Saturday, August 31, 2013

MURDE SUNTE HAIN (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME)- PART 1









Bismillahirrahmanirraheem

MURDE SUNTE HAIN (KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME)

Kitab Wa Sunnat Se Aalam E Barzakh Ke Baare Me Hamen Jo Haqeeqatein Malum Hoti Hain Wo Is Trah Hain


1- Murde Bolte Hain

Aap (Sws) Ka Irshad Mubarak Hai

Marne Ke Baad Nek Aadmi Ki Mayyit Apne Ahle Khana Se Mukhaatib Hokar Kahti Hai

" Mujhe Jaldi Le Chalo , Mujhe Jaldi Le Chalo"

Aur Bure Aadmi Ki Mayyit

" Haay Afsos Mujhe Kahan Liye Ja Rahe Ho"

(Sahih Bukhari)

Is Hadith Se Marne Ke Baad Mayyit Ka Bolna Saabit Hota Hai,

Munkar Nakeer Ke Sawaalon Ke Jawab Me NeK Aadmi Allah Aur Uske Rasool Par Iman Ki Gawahi Deta Hai Jabki Kaafir Aur Kapati Aadmi (Haay Afsos) Kahta Hai,

(Bukhari, abu dawood)

In Hadithon Se Jahan Yah Baat Saabit Hoti Hai Ki Murde Bolte Hain Wahan Yah Baat Bhi Saabit Hoti Hai Ki Bolne Ki Is Khaasiyat me Kisi Ki Buzurgi Ya Wilaayat Ka Koi Dakhal Nahin, Murda Chaahe Momin Ho Ya Kaafir, Nek Ho Ya Gunaahgaar, Sab Hi Bolte Hain,

2- Murde Sunte Hain

Nabi E Akram (sws) Ka Irshad E Mubarak Hai

"Jab (Momin Ya Kafir) Banda Apni Qabr Me Dafan Kiya Jaata Hai Toh Wah Waapas Palatne Waale Apne Saathiyon KE Jooton Ki Aawaaz Sunta Hai"

(Muslim)

Qabr Me Munkar Naqeer Ka Sawaal Mayyit Sunti Hai Aur Apne Apne Iman Ke Mutaabik Uska Jawab Bhi Deti Hai,

Jung E Badr Ke Baad nabi e Akram (sws) Ne Badr Me Marne Waalon Ko Mukhatib Karke Irshad Farmaya

" Tumhare Saath Tumhare Rabb Ne Jo Waada Kiya Tha Kya Tumne Use Sach Pa Liya ? Mere Rabb Ne Mere Saath Jo Waada Kiya Tha Maine Use Sach Pa Liya "

Hz Umar (Ra) Ne Kaha

" Ya Rasoollullah ! Kya Ye Sunte Hain Ya Jawab Dete Hain? Halaanke Ye Toh Murdaar Ho Chuke Hai"

Aap (Sws) Ne Irshad Farmaya

" us Zaat Ki Qasam ! Jiske Haath Me Meri Jaan Hai, Main Jo Kuch Unse Kah Raha Hoon, Tum Unse Zyada Nahin Sunte, HaaN albatta Yah (Hamari Tarah) Jawab Nahin de Sakte"

(Muslim)

In Hadithon Se Bhi Yah Baat Saaf Hoti Hai Ki Murde Sunte Hain aur Yah Ki Murde Ka Sunna Kisi Wilaayat Ya Buzurgi Ka Saboot Nahin Balke Har Murda Chaahe Momin ho Ya Kaafir, Nek Ho Ya Bad, Sunta Hai,

3- Murde Dekhte Hain

Nabi E akram (Sws) Ka Irshad Hai

" Qabr Me Munkar Nakeer Ke Sawalon Ke Jawab Me Kamyaab Hone Ke Baad Momin Aadmi Ko Pahle Jahannum Dikhaayi Jaati Hai Phir Jannat Me Uska Thikaana Dikhaaya Jaata Hai, Isi Tarah Kaafir Aadmi Ke Nakaam Hone Par Pahle Use Jannat Dikhaayi Jaati Hai pHir Use Jahannum Aur Usme Use Uska Thikaana Dikhaaya Jaata Hai"

(Ahmad, Abu dawood)

Isse Yah Baat saabit hai Ki Murda Chaahe Momin Ho ya Kaafir Dekhta Bhi Hai,

4- Murde Uth'te Aur Baith'te Hain

Aap (Sws) Ka Irshad Hai

" jab Munkar Nakeer Qabr Me Aate Hain Toh Mayyit Ko (Uthaakar) Bitha Dete Hain"

(Bukhari, Muslim , ahmad)

5- Murde Taqleef Aur Raahat Mahsoos Karte Hain

Aap (Sws) KA Irshad Hai

"Jab Munkar Nakeer Kaafir Ko Uthaate Hain Toh Wah Bahut Hi Ghabraaya Hua Aur Dara Hua Hota Hai, Jabki Momin Aadmi Bina Kisi Ghabraahat Aur Darr Ke Uth'kar Baith Jaata Hai"

(Ahmad)

Aur Aap (sws) Ne Farmaya

" Jahannum Me Apna Thikaana Dekhne Ke Baad Kaafir Aadmi Ki Hasrat Aur Nadaamat Me Izaafa Hota Hai, Jabke Jannat Me Apni Qayaam'gaah Dekhne Ke Baad Momin Aadmi Ki Khushi Aur Lazzat Me Izaafa Ho Jaati Hai"

(Tabrani, Ibn Habban, Hakim)

6- Murde Tamanna Aur Khyaal Zaahir Karte Hain

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Momin Aadmi Ko Jab Qabr Me Jannat Dikhaayi Jaati Hai Toh Wah Arzi Karta Hai Mujhe Zara Chhod Do Main Apne Ghar Waalon Ko Is Nek Anjaam Ki Khush'khabri De Dun"

Dusri Hadith Me Hai

Momin Aadmi Arzi Karta Hai

"Aiy Mere Rabb! Qayamat Jald Qayam Farma"

Jabki Kaafir Aadmi Yah Arzi Karta Hai

"Aiy Mere Rabb! Qayamat Qayem Na Karna"

(Ahmad, abu Dawood)

In Hadith Se Murde Ka Tamanna Aur Arzi Karna Saabit Hota Hai

7- Murde Sote aur Jaagte Hain

Aap (Sws) Ka Irshad Hai

"Qabr Me Momin Mayyit Se Sawaal Jawab Ke Baad Kaha Jaata Hai"

" Dulhan Ki Tarah So Ja Jise Uske Ghar Waalon Me se Mahboob'tareen Hasti Ke Elaawa Koi Nahin Jagaata"

(Tirmizi)

Isse Murde Ka Sona aur Qayamat Ke Din Jaagna Saabit Hota Hai,

8- Murde Pahchaante Hain

Nabi E Akram (Sws) Ne Farmaya

"Qabr Me Momin Aadmi Ke Paas Ek Khoobsoorat Chehre Waala aadmi Aata Hai, Khoobsoorat Kapde Pahne Hue Bahtareen Khusboo Lagaaye Hue Aur Momin Aadmi Ko Uske Anjaam Ki Khush'khabri Deta Hai

Momin Aadmi Poochta Hai- Tu Kaun Hai?

Tera Chehra Kitna Khoobsoorat Hai Tu Khair Wa Barkat Le ke Aaya Hai,

Wah aadmi Kahta Hai

Main Tere Acche Aamaal Hoon,

kaafir Aadmi Ke Paas Ek Bad'soorat, Gande Kapde Pahne Badboo Daar Aadmi Aata Hai Aur Kahta Hai

Tujhe Bure Anjaam Ki Khush'khabri Ho, Yah Wah Din Hai Jiska Tujhse Waada 
Kiya Gaya Tha,

Kaafir Kahta Hai

Tu Kaun Hai?


Tera Chehra Bada Bhadda Hai, Tu Buraayi Lekar Aaya Hai

Wah Aadmi Kahta Hai

Main tere Bure Aamal Hoon"

(Ahmad , Abu dawood)

In Hadith Se Murde Ka Pahchaanna Saabit Hota Hai

9- Murde Cheekhte Aur Chillaate Hain

Nabi (Sws) Ka Irshad Hai

" Qabr Me Kaafir Par Andha Aur Bahra Farishta (Ya Farishte) Musallat Kar Diye Jaate Hain Jo Use Lohe Ke Hathaude Se Maarte Aur Peet'te Hain Aur Wah Buri Tarah Cheekhne chillaane Lagta Hai, Kaafir Ke Cheekhne Aur Chillaane Ki Awaz Jinn Wa Insan Ke elaawa Har Jaandaar Makhlooq Sunti Hai"

(Ahmad. Abu dawood)

Is Hadith Se MurdE Ka Cheekhna Aur Chillaana Bhi Saabit Hota Hai

10- Nek Murda Zinda Hain Aur Khaate Peete Hain

Allah Taala Ka Irshad Hai

"Aur Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Unhe Murda Na Samjho, We (Barzakh me) Zinda Hain Aur Apne Rabb Ke Yahan Se Rizq Paate Hain "

(Aal E Imran 169)

To Be Continued.....