Bismillahirrahmanirraheem
Islam Kin Logon Se Nikah Krne Ki Ijazat Deta Hai Aur Kin Se Nahi !
Apni Barbadi Pe Chalne Walo ! Allaah Rabbul Izzat Ka Azaab Bohot Shadeed Hai , Aur Qayamat k Roz Apne Rab Ko Kabira Saghira Gunahon Ka Poora Hisaab Dena Padaga,
Aisa shaksh joh sharaabi ho ya aur kisi tarah ka nasha karta ho us se bhi rishta nahi karna chahiye Hadees e Pak mai ise sakht mana farmaya gaya hai,
Quran Me Hai Ki Kafir wa Mushrik mard aur aurat se musalman mard ya aurat ka nikah karna haraam hai isi tarah musalman mard Aurat Ka majusi, but parast, suraj ko pujne walay, sitaron ko pujne walay, in tamaam main se kisi se bhi nikah nahi hoga, Aaj k is daur main aksar hamare muslim naujawan Nasal kafiron mushrikon se nikah karte hain aur nikah k baad unhe musalman bana te hain, yeh nihayat hi ghalat tariqa hai aur shariat main haraam hai, awwal toh nikah hi nahi hota kyun k nikah k waqt tak laka ladki kufr par qaim thay lihaza sire se nikah he na huwa,
Hamare Muashray Main Aisi Burayon Aur Fitno K mutaliq Qayamat k Roz Aaj k Ulama Ki Sakhti Se Pakkad Hogi ... Hamare Kuch Na Samajh Ulama Apni Qaom Ki Behen Betiyon Aur Nojawano Ko In Haram Kaamo Se Nahi Rok Rahi Balki Khud Bhi Iss Fitnay Main Doob Chukay Hain, Khaskr Hamare Hindustan Main Aaj Kal Aam Sa Riwaaj Thehra Hai , Secular Bharat k Naam Pr Hamari Izzaton Aur Hamari Naslon Ko Ko Be Deen Kiya Ja Raha Hai,
-
Ye To Un Larko Ki Bat Hui Ab Un Larkiyo Ka Kya Kahna Jo Apni Brbadi Apne Hath Karti Hai Aur Mushrk Se Shadi Karti Hai larki apny husband k mazhab ma rang jati hy lakin agar koi larki kisi non muslim se shadi kary tu aik larka
larki k mazhab ko theek tarah se accept nahi karta jab bachoo ke mazhab ke bari aati hy tu har musliman larki yehi chahy ge k us k bahy muslim hoo na k kisi aur religion ko follow karen jab k larka chahy k us k bachy usi k religion ko follow karen
usy us larki ka nimaz parhana ya kuch b aisa karna theek nahi lagy ga agar wo kisi bachy ko islam k bary ma batay tu b larai esi tarah bohat se batoon par jhagry hongy
zyada tar non muslim larky shadi k lia waqti tor par musliman to ho jaty hain but after some time again apny religion ko follow karty hian
sab se barh kar k being a muslim kya kisi larki ka zameer gawara kary ga k kisi non muslim se shadi ke jay no never agar koi kary b tu wo shadi shadi nahi ho ge hamara religion aisi shadi ko accept nahi karta Aur akhir me kya hoga ye duniya chand pal ki hai aur hum apna iman kharab kr bethte hai apne walidain ki izzat mitti me mila dete hai aur aur hmari aane wali nasle khud ke hatho brbad kr chor dete hai sbse bde example aj bolywood me bhare pade hai apni akhirat apni deen ki fikr kre Allah ko kya jawab doge? Allah ne jis chez ko haram thahraya ap wo krke aye hai
Via Ayan Khan Salafi