Tuesday, March 11, 2014

AURATEIN APNI AZMAT KO PAHCHAANE:




Bismillahirrahmanirraheem

AURATEIN APNI AZMAT KO PAHCHAANE:


Aurat Ala Sharafaton Ka Mujassama Hai, Aurat Na Hoti Toh Is Aalam E Rang Wa Bu Ki Tasweer Kitni Be'rang Aur Kis Qadar Be'noor Nazar Aati,

Yahan Insaaniyat Hoti Na Sharaafat, Ilm Hota Na Hunar, Adab Hota Na Tahzeeb,

Yaqinan Yahan Sooraj Bhi Nikalta, Pardah Shhab Se Chand Bhi Jhaankta, Fool Bhi Mahekte Aur Bahaaron Ke Kaafile Bhi Aate Aur Aabshaaron Ka Naghma Bhi Sunaayi Deta Magar In Cheezon Me Koi Dil'kashi Na Hoti,

Allah Taala Ne Aurat Ki Takhleeq Farma'kar Bazm zindagi Ko Mano'wiyat Aur Zebaayi Ata Kar Di,

Allah taala Ne Aurat Ko Mazloom Banaya Lekin Jaahil Insaano Ne Use Lahu Wa La'ab Ka Khilona Bana Diya, Uski Bad'tareen Tauheen Ki Aur Us Par Zulm Wa Sitam Ki Inteha Kar Di.

Taareekh Ke Auraaq Dekhiye, Har Daur Ki Aurat Kaise kaise Musibat Wa Makroohaat Jhelti Rahi Aur Kitni Be'dardi Se Kaisi Kaisi Pastiyon Me Fenk Di Gayi,

Pattharon Ke Zamane Ka Insaan Patthar Maar maar kar Jungali Jaanwar Halaaq Karta Tha, Aurtein Shikaar Kardah Jaanwaron Ki Khaal Utaarti Thi, Sookhe Patte Aur Tahniyan Jama Karti Thi, Ek Patthar Par Dusra Patthar Ragad Ragad Kar Badi Mushkil Se Aag Sulgaati Thin,

Halaaq Shuda Jaanwar Bhoonti Thin Aur Mardon Ke Aage Pesh Karti Thin, Wah Khaalon Se Libaas Bhi TaiyyaR Karti Thin Aur Apne Bacchon ko Bhi Sambhaalti Thin,

Itni Jaankaahi Aur Shakht Mahnat Ke Ba'wajood Jaahili Mu'aasharon Me Aurton Ki Koi Haisiyat Nahin Thi, Wah Mahaz Khilona Thin Jisse Mard Jab Chaahe Khelte They,

Ek Aurat Ke Bahut Se Shauhar hote They Aur Har Taqat'war Mard Unhe Bhend Bakriyon Ki Tarah Hanka Le Jaata Tha,

Ek Aurat Ke Kai Kai Shauharon Ki Laanat Bharat Ke Baaz Daur Aaftaada Ilaaqon Me Aaj Bhi Jaari Hai,

Yunaan (Greece) Wah Pahli Sar'zameen Hai Jahan Sabse Pahle Aurat Ko Neelaam Ka Maal Banaya gaya Aur Khoobsoorat Pattharon Ke Badle Aurton Ki Khareed Farokht Hone Lagi,

Misr (Egypt) Me Aurtein Dariya E Neel (Nile River) Ki Bhent Chadhaayi Jaati Thin,

Hindustan Me Aurton Ko Paaon Ki Jooti Kaha Jaata Tha,

Betiyan, Waalidain Ki Wiraasat Se Mahroom Rakhi Jaati Thin,

Bewaaon Ko Manhoos Samjha Jaata Tha,

Shauhar Marr Jate They Toh Unke Saath Uski Jeeti Jaagti Bewaaon Ko Bhi Jala Diya Jaata Tha,

Aaj Bhi Bewaon Ko Chita Me Bhasm Karne Ke Waaqye Pesh Aate Hain,

Isi Tarah Jazeera Arab Me Betiyan Paida Hote Hi Zinda Dafan Kar Di Jaati Thin,

Yahi Ahwaal Wa Zaroof They Jab 7wi Sadi Eeswi Me Islam Ka Abr E Rahmat Barsa Toh Aurat Ki Haisaiyat Ek Dum Se Badal Gayi,

Nabi E Rahmat Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Insaani Samaaj Par Ahsaan Azeem Farmaya,

Auraton Ko Zulm, Be'hayaayi, Ruswaayi Aur Tabaahi Ke Gadhe Se Nikaala, Unhe Tahaffuz Bakhsa , Unhe Huqooq (Rights) Ujaagar Kiye,

Maa, Bahen, biwi, Beti Ki Haisiyat Se un Ke Faraiz Batlaaye Aur Unhe (Rabaitul Bait )Ghar Ki Zeenat Bana Kar Izzat Wa Ehteraam Ki Sab Se Oonchi Masnad Par Faiz Kar Diya..

Aaj Kal Maghribi Tahzeeb (Western Culture) Ka Shaitaani Chalan Urooj Par Hai, Media Ne Is Laanat Ko Aam Kar Diya Hai,

Log Allah Ki Zaat E Aali Ko Bhool Gaye Hain, Ghar Ghar Television Maujood Hain, Gandi Filmein Chal Rahi Hain,

Bad'akhlaaq Draamo Ki Nimaish Ho Rahi Hai, Aur Lachar Gaano Ki Dhun Se Fiza Goonj Rahi Hai,

Dil Par Haath Rakh Kar Kahen,

Kya Ye Musalman Ki Mua'sharat Hai ??

Banaat E Ummat Ko Is Fitne Se Khabardaar Rahna Chahiye,

Maghribi Tahzeeb Ne Aurat Ki Izzat Wa Waqaar Jis Tarah Khaak Me Milaaya Hai, Uske Tabaah Kun Nataij Aaj Khud America Aur Europe Ke Qaddaawar Daanishwar Bhi Pareshaan Hain,

America Ke Ex-president Bill Clinton Ki Biwi Hillary Clinton Bahut Padhi Likhi Khatoon Hain,

Marsoofa Benazeer Bhutto Sahiba Ke Daur E Iqtedaar Me Pakistan Aayin, Yahan Unhone College Ki Taalibaat Ke Ek Ijtema Se Kitaab Kiya, Unhone Maghribi Tahzeeb Ke Sangeen Nuqsanaat Ka Aitraaf Karte Hue kaha

"You Are Lucky That You Have Only One Bag, In United States Of America School Girls Have Two Carry Bags, One For Books And One For Child"

(Islam And Secularism By Khalid Nazir Page 34)

TRANS: "yani Aap Khushnaseeb Hain Ke Aap School Aati HaiN Toh Sirf Ek Basta Laati Hain, Magar America Ki Haalat Bar'ashq Hai, Wahan School Ki Bacchiyon Ko Do Baste Laane Padhte Hain, Ek Kitabon Ka Basta Aur Dusra Apne Bacche Ka !"

Hamare Yahan Jo Buland Baam Halqe Maghribi Chalan Ka Gun Gaate aur Roshan Khyaali Ka Raag Alaapte Hain, Unhe America Ki Saf E Awwal Ki Is Daanishwar khatoon Ke Aitraaf E Haqeeqat Se Ibrat Pakadni Chahiye,

Islam Is Duniya Me Jin Maqsad E Jaleelah Ke Liye Aaya Hai, Unme Ek Aham Tareen Maqsad Iffat Aur Paak Baazi Ki Taaleem Hai,

Ummat E Muslima Ki Betiyon Ko Azam Baseerat Ke Saath Faisla Karna Chhiye Ke Aap Zindagi Ki Ghuli mitti Ko Kis Saanche Me DhaalLengi ??

Maghribi Tahzeeb Ke Us Saanche Me Jo Saari Duniya Ke Musalmanon Ka Khoon Pee Rahi Hai Ya Uske Bar'askh Deeni Taaleem Ke Us Saanche Me Jisne Sayyida Khateeja, sayyidah Aisha, Sayyida Fatima, Sayyida Khansa, Sayyida Umme Sulaim ; sayyida Umme Ammaara

(Ra) Jaisi Aali Maqam Khwateen Ki Seerat Wa Kirdaar Ke Be'misl Namoone Darkhsan Kar Diye They ???