Saturday, August 31, 2013

MUSLIM MULKON ME INTE'SHAAR KYON??:








Bismillahirrahmanirraheem

MUSLIM MULKON ME INTE'SHAAR KYON??:


Islam Aman Wa Insaaniyat Ka Paigham Ban kar Aaya Aur Nabi e Akram Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ne Sirf Apne 23 Saala Daur E Nubuwwat Me Ek Aisi Mumlakat Banaayi Jiske Saaye Me Poora Jazeera Arab Insaaf Wa Insaaniyat Ka Aisa Maskan Ban Gaya Ke Ghair Muslim Mu'arrikheen (Researcher) Bhi Iski TaareeF Karte Hain,

Ahle Arab Jo Loot Maar Aur Ghaarat Giri Ko Apna Zariya Ma'aash Banaaye Hue They Un Me Aap (Sws) Ne Aisa Inquilaab Barpa Kiya Ke Wah Insaaniyat wa Sharaafat Wa Tahzeeb Wa Tamaddun Ka Namoona Ban Gaye,

Aur Iran Wa Rome Jaise Us Daur Ke Muhzab Mulkon Me Daakhil Hue Toh Wahan Ke Log Bhi Unki Insaaniyat Aur Insaaf Par Aise mutaassib Hue Ke Apna Aabaayi Deen Tak Tark Karke Unke Deen Ko Apna Liya,

Aur Ab Tak Sadiyon Ke Baad Bhi Ye Islam Ke Paaye'daar Ilaaqen Hain,

Unhone Bahut Se Inquilabat Dekhe Lekin Kotaahi Amal Ke Siwa Kabhi Deen Islam Se Nahin Fire, Balke Islam Dushman Taaqaton Ke Hamlon Ne Unke Imaan Me Nayi Jaan Aur Nayi Rooh Paida Kar Di,

Aur Hamesha Apne Deen Islam Ke Liye Baatil Se Ladte Rahe,

Shikasht Bhi Khaaye, Lute Bhi, Unki Khopdi Ke Ghubbare Bhi Bane Lekin Unke Imaan Me Paaye'daari Ke Siwa Koi Kami Nahin Hui,

Muhammad Sallalaho alaihi wasallam Ka Ye Elaan Ke

"Tum Par Aaj Koi Saranjish Nahin Jaao Tum Aazaad Ho"

Islaam Dushmano Yani Ahle Makka Ke Dil Me Aise Asar'andaaz Hua Ke, Badr, Uhud Wa Khandaq Ke Hamlaawar Khud Hi

La Illaha Illallah Muhammadurrasoollullah

Ke Siwa Aap Ke is Insaaniyat Nawaaz Elaan Ka Koi Jawaab Na De Sake,

Aur Phir Poora Jazeera Arab Islam Ke Saaye Me Akhwat Wa Bhai Chaara Ka La'zawaal Namoona Ban Gaya,

Makka Se Yemen, Sona Uchhaalte Hue Ek Shakhs Nihaayat Sukoon Wa Aman Ke Saath Safar Karne Laga,

Jinhe Islam Se Pahle Apne Bacchon Aur Aurton Ke Baare Me Ye Itminaan Nahin Tha Ke Kab Unhen Loot Liya Jaayega,

Ab UskO us Sar'zameen Ke Chhappe Chhappe Par Apne Paasbaan (Protecters) Mil Rahe They,

Aur Iske Baad Khilaafat E Rasheda (Peroid Of First 4 caliph) Me Yahi Soorat E Haal Maujood Rahi,

Lekin Baad Ke Zamaane Me Siyaasat Aur Iqtedaar Ki Ladaiyyon Ne Muslim Mumlakat Me Bahut Se Napasandeedah Fitne Paida Kiye, Lekin Phir Bhi Muslim Mumlakat, Muslim Wa Ghair Muslim Riyaaya (People) Ke Saath Baraabar Insaaf Hota Raha,

Awaam Ki Aksariyat Hamesha Apne Sarbaraah (Caliph) Mumlakat Ki Khair'khwaah Rahi,

Aur Yahi Wajah Thi Muslim Mumlakat Par Jab Bhi Dushmano Ka Hamla Hua Toh Poori Riyaaya Ne Mil Kar Dushmano Ko Paspa Karne Ki Koshish Ki,

Lekin 12 Sadiyon Ke Baad Ye Soorat E Haal Badalne Lagi,

Aur 20wi Sadi Me Ye Soorat E Haal Hai Ke Sabse Zyada Nifaaq Wa Fasaad Muslim Mulkon Ke Andar Maujood Hai,

Aur Un Mulkon Ke Andar Awaam Aur Sarbaraahon (Goverment) Mumlakat Me Jo Baahimi Adaawat Wa Nafrat Ka Jazba Dekha Ja Raha Hai Wah Ghair Muslim Mulkon Me Bhi Dekhne Ko Nahin Milta,

Balke Ghair Muslim Mumalik Me Jo Musalman Rahte Hain Jab Un Muslim Mumalik Ki Soorat E Haal Par Ghaur Karte Hain Toh Itminaan Ki Saans Lete Hain Aur Jab Wahan Ki Be'hayyaion Aur Nangapan Ki Daastaan Sunte Hain Toh Unki Peshaniyan Paseene Se Tarr Ho Jaati Hain,

Yani Jo Muslim Mulk Sadiyon Tak Insaaf Wa Adal , Insaaniyat Wa Sharaafat Iffat Wa Paak'baazi Ka Namoona Rahe , Wahi Ab Adal Wa Insaaf Se Door Aur Islam Se Ghair Muslimon Ki Nafrat Ka Sabab Ban Rahen Hain,

Mulk Ke Andar Khud Mulk Ke Dushman Aur Dushmano Ke Dost Maujood Hote Hain Aur Sab Ki Waahid Wajah Parlimaani Jamhooriyat (Democracy) Ya Isaaiyyon Ka Banaya Hua Naya Deen Hai Jiske Be'ghair Europe Ke Aqaaon Ko Khush Nahin Kiya Ja Sakta,

Na Unse Soodi Qarz Lekar Mulk Ki Maa'aasiyat Aur Mulk Ko Paaye'daar Kiya Ja Sakta Hai,

Jisne Kam Se Kam Mulk Ke Qanoon Ko Deen Aur Dastoor Islam Se Itni Door kar Diya Hai Ke Wahan Is Ittehaad Ka Tasawwur Bhi Nahin Kiya Ja Sakta, Jo Islam Ki Nemat Se Haasil Hota Hai,

Parlimani Jamhooriat Aur Intekhaabaat Ne Har Muslim Mulk Me Itni Badi Tadaad Me Yahoodion Aur Isaaiyyon Ke Kaarkun Paida Kar Diye Hain Jo Jamhooriyat Ke Naam Par Mulk Me Inteshaar Wa Tafreeq Ki Koshish Karte Hain Aur Unhe Isaai Mulkon Ke Zariye Baraabar Ishaarah Kiya Jaata Hai,

Jaise Parlimani Jamhooriyat (Democracy) Ka Thoda Waqfa Bhi Mulk Ke Liye Sabse Bada Tabaah Kun Haadsha Hai, Aur Mulk ne Apne Wajood Aur Paaye'daari Ki Saari Zamaanat Hi Kho Diya Ho,

Mulk Ka Sarbaraah Bhi Yahi Sochta Hai Ke Wah Bade Mulk Ke Ishaaron Par Kaam Karke Hi Apne Iqtedaar Ko Bacha Sakta Hai Aur Uski Khushaamad Ke Beghair Ya Toh Mulk Ke Andar Yahoodion Aur Isaaiyyon Ke Kaarkun (Supporter) Hungama Paida Karke Use Iqtedaar Se Hata Denge Ya Phir Wah Kisi Hawaai Haadsa Wagerah Ka Shikaar Ho Jayega,

Muslim Mumalik Me Mulk Ke Sarbaraah Islam Ka Naam Zaroor Lete Hain Lekin Ye Baatein Zabaani Hoti Hain,

Aur Jab Unhe Mulk Ki Awaam Dastoor Shariat Ke Nifaaz Ki Baat Karti Hai Toh Phir Uske Saath Wahi Sulook Hota Hai Jo Dushmano Ke Saath Kiya Jaata Hai Aur Jab Dushmano Ka Saamna Hota Hai Toh Phir Saari Taaqat Khatm Aur Baazu ShaL Ho Jaate Hain Aur AnjaamKaar Naqaamiyan Hi Haath Aati Hain,

Yah Egypt Wa Syria Me Hua Hai Aur Ab Bhi Ho Raha Hai........