Bismillahirrahmanirraheem
SHAMA-E MUHAMMADI KI EK IBAARAT: AUR USKA JAWAB
Aitraz Ka Jawab
-
Wese Me Muqalid Ki Har Jahiliyat Bhari Jhuthi Bato Ka Jawab Dena Jaruri Nahi Smjhta Magar Chunki Kafi Din Se Dekh Raha Muqalid Kis Tarah Ahle Hadiso Ke Khilaf In 2 Line Ko Bich Me Uthakar Nafrat Paida Kar Rahe Hai Jawab Mulahyaza Farmaye
.
Defender M. Hasan Jo Apne Bhai Sameer MughalKi Andhi Taqlid Me Diwana Hua Ghum Raha Hai Post Inka Is Tarah Hai
.
Ye In Bhai
Ka Post Hai
.
Ghair-Muqallid,Muhammad Joonagadhi Jiska Urdu me Tarjumah kiya hua Qur'an Saudi se (Shah Fahad Printing Complex se) print ho kar aata hai aur Logon me Muft Taqseem kiya jaata hai, Wo Kehta hai ke, "......Ye bhi HAQEEQAT hai ke Rivayat ki tarah inki Daraayat (Samajh, Faham) Hum per (Ya'ni Naam Nihaad Ahl-e-Hadees per) WAJIB AT-TA'MEEL NAHI, bohat Mumkin hai ke Wo (Umar (raz.)) DURUST NA ho." [Shama' Muhammadi] (Ma'z Allah)
.
Answer-
Apne Padha Ab Me Btata Hu Apko Pura Masala
Sabse Pahle Ap Kitab Ke Nam Par Jaye SHAMA-E-MUHAMMADI
Agar Duniya Ka Sbse Bewkuf Sakhs Bhi Kitab Ka Nam Padhega To Samjh Jayega Ki Kitab Me Zikr Hai Janab-e Mustafa Rasule Karim s.a.w Ka
-
Ab Me Insha Allah Apko Dikhata Hu In Muqalid Hazrat Ka Fareb Inki Makkari Inka Jhuth Kis Tarah Se Ye 2 Line Bich Me Se Nikalkar Awam Ko Bewkuf Banate Hai Ye Kitab Mulana Muhammad Junagadhi rh Ne Likhi Fiqh Ke Radd Me Aur Fark Btaya Fiqh Aur Hadith Ka Aur Wo 150 Sahi Ahadith Is Kitab Me Laye In 150 Haditho Ko Hanfi Sirf Inkar Hi Nahi Karte Balki Iske Khilaf Amal Karte Hai Kyo Ki Inki Fiqah Ke Masale In Haditho Se Takrate Hai To Bechare Ye Log Hosh Kho Bethe Bawale Ho Gaye Ye Kitab Itni Khatrnak Sabit Hui Hanfiyat Ki Duniya Me Bhuchal Aa Gaya In Muqalido Ke Panw Tale Ki Zamin Khisak Gai Fiqah Ki Nayya Dub Gai Taqlid Ke Chule Hil Gaye Ray Qayas Walo Ko Din Me Tare Dikhai Dene Lag Gaye Maulana Rahmtullahi Alahi Fiqh Par Quran Hadith Ke Itne Bomb Barsaye Ki In Uska Tiya Pancha Ho Kar Rah Gaya Sunnat Ki Itni Mizaile Dagi Hai Ki Fiqh Ka Khaliyan Jal Kar Rakh Ka Dher Ho Gaya Ye Kitab Zamane Me Fiqh Ki Puja Karne Walo Ki Gardno Par Latkati Talwar Hai
-
-
Ab Ye Bebas Log In Ahadiso Ka Jawab To Nahi Sakate To Maulana Rh Ki Sakhsiyat Par Hmla Krke Apne Sine Ki Aag Ko Thanda Karne Ki Nakam Koshis Karte Hai
-
Puri Ibarat Is Tarah Hai
-
Maulana Sab Ne Likha Unka Kahna Tha Ki Rasulullah s.a.w Ke Muqable Me Kisi Ki Bat Na Mani Jaye -
.
Riwayat Aur Dirayat (Samjh) Ka Fark
-
Allah Ka Farman Hai Un Logo Ke Liye Bdi Kharabi Hai Jo Apne Hath Ki Likhi Hui Kitabo Ko Khudai Kitab Ka Darze Par Mante Hai
.
Surah Baqrah 79
-
Hmara Iman Hmara Ilm Hume Mazbur Karta Hai Ki Riwayat Aur Dirayat Ko 2 Alag Alg Cheze Samjhe Riwayat Me Jo Bujurg Unche Martabe Ke Sache Amanat Dar Haqgo Aur Rast Baz Hai Zruri Nahi Unki Soch Samjh Gaur o Fikr Gahrai Danai Bhi Har Jagah Par Riwayat Ki Tarah Sahi Aur Atal Ho Inkar Karne Ke Qabil Na Ho Man Lene Ke Layak Hi Ho
-
Misal Ke Taur Par Man Lijiye Kaun Hai Jo Nahi Janta Ki Hzrat Umar r.a Jo Riwayat Nabi E Karim s.a.w Ki Pahunchaye Us Me Yaqini Taur Par To Bilkul Sache Hai Lekin Yah Bhi Haqikat Hai Ki Riwayat Ki Tarah Un Ki Dirayat Par Amal Karna Hmare Liye Wajib Nahi Qki Mumkin Hai Wah Durusat Na Ho
.
Maslan
.
Jese Nabi Karim s.a.w Ke Us Farman Se Ki Apne Farmaya Tha Tum Bilarshuba Baitulah Sharif Me Jaoge Aur Uska Tawaf Karoge Hazrat Umar r.a Ne Iska Mtlb Samjha Ki Hudaibiyya Wale Sal Ke Bare Me Ye Peshingoi Hai Magar Hudaibiyya Wale Sal Aisa Na Huwa Blki Makkah Sharif Se Aur Baitullah Sharif Se Muslman Rok Diye Gaye Aur Unhe Mazbur Hokar Wapas Hona Pada Is Se Sabit Hota Hai Ki Rasul s.a.w Ki Hadis Haq Hai Hazrat Umar R.a Ki Riwayat Schi Lekin Unki Dirayat Sahi Na Thi Hadith Me Jo Tha Wah Ho Kar Raha Lekin Umar r.a Ne Hadith Ka Jo Mtlb Nikala Wah Pura Na Hua Yah Wajeh Taur Par Fark Riwayat Aur Dirayat Me Hai
-
Yani Maulana sb Ka Kahna Ki Jb Umar r.a Jese Sahabi e Rasul Ki Dirayat Me Fark Ho Sakta Hai Phr Imam Kya Chez Hai Unse Bhi Galtiya Ho Sakti Hai Hume Manana Chaiye To Hadise Rasul Me Na Ki Andhi Taqlid Ap Kitab Padhenge To Pura Samjh Payenge
-
Apne Padhi Inki Makkari kese Jhuthe Log Hai Aur Maze Ki Bat Sune Aitraz Bhi Hua To Un Logo Ko Jinke Yaha Sahabi Ka Qaul Hujat Nahi Jo Kahte Hai Ki Abu Hurairah r.a Aur Ans Bin Malik r.a Gair Faqih The Yani Unhe Smjh Nahi Wo Dehati The Mazallah Aur Unki Riwayat Karda 6 Hazar Hadiso Ka Inkar Karne Wale Unhe Raddi Ki Tokari Me Dalne Wale Ahnaf Ke Munh Se Ye Aitraz Bhate Nahi Jike Zakriya Kahta Hai Ki Baz Sahabao Se Bdi Galtiya Hui Scn Yaha Dekhe Wah Kamal Hai
#UmairSalafiAlHindi
#IslamicLeaks
-