Wednesday, January 8, 2014

HIND KE BATWAARE KE BAAD MAULANA ABUL KALAM AZAAD (RH) KA JAMA MASJID DELHI ME MUSALMAN E HIND SE EK AHAM KHITAAB:





Bismillahirrahmanirraheem
 


HIND KE BATWAARE  KE BAAD MAULANA ABUL KALAM AZAAD (RH) KA JAMA MASJID DELHI ME MUSALMAN E HIND SE EK AHAM KHITAAB:

Jab Hindustan Ke Musalmano Par Khauff Wa Haraas Ki Fiza Taari Hoti Hai Toh Maulana Abul Kalam Azaad (Rh) Unhe Pukaarte Hain, Hausla Dilaate Hain, Aur Fir Hindustan Me Musalmano Ke Ukhde Hue Pair Jam Jaate Hain !!!!

August 1947 KE Batwaare Ke Baad, Mashriki (Eastern) Punjab, Delhi Aur UP Se Bahre Hind Ke Saahili Shahron Tak Musalmano Par Ek Qayamat Toot Padi Thi,

Imaan Wa Yaqeen Aur Azam wa Amali Se Yaksar Mahroom Hokar Wah Fardan Fardan Aur Giroh Dar Giroh Farar Hona Shuru Ho Gaye They,

Malum Hota Tha Ke Poore Hindustan Se Musalmano Ka Naam O Nishaan Mit Jaayega..

Islam Dushman Qaumein Fakhr Ke Saath, Musalmano Ke Qatl E Aam Ka Tamasha Dekh Rahin Thi,

Is Mauqe Par Delhi Ke Shah Jahani Jama Masjid Se Maulana Ne Apni Qaum Wa Millat Ko Lalkaara, Aur Imaan Wa Azam Ki Nayi Quwwat Se Unke Khaali Seene Bhar Diye,

Musalmano Ke Ukhde Pair Jamne Lage, Aur Aaj Wah Hindu Aksariyat Ke Mulk Bharat Me Kam O Besh 176 Million Ki Tadad Me Seena Taane Sar'bulandi Ke Saath Aabaad Hain

1- Unki Masjidon Me Azaane Goonjti Hain

2- Unke Madarson Me Qurani Ayaat Ki Tilaawat Jaari Rahti Hai

3- Wah Apne Deeni Imtiyazaat Ke Saath Taareekh Ke Kaafile Ke PahlU Ba Pahlu Rawan Dawan Hain,

Aage Aap Maulana Abul Kalam Azaad (Rh) Ka Ye Azeem Inquilabi Khutba Pesh Kar Raha Hoon,

Azeez E Giraami !

Aap Jaante Hain Wah Kaun si Cheez Hai Jo MuJhe Yahan Le Aayi Hai !

Mere Liye Shah Jahan Ki Is Yaadgaar Masjid Me Ye Ijtema Nahin Hai,

Maine Is Zamaane Me Jis Par Lail Wa Nahaar Ki Bahut Si Gardishen Bait Chuki Hain, Tumhe Yahan Se Khitaab Kiya Tha...

Jab Tumhare Jismon Par Izmahlal Ke Bajaaye Itminaan Tha, Aur Tumhare Dilon Me Shak Ke Bajaaye Aitmaad Tha,

Aur Aaj Tumhare Chehron Ka Aztaraab Aur Dilon Ki Veeraani Dekhta Hoon, Toh Mujhe Be'akhtiyaar Pichhle Chand Barson Ki Bhooli Bisri Kahaaniyan Yaad Aa Jaati Hain

Tumhe Yaad Hai !

Maine Tumhe Pukaara, Tumne Meri Zubaan Kaat Daali,

Maine Kalam Uthaaya, Aur Tumne Mere Haath Kalam Kar Diye,

Maine Chalna Chaaha, Tumne Mere Paaon Kaat Diye,

Maine Karwat Leni Chaahi , Aur Tumne Meri Kamar Todh Di,

Hatta Ke Pichle 7 Saalon Ki Nau Siyaasat, Jo Tumhe Aaj Daagh E Judaayi De Gayi Hai, Iske Ahad E Shabab Me Hi Maine Tumhe Khatre Ki Bisaat Par Jhinjoda Tha,

Lekin Tumne Meri Sada Se Na SirF Aaraaz Kiya, Balke Ghaflat Wa Inkaar Ki Saari Sunnatein Taaza Kar Din

Nateeja Malum Ke Aaj Unhi Khatron Ne Tumhe Gher Liya, Jinka Andesha Tumhe Siraat E Mustaqeem Se Door Le Gaya Tha,

Sach Poocho Toh Ab Main Ek Jamood Hoon Ya Ek Door Aftaadah Sada, Jisme Watan Me Rah Kar Bhi Ghareeb Ul Watani Ki Zindagi Ghuzaari Hai,

Iska Matlab Ye Nahin Ke Jo Maqam Maine Pahle Din Apne Liye Chun Liya Tha, Wahan Mere Baal Wa Par (Wings) Kaat Liye Gaye Hain, Ya Mere Aashiyaane Ke Liye Jagah Nahin Rahi,

Balke Main Ye Kahna Chaahta Hoon Ke Mere Daaman Ko Tumhari Dast'daraazion Se Ghila Hai,

Socho Toh Sahi.... Tumne Kaun si Raah Akhtiyaar Ki ??

Kahan Pahunche Aur Kahan Khade Ho ???

Abhi Kuch Zyaada Arsa Nahin Beeta , Jab Maine Tumse Kaha Tha Ke

"Ye Sutoon, Jis Par Tumne Bharosa Kiya Hai, Nihaayat Tezi Se Toot Raha Hai"

Lekin Tumne Suni An Suni Baraabar Kar Di, Aur Ye Na Socha Ke Waqt Aur Iski Tezz Raftar Tumhaare Liye Apna Zaabta Tabdeel Nahin Kar Sakte,

Tum Dekh Rahe Hoke Jin Saharon Par Tumhe Bharosa Tha, Wah Tumhe La'waaris Samjh Kar Taqdeer Ke Hawaale Kar Gaye,

Wah Taqdeer Jo Tumhari Nemat Ki Mansha Se Mukhtalif Mafhoom Rakhti Hai, Yani Tumhare Nazdeek Faqdaan E Himmat Ka Naam Taqdeer Hai,

Main Tumhare Zakhmon Ko Kuredna Nahin Chaahta Aur Tumhare Aztaraab Me Mazeed Izaafa Meri Khwaahish Nahin Hai,

Lekin Agar Kuch Door Maazi Ki Taraf Palat Jao toh Tumhare Liye Bahut Si Girahen Khul Sakti Hain,

Ye Theek Hai Ke Waqt Ne Tumhari Khwaahish Ke Mutaabik Angdaayi Nahin Li, Balke Usne Ek Qaum Ke Paidaishi Haq Ke EhteraaM Me Karwat Badli Li Hai,

Aur Ye Hi Wah Inquilab Hai Jiski Ek Karwat Ne Tumhe Bahut Hadd Tak Khauff Zadah Kar Diya Hai, Tum Khayaal Karte Hoke Tumse Koi Acchi Shayy Chhin Gayi Hai Aur Iski Jagah Buri Shayy Aa Gayi Hai,

Haan ! Tumhari Be'qaraari isi Liye Hai Ke Tumne Apne Tain Acchi Shayy Ke Liye Taiyyar Nahin Kiya Tha Aur Buri Shayy Ko Accha Samjh Rakha Tha,

Mere Bhai ! Maine Hamesha Siyaasat Ko Zaatiyaat Se Alag Rakhne Ki Koshish Ki Hai, Maine Kabhi Is Pur'khaar Waadi Me Qadam Nahin Rakha,

Yahi Wajah Hai Ke Meri Bahut Si Baatein Keenaayyon Ka Pahlu Liye Hue Hoti Hain,

Lekin Aaj Mujhe Jo Kuch Kahna Hai, Be'rok Hokar
Kahna Chaahta Hoon,

Pichle 7 Saalon Ki Roodaad Sunaane Se Koi Faayeda Nahin,


Hindustan Ke Musalmano Par Jo Rela Aaya Hai,

Mere Liye Isme Koi Nayi Baat Nahin, Main Pichhle Dino Hi Se In Nataij Par Nazar Rakhta Tha,

Ab Hindustan Ki Siyaasat Ka Rukh Badal Chuka Hai...

Ab Ye Hamare Dimaaghon Par Munhasar Hai Ke Ham Kisi Acche Andaaz E Fikr Me Bhi Soch Sakte Hain Ya Nahin ???

Hiraas Ka Mausam Aarzi Hai, Main Tumko Yaqeen Dilaata Hoon Ke Hamko Hamare Siwa Koi Zer Nahin Kar Sakta,

Maine Hamesha Kaha Aur Aaj Fir Kahta Hoon Ke Tazabzub Ka Raasta Chhod Do,

Shaq Se Haath Utha Lo

Aur Bad'amali Tarq Kar do,

Ye 3 Dhaar Ka Anokha Khanjar, Lohe Ki Is Do Dhaari Talwaar Se Ziyaadah Kaari Hai, Jiske Ghaao Ki Kahaniyan Maine Tumhare Naijawaano Ki Zubaani Suni Hain,

Ye Farar Ki Zindagi Jo Tumne Hijrat Ke Muqaddas Naam Par Akhtiyaar Ki Hai Us Par Ghaur Karo, Apne Dilon Ko Mazboot Baanao, Aur Apne Dimaaghon Ko Sochne Par Aamadah Karo,

Fir Dekho Tumhare Faisle Kitne Aajlaanah Hain,

Aakhir Kahan Ja Rahe Ho, Aur Kyun Ja Rahe Ho ???

Ye Dekho Masjid Ke Minaar Tumse Jhuk Kar Sawaal Karte Hain Ke Tum Apni Taaareekh Ke Suffaat Ko Kahan Gum Kar Diya Hai ???

Abhi Kal Ki Baat Hai Ke Jamuna Kinaare Tumhaare Kaafilon Ne Wuzu Kiya Tha,

Aur Aaj Tum Ho Ke Tumhe Yahan Rahte Hue Khauff Mahsoos Hota Hai,

Halaanke Dehli Tumhare Khoon Se Seenchi Hui Hai,

Azeezon ! Apne Andar Ek Bunyaadi Tabdeeli Paida Karo, Jis Tarah Aaj Se Kuch Arsha Pahle Tumharaa Josh Wa Kharosh Beja Tha Isi Tarah Aaj Tumhara Ye Khauff Wa Hiraas Bhi Beja Hai,

Musalman Aur Buzdili Ya Musalman Aur Ishte'aal Ek Jagah Jama Nahin Ho Sakte,

Musalman Ko Na Toh Koi Tama Hila Sakti Hai Aur Na Koi Khauff Dara Sakta Hai,

Chand Insaano Ke Chehre Ghaib Aur Az'nazar Ho Jaane Se Daro Nahin, Unhone Tumhe Jaane Ke Liye Hi Ikattha Kiya Tha,

Aaj Unhone Tumhare Haath Se Haath Kheench Liya Hai Toh Ye Tajjub Ki Baat Nahin, Ye Dekho Ke Tumhare Dil Toh Unke Saath Hi Rukhsat Nahin Ho Gaye,....

Agar Dil Abhi Tumhare Paas Hain Toh..

Unhen Us Khuda Ki Jalwa'gaah Banaao ! Jisne Aaj Se 1300 Baras Pahle Arab Ke Ek Ummi Ki Marifat Farmaya Tha

"Jo Allah Par Imaan Laaye, Aur Us Par Jam Gaye, Toh Fir Unke Liye Na Toh Kisi Tarah Ka Darr Hai Aur Na Koi Gham Hai"

Hawaayen Aati Hain Aur Ghuzar Jaati Hain,

Ye Sarsar Sahi Magar Iski Umar Kuch Zyaada Nahin,

Abhi Dekhti Aankhen AbtaLa Ka Mausam Ghuzar Jaane Waala Hai,

Yun Badal Jaao Jaise Tum Pahle Kabhi Is Haalat Me Na They,

AzEezon !

Sitaare Toot Gaye Toh Kiya Hua, Sooraj Toh Chamak Raha Hai, Usse Kirne Maang Lo, Aur In Andheri Raahon Me Bichha Do Jahan Shakht Ujaale Ki Zaroorat Hai,

Main Tumhe Ye Nahin Kahta Ke Tum Haakimaana Iqtedaar Ki MadaRse Se Wafaadari Ka Certificate Haasil Karo,

Main Kahta Hoon Ke Jo Ujle Naks Wa Nigaar Tumhe Is Hindustan Me Maazi Ki Yaadgaar Ke Taur Par Nazar Aa Rahe Hain, Wah Tumhare Hi Kaafile Ke Chhode Hue Hain,

Unhe Bhulaao Nahin !..........Inke Waaris Ban Kar Raho !

Aao Samjh Lo ! Ke Agar Tum Khud Bhaagne Ke Liye Taiyyar Nahin Toh Fir Tumhe koi Taaqat Nahin Bhaga Sakti,

Aao ! Ahad Karo ! Ke Ye Mulk Tumhara Hai, Ham Iske Liye Hain Aur Iski Taqdeer Ke Buniyaadi Faisle Hamari Awaaz Ke Be'ghair Adhure Hi Rahenge...

Aaj Zalzalon Se Darrte Ho, Kabhi Tum Khud Ek Zalzala They,

Aaj Andhero Se Kaanpte Ho ! Kya Yaad Nahin Ke Tumhara Wajood Ek Ujaala Tha......

Ye Baadalon Ne Neela Paani Barsaaya Hai, Aur Tumne Bheeg Jaane Ke Khadse Se Apne Painche Chadha Liye Hain,

Haalanke Wah Tumhare Hi Aslaaf They

1- Jo Samundaro Me Utar Gaye

2- Pahaadon Ki Uchhaiyyon Ko Raund Daala

3- Bijliyan Aayi Toh Unpar Muskura Diye

4- Baadal Garje Toh Kahkahon Se Jawaab Diya

5-Sarsara Uthi Toh Uska Rukh Fer Diya

6- Aandhiyan Aayi Toh Unse Kaha Ke Tumhara Raasta Ye Nahin Hai

Ye Imaan Ki Sa'aadat Hai Ke Shahenshahon Ke Girebaano Se Khelne Waale Aaj Khud Apne Girebaanon Se Khelne Lage,

Aur Khuda Se Is Darja Ghaafil Ho Gaye Ke Jaise Aman Par Kabhi Imaan Hi Nahin Tha !!!

Azeezon !

Mere Paas Tumhaare Liye Koi Naya Nuskha Nahin Hai, Wahi Puraana Nuskha Hai Jo Barson Pahle ka Hai,

Wah Nuskha Jisko Kaayanaat E Insaani Ka Sabse Bada Muhsin Laaya Tha Wah Nuskha Hai Quraan Ka Ye Elaan

" Wala Tahinu, Wala Tahzanu, Wa Antumul Aa'launa In Kuntum Mu'minun"

Aaj Ki Sohbat Khatam Ho Gayi, Mujhe Jo Kuch Kahna Tha, Wah Main Ikhtesaar Ke Saath Kah Chuka, Fir Kahta Hoon ; Aur Baar Baar Kahta Hoon

Apne Hosh Wa Hawaas Par Qaabu Rakho !

Apne Gardo'pesh Apni Zindagi Khud Faraaham Karo,

Ye Mandi Ki Cheez Nahin Ke Tumhe Khareed Kar Laa Dun !

Ye Toh Dil Ki Dukaan Hi Me Amaal E Saaliha Ki Nagadi Se Dast'yaab Ho Sakti Hai

Wassalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarkatahu...

(Maulana Abul Kalam Azaad (Rh))