Monday, March 25, 2013

ZABAAN ME HADDI NAHIN HOTI







Zabaan Me Haddi Nahin Hoti,

Lekin Ye Dil Todhne ke Liye Kaafi Mazboot hai 

Isliye Aap Apne Lafzon Ke Saath Hoshiyaar Rahen.....



ZABAAN SE TAQLEEF PAHUNCHAANE KA
ANJAAM:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke ek
shakhs ne kaha:-" aiy allah ke rasool !
Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata
hai ke wah badi namaz padhne wali,
roza rakhne aur Sadqah karne waali hai,
elawa uske ke wah apni zabaan se apne
padosion ko takleef pahunchaati hai,


aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:- "wah jahannami
hai",


us shakhs ne kaha:- aiy allah ke rasool !
Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata
hai ke namaz, roza, aur sadqah bahut
kam karti hai aur paneer ka tukda
sadqah me deti hai, lekin apni zabaan se
pados waalon ko taqleef nahi
pahunchaati,


aapne farmaya:-" ye jannat me hai "


(rawah ahmad 2/990, baihaqi)


hz abu hurairah (ra) farmate hain ke
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:-" ba'khuda wah
momin nahi ho sakta,


poocha gaya, aiy allah ke rasool kaun!,

farmaya :- jiska padosi uski buraayi se
mahfooz na rahe"


(bukhari 7/78, muslim)



hz anas (ra) se marwi hai kahte hain ke
rasoollullah sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ne farmaya:-" wah shakhs jannat
me nahi daakhil hoga jiska padosi uski
buraayi se Mahfooz na ho "


( rawah muslim 68)