Thursday, January 9, 2014

MAULANA ABUL KALAM AZAAD KA TAQSEEM MULK AUR QAYAAM E PAKISTAN KE BAAD LUCKNOW ME--- MUSALMAN E HIND KE PAHLE AZEEM IJTEMAH SE KHITAAB:







.Bismillahirrahmanirraheem

 

MAULANA ABUL KALAM AZAAD KA TAQSEEM MULK AUR QAYAAM E PAKISTAN KE BAAD LUCKNOW ME--- MUSALMAN E HIND KE PAHLE AZEEM IJTEMAH SE KHITAAB:

14 August 1947 CE Ko BarE Sagheer (Hind) Ki Siyaasi Taqseem Amal Me Aa Gayi...... Pakistan Ban Gaya,

Bhaagne Waale Bhaag Bhaag Kar Pakistan Aane Lage Aur Hindustan Me Rah Jaane Waale Croron Musalman Jo Amritsar Se Madraas (Chennai) Tak Ek Taraf Aur Delhi Se Culcutta (Kolkata) Wa Bambay Tak Dusri Tarah Jagah Jagah Aur Phaile Hue Pade They, Waqtan Apne Mustaqbal (Future) Se Mayoos Ho Gaye They Aur Aztaraab Ke Aalam Me Pareshaan Ho Gaye...

Itni Badi Tadaad Bhaag Kar Pakistan Kis Tarah Pahunch Sakti Hai ??

Pakistan Me Itni Badi Tadaad Ki Gunjaish Kaise Nikal Sakti Hai ???

Hindustan Me Rahte Hue Ab In Musalmano Ka Kya Banega ??

Hindu Firqa'paraston (RSS) Ki Yalgaar Ka Nishaana Banne Se Wah Kaise Bach Sakenge ??

Qatl Wa Gharatgiri Ka Jo Toofaan Fat Pada Hai Usse Kaise Nijaat Pa Sakenge ??

Kya Hindu Wa Muslim Buniyaad Par, Mulk Ki Taqseem Ke Baad, Hindustan Me Musalmano Ka Milli Wajood, Unka Mazhab, Unki Deeni Taaleem, Unki Ma'aash Wa Ma'aashiyat Mahfooz Rah Sakenge ???

Kya Islam Ke Naam Par Pakistan Ban Jaane Ke Baad Baqiyah Hindustan Me Hindu Mazhab Ko Muqammal Elaniyah Tassallat Haasil Nahin Ho Jayega ??

Aur Ek Secular Mulk Ke Bajaaye, Hindustan Me Khaalis Hindu Raaj Ka Qayam Amal Me Nahin Aa Jaayega ??

Aakhir Musalmano Ka Kya Banega ???

Ye They Wah Sawalaat Jinhone Hindustan Me Rah Jaane Waale Croron Musalmano Ko Shakht Be'chain Aur muztarab Bana Daala Tha,

Chunanche Un Musalman E Hind Ne, Unhi Maulana Abul Kalam Azaad (Rh) Ki Taraf Ek'baargi Ruju Kiya Jinko Wah "Show Boy" Kah Kar Arsha Pahle Mustarad Kar Chuke They,

Luchnow Me Poore Hindustan Ke Musalmano Ki Ek Azeem Numaindah Conference Bulaayi Gayi Jis Me "Leagui" Aur "Ghair League" Aur Tamam Musalman Firqon Ke Numainde Jama Hue,

Maulana Abul Kalam Azaad Ko Is Ijtema Ki Sadaarat Ke Liye Madu Kiya Gaya,

27 December 1947 Ko Victoriya Ground Lucknow Me Dopaher Ke Waqt, Lakhon Musalmano Ke Is Azeem Ijtema Se Hz Maulana Ne Khitaab Kiya

Us Khitaab Ki Jhalkiyan Neeche Mulaheza Farmaye

" Hazraat !

Mujhe Is Waqt Kuch Baatein Aapse Kahni Hain, Lekin Main Soch Raha Hoon Ke Kahani Shuru Katun Toh Kahan Se,

Aapko Malum Hai Ke Pichhle Chand Maah Ke Andar Nihaayat Tezi Ke Saath Inquilab Angez Waqqiyaat Ru'nama Hue Hain,,

Har Waaqeye Ki Kadi Dusri Kadi Ke Saath Jude Hu Hain, Ek Ko Dusri Ke Saath Milaakar Waaqyaat Ki Zanzeer Taiyyar Ho Sakti Hai,

Lekin Is Chand Maheeno Me Jo Kadiyan Judi Aur Jo Zanzeer Taiyyar Hui, Maamla Is Par Khatam Nahin Hota, Balke Haalaat Ko Taulne Ke Liye Pichle 10 Saal Ki Suraag'rasaani Karni Padti Hai, Is Muddat Me Ek Ke Baad Ek Waaqeya Ubharta Raha Aur Dhalta Raha Hatta Ke Zanzeer Taiyyar Ho Gayi... 10 Saal Ke Taareekhi Lail Wa Nahaar Ki Zanzeer...

Jab Sadar Istaqbaliyah Taqreer Kar Rahe They, Toh Main Ek Khaas Fikr Me Dooba Hua Tha,

Main Soch Raha Tha Ke Main Kya Tarz E Amal Akhtiyaar Karun, Ek Hi Kadi Ko Lun Toh Waaqeyaat Adhure Rah Jaayenge,

Agar Pichhle 10 Baras Ke Waaqeyaat Ki Raftaar Par Nazar Daalo Aur Unhe Bayaan Karo Toh Ye Bhi Sahih Malum Nahin Hota Ke Pichhli Bahes Ubhri Talkhiyan Paida Hon,

Zaroori Hai Ke Bahut Ehtiyaat Ke Saath Qadam Uthaaun...... Aur Raftaar Par Talkiyon Ki Koi Parchainyyan Na Pade...

Waaqeyaat Ki Noiyyat Aisi Hai Ke Unme Bahut Se Logon Ke Liye Malaamat Ka Rang Wa Roghan Bhi Hai,

Lekin Main Aaj Kisi Musalman Ki Malaamat Ke Liye Nahin Aaya, Malaamat Kisko Karen ??

Apne Bhaiyyon Ko ??

Apne Azeezon Ko ??

Aakhir Kis Deewaar Se Sar Takraayen Aur Kyun ??

maine Koshishen Ki Hai Ke Khaas Tarah Ka Dimaagh Lekar Aaun.... Aur Apka Bhi Waisa Hi Dimaagh Ban Jaaye ...

Hamen Mahaz Waqt Ka Taqaaza Poora Karna Chahiye Aur Bas !!!

In Waaqeyaat Ko Bhula Dijiye Aur Jala Dijiye Jinhe Kalam Likh Chuka.... Aur Siyaahi Sookh chuki Hai...

Waaqeyaat Ka Taqaaza Kya Hai ???

Ye Ke Jab Chaaron Taraf Chaaron Ke Haalaat Bikhre Hue Hain, Aur In Haalaat Me Hamen Ghere Me Le Liya Hai...

Dekhna Ye Hai Ke Is AaB O Hawa Me, Wah Kausa Rukh Hai Jo Musalmano Ke Liye Sahih Raasta Ho Sakta Hai ???

Ye Sawaal Mere Saamne Toh Koi Naya Nahin Hai, Isliye Jawab Bhi Naya Nahin Hai,

Ye Gutthi Baar Baar Mee Nakhuno Se Chhooti Aur Sulajhti Rahi Hai, Mera Hal Puraana Hai, Is Hal Ko 40 Saal Se Main Aapke Saamne Rakhta Aaya Hoon....!

Aaj Bhi Is Mulk Me Wah Log Maujood Hain Jo Mere Ham Raaye Hain !

Badi Tadaad Un Azeezon Ki Hogi , Jo Mujhse Ikhtelaaf Rakhte Hain, Lekin Haalat Ki Tabdeeli Ne Unki Raaye Ka Rukh Bhi Mod Diya Hai,

Mumkin Hai Ab Bhi Kuch Log Apni Puraani Raaye Par Qayem Hon, Lekin In Haalaat Me, Jo Pesh Aa Chuke,

15 August 1947 Se Pahle Ki Raaye, Jo Us Waqt Unke Khyaal Me Sahih Thi, Kam Se Kam An Kaamilan Ab Tabdeeli Ki Mustahaq Hai...

Warna Na Toh Ham Qaumi Zindagi Ko Bacha Sakte Hain, Aur Na In Taameeron Me Hissa Le Sakte Hain, Jo Hamare Liye Zaroori Balke Buniyaadi Hain,

Is Baare Me Jo Der Karta hai, Wah Mulki Barbaadi Ki Eintein Chunta, Aur Deewaarein Uthaana Chaahta Hai,

Mera Musha'heda Hai, jaise Main Aap Ko Dekh Raha Hoon, Isi Tarah Ye Bhi Dekh Raha Hoon Ke Isse Badhkar Khatarnaak Koi Shayy Nahin Hai Ke Ham Puraani Rosh Par Thaher Jaayen,

Ye Haalaat Ki Pukaar Hai Ke Jis Darwaaze Se Ye Khatarnaak Waaqeyaat Aayen Hain, Wah Darwaaza Band Ho Jaaye...

Agar Aisa Nahin Kiya Gaya Toh Phir Kharaabi Ki Zimmedaari Leni Chahiye, Magar Ye Bahut Badi Zimmedari Hogi,

15 August Ke Baad, League Ke Zimmedar Afraad Mujhse Mile, Unhone Kaha Ab Muslim League Ki Pahli Policy Aur Dhang Nahin Rahna Chahiye,

Wah Chaahte They Ke Uski Leadership Badal Di Jaaye, Aur Main League Ki Baag Apne Haathon Me Le Lun,

Lekin Maine Unse Kaha Main Ek Lamhe Ke Liye Bhi Apne Dimaagh Ko Iske Liye Taiyyar Nahin Kar Sakta,

Sawaal Kisi Anjuman, Uske Dhang, Uske Maslak Aur Uski Leadership Badalne Ka Nahin..

Ye Ek, Do, Char , Shaakhen Apni Jagah Kaisi Hi Kyun Na Hon, Maamla Isse Zyaadah Gahra Hai,

Sawaal Ko Yun Dekhiye Ke Mulk Me Ek Anjuman Maujood Hai, Jiska Zameen Firqa'parasti Se Bana, Buniyaaden Firqa'parasti Se Uthi, Darwaazon Ke Takhte Firqa'parasti Ki Chob Se Taiyyar Kiye Gaye, Taareekh Bhi Yahin Se Bani Aur Riiwaayti Zindagi Bhi Usi Saanche Me Dhali,

Meri Raaye Me, Koi Raaye Bhi Aisi Anjuman Ko, Uski Riwaayti Zindagi Se Alag Nahin Kar Sakta,

Farz Kijiye Aapne Usko Badla, Lekin Anjuman Bhi Wahi, Taareekh Bhi Hamraah, Diwaarein Bhi Saath, Zameer Bhi Maujood Aur Riwaayat Bhi Saamne,

Main Nahin Kah Sakta Ke Is Anjuman Par Koi Asar Daal Sakta Hai, Meri Raaye Me Koi Asar Nahin Daala Ja Sakta,

Agar Aap Chaahte Hain Ke Aindah Ke Liye Saaf Aur Do Took Faisla Karen, Toh Koi Jamaat Jo Siyaasi Nizaam Me Firqa'bandi Ki Buniyaad Par Qaayem Ho , Maujood Nahin Rahni Chahiye Ke Political Maidaan Me Firqa'parasti Mulk Ke Liye Bhi Aur Millat Ke Liye Bhi Zehar Qaatil Hai,

Sirf Aisi Firqa'waaR Jamaatein Honi Chahiye Jo Mazhabi, Taaleemi, Aur Tamadduni Maamlaat Se Mutaallik Hon,

Ye Khaana Zaroori Hai Aur Ise Laaziman Bharna Chahiye,

Main Zyadah Waazeh Alfaaz Me KAhna Chaahta Hoon Ke Jahan Tak Musalmano Ka Taalluq Hai, Unhe Hindustan Ke Aasmaan Ki Is Neeli Chhat Ke Neeche Firqa'parasti Ka Nizaam Nahin Rakhna Chahiye,

Ye Mera Socha Samjha Hua Mashwara Hai,

Mulk Ke Maujooda Haalaat Ko Dekhte Hue, Aur Mulk Ke Mustaqbal Ke Khaatir Ye Zaroori Ho Gaya Hai Ke Firqa'parsti Jo Mazhab Ke Naam Se Ubhaari Gayi Hain Mulk Ki Siyaasi Zindagi Se Nikaal Di Jaayen,

Aaj Bhi Mera Mashwara Ye Hi Hai, Aaj Se Pahle Na Kar Sake Toh Ye Hujjat Nahin Ke Aaj Bhi Na Karen,

Muslim League Ne Ek Maqsad Qarar Diya, Iske Liye Apne Andaazon Ke Mutaabik Jeddo Jehad Ki, Wah Maqsad Sahih Tha Ya Ghalat ??

Main Is Bahes Me Nahin Padna Chaahta,

Main Use Aaj Bhi Ghalat Samjhta Hoon, Jaisa Ke Pahle Samjhta Tha,

Lekin Ye Cheez Khwaah Acchi Thi Ya Buri, Baherhaal Congress Ne Bhi Usse Ittefaaq Kiya, Aur Ye Faisla Ho Gaya,

Ye Kaghaz Ka Faisla Na Tha, Balke Isko Amal Ka Jaama Pahna Diya Gaya,

Andar Se Jo Log Taqseem Ki Jeddo Jehad Ke Qayel They Unhe Unka Mutma E Nazar Mil Gaya.

Uske Baad Indian Union Me, Is Jeddo Jehad ki Ilm Bardaar Jamat Ki Koi Jagah Baaqi Nahin Rahti, Aur Uska Qayem Rakhna Ghair Zaroori Ho Jaata Hai,

Ab Bhi Agar Ye Firqa'parasti Ka Ye Darwaaza Band Na Hua ; Toh Radde Amal Ka Jo Sailaab Bah Nikla Hai, Use Band Lagaana Insaani Akhtiyaar Se Baahir Ki Cheez Hoga,

Khair Jun Hi Aap Is Nateeje Par Pahunch Gaye Ke Firqa'parasti Nahin Rahni Chahiye,

Toh Sawaal Paida Hoga Ke Musalman Kya Karen ???

Fir Unke Liye Ek Hi Raasta Hai Ke Wah Ghair Firqa'waae Siyaasi Jamaaton Me Shaamil Hon, Jo Sab Ki Mustarak Aur Siyaasi Wa Iqtesaadi Azaadi Ki Naqeeb Ho...

Aap Aisi Koi Bhi Anjuman Muntakhab Kar Sakte Hain........ "

(Maulana Abul Kalam Azaad (Rh))