Ko Bhi Aane Ke Ijaazat nahin
Dijiye..
Agar Aap Is class Me Apne Maa, Baap Ya Koi
Dost
Ko Ya Koi Aur Jisko Nahin Aana Chahiye Is
Class Me Laana Chaahti Ho...
Toh samjh Lijiye Ki Aap Is Exam Me Fail Ho
Jaogi
Ye Aap Hi Ho Jisko Class Attend Karna Hai Aur
Pass Hona Hai
Ye Aaj Aapki Choice Hai Ki Aap Is Rishtey Ko
Jodhti Ho Ya todHti Ho...
Allah Taala Ham Sab Par Apni Rahmat Naazil
Farmaaye..